Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum


  Sanitary Pads
Tampons Or Pads?
Dermoid Cysts Facts
Dermoid Cysts - the Facts
Get Rid of Dermoid Cyst
Dermoid Cyst - Prevention Tips and Treatment Methods
Kidney Stones Signs
Knowing The Signs Of Kidney Stones
 
     
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
Best Articles
    Start New Topic  My Profile
 

Namaz(Prayer): App (s.a.a.w)K Naam-e-Nami Ki Nida Kiye Bghair Namaz Kamil Nahi Hoti...!!

Religion and Culture  >>  Religious Information
Tips for Attracting Women
10 Extremely Effective Tips for Attracting Women
Techniques To Attract Women
6 Powerful Techniques That Really Attract Women
Your Attitude and Outlook
How To Attract Girls Just By Your Attitude and Outlook
Best Tips
Tips for Attracting Girls
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 84  Post: 1924  Age:  
Posted on:21st Mar 2010, 2:10am
 

Namaz(Prayer): App (s.a.a.w)K Naam-e-Nami Ki Nida Kiye Bghair Namaz Kamil Nahi Hoti...!!

Aala Hazrat Imam-e-Ahlesunnat Mujad-deede-deeno Mellat Walie Barkat Molana Shah Imam Ahmed Raza Khan (Rehmatulla Alahe) ne muslamanoo ke rehnumai karte hue 1 bahut he hassen baat ke taraf hamare tawajja delai esse dil ke ankho se parhee. 

فائدہ : حضور سید عالم صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم کو نداء کرنے کے عمدہ دلائل سے " التحیات" ہے جسے ہر نمازی ہر نماز کی دو رکعت پر پڑھتا ہے اوراپنے نبی کریم علیہ افضل الصلوۃ والتسلیم سے عرض کرتا ہےالسلام علیک ایہاالنبی و رحمۃ اﷲ وبرکاتہ سلامحضور پر اے نبی اور اﷲ کی رحمت اور اس کی برکتیں۔

اگر ندا معاذ اﷲ شرک ہے، تو یہ عجب شرک ہے کہ عین نماز میں شریک و داخل ہے۔ولاحول ولاقوۃ الا باﷲ العلی العظیم ۔

اور یہ جاہلانہ خیال محض باطل کہ التحیات زمانہ اقدس سے ویسے ہی چلی آتی ہے تو مقصود ان لفظوں کی ادا ہے نہ کہ نبی کریم صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم کی نداء حاشا وکلا شریعتِ مطہرہ نے نماز میں کوئی ایسا ذکر نیں رکھا ہے جس میں صرف زبان سے لفظ نکالے جائیں اور معنی مراد نہ ہوں، نہیں نہیں بلکہ قطعاً یہی درکار ہے ۔التحیاتُ ﷲ والصلواتسے حمدِ الہٰی کا قصد رکھے اورالسلام علیک ایھاالنبی و رحمۃ اﷲ وبرکاتہ، سے یہ ارادہ کرے کہ اس وقت میں اپنے نبی صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم کو سلام کرتا اور حضور سے بالقصد عرض کررہا ہوں کہ سلام حضور اے نبی اور اللہ کی رحمت اور اس کی برکتیں۔

فتاوائے عالمگیری میں شرح قدوری سے ہے : لایّدَّ من ان یقصد بالفاظ التشہد معا نیہا التی وضعت لہا من عندہ کانہ یُحیِّ اﷲ تعالٰی ویسلم علی النبی صلی اللہ تعالٰی علی وسلم وعلٰی نفسہ وعلٰی اولیاء اﷲ تعالٰی ۱ ؎۔تشہد کے الفاظ سے ان معانی کا قصد کرنا ضروری ہے جن کے لیے ان الفاظ کو وضع کیا گیا ہے اور جو نمازی کی طرف سے مقصود ہوں ہوں۔ گویا کہ نماز ی اﷲ تعالٰی کی بارگاہ میں نذرانہ عبادت پیش کررہا ہے، اور نبی کریم صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم پر، خود اپنی ذات پر اور اولیاء اﷲ پر سلام بھیج رہا ہے۔(ت)

