|
cokoo |
Group: Members
Joined: 19th Apr, 2007
Topic: 41
Post: 85
Age: 24
|
|
Posted on:24th Aug 2007, 7:59am |
|
|
Selection Of Life Patrner: Does Beauty Matter? Salam to all. i m silent member of this forum from last 5 months. I think form is like a family and members r like family members, ihave a serious problum i know this forum is for sex problum but my problum is not sexual plz help me.
I m in love with my cousin(my uncle's daughter) we love each other so much, but when i talked 2 my parents they didn't accept her they said she is not so beautifulbut i think love doesn't require these types of exams. i told my parents that we will not live happy without each other. i just want 2 say plz help me 2 solve this problum. that my parents accept her. i'll be very thank full 2 u all brothers and sisters. thanx |
AK-47 |
Group: Members
Joined: 10th Aug, 2007
Topic: 1
Post: 140
Age: 26
|
|
Posted on:24th Aug 2007, 10:36am |
|
|
hmm yaar first of all find the causes kay tumharay parents ya uss kay parents kis cheez ko reason bana kay inkaar kar rahay hain
being beautiful or not is not a strong reason is smai tum kah saktay ho parents say kay zoarori naih n haseen larkian acchi bhi hon apni seerat mai.. yahi aik soloutin hai kayt ap apnay parents ko convince karain kat khoobssorti dies not mean good habbits.. waisay bhi boorhay ho kay sab aik jaisay ho jatay hain tab to sirf seerat he kaam ati hai kay ap ka partner kitna caring or loving hai
take care and hope u will coe over ur problem :) |
sunehri76 |
Group: Members
Joined: 04th Aug, 2007
Topic: 86
Post: 4712
Age: 34
|
|
Posted on:24th Aug 2007, 10:24pm |
|
|
ak
I agree with youuuuu........kamaal nahi ho gaya?? |
My Reply |
Group: Experts
Joined: 25th May, 2007
Topic: 6
Post: 2107
Age: 33
|
|
Posted on:24th Aug 2007, 10:41pm |
|
|
waldain ki razamandi ke beghair shadi agar ap ke waldain sirf is liye reject kar rahe hai keh woh beautiful nahi hai tu ghalat kar rahe hai. ho sakta hai keh koi aur wajah bhi ho. larki ke waldain se koi aisi larai/ikhtilafat ho jo woh ap se share nahi karna chahte. ap ko chahia keh ap waldain ko razi karne ki koshish kare. waldain ki razamandi ke khilaf shadi ki ham himayat nahi karte.
|
justSalman |
Group: Members
Joined: 16th Apr, 2007
Topic: 8
Post: 194
Age: 26
|
|
Posted on:25th Aug 2007, 6:59pm |
|
|
Re :cokoo First of all thank for thinking us all members like ur family members both AK-47 and Dr.My Reply had given you a very nice segesstion follow them also
yeh be hoo sakta hai ke aap ke waldein aur app ke uncle ki family me koi crisis hoon lakin agar nahi hain tu apna waldeein ki jaga per be soochein may be woh soochta hoon ke aap ki jawani ka josh hai aur aap kobsurati ki taraf dayaan deya bagair yeh faisala kar rahein hain yeh zahen mein rahen ke waledein kabi be galat nahi hota woh hamesha hamera faida hi cahta hain aur hamara nahi chahain ge tu phir kis ka chahein ga is liya aap ko muswara hai ke waledein se mukamal tar par discusstion karien aur khud be soochein ke is ke bssd back up nahi hai aur phir faisala karien
Sab se acha yeh hai keh istakara karen aur phir pehle sirf walid se phir walda se aur akir mein doono se discusstion karen insallah oh zaroor razi hoo jaen gaya aur agar kisi wajah se nahi hota to aap kurban dein is ka is ka aap ko bahut ajar mila ga...
kahi sunni maaf karna Thanks.................... |
Snowflakes |
Group: Members
Joined: 01st Aug, 2007
Topic: 7
Post: 114
Age: 26
|
|
Posted on:25th Aug 2007, 9:59pm |
|
|
Re: Cokoo Aslam o alikum!!
