AppkaDost, A'ala hazrat aur Abul A'ala "Hhazrat" aur "A'ala hazrat" par meray 'etraaz' k jawaab maiN AppkaDost Bhai "jawaabi etraaz" kartay howay likhtay hain k...
Yea mahamlah kuch yoon bhee hai keh Molana Moddodi r.a kay naam kay sath "abu aala" yehni aala ka baap.. likha jaata hai abb agar kohee kum ilm iss say yea morrad lai keh aala zaat tou sirf Allah ki hai tou kia abu aalah ...allah ka baap...nahoozbillah .........
shayaad nahi balkay yaqeenan ap arabi zuban o adab say naa.waaqif maloom hotay haiN. wernah apko yeh bhi maloom hotaa k ma'aroof sahabi ... Abu Hureraih RA.... ki kunniyat 'abu hurerah' ka matlab 'billiyouN walay' hai k app nay bahoot see billiyaaN pali howi theeN.... iska matlab khodaa nah khaastah ... billiyouN k baap... nah thaa
karachi university k aik ostaad thay ... Abul khair kashfi ... iska yeh matlab nahi k woh "khair" k bhi baap" thay.... balkay yahaaN bhi arabic mohaawray k motaabiq iska matlab hogaa ... khair-waalay sahab......... issi tarah "Abu A'ala" ka matlab hogaa A'ala (Allah) walay sahab... jaisay hum urdu maiN bhi kahtay hain k falaaN to baRa "Alla wala" hai....... karachi hi k aik baRay taajir seyasi rahnomaa thay ... Abdul Khaliq Allah Walaa ... yehi Allah walaa, arabic maiN "Abu A'ala" kahlaayegaa............ wazah rahay k JI k baani Abu A'ala Maudoodi RA ka yeh naam pahli martabah onhi ka nahi rakha gayaa.... yehi naam qabl azeeN onhi k aabaa o ajdaad maiN say aik buzrug ka bhi tha, jinkay naam par onka naam rakha gayaa thaa...
abu hurairah, abu al khair yaa abu a'ala, yeh sab to kuniyayt aur naam ka maamlah hai....... hazrat aur a'ala hazrat koi naam yaa kuniyat waghairah nahi balkay yeh protocol / adab adaab k ilfaaz hain jo "aham" logoun ko izzat bakhshnay k liyeh onkay naam k sath diyeh jatay haiN... jaisay english main hai his-highness aur her-highness, your-honour etc etc........ issi tarah kissi ko izzat bakhnay k liyeh oskay naam say qabal "hazrat" likha aur bolaa jata hai
jaisay hazrat Ibrahim AS, hazrat moosa As, hazrat Muhammad pbuh....
issi tarah "Ahmed Raza Khan" sb ko double-protocol denay k liyeh onkay naam say qabal "A'ala Hazrat" likha aur bola jata hai.......... mera sawaal apni jagah bar qaraar hai k kia ambeyaa k liyeh single protocol sirf "hazrat" aur "Ahmed Raza Khan" k liyeh double protocol yaani A'ala hazrat ....
mujhay yeh bhi maloom hai k iss "a'la hazrat" ki wajah tasmia yeh hai k onkay maslak k deger tamaam "buzurgouN" ko "hazrat" kahaa jataa hai aur onhaiN onmaiN mumtaaz rakhnay k liyeh "aala hazrat"........... magar chouNkay onkay yeh protocol, ambeyaa AS k protocol say takrataa hai, balkay 'double' hojata hai aur amalan iss say ambeyaa AS ki izzat main kami aati hai lehazaa aisay protocol use karnay walouN ko iss say ehteyaat hi karna chhaiyeh. |