( ۱ ؎الفتاوٰی الھندیۃ کتاب الصلوۃ الفصل الثانی نورانی کتب خانہ پشاور ۱ /۷۲)

تنویر الابصار اور اس کی شرح دُرمختار میں ہے : (ویقصدبالفاظ التشہد) معانیہا مرادۃ لہ علٰی وجہ (الانشاء) کانہ یحیّ اﷲ تعالٰی ویسلم علٰی نبیہ و علٰی نفسہ واولیائہ (لاالاخبار) عن ذلک ذکرہ، فی المجتبٰی ۲ ؎۔

الفاظِ تشہد سے اُن کے معانی مقصودہ کابطور انشآء قصد کرے ، گویا کہ وہ اﷲ تعالٰی کی بارگاہ میں اظہارِ بندگی کررہا ہے اور اس کے نبی صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم، خود اپنی ذات اور اولیاء اﷲ پر سلام بھیج رہا ہے، ان الفاظ سے حکایت و خبر کا قصد نہ کرے اس کو مجتبی میں ذکر کیا ہے۔(ت)

( ۲ ؎الدرالمختار شرح تنویر الابصار کتاب الصلوۃ باب صفۃ الصلوۃ مطبع مجتبائی دہلی ۱ /۷۷ )

علامہ حسن شرنبلالی مراقی الفلاح شرح نور الایضاح میں فرماتے ہیں :یقصد معانیہ ، مرادۃً لہ، علٰی اَنَّہ، یُنْشِئُھَا تَحِیَّۃً وَسَلَاماً مِنْہ ۱ ؎۔قصد کرے معنی مقصودہ کا بایں طور کہ نمازی اپنی طرف سے تحیّہ اور سلام پیش کررہا ہے۔ت)

( ۱ ؎مراقی الفلاح علی ھامش حاشیۃ الطحطاوی کتاب الصلوۃ نور محمد کارخانہ تجارت کتب کراچی ص۱۵۵)

اسی طرح بہت علماء نے تصریح فرمائی۔ اس پر بعض سفہائے منکرین یہ عذر گھڑتے ہیں کہ صلوۃ وسلام پہنچانے پر ملائکہ مقرر ہیں تو ان میں ندا ء جائز اور ان کے ماوراء میں ناجائز ، حالانکہ یہ سخت جہالت بے مزہ ہے قطع نظر بہت اعتراضوں سے جو اس پر وارد ہوتے ہیں ان ہوشمندوں نے اتنا بھی نہ دیکھا کہ صرف درود و سلام ہی نہیں بلکہ اُمت کے تمام اقوال و افعال و اعمال روزانہ دو قت سرکار عرش وقار حضور سیدالابرار صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم میں عرض کیے جاتے ہیں۔ احادیث کثیرہ میں تصریح ہے کہ مطلقاً اعمالِ حسنہ و سیّہ سب حضور اقدس صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم کی بارگاہ میں پیش ہوتے ہیں، اور یونہی تمام انبیائے کرام علیہم الصلوۃ والسلام اور والدین و اعزاء و اقارب سب پر عرضِ اعمال ہوتی ہے۔ رسالہ"سلطنۃ المصطفٰی فی ملکوت کل الورٰی "میں وہ سب حدیثیں جمع کیں ، یہاں اسی قدر بس ہے کہ امام اجل عبداﷲ بن مبارک رحمۃ اﷲ تعالٰی علیہ حضرت سعید بن المسیب رضی اللہ تعالٰی عنہما سے راوی :لیس من یومٍ الاوتعرض علی النبی صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم اعمال اُمّتہ غدوۃ وعشیاّ فیعرفھم بسیماھم واعمالھم ۲ ؎۔یعنی کوئی دن ایسا نہیں جس میں سیّد عالم صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم پر اعمالِ اُمت ہر صبح و شام پیش نہ کیے جاتے ہوں، تو حضور کا اپنے امتیوں کو پہچاننا ان کی علامت اور ان کے اعمال دونوں وجہ سے ہے۔( صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم وعلٰی آلہ وصحبہ وشرف وکرم)۔

