Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Engagement (Mangni)- Wedding Ring: How It Should Be Celebrated?

Social Problem   >>  Culture and Society
 
 
 
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6344  Age:  35  
Posted on:16th Oct 2009, 10:23am
 

Engagement (Mangni)- Wedding Ring: How It Should Be Celebrated?

Aslamoalikom

 Ek wakat ta k agur  kisi lurky ya lurki ko parants ka ring panaa dyna ya lurki ky sur py doputaa pynaa dayna mungni ki elamat sumja jata ta or es bat ko ek wadaa ek promises sumja jata k hum ny es lurki ya lurky ko maang leya apny baty ya bati k leye or hum juld shadi kurin gy, ye engagement howa kurti thi or wady ka zobaan ka passs rukha jata taa

 

 

Laykin abi 2009 hy rusaam o ruwaaj or global village ki waja sy abi sara system budal choka hy abi engagement es leye ki jati hy k dono shadi sy phally apny ap ko sumaj layin or agur apus meh indurstanding ho jati hy tu goodm ni tu bye bye , wady or zobaan ka koi pas ni aj kul tu mungni k bahd neya mobile or ni sim lurky ki traf sy gift hota hy first or pher czns help kurty hen gupshup kurwayn meh cal kurwany meh k kul humari bari ay tu hum ko b koi problem ni ho or es tura ye engagement k bahd sary wo urmaan romance ky shadi sy phally pory kur laty hen or bot sari batin ek dosry k samny ati hen mungni meh sumjota tu hota he ni so bat bhur jati hy some time or engagement the end ho jati hy

 

 

Porany wukto meh lurka lurki ko eng k bahd milny ni deya jata ta en he bato ki waja sy wo log siyaany ty aj kul tu mobile internet ny sara kam asaan kur deya huta k shadi sy phally family planning b hoti hy baby ka nam b socha jata hy sari batin jo husband wife meh hoti hen wo mungatur apus meah kurty hen or pher jub shadi hoti hy tu pher rishty meh wo charm ni rehta wo khushish ni rehti shadi k bahd jub bot sari batin or samny ati hen tu pher shadi k start meh he jugry fights shro ho jati hen wo love shuve jo eng sy phalyy hota wo rothna wo munnaa shadi k bahd ni hota ku k burdash ni rehti or wo sary armaan wo sari batin jo shadi  k bahd achi lugti hen wo shadi sy phally kur kur k apus ki sari kshish khutam kur bathty hen

 

 

Jo logg shadi sy phaly ye sary kam kurty hen shadi k bahd wo pher esa ni kurty ku k onko wo muza en bato ka os time ni ata jo wo muza shadi sy phally lay choky hoty hen or sex kurna tu gonah or bot he bori bat chay wo mungatur he kun na ho husband ezzut ka mohafiz hota hy or agur koi mungatur shadi sy phally kiss ya sex ka tukaza kurta tu ye sumaj leyin k apki ezzut ka doshman hy or jo esa kurty bot he bora kam kurty hen

 

 

Kahy meah aap sy ye pochna cha hata ho keya aj kul k es zumany meh engagement ka muksaad khuch or ni ho giyaa? yani understanding ,,,,,,,,,,,, ho ghi tu thek ni tu rasty joda joda ,,,,,,,,,, parants k fasilooo on k wadoo ka pass na kurty hwoy rishta tor dana .

Engagement ka muksaad tu ye he hota hy k butaa dayna k esy shadi k leye mang leya giya hy or es wady py dono khandaan kahym hen

Mugar aj kul khuch or he ho rah y ,,,, mungaturs sy milna jolna gomna pherna gupshup esy jesy k husband keya ye thek hy? Sub khuch

 

  • Engagement meh keya asool or zuwaabit hony chayee?
  • Or ek lurka lurki ko ba huseeyaat engage hoey kin bato ka khilaal rukhna chaiye?
  • Engagement kesi honi chaiye?
  • Aj kul jo engagements or ess key bahd hota hy ap keya kehna chatty hen?
  • Engagement kitny ursaa ky leye kurni chaiye?