Tamam members ne jo suggestions di hein bohat achi hein.
Lakin ap ye bataen k kia ap ki cousin k parents is rishtay per razi hain?? Kia un k knowledge mein ye baat hai k ap donon shadi karna chahtay hein? Aur kia wo girl bhi abhi student hai jesay k aap hein?
Agar to us girl k parents bhi agree nahi hein to is ka to yehi matlab ho skta hai k aap donon k parents k darmiyan kuch clashes hon gey Jo k ap k ilm mein nahi hain. Relatives mein esa ho jaya karta hai. Ap pehlay saheeh reason maloom karnay ki koshish karen because ye kuch valid reason nahi lagta k ap k parents sirf khoobsurati ko waja bana kar inkar kar rhay hien. Maybe wo apko taal rhay hein aur apko asal reason nahi bata rhay hon.
Wesay ziada behtar to yehi hai k ap pehlay apni education complete kar leen because jab ap independent ho jaen gey to ap ziada behtar way mein maumaly ko handle kar sakeen gey aur apnay parents se openly baat kar sakeen gey aur un ka point of view bhi samjh sakeen gey aur apni baat bhi achi tarah convey kar sken gey.
Laikin in sab baaton k bawajood apko yehi mashwara hai jo k other members ne bhi diya k parents ki marzi k baghair kuch na karen. Jis kaam mein parents ki khushi shamil ho sakoon ussi mein milta hai. Because uss surat mein parents ki duaen ap k sath hoti hain. Aur parents naraz hon to Allah bhi us person se razi nahi hota. Iss lyay jo bhi karen apnay parents ki razamandi ko shamil-e-haal rakh kar karen.
Aur haan istikhara ka mashwara apko Just salman ne diya is per zaroor amal karen . Yeh Allah ki razamandi maloom karnay ka aik way hota hai. Aur agar istikhara mein kuch nazar na bhi aye ya clear kuch bhi pata na chalay to us ka aik faida yeh bhi hota hai k agar to (jis kaam k liyay ap ne istikhara kiya hai )wo ap k haq mein acha hai to us k liyay Allah taala rasta bana deta hai aur agar wo kaam ap k haq mein acha na ho to ap ka dil us kaam se ahista ahista hat jata hai.
Wish you good luck.
Regards. |
eagle fly |
Group: Members
Joined: 10th Jun, 2008
Topic: 70
Post: 1712
Age: 20
|
|
Posted on:16th Apr 2010, 2:22am |
|
|
Selection Of Life Partner: Does Beauty Matter? Selection Of Life Partner: Does Beauty Matter? |
sunehri76 |
Group: Members
Joined: 04th Aug, 2007
Topic: 86
Post: 4712
Age: 34
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 2:57am |
|
|
hmm for some peaple yes for some it doesnt... |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2513
Age:
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 8:10am |
|
|
aik lateefah aik haqeeqat teacher (to gals): aakhir aplog apni zehanat aur personality ko improve karnay ki bajaa.ay apni beauty ko improve karnay ko tarjeeh kiyouN deti haiN
gals: sir baat yeh hai k laRkouN ko hamari beauty to nazar aajaati hai lekin onhaiN hamari zehanat /skill nazar nahi aati... market maiN jiss cheez ki demand hogi, hum ossi taraf zeyadah tawajjah dengay naa :) |
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 29
Post: 4680
Age:
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 8:25am |
|
|
does beauty matter? its true k larkiyon k hawalay se khobsurti ko madd e nazar rakha jata hae rishtay k waqt aur mard ki education aur us k ohday ko.lekin beharhaal mohabbat in tamam baton se balatar hoti hae. kehtay hai naNA dekh kisi cehray ko haqarat ki nazar se Har chehra kisi na kisi ka meboob hota hae :) lekin ai haqeeqat yeh bhi hae k agar ghar main biwi khobsurat ho tou phir bahir koi bhi aap ki nazar main nahi jachta . lekin har aik ki khobsurti ka mayaar bhi mukhtalif hota hae . |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2513
Age:
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 9:05am |
|
|
khoobsoorti to dekhnay walay ki aankh main hoti hai... jaisay majnouN nay kahaa thaa (asal poet say maazrat k saath):
lokki kainday teri lailah rung dee kaali + main kendaa lokkan ki akh naii wekhan wali :)
|
Seemi |
Group: Members
Joined: 11th Sep, 2007
Topic: 30
Post: 4950
Age: 24