( ۲ ؎المواھب اللدنیہ بحوالہ ابن المبارک عن سعید ابن مسیب المقصد الرابع الفصل الثانی بیروت ۲ /۶۹۷ )

فقیر غفراﷲ تعالٰی لہ، بتوفیق اﷲ عزوجلاس مسئلے میں ایک کتاب مبسوط لکھ سکتا ہے مگر منصف کے لیے اسی قدر دانی ، اور خدا ہدایت دے تو ایک حرف کافی۔

اکفنا شرالمضلین یا کافی وصلّ علٰی سیّدنا ومولٰینا محمدن الشافی واٰلہ وصحبہ حُماۃِ الدین الصافی اٰمین والحمد ﷲ رب العالمین ۔اے کفایت فرمانے والے ! ہماری طرف سے گمراہ کرنے والوں کے شرکا دفاع فرما۔ ہمارے آقا و مولٰی محمد مصطفٰی پر درود نازل فرما۔ جو شفاء عطا فرمانے والے ہیں اور آپ کے آلِ و اصحاب پر جو دین صافی کے حمایتی ہیں آمینوالحمدﷲ رب العالمین o

 

waseem08 Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 20  Post: 1323  Age: 28 
Posted on:21st Mar 2010, 12:11pm
 

a very very nice sharing

.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 72  Post: 2443  Age:  
Posted on:21st Mar 2010, 3:59pm
 

Aalaa Hazrat ???

tamaam ambeyaa karaam AS including "Mhammad sallallaho alihay wasallam" k naamay naami say qabal ehtaraaman "HAZRAT" lagaya jata hai ...

jaisay ... hazrat Adam AS, Hazrat moosa AS, hazrat EESa AS, Hazrat Muhammad PBUH .....

magar "imaamay ahlay sunnat" ka izzat o ehteraam in ambeyaa AS aur khatamun Nabiyyeen SAW say bhi  (nauzobillah) "zeyadah" kia jata hai aur inhaiN "AAla Hazrat" kaha jata hai...

moqaamay fikariya hai.... fikar karnay aur sochnay samajhnay ki salahiyyat rakhnay waloun k liyeh...

etni nah baRhaa paakiye damaaN ki hekayat .... daaman ko zara dekha zara banday qabaa dekh.....

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 84  Post: 1924  Age:  
Posted on:21st Mar 2010, 9:42pm
 

Myrizve

edit

 

jes chezz k leye topic start kya gaya uss per jab lajawab hogaye tu baat badalne ke zaroorat nahi mun latqai thread se bahar chale jai ya apne gumrah aqaid ko khatam karee.

hum kes ko ketna darja dete hai yeh app ko kya samaj aigaa jab app ne Asraf Ali thanvi jese kafir jes per haram ke ulama ne bhi kufar ka fatwa de deya esse kafir ko wali kehte hai tu esse shaks ke aqal mein Imam-e-Ahlesunnat ke shan kya samaj aigee aur wali kabhi sahaba ke darje tak nahi pohoch sakta na sahaba nabi k darje tak pohoch sakta hai edit

 



Moderator Note:No posts that attack, insult, \"flame\", or abuse members or guests.\"Flaming\" and insults, however, will not be tolerated.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 72  Post: 2443  Age:  
Posted on:22nd Mar 2010, 8:15am
 

marouN GhuTna phooTay aankh

yeh aik mohawrah hai...agar iska matlab nahi maloom to kissi say pooch laiN:)

maiN nay to sirf yeh nishandahi ki hai k....

