|
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 84
Post: 1924
Age:
|
|
Posted on:25th Mar 2010, 12:59am |
|
|
deefa deefa us ka kya jata hai jes ko koi daar ho ya nuqsan pohonchane ka andeesha hoo
jes ke zeheniyat ess darje ke hoo k wo kes baat ka kya matlab le leeta hai kese se jaane bageer poche bageer tu wo shaks apne aqal k bal boote per sab ko galat aur khud ko sahi samaj kar apne kam aqlee aur nadaane ko zaheer kar deta hai balke kar chuka hai... |
saim1 |
Group: Members
Joined: 23rd May, 2008
Topic: 40
Post: 4332
Age: 32
|
|
Posted on:25th Mar 2010, 1:42am |
|
|
paroot bhai waqi aik app hi durust haien or baqi sab gumrah
Babar bhai
app ko maloom nahi he,ke sirif paroot hi sahi he or baqi sab gumrah haien or gandi zhaniyat he sab ki,app ku in se bhes kar rahe haien |
ch Babar |
Group: Members
Joined: 15th Jul, 2007
Topic: 39
Post: 2277
Age: 36
|
|
Posted on:25th Mar 2010, 7:18am |
|
|
Saim Mian sirf ye chahta hon k Paroot beshak sub ko gumrah aor gandi zeheniyat wala samjhtay rahain laikin forum pe is ka baar baar elan na karain :)
Aap kaisi hain , kafi din baad nazar aaie hain :) |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2443
Age:
|
|
Posted on:25th Mar 2010, 8:58am |
|
|
hazrat aur aalaa hazrat apka dost bhai, wazahat ka shukarya
maiN nay "aalaa hazrat" par khoda nah khaastah koi tanqeed nahi ki ... balkay onkay 'moreedouN' k iss 'laqab' par kahaa thaa k yeh 'monaasib' nazar nahi aataa... yeh 'protocol' k khilaaf lagta hai
jaisay ... "alihissalam" ambeyaa k saath, sallallaho alihay wasallam Hazrat Muhammad saw k saath, razi Allah taalaa anho, sahaba karam k saath, rahmatulla aliah, buzurgaanay deen k saath "makhtas" hochuka hai.... ab agar koi kisis bhi wajah say iss 'tarteeb' ko tabdeel karay to "ghalat" hogaa... jaisay koi kissi buzrug ko "razi Allah taala anho" likhna shooroo karday etc etc.
issi tarah ambeyaa AS k naam k saath ... balkay sahaba karaam k naam saath bhi ... HAZRAT... likha jata hai... aur yeh lufz kissi bhi mohtaram shakhsiyat k saath lagayaa jasakta hai....... lekin jab kissi ko ... AALAA HAZRAT ... kahaa jata hai to youN lagta hai k goyaa ...........
lessaniyaat hi maiN nahi balkay deenyaat maiN bhi alfaaz ka chunaa'o baRa moqaam rakhta hai.... chand alfaaz paRh kar hi log islam mai "enter" hotay haiN.... aur aisay bahoot say "kalemaat" bhi haiN jinhaiN adaa karnay say insaan islam say "kharij" hojata hai...... lehaza yeh nahi kaha jasaktaa k ilfaaz maiN kia rakha hai (go k apnay aisaa nahi kahaa)
agar kissi ko apnay "peer" ki mohabbat maiN ambeyaa, sahabaa waghairah say baRay alqaab (like aalaa hazrat) kahnay say kuch "feel" nahi hotaa to yeh onka masla hai... mujhay jo "feel" howa woh maiN nay kah dia.
jahaaN tak "abul-alaa" naam ka talluq hai to ap iss silsilay maiN maudoodi sahab k janasheenouN /mansoorah say rabitah karkay onsay kahaiN k yeh naam "ghair-islami" hai lehaza issay tabdeel kia jaa.ay........
ap aik letter lakhnau, india k mumtaaz deeni scholar "kalbay saadiq" (means sacha kutta) ko bhi likhaiN jo abhi hayaat hain... pakistan bhi moharram ki majalis paRhnay aatay rahtay haiN... onhaiN bhi kahaiN k aik "momin" ko "sacha kutta" jaisaa naam zeba nahi detaa....
islamic shakhseyaat k aisay naamouN ki aik fahrist hum dounouN mil kar yahaaN pesh karsaktay hain... jinkay naam yaa to ghair-islami nazar aatay houN yaa naa.monaasib lagtay houN.....takay woh yaa onkay follower on naamouN ko tabdeel karsakaiN.....bahoot bahoot shukarya k apnay aik new topic ka "mawaad" faraham kia...jazak Allah |
Stalker |
Group: Members
Joined: 21st Dec, 2009
Topic: 10
Post: 116
Age: 30
|
|
Posted on:25th Mar 2010, 1:43pm |
|
|
Braathar e Mann , Rizvi Aap ne sahi kaha , ikhtelaaf e roy hone ka ye matlab nahi k ham dushman hein , balke mein samajhta hoon "Adab" k dairey mein rehtey huve behes karna acha hai ..
