Re: Post Partum Bleeding - Duration & Islamic Ruling Regarding Ritual Ablution: 1)Maximum duration nifaas(post partum bleeding) ki 40days ha jis kay baad gusul faraz ho jata ha salah offer karney k leye aur doosri obligations k leye
2)agar 40day k baad menses ka time ha aur bleeding hoti ha to ye menstrual bleed consider hogi aur phir menses k khatam honey par gusul faraz ha
3)agar 40day say zaydah bleeding ha aur menses ka time bhi nahe to ye nifaas nahe ha bulkeh istihaadah(bleeding other than menses) ha jaisey kisi medical reason say bleeding ho rahe ha. Ismeh gusul pehley kar k phir tamam religious duties poora karna haiN. Maximum cleanliness rakh kar aur wudu k sath namaz paRhna ha. Aur ilaj wagairah bhi karwaiN . ismeh prolonged bleeding due to any cause aur irregular spotting bhi ati hai.
4) minimum limit koi nahe ha. Jub bhi yaqeen ho k khatam ho gai ha bleeding ritual ablution (gusul) kar laina chhaiye . 40day say pehle hee chhaiye ho khatam bleeding gusul wajib ho jata ha.
5)agar kisi aurat ko child birth k baad bilkul bleeding nah ho to bhi gusul faraz ha aur gusul k baad religious duties etc karaiN without any delay.
jahaaN tak post partum bleed ya nifaas ka taluq ha after abortion keh kub yeh nifaas hoga aur kub nahe hoga to to jis pregnancy ki stage peh fetus ki human mumasalat waley feature jaisey head aur limbs ya a'azoh bun jaa.ay aur abortion ho to bleeding ooskey baad jo ho woh nifas ha. Agar itna early abortion ha k woh sirf gosht ka lump (lothRa) nazar aye to woh nifaas nahe ha sirf bleeding ha yani istihaadah aur gusul aur wudu k baad namaz b faraz ha except k menses k days houN
Most nifaas(bleeding after abortion/child birth) consider honey k leye minimum 80day ki pregnancy hoona consider kartey haiN aur iss say kum muddat ko istihaadah key zaman maiN laitey haiN .... Agar iss say pehley(80day say pehley) hee abortion ho aur fetus ko daikhaiN as human form to bhi nifaas hee consider karaiN kunkeh at times duration pregnancy ki sahe maloom naheiN hoti females ko. . . albatah sirf gosht ka lump lagey to nifaas nahe ha bulkey istahaadah ha so gusul aur wudu kar keh namaz paRhna bhi lazmi ha .
Agar 3month abortion huwa to ooski bleeding nifaas maiN he ati ha . abb exact days to pata naheiN aur waisay hi 1week plus minus duration hota ha. Else,ye k apko / aapki wife ko fetus dakhaya ho.
|