1) tamaam ambeyaa aur rahmatul lil aalameen saw to haiN ... (sirf) HAZRAT

2) aur apkay imaam haiN ... Aala HAZRAT

naatqah sar bah garebaaN hai, issay kia kahiyeh :)

faraq saaf zaahir hai... kis ko kis par fauqiat dee jarahi hai (nauzo billah)

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 84  Post: 1924  Age:  
Posted on:23rd Mar 2010, 10:02am
 

forum k rules ke khelaaf warzee maat kareee

wah kya tareeqa ata hai baat ko ghoomane ka !!!

jes maqsad k leye thread start ke gaye wo darhee ke darhee reh gaye aur uss taraf se tawajja hatane k leye 1 naye behes shurur kardee

yeh hazrat aur ala hazrat k leye start nahi ke gaye esse fuzool behes k leye kese aur thread ka rukh kejea waha per ashraf ali thanvi ke poore zindage ko khool kar samne rakha jai gaa taake sab ko pata chale kes ke kya haqeeqat hai

yaha per Ya Rasool Allah kehne ke daleel hai naa k ala harzrat aur hazrat ke daleel hai jes topic per baat ho uss per baat karee...

 

Stalker Group: Members  Joined: 21st Dec, 2009  Topic: 10  Post: 116  Age: 30 
Posted on:23rd Mar 2010, 10:29am
 

Paroot

Rizvi bhai sahi keh rahey hein k aap ko in hazraat k sath "Aala" nahi likhna chahye , lekin rizvi bhai ko b amrood mein keera dhoondne ke shouqeen hain :) 

Amrood phaink dia aur keera pakar lia :) 
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 39  Post: 2277  Age: 36 
Posted on:23rd Mar 2010, 1:12pm
 

Firqawarana Topics

jub Paroot ki tarf se har topic un k "maslik" ki tableegh ho ga aor us topic main apnay aqeeday ko bayan kartay howay mukhalifeen k liye badmazhab, jahil aor gumrah jaisay alfaaz bakasrat use kiye jayen gay to aisa topic maidan e jang he banay ga. lehaza un k topic main kisi k aanay ya janay se fitna nahi phailta balke un ki language aor un k topics main un k apnay maslik ki tableegh aor eik khas maslik k logon ko ghaleez alfaaz se mukhatib karna he asal fasaad ka sabab hae. Senior members aor admin se request hae k aisay topics ka bhi notice liya jaye.

agar aap tareekh utha k dekh lain meri is baat ki kahin se tasdeeq karwa lain jo language paroot ki hae "Ahmed Raza Khan Barlevi" ki language bhi aisi he thi. un k paas eik register tha jis k har page pe doosray maslik k Ulema k baray main tarah tarah k fatway mojod thay , woh eik maghloob ul ghazab admi thay aor baat kartay howay mukhalif k liye mardood, laeen, jahannumi, kafir, munafiq, murtad jaisay alfaaz aam use kartay thay is liye is main Paroot ka qasoor nahi hae ye rawayet Khan Sahib ne khud dali thi.

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 39  Post: 2277  Age: 36 
Posted on:23rd Mar 2010, 1:31pm
 

members hazraat

khud dekh lain aor bohat achi tarah dekh lain k pehel kon karta hae, myrizvi bhai ko jawab detay howay Paroot sahib likhtay hain"app ne Asraf Ali thanvi jese kafir jes per haram ke ulama ne bhi kufar ka fatwa de deya esse kafir ko wali kehte hai tu esse shaks ke aqal mein Imam-e-Ahlesunnat ke shan kya samaj aigee aur wali kabhi sahaba ke darje tak nahi pohoch sakta na sahaba nabi k darje tak pohoch sakta hai "

leejye sahab aap he faisla keejye k Kafir ka lafz kis ne use kiya hae??? topic maidan e jang kis ki waja se banta hae aor har roz yahan pe firqa warana topics kon le k aata hae woh kahin ka mawad copy kiya yahan pe paste kar diya aor phir shuru ho gay. is ka koi hall hae hae ya nahi ??? ya har roz forum pe Paroot saab yahi kuch karain gay aor admin hazraat tamasha dekhain gay ????