Myrizvi, kali zoban,wuseem,mahii,husna,,water,s4u,khiyali,lovebird water.sunny plze put your commentrs

                                                                                a




H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6344  Age:  35  
Posted on:16th Oct 2009, 10:31am
 

all memerbs and friends

must share your comments on engagement

keya asool o zuwaabit hony chieyen ya kin bato ka dono ko ya dono khandaano ko khiyaal rukhna chiyee

i hope ye bheesss bot lumbi chuly gee or eska sub nojwaano ko bot fayda ho ga

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:16th Oct 2009, 12:20pm
 

Mungunni...

Insaan mostly apney waleedian ke tarbiyat se apney nazreeye banata he, kuch halat ya milney julney walo se mutasir hota hey ya phir apney mutaaeley aur mushaheedey sey seekhta hey....

Mera nazreeya mungunni ke barey mai ye ha keh iski koi sharai haseeyat nahe hay... Iska koi function nai hona chaheye... Baat pakki hona aik cheez ha k g mother in law (to be) ney kuch paisey dey deeya ya ring ya jorey wagaira sirf ye karney ko g k razamandi ha aur mungunni k baad bus aik faida he k aik dafa jo islam mai mard ko haq hey k aik nazar uss larki ko daikhney ke khawashish ho tou daikh lain .. Magar buzurgo ke maujoodge mai...

Mujhe nai maloom k yahan kitney percent log agree kartey han magar ye mai aj ke dour ke hei baat kar rai meri sisz ke shadi huwe aur bus baat paki huwe aur 3month baad nikkah aur aj kal har aik k pass mobile phone hain tou to be mother in law tou bahaney sey hey lai laiti hain aur ye huwa aur dai bhe daiti han magar bawajood iske keh hamaray gharana aik medium mazhabi ha koi restrictions kabe nai lagai gaie koi baat cheet nahe huwe... Aur mai ye samajti ho ye sahe ha..

Mera mushaheeda(cousins) aur mutaeelah(urdu adab) yehe batata hey k agar do tarfa baat cheet mungni k baad hey shoro ho jaye tou na sirf tamam "green" period nikal jata hey balke khamiyan he zada nazar aaney lagti han kunke koi insaan perfect nai hota.... Aur agar khudana khuwasta kisi waja se toot jaye tou bhe larki he emotionally zada suffer karti ha... Aur koi pata nai shadi k baad koi taney b miltey rahain..waisey hey tamam tajasus tou khatam ho jata hey .. .. Aur jo "so called understanding" develop karney ke bahaney hain ya argument tou sari umer yehe kam karna ko kafi hey...

Aur function barey paimaney pe karna sirf aur sirf Israaf hey wohe paisa khushe k mauqey pe gareeb ko dain ya naye couple ko kuch aisa jo unki future financial help karey...

Ye musibat hameray media ney paida ke ha shadi ke 7 function daikha kar.... Mehndi pe b koi nach gana hota hey k aik nai zindgi Allah ke naam ke bajaey deck and dance se start ho?.. Aur jo israaf keya koi hisaab nahe..

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:16th Oct 2009, 2:20pm
 

mungni

ajj ke mungni mein beshtaar haram kaam hote hai aur yeh sab kaam baroo ke razamandee se bhi hote hai pehel ke loog bhi ab ess gunnah ko nahi rook saakte... Islami taleemat per amal peera hote muslim tu ajj na co education hote na yeh sab hotaaa.
Kali Zuban Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1793  Age:  28  
Posted on:16th Oct 2009, 4:11pm
 

mangeter se ghair ikhlaqi guftagoo

shadi se qabal agar larka larki ko batain kerne ki ijazat dete hai tu iss ka yeh matlab nahi keh woh ghair ikhlaqi aur ghair sharaii batai kerne ki ijazat de rahe hai, agar koi larka larki ghair ikhlaqi aur ghair sharaii batai kerta hai tu yeh on dono ka qasoor hai na ke waldain ka.

