Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
a
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Bolton Market Karachi Fire

Politics   >>   War and Terrorism
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:1st Jan 2010, 4:57pm
 

Bolton Market Karachi Fire

10 Moharram ko suicidal bomb blast ke baad kisi ne Bolton Market Karachi mai aag laga di. jis se arbo'n rupee ka nuqsan hua. sawal yeh hai keh yeh aag kis ne aur kio lagaya?

aik baat clear ker doo keh taajir baradri ke mutabiq 40 arab rupee ka nuqsan hua hai, sawal yeh hai keh 40 arab ka kia nuqsan hua hai? kio keh yeh whole sale market thi, aur yaha per beshtar dukandar sirf telephone aur sample ke saath baithe hote the. matlab yeh keh yaha per saaman nahi hota tha, sirf saman ka sample ya sirf one day business ka maal hota tha, saara maal godown mai hota tha jo keh bolton market se door rehta tha.

mera khayal hai keh 40 billion rupee ka saman nahi jala balkeh iss 40 billion rupee mai os shop ki qeemat bhi shaamil hai jo keh jal gayee. ji haa yaha per choti choti shop ki qeemat millions balke karooro mai thi.

agar tajir baradri ko 40 billion rupee mil jaata hai tu phir bhi kia tajir baradri ka nuqsan kehlaye ga, mera khayal hai keh agar tajir baradri ko 40 billion repee mil jaaye tu woh apne mojooda gham ko bhool jaaye ge.

lekin kia aap ko yaqeen hai keh Bolton market ko dobara aabad kia jaaye ga. mera zati khayal hai keh onhai dobara os jagah per aabad nahi kia jaaye ga. kio keh jis jagah ki qeemat 40 arab bata rahe hai woh jagah kharbo rupee ki hai. aur woh jagah ab khali ho gayee hai. iss zamin ki kia importance hai woh aksar logo ko maloom hai ........

sawal yeh hai keh yeh aag kis ne aur kio lagaya?

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:1st Jan 2010, 8:12pm
 

i think

  • pakistan meh bom dhumaky aam c bat ho ghi hy abi ranjers ko chaiye ky jo bhee amun o amaan ki sorat haal ko khurab kury osy goli mar dayin No protest
  • pakistan ky halaat esy ni ky abi yaa koi julsaa juloos road py keya jay so hukomat ko awaami ijtimah py pabundi lugaa dani chaiye
  • jub esi soraat haal ho jay tu nuzum o zubt or kanoon ko haat meh lany walo ko sury aam goli maar dani chaiye
  • Ranjers or police ko full permission ho goli marny ki esi soraat haal meh jo log shur phylaany waly hoon
  • tummam shops ko insurans ka pabund banayaa jay

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7727  Age:  55  
Posted on:2nd Jan 2010, 3:12am
 

zameeni haqaaiq

jo log bolton market k mohallay waqoo say agaah haiN, onhaiN maloom hai k yeh whole sale cum retail sale market thee. aur dokaan k saath saath hi godown bhi thay....... yeh woh unique market thee jahaan jahaaN whole business bhi hota thaa aur whole sale rate par hi retail supply bhi milti thee. aur kifayat sha'aar motawassit tabqay k log yaheeN say shopping kartay thay. matlab yeh k agar mugay aik school bag lena hai to woh bhi (say) 330 rs. ka yahaaN say milega. aur agar mujhay 100 piece school bag lena hai tab bhi issi rate par. yahaan bargain nahi hoti thee. M.A. Jinah road k dounouN sides par choTy choTy shops theen jo whole sale ka liasion office bhi thaa aur retail ki shop bhi. har main shop ki gosown M.A. jinnah road say left n right sides par chand galiyaaN ander theeN. lehaza yeh kahna ghalat hai k yahaaN sirf sample maal thaa. ap kissi sbhi shop say kharay kharay 100/1000 pieces tak buy karsaktay thay. albattah jo dealer yahaaN say containers bhara maal khareed kar andaroonay mulk bheja kartay thay woh in shops par aa kar yaa mahaz phone par deal kartay thay aur inko containers onkay matloobah moqaam tak book karwaalia jata thaa. yahaan 10,000 ki purchasing karnay walay houn yaa 10 lakh ki...sab ko yaksaan sahoolat hasil thee...samaan apnay samnay khareed kar paisay adaa karkay matloobah address day do.... bhijwanay ka kaam onka...akhbari ittelaa k motaabiq sirf aik cigarette lighter dealer ki 60 lakh k lighters ka stock jal kar khaakstar howaa... yahaan maujood maalka andazah woh log lagaa hi nahi saktay jinhouN nay kbahi yahaan whole sale purchasing hi nah ki ho.