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 10:47am |
|
|
Re: Agree with Maryam baji. Sari baat bahmi pyar or mohabbat ki hia. Shakal soorat ko jo consider kartay hien unhein yeh samajh lena chahiye k shabaab sari umer k liye nahin hia.. Acha kirdaar, khuloos or bahmi humahangi izdawaji zindagi ka sab se bara asaasa hota hai. |
dom_man |
Group: Members
Joined: 13th Mar, 2009
Topic: 53
Post: 1095
Age: 31
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 12:34pm |
|
|
what is beauty? first going into the discussion of the importance of beauty, we have to determine what beauty actually is.Obviously, beauty does matter.as humans we get attracted to to any beautifull thing we come across but the it depends how we describes the beauty. If u r in love with someone than she/he is the most beautifull person for u in this world, on the other hand, if u dont click with a certain person u cannt spend ur whole life with that person no matter how beautifull he or she is.So as the saying goes"beauty lies in the eyes of the beholder".it matters but what u consider beauty.for example, africa mein kaali aurat ko beautifull maana jata hai aur hamaray haan badsoorat.its relative.
Best. |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 154
Post: 4242
Age: 32
|
|
Posted on:23rd Apr 2010, 9:37pm |
|
|
Selection Of Life Patrner: Does Beauty Matter?
meah wife kay leye Shureek-a-huyaat ka lufz use kuron gah jo es relation kay sath soot kurta hy, Shureek-a-huyaat ki slection kay leye jub baat aati hy tu ye do logo ka mohamila hota hy yani jo es rishta uzduwaaj ko Qubool kurny waly hen jub ye dono agree ho jayin or koi shuri ozzur ni ho tu parants ko chaye kay onki pussand ka ehtaraam kurin, lakin agur wo rokh tusweer ka jo on dono ko nuzzur ni aarhaa ya onki naa tujurbaa kari ki waja sy onko sumaj ni aarhi tu parants onko ek dufa sumjahaa sukty hen, lakin koi shuri or esa ozzur ni tu parants ko razi khoshi Qubool kur lena chaie, shureek-a-huyaat ka khobsoorat hona lazmi ni hy ku kay Nikah kay Bhad Allah he hy jo dono kay dilo meah Love ko daal daty hen, onky durmiyaan peiyaar o mohabat paydaa kurty hen, ap Quran ki ye ayat molaahizaa furmayin. Or os ki Nishaniyooo meah say hy ky Tomaari he Jinss say Tumari Beviyaa Paydaa kee taa ky tom on say araam pao. os nay tomary Durmiyaan Mobahat or Humdurdi kayim kur de,Ghor or Fikkur kurny walo ky leye es meh baoot see Nishaaniyaa hen (Quran).
islam es meah kuthun rukawat ni hy lakin agur Ahaadess-a-mobarika ki study ki jay jo mujy abi yaad ni lakin meah osy post kurogah... lurki ka Khandaan acha ho , husub nusub ziyada achi bat hy lakin zurori ni, lurki Khobsorat honi chaiye, lakin zuroi ni, lurki maldaar honi chaiye , lakin zurori ni, lurki virgin honi chaiye lakin zurori ni. ye koch Qualities honi chaiyen lakin en meah sy agur koi ni bhe tu ye koi zurori baat ni hy Nubi pak (ap pay lakho salam) Huzrurat Khodeeja Ruzi Allah Tahallah hun-a ko pussund keya taah jo kay bewaah theyn, or onki age bhe onsy 15 saal ziyada thi , lakin wo ek achi family say thien , pak damun thi, or maldaar thien,
Shadi ky kamyaab or nakaam hony meah Beauty ka koi ammul dukhul ni hotaa , baot khoob-sorut women ko divorce ho jati hy, ya yeh keah layin ka shadi ni chul paati , halaa kay bot khobsorat hoti hen, lakin baot kum khobsoorat women ki shadiyaan ziyada kamyaab rehti hen, kubi koi Husband wife ko kum he es wajaa sy divorce kurta hy kay wife khoob-sorat ni ,
Doniyaa meah esy cupple bhe apny dakhy hongy jinko jub ap daykhin tu on meah apko zumeen asmaan ka furk nuzar ay gah ek wife bot khobsorat hogi lakin husband khobsarat ni or some time wife etni khobsorat ni jitna husband khobsorat hota hy, or West meah go-roo nay black women say shadiyaan ki hoi hen lakin onki shadi kamyaabi say chul rahi hoti hy,
so meah ni sumajta Beauty ka koi amul dukhul hona chaaiye, Agur dono zehni tor pur Tiyaar hen, ek dosry say shadi kurna chahaaty hen tu parants ko onki pussund ka ehtaraam kurna chaiye.