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 39  Post: 2277  Age: 36 
Posted on:23rd Mar 2010, 1:46pm
 

is forum ki bhalaiee ki khatir

aor is forum ki sakh ki khatir aor is forum ki baqa ki khatir agar paroot ki "Tableeghi Sargarmyan" rok di jayen to ye forum k liye bhi behter ho ga aor forum members k liye bhi behter ho ga. koi Suuni, koi Shia, koi Qadiyani, is forum ko apnay maslik/firqay/mazhab ki tableegh k liye use nahi kar raha sawaye Paroot k. rozana kahin na kahin firqawarana mawad copy kar k yahan pe paste kar diya jata hae aor us k baad aglay reply main doosron k Ulema aor ekhtalaf rakhnay walay members ki maa behen eik kar di jati hae. hum badmazhab sahi, hum gumrah, hum Islam k dushman sahi laikin koi member is "sachay muslman se hath jorr k request karay k Paroot saab is forum pe rehem karo. ye kaam apnay gali muhallay main subah sham karo laikin khuda ra forum ko muaf rakho.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 72  Post: 2443  Age:  
Posted on:23rd Mar 2010, 2:10pm
 

stalker, amrood aur keeRa :)

alhamdolillah apnay meri nishandahi par amrood maiN keeRay ko "nigalnay" say inkaar kardia.... meraa "kaam" hi yehi hai k jiss fruit maiN jahaaN kaheeN "keeRa" nazar aa.ay oski nishandahi kardouN.... it's up to readers k woh nishandahi k bawajood fruit keeRay samait nigal letay haiN yaa keeray ko alag kar kay phaink detay haiN....... ab myrizvi khud kia amal karta hai... oska woh khud zimmah daar hai... khaah woh keeray ki nishandahi k bawajood keeRa pakaR kar amrood phaink dey ya baaz logouN ko (kam nigaahi k baaes) aisaa nazar aa.ay lol
Bewaqoof Group: Members  Joined: 15th May, 2007  Topic: 279  Post: 3698  Age: 38 
Posted on:23rd Mar 2010, 2:45pm
 

mazhab tableegh aur tanqeed

re: "jes maqsad k leye thread start ke gaye wo darhee ke darhee reh gaye "

Paroot: aap ke maqasid sab hi samajhte hai ........ forum per mazhabi nafrat aur inteshar phailana.

re: "koi Suuni, koi Shia, koi Qadiyani, is forum ko apnay maslik/firqay/mazhab ki tableegh k liye use nahi kar raha sawaye Paroot k"

iss forum ke zaria apne mazhab maslak ke tableegh ki ijazat hai, lekin kisi doosre ke mazhab aur maslak per tanqeed ki ijazat nahi.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 72  Post: 2443  Age:  
Posted on:23rd Mar 2010, 2:53pm
 

tanqeed aur mokhaalfat maiN faraq hai

kissi bhi shakhs, nazaryah ya af'aal par tanqeed koi boree cheez nahi bah shartekay tanqeed kartay howay ikhlaaqiyaat ka daman haath say nah choRa jaa.ay aur tanqeed solid bunyaadouN aur dalaail say ki jaa.ay

mokhaalfat baraa.ay mokhaalfat, yaa kissi fard /nazray ko mahaz bora bhala kahna, laanat malaamat karna, taana o tashna dena, gaaliyaaN denaa... yeh sab islam maiN bhi mana hai... hatta k mustanad baatil deen /kufr k alambardaarouN /jhootay maaboodouN ko bhi bora bhala kahnay say mana kia gaya hai...