aag kiss nay lagayee kiyouN lagayee??? yeh aik alag daastaan hai....... karachi k karobari marakaz main last 20 years say ytawater say aag lag rahi hai... aisa iss say qabl last40 saaloun maiN kabhi nahi howaa??? last20 barsouN maiN achanak kia hogaya k karobari marakaz main :

1. jab bhi aag lagi, bujhayee nah jasaki...bujhanay nahi dee gayee

2.jin marketouN maiN aag lagi, kabhi juzwi aag nahi lagi...anana faanan aag nay sab kuch jala kar khaak kardia.

3. aag laganay k nn waqe'aat main chemicals /petrol ka bharpoor istemaal howaa

4. aag lagnay k in waqe'aat main qanoon naafiz karnay walay adaarouN nay "pur.asraar taur" par ...oswaqt tak "interfere" nahi kia, jab tak sab kuch jal kar khaak nahi hogayaa.

5. haalia aatish.zani ki waaardaat...jiss maiN 3000 say zayad shops jal kar khaak howeeN...yeh aag oss waqt lagayee gayee jab poora M.A. Jinnah Road high alert thaa...aarmty, rangers, police sab live monitoring kar rahay thay... aur jaloos ki hifazat k liyeh poora M.A Jinnah Road 2 roz tak seal thaa...aur yahaaN k rahnay walay bhi kaheeN aanay janay say qasir thay........ aisay sakht security ki maujoodgi maiN within 15/20 mint 300 say zayad shops aur 70 say zayad gaaRiyaaN ketnay logouN nay mil kar jalaayee hongi...din ki raushni maiN jabkay poora elaqah darjanoun tv cameroun say live reporting bhi kar raha thaa...aur cctv cameray bhi lagay thay sarkoun par......... kissi police, army, rangers nay in "logouN" par koi single goli, koi aansoo gas, koi laThee charge kiyouN nahi kia, inhaiN roknay ki koshish kiyoun nahi ki gayee....... kia onhaiN pahlay say batlaa dia gaya thaa k tum nay kuch nah karnaa...

6.jaloos maiN dhamakaa yaa to 1/2 khud.kash hamlah aawer nay kia yaa ambulance main planted bomb blast howaa... yeh karwayee to 1,2,3 yaa zeyadah say zeyadah 4/5 logouN nay ki ho=hogi........ magar iss blast k 10/15 mint k ander ander above aatish.zani ki wardaat main ketnoun logouN nay hissah lia, ketnay logouN nay onhaiN mosalsal petrol, chemicals supply kia, shelter dia, shops k taalay toRnay maiN aur ketnay security k logouN ki direct /indirect support hasil rahi.... karachi ki poori intezamia ki concenytration M.A. jinnah road k jaloos par thee woh sab k sab kia iss 1 ghantay maiN so gaye thay yaa....

7. 10 moharram ko poora shahar closed thaa kaheen koi business sargarmi nahi thee... shaam ko yeh aatish.zani ka waqe'aa howaa...poora shahar saham kar gharoun maiN dubka rahaa... leki raat gayee pooray shahar maiN iss aatish.zani ki mozammat main mozammati banners hazaroun ki tadaad main pooray shahr main lag gayee.... kia yeh banners pahlay say ready thay. aur inkay lagawanay ka intezaam bhi tayyar thaa...

8. bolton market say firebrigade k marakaaz qareeb tar thay.... aag bujhanay wali gaaRiyaan moqay par awwal to late pahonchi...jo pahonchi, onmain pani nahi thaa...aur jin maiN paani thaa woh moqay pay pahonch kar bhi operation start nahi kia... jaltay howay shopkeepers nay jab insay aag bujhaynay ki ro ro kar request ki to jawaab mila abhi hamain order nahi milaa hai k aag bujhanay ka ...aur jab order milaa tab tak sab kuch jal chka thaa....

aisay darjanouN sawaal hain jo sirf on 2 dinouN ki press /channel reporting ko dekh kar aur wahaaN moqay pay visit karkay observe kia jasakta hai ai=ur ki bhi gayaa... magar nka jawaab kaun dega aur kiyouN????