Khobsorti shadi say phaly dakhi jati hy , lakin shadi kay bahd khobsorti ni dakhi jati oska kam , oska Ray-hen , saay-hen, Tureeka , suleeka , baat , gofto-ghoo dakhi jati hey, osko ek shureek-a-huyaat kay tor pay dakhaa jana pussund keya jata hy,
agur insan dil say khobsorat ni oski inner beauty koch ni or wo Jismani tor pay bahot khobsorat hy eska koi faayeda ni hy,Jismani khobsorti wukti attraction hoti hy lakin inner beauty ever green hoti hy,
|
hasna |
Group: Members
Joined: 25th Apr, 2009
Topic: 38
Post: 890
Age: 24
|
|
Posted on:27th Apr 2010, 1:01pm |
|
|
beauty.........:) me dr qasim k reply se 100% agree hu.hmari society me larki ka hoobsurat hona ziada ahm samjha jata hai jbky larkay jaise b unka kaam karobar hi daikha jata chahy wo kale ho ganjay ho ya daant lmbay ho koi frq nhi perta hai............. agr yehi hasosiyat larki me hoto unko thukra dia jata hai.............laikn larki me wo tamam gun nhi daikhy jate he jo k usme posheeda hoty he. jha tk baat hai k wife hoobsurat nhi hoto shohar bahar jhankne lgty he ye bat ghalt hai kai shohar aise hoty he jinki wife hoobsurat hoti hai laikin wo dosri aurto me intrust laite he................. iski waja ye hai k unko hoobsurat wife se pyar nhi milta hai kuch aurte hoobsurat hoti he laikin unka dil pyar krne wala nhi hota apne ilawa baqi sab unko badsurat lgta hai aur isi ahan me wo apne shohar ghar baar per twaja daina chor daiti he.............. isliye me is baat se agree nhi krti k aurat ka hoobsurat hona mard ki hush qismti hai shohar ki hush naseebi isme hai k uski wife pyar krne wali ho ghr ko ghr samjhne wali...................hr shohar apni wife k naaz nakhre uthata hai chahy wo hoobsurat ho ya nhi isliye agr parents hoobsurt na hone ki waja se kisi ki beti ko thukrate gy to ye achi baat nhi hai koi inki beti ko b thukra sakta hai chhy wo kitni hi hoobsurat kio na ho.aur sbse bri baat k jb inka beta razi hai aur hush hai to unko aur kia chhaaye.
|
Azfar-K |
Group: Members
Joined: 02nd Mar, 2009
Topic: 7
Post: 799
Age:
|
|
Posted on:27th Apr 2010, 1:56pm |
|
|
Beauty Beauty har insaan ko attract karti hai...or ajkal larkay sirf larki main uski beauty hi daikhtay hain us ka dil nahi.Waise hi ye baat bhi kehna galat nahi kay ajkal larkian bhi sirf larkon main unka wallet daikhti hain...... Man are lustful and women are materialistic.
|
s4u |
Group: Members
Joined: 13th Aug, 2008
Topic: 68
Post: 6235
Age: 17
|
|
Posted on:14th May 2010, 7:03am |
|
|
cokoo aap ne members k sawalon ka jawab nahi dia.
|
|