bahas o tanqeed ki jasakti hai, magar above osooloun par... mahaz mokhalfat baraa.ay mokhalfat yaa tabarra baazi ki gharz say nahi

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 84  Post: 1924  Age:  
Posted on:23rd Mar 2010, 3:06pm
 

ch baber

ab tu app k bardash k bahar ho gaya k app ka maslak yaha per roshan nahi ho raha wese bhi jes ke bunyad andheere hai wo kaha se jalee ga.

acha tu app ne brelvi maslak ko dosro per kafir kafir kehte suna tu sunee janab

apne ashraf ali thanvi k kitaab tu parhe jes ka naam hai Beheste Zewaar jes mein unhoo ne qadam qadam per loogo ko kafir aur mushrik kaha hai...

dulhe ko sehera pehnanana bhi shirk hai

lejea khud k geereban mein kufur k palande bethe hai aur dosro per chale hai ilzam lagana

yeh hai asal haqeeqat aur sunee ge tu phele ke tarha forum se gayeb ho jaingee app ajj k leye etna he kafi hai

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 39  Post: 2277  Age: 36 
Posted on:23rd Mar 2010, 3:10pm
 

kuch to behtri aaie hae

Paroot ne meri request maan k abb mujay meri ID se mukhatib karna shuru kar diya hae main is pe un ka shuker guzar hon, baqi muamlat bhi aahista aahista theek ho jayen gay aor un ki language theek ho jaye gi insha Allah. bohat jald un ko ihsas ho jaye ga k doosron k baray main is tarah ki zuban use karna Islam ki taleemat k khilaf hae aor aisa kar k woh  Deen islam ki koi khidmat nahi kar rahay hain.
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 84  Post: 1924  Age:  
Posted on:23rd Mar 2010, 3:42pm
 

ch baber

app ne 1 buhutan lagaya mujhe per bager kese saboot k app ne 1 juth banda hai aur app ke taleemat ne app ko essa karne ke ijazat dee hai ess se pata chal jata hai k app kese shaksiyat k maalek hai na he mere pass esse koi id hai jo app samaj rahe hai aur main ese id se online hota ho wese app ko safai dene k leye main ess behes mein nahi parta q k app ka maqsad 1 he hai mere saree thread k topics ko divert karna taake koi member kuch samaj na pai app ke mehekte post ke roshni mein
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 39  Post: 2277  Age: 36 
Posted on:24th Mar 2010, 8:40am
 

Paroot

oh bhai kya ho gaya hae aap ko ???? is se pehlay aap har reply main mujay kabhi kisi ka "jaanisheen", kabhi Baray Ch saab" kabhi "aalimoon k aalim" aor kabhi kisi aor name se mukhatib kartay thay jub k kal main ne dekha k aap har reply main mujay meri ID "Ch Babar" keh k he mukhatib kar rahay hain jis pe main aap ka shukria adaa kiya tha. kyun k Islam ki taleemat yahi ha ek kisi ko aisay name s na pukaro jo usay pasand na ho. aap ki koi aor ID hae ya nahi is pe to main ne siray se baat he nahi ki.
Stalker Group: Members  Joined: 21st Dec, 2009  Topic: 10  Post: 116  Age: 30 
Posted on:24th Mar 2010, 11:13pm
 

Amrood aur mein , Rizvi bhai aur keera :)

Mazhab iss hadd tak afat zada ho gya hai k ham uss mein keera dhoondtey hein , asal mein ham sirf keeron ki nishandahi takk hee mehdood reh gaye hein , Kyun k hamein amrood without keera hazam nahi hota , aur naa hee ham usse hazam karne k aadi hain ,

kyun k hamein Khalis amrood (Islaam e naab/Khalis Islam) se koi wasta nahi , hamein tou keerey se wasta hai :) Agar koi amrood keerey wala hota b hai tou amrood ki bajaye tawajjo ka markaz phir keera hee hota hai ....