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:2nd Jan 2010, 1:18pm
 

Bolton Market Karachi Fire

krachi ki boltan markeet main atish zadgi k waqiyaat pr nazr dalney sy pehley iss waqeya k asbaab ko jan'na buht zroori hey

Hum asani sy yeh andaza to lga sktey hain k iss mazmoom waqiya k peechey aik sochi samji sazish thi...aur halat-o-waqiyaat sy to aisa hi zahir hoo rha hey

lehaza iss atish zadgi k mzmoom waqeya ki mazamat krney sy pehley humy chund batoon ka jawabat pr b ghoor krna hoo ga  

  1. jin loogo ny ye sazish ki aur iss pr amal kiya ..kia unn loogoo ko ya uss sazshi grup ko ye pta tha k ajj 10 muharram ko matmi jaloos main aik adad khud kash hamla honey wala hey...aur uss k baad reaction k toor pr humain tiyaar rehna chahiye aur an'n fan'n hamain iss sazish ko amli jama pehnana hey..???
  2. wo sari ki sari force jinhoo ny jalti hoi markeet ko tahafiz daina tha aur na dy skey kia wo jantey they k ye wohi sazish hey jo k dhamaka k baad honi thi ...aur hoo rehi hey lehaza iss amal ko pura hooney tak hum hamoosh rahain gey...???
  3. kia wo loog jinhoon ny ratoo-raat iss waqeya pr mazamti banars ltka diye uhhain dhamaky ki habar thi...???
  4. agar talbaan dhamakey main mulawas hey (dhamakey ki zimadari talbaan ny qbool ki hey) aur yaqeena'n talbaan zimadaar hey ...to kia talbaan k rabtey uss grow sy hain jinhoon ny ye atish zadgi ka waqyea sr anjam diya...??
agr inn swalat k jawabat mil jaien to phir atish zadgi krney waley grow ki nishan dehi krna mushkil nhi hooga...laiken inn batoon ka jawab kon dy ga ..aur kion dy ga..?????????



paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:2nd Jan 2010, 5:39pm
 

Sanihaa Karachi

jess ne bhi essa kya unn ke wajah se 1 din mein loog Crore Pati se kangaal hogaye yaha tak k khanee taak k paise na rahe aur Boltan Market mein Jaalne wale dukaneee Aksaareyat Hamara Memon Biradaare ke the joo k na siyaasat mein kese se panga lete hai na Blast mein shameel hote hai leken phir bhi enhee nishana banaya gaya....

ALLAH unn tamam shar pasand anaaseer ko duiya wa Akheraat dono mein zaleel-o-Ruswaa karee. Ameen

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:9th Jan 2010, 7:55pm
 

Bolton market karachi

suna hai keh kuch log pakre bhi gaye hai, jinho ne boltom market mai aag lagayee thi
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:9th Jan 2010, 8:05pm
 

acha

yeh kon se baree baat hai har deheshat gardee mein maloos koi na koi fard tu pakra he jata hai taqreeban leken ajj tak deheshat gaarde khatam hue hai ess se
persona Group: Members  Joined: 10th Jul, 2008  Topic: 0  Post: 121  Age:  31  
Posted on:22nd Jan 2010, 5:53pm
 

Bolton market karachi

I have heard same too.

persona Group: Members  Joined: 10th Jul, 2008  Topic: 0  Post: 121  Age:  31  
Posted on:22nd Jan 2010, 5:54pm
 

Bolton market karachi

I have heard same too.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:4th May 2010, 3:29pm
 

Bolton Market Incident

kia bolton market incident ka masla hal hua keh nahi. ya abhi tak bechare dukandar maare maare phir rahe hai.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:4th May 2010, 3:52pm
 

Bolton Market Incident

Re :- "kia bolton market incident ka masla hal hua keh nahi. ya abhi tak bechare dukandar maare maare phir rahe hai"

yeh baat karachi main aur especially boltan market k pas rehny waly loog behtar bta sktey hain.. 
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:4th May 2010, 4:27pm
 

Bolton market incident

pakistan meah ek jub koi mur jata oski Qemut 2 lakh 3 lakh ziyada say ziyada 5 lakh hoti ,  eskay elawa agur dekha jay tu koi be pakistani agur begonah mara jata hy tu hukomat a pakistan eski zimadaar hay os begonah kay khoon ki so osiki family ko bujay ek du lakh deny kay oski family kay leye  kum uz kum 20 saal kay leye 5 say dus huzaar ka mahaana wuzeefa moqurur kur day taa kay jo os dhumaky meah apni jaan gunwaa Bethaa , oski family ki achi tura mudud ki jaa suky or surkaari afsur koi mamoli securty gaurd bhe agur apni jan ka nuzraana paysh kurta hy tu oski family ko jub tuk os kay buhcy juwaan ni ho jaty onko otni salary mahanaa milni chaiyeh 
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How to apply UK student visa  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us