bilkul isi tarah aik larki ko ghar se ijazat hoti hai keh woh zaroorat ke tehat kisi bhi mard like rishtadar, class fellow, office fellow, shopker waghaira se bat kare, lekin iss ijazat mai yeh baat shamil nahi hoti keh woh fazool aur ghair ikhlaqi baat kare, agar koi larki kerti hai tu woh ghalat kerti hai, iss mai os ke waldain ka qasoor nahi.

lehaza mangeter ka aap mai ikhlaq ke andar guftagoo kerna ghalat nahi, lekin jo larka aur larki ghair ikhlaqi guftagoo kerte hai woh ghalat kerte hai, on mai maa baap ka qasoor nahi.

Water ka reply read nahi kia, mere liye etna bara single paragraph reply read kerna mushkil hai.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6344  Age:  35  
Posted on:16th Oct 2009, 11:50pm
 

water and kali zoban and paroor

ap teeno k reply bot achy hen sub dost apnya exp or raay share kurin ta k wo log jo es period sy gozzur ry hen ya gozzurny waly hen onko mofeed batin purny ko sumujny ko milen

 

saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:17th Oct 2009, 3:02am
 

Assalam o alikum

Qassim bhai app ne bauhat hi acha topic start kia hai aur sab ne reply bhi bauhat ache kiye hain.

app ne bilkul theek kaha ke mangni aik waada hota hai k  hum ne es larke ya larki ko hamare bete ya beti se maang liya hai, magar ajkal mein to logon ne to mangni ki nayi nayi rasmein nikaal li hain, larka khud larki ko angothi pehnata hai, khud mere cozn ki jab mangni hui thi to bare hall mein hui thi aur mujhe to aisa lag raha tha jaise unki mangni nahi balke shadi ho rahi hai, woh sari rasoom hui thi jo aik shadi mein hoti hain, sirf rukhsati ko chor kar.

phir mangni k baad larka larki ka understanding k naam per batein karna to aam ho gaya hai, larka apni mangetar ko mobile gift karta hai aur woh roz ghanto baton mein lage rehte hain, mein yeh nahi kehta k har koi aisa karta hai magar jahan tak mein ne dekha hai ziyada tar yehi hota hai,

aik aur baat jo mein ne dekhi hai woh yeh k log mangni kar k saalon tak mangni ko chalate hain aur kehte hain k mangnni to ho gayi hai shadi bhi ho jayegi, magar yeh galat hai mangnni k baad jitna jaldi ho sake shadi kar deni chahiye. agar hum kisi larki ke itne saal zaya kar dein phir baad mein kisi wajah se mangni toot jaye to ziyada nuqsaan larkiyon ka hi hota hai unki age bhi bari ho jaati hai,

mere aik janne wale hain mere door k cozn uss ki mangni ko abhi 7 saal ho chuke hain, larki wale intizaar mein hi hain k aur baar baar bolte hain k kab shadi karenge magar woh koi jawab hi nahi de rahe, larki ki 18 saal ki age mein mangni hui thi aur aaj woh 25 saal ki ho chuki hai abb app hi batayein iss mein qasoor kiss ka hai.

mere khayaal se to mangni k baad jitna jaldi ho sake shadi kar deni chahiye.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6344  Age:  35  
Posted on:17th Oct 2009, 6:56am
 

sohalibai

bilkol lurki ki shadi 25 years meh or lurky ki shtadi atleast 30 years meh ho jani chaiye wesy tu meh kehta ho lurki ki shadi 22 or lurky ki shadi 25 tuk ho jani chaiye mugar aj kul taleem he mokamal ni ho pati dono ki 25 say phally so ye he acha hy k 20 sy 25 saal k durmiyaan lurki ki shadi or 25 sy 30 k durmiyaan lurky ki shadi ho jani chaiye

mungni ki jahaa tuk bat hy 6 month sy oper time ni danaa cahiye eng ka time etna hoona chaieye k dono khanadaan tub tuk shadi ki tiyaari mokamal kur layin , mery khiyaal meh agur lurka lurki ki ruzaamundi lany k bahd agur zobaan ka pass he rukhaa jay osyi py kayem raa jay tu issraaf sy bucha ja sukta hy or bot sary sumaaji prob sy b

ziyadaa dayr eng rukhna ni chaiye wo kehty hen na

k chut mungi ty put weyaaa  wa wa wa

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1443  Age:  25  
Posted on:17th Oct 2009, 11:31pm
 