Rizvi bhai bhi keerey ko pakar kar uss se khail rahey hein amrood phenk dia hai , agar amrood se koi sarokar hota tou amrood ko pakartey , aap ne pakra hee keerey ko hai :)

Rahi baat kam nigahi / kam binaai ki , mein tou kam nigah ho gya , issi liye tou aap jese "Jahan Been" aur "keera been" ki zarurat parti hai muje (lol)

kyun k aap "keera beeni" mein khoob maahir hein :)

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 72  Post: 2443  Age:  
Posted on:24th Mar 2010, 2:11pm
 

stalker bhai

apkay baat karnay ka andaaz pasand ayaa... osoolan apki baat durust hai k 'kull' (amrood) ko choR kar 'juz' (keeRay) ko pakaR lena koi daanishmandi nahi.

bhai khush raho aur issi tarah halkay phulkay andaaz maiN baat cheet kartay raho. ikhtelaafay roy ko sar ka dard nah banaanaa hi aqalmandi hai. kaash deger log bhi ap say yeh aqalmandi seekh sakaiN :)

AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 17  Post: 188  Age: 33 
Posted on:24th Mar 2010, 10:05pm
 

Aala Hazrat Ahmed Raza Khan Oar Abu Aala Molana Moododi r.a

Ahmed Raza Khan Bralvi Rehmat ullah alleh kay sath "Aala Hazrat" Q likha jaata hai.....

Ager cheh iss baat ka iss thread say kohee tauloq naheen jaisa keh Stalker Bhai nay kaha magar meray bohat hee fazil dost "my rizvi"ki batoon kay jawabat abhi tashna e lab zaroor hain.

Ahmed Raza Khan Bralvi r.a ka sara khandan aik mazhabi oar roohani khandan kay toar per jana jatta tha oar janna jaata hai loaq iss khandan say baintaha peyyar kertay khandan kay loaqoon ko naam say pukarnay kay bajai "Hazrat sahib"hee kehtay yea oan ki aqqedat thi....  itnay saaray hazratoon mein Ahmed Raza khan Bralvi ko aik alaq pehchan dainay kay lihai woo oan k lihai aala Hazrat la lafz lagatay takeh samjhnay mein aasani ho......
Iss say yea morrad laina keh oan kay aqeedatmand oan ko Ambia a.s bashmoosl Hazoor saww say bhee barah ker mantay hain ....intahee jahalat oar kum ilmi hai.


Yea mahamlah kuch yoon bhee hai keh Molana Moddodi r.a kay naam kay sath "abu aala" yehni aala ka baap.. likha jaata hai abb agar kohee kum ilm iss say yea morrad lai keh aala zaat tou sirf Allah ki hai tou kia abu aalah ...allah ka baap...nahoozbillah  .........

Ilfaz ko torna oan ko apnay mahani day ker mazhabi monafarat pailana ajj kohee nai baat nahee issi bina per humara yea hall hai keh humara dushman islam ki jar ko katnay mein laqa hain oar hum apni apni shakhoon ka diffah karnay oan ko mazboot kernay mein laqay hohay hain...magar jab jar hi naheen hogi...tou shakh khaw kitni hi mazboot q n hoo woo fana hojati hai.....

app ka dost

1 2 3  >>
Sexy High Heel
Diamante Shoes – Women’s Sexy High Heel Diamante Party Shoes
Sexy Costumes
Sexy Costumes have become the Norm
Best Sexy Costumes
The Best Sexy Costumes to Try For Every Occasion
Enhance Your Sexy Curves
Sexy Bra Sets to Enhance Your Sexy Curves
 
Deal With Vaginal Discharge
How to Deal With Vaginal Discharge - Myths and Facts
Menstrual Flooding
Dealing With Menstrual Flooding
Premenstrual Syndrome
Symptoms of Premenstrual Syndrome
Treat Premenstrual Syndrome
How to Treat Premenstrual Syndrome - Your Search Ends Here

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us