Dr Qasim

may is topic p bad may comments doun ga phely ap mujy ye batye ki ap ko block q kia giya hai,,,,,?
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:18th Oct 2009, 1:28am
 

Kali Zuban

app ne kaha jab larka larke ko ijazat de jate hai baat karne ke tu wo geer akhlaqi aur geer sharai baat karte hai mujhe yeh batai k kon ijazat deta hai baat karne ke enn dono ko.

Hum shariat k peche chal rahe hai jab shariat ne mana kar deya tu mard ko kese geer mehram se baat nahi karne chahe chahe mangeetar ho ya koi aur...

agar che baat geer akhlaqe na ho tab bhi wo bateen kese zaroorat k tehet nahi kes jate faltu time he waste hota hai aur sab se baree baat ess se gunnah ka meter chalta rehta hai..

Goor zaroor kejea gaa.

ajj ke nasal agar yeh kaam kar rahe hai tu agee chal kar enn ke nasal yeh kaam na karee essa kese possible hai...

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3217  Age:  36  
Posted on:18th Oct 2009, 7:27am
 

occording to my opinion

mery hiyal main yeh mngni ki rasm islami nhi hey....shadi biya ki tammam tr rsumaat main sirf aik hi kam ain islami hoota hey aour wo hey "NIKAH" bus...baqi sub kam ghair islami hotey hain mangni,brat ka hajom,band bajy,atish baazi...ab to najaney loog kia kia krty phirty hain ...yeh sirf or sirf asraaf k khatey kmain ata hey..aour kuch nhi.....baqi yeh behs ..k mngni main kia hoona chahiye or kia nhi hona chahiye...ye bat bilkul fazool hi hey....q k yeh rsm islami hey hi nhi to iss main kon sa islami kam hony ki towaqqa hey.....
Kali Zuban Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1793  Age:  28  
Posted on:18th Oct 2009, 7:52am
 

mera jawab mohazzab insaano ke liye hai

mujhe yeh batai k kon ijazat deta hai baat karne ke enn dono ko

yeh ijazat maa baap dete hai.

mera jawab sirf muslim ke liye nahi balkeh tamam mazahab se taluq rakhne walo ke liye hai. iss forum per silent visitor mai hindu aur christian bhi mojood hai. meri koshish hoti hai keh mera jawab sab ke liye qabil-e-qabool ho. muslim ki tarah hindu aur christian waldain bhi apne bachcho ko ghai ikhlaqi batai kerne ki ijazat nahi dete, agar koi kerta hai tu woh on ka infaradi feil hai.

waise mera jawab on muslim larko aur larkio ke liye bhi hai jo keh mangni se qabal aur baad aik doosre se guftagoo kerte hai. jab guftagoo kerte hai, aur waldain ki razamandi se danke ke chot per kerte hai tu phir on ke liye zabardasti ka rule banane ki zaroorat nahi. warna yeh rule aisa hi mahsoos hoga jaise hamare mulk mai aik group zabardasti aurto ko burqa pehenne aur mardo ko darhi rakhnekia per majboor kerta ha.

aakhir mai aik dafa phir wazeh ker doo keh mera jawab mohazzab insaano ke liye hota hai, aur yeh mohazzab insaan sirf musalmano mai nahi balkeh doosre mazahib mai bhi hote hai. yeh website bhi sirf musalmano ke liye nahi balkeh doosre mazahib se taluq rakhne walo ke liye bhi banayee gayee hai.

lehaza koshish kerni chahiye keh jawab aisa ho jo sab ke liye qabil e qabool ho. agar jawab kisi makhsoos mazhab/maslak walo ke liye ho tu tu wazeh ker dia jaaye keh yeh jawab sirf makhsoos mazhab/maslak se taluq rakhne walo ke liye hai.

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:18th Oct 2009, 10:00am
 

Kali zuban

Main ne yaha per koi Maslak ya Mazhab kee baat nahi kee Deen-e-Islam ke baat ke hai agar app mazhab /maslak ko dekhe gee tu koi bhi maslak ka ess baat mein ekhteelaf nahi hai...

app ne apne post mein shayad non muslim ko mukhtaib kar k yeh masla nahi lekha post se app ko bhi essa he lagee ga k yeh baat sab ko kahe ja rahe hai chahe muslim ho ya non muslim...

Agar app Non muslim k leye kuch kahee tu barahe karam agar app mention kar dee tu zeyada behter rahe gaaa.

baat sab k leye yaksaa nahi ho sakte q k hum sharaiat ke paband hai aur non muslim ka koi mazhab nahi uss ke yhaha koi rule essa hai he nahi k geer mehram se baat na karoo aur agar kahi paya bhi jata hai tu wo 100% nahi hota..

Yaha per zeyada taar muslim he hote hai aur musalmaan zeyaada read karte hai ess ko. aur non muslim  jo kuch bhi karee uss ka unn k leye koi faida he nahi chahe akhlaqee ho ya geer akhlaqee leken ha duniyawee aitebaar se geer akhlaqee ko dosree mazahib mein bhi bura samjha jata hai.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6344  Age:  35  
Posted on:23rd Apr 2010, 12:04pm
 

Engagement (Mangni)- Wedding Ring: How It Should Be Celebrated?

nice discussion........
KHOKHAR786 Group: Members  Joined: 25th Jan, 2010  Topic: 30  Post: 122  Age:  28  
Posted on:23rd Apr 2010, 3:55pm
 

mangni

mashallaha sb ny bohot achy comments diay mein bhi yahan sirf share krna chahta hoon.

pehli baat tu ye hai k halat jo bhi hon laikn hum islam k dairy mein rehty huay apna culteure develop krna chaye,

ye ek bohot avhi baat hai k mangni k baad larka aur larki iss daor mein ek doosry ko deklhty hein aps mein baat bhi krty hein ?

laikn shadi sy pehly un ko tanhai mein aaps mein gaer zaroori nahi milna chaye aur na zeba guftagu bhi nahi krni chaye , apny achy khialat ek doosry ko lazmi bhejna chaye  aur zindgi ko manage aur plan krna chaye, baqi ooper bohot acha likha ja chuka hai , jin logon ki mangni hoi hai ya ho rahi un mubark ho allha un ko iss nai zindgi mein brkt de ameen

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6461  Age:  54  
Posted on:25th Apr 2010, 6:05am
 

Masha Allah

jetna acha topic hai, otnay hi achay replies haiN... pata nahi meri nazar say pahlay kiyoun nahi guzraa..... read n agreed to all.

1. mangni ki koi sharayee hasiyat nahi, sewaa.ay aik waaday k

2. ajkal ki morawwajah mangni maiN jo kuch hota hai woh beshtar ghair-islamic hai, lehazaa iss qism ki mangni ki taqreeb say gurez karna hi afzal hai

3. sirf dounouN familes k qareebi log mil baiTh kar shadi ka had o paimaan kar laiN, shadi ki details /sharaait tay kar laiN, aur iss moqay pay larka laRki bhi aik doosray ko (sab k saamnay) dekh lay, baat cheet karlay to koi mozaaiqah nahi... iss tarah ki "mangni" ghair islami nahi hogi, as already told by waterr.

 

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6344  Age:  35  
Posted on:25th Apr 2010, 10:36pm
 

Sobaan-Allah

agreed
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012