Mere khayal se tou aap inteqaam le rahey hein , mein ne "baans" par charhane ki koshish ki thi lekin aap tou meri tareefein kar k muje Minaar e Pakistan par charha chorein ge , Aur yoon lag raha hai aap kamyab bhi ho gaye hein ...Kyoon k mein nahi tou mere andar ka "bewakoof" insan aap ki tareef sunn k minaar e pakistan par jaa betha hai ...lol
|
AppkaDost |
Group: Members
Joined: 18th Jul, 2009
Topic: 17
Post: 188
Age: 33
|
|
Posted on:25th Mar 2010, 2:45pm |
|
|
My Rizvi...Alkabat/koniat.... Alkabat oar khatbat kay sirf ilfaz ko pakarnay ka bajai oan ki teh mein ponchna zaroori hota hai,sirf ilfaz ka mahani ki base per kissi ki girift naheen hosakti.....meri nazar mein Aala Hazrat ya Abu aala likhnay mein kohee harj naheen ager in ki base wohee hai jiss ka zikkar mein nay last post mein kia.....
magar iss ka kya kia jai jab humaray ulma nay badshah e waqat kay lihai "Zill e Ellahi"Yehni Allah ka saeaya jaisay khatbat say nawaza........ |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2443
Age:
|
|
Posted on:25th Mar 2010, 3:11pm |
|
|
lufz o maani dounouN aik doosray k liyeh laazim o malzoom haiN. kissi aik ko doosray say juda nahi kia jasaktaa... nah to kissi 'achay' lufz ko kharaab meaning maiN istemaal kia jana chhaiyeh ... nah hi kissi 'kharab' lufz ko morawwaj karnay k liyeh iskay 'good' meaning banaanay chaahiyeh.
hamari 'urdu-zuban' kai hasiyatoun maiN dunya ki anokhi-zuban hai.... jaisay
1. yeh 'wahid zubaan' hai jissay subcontinent k ghair-mulki haakim angraiz qaum nay aik 'saazish' k tehat paal-pos kar jawaan kia taakay yahaaN ki sabeqah sarkaari zubaan...yahaaN k muslims ki zuban...persian ka khatemaa karkay mahkoom banaayee janay wali muslim qaum ko oskay zubaan say mahroom kia jasakay........ lekin khuda ki qudrat dekhiyeh k saamraaj ki saazish k tehat paidah aur farogh dee janay wali urdu zubaan hi yahaaN k muslim ki zubaan bangayee aur ummatay muslimah maiN arabic k baad doosri baRi zubaan ban gayee jiss main islam ka doosra bara zakheeRa tayyar hogayaa.... chunaanchah phir saamraaj aur oskay agent urdu zubaan k mokhaalif hogayee.... aj india aur pakistan dounouN maiN urdu zubaan k 'mokhaalfeen' maujood haiN... india maiN issay khatam karnay aur pakistan main issay sarkari zuban nah bannay denay ki bharpoor koshish ki jaati hai.
2. issi tarah urdu zubaan bolnay walay bahoot say bay-deen (so called) muslim adeeb o shaair nay urdu maiN aisay aisay istelahaat, mohaawray, zarbul imsaal, aur tarkeebouN ko farogh dena shooroo kia jo anti-islamic haiN ..... jaisay salaat 9meaning=namaaz) say salwatain sunaanaa=bora bhala kahna... mullah ki dauR masjid tak (tang nazri k maanouN maiN) halaaNkay aikhadees ka mafhoom yeh hai k aik momin ka dil masjid maiN aTka rahta hai, woh masjid say nikalnay k baad masjid maiN jaanay ka intezaar karta rahta hai etc etc
urdu shair o adab maiN mushrikanaa alfaaz ki bharmaar hai... kahaan tak likha jaa.ay... zaroorat iss amar ki hai k jahaaN kaheeN bhi aur jab kabhi bhi koi anti islamic, islamic tahzeeb say gira howaa, ghair mauzoon lufz nazar aa.ay... logouN ko bataya jaa.ay k yeh lufz yahaan use karna durust nahi.... atleast awareness paida karnay ki zaroorat hai......jo chaahay maanay jo chaahay nah maanay...k yeh har aik k apnay apnay samajh aur imaan ki baat hai...
wallaho aalam bissawab |
AppkaDost |
Group: Members
Joined: 18th Jul, 2009
Topic: 17
Post: 188
Age: 33
|
|
Posted on:25th Mar 2010, 6:09pm |
|
|
My Rizvi....Lafzo Mahani oar khatbat.II Ager khatabat apnay zahiri mahani kay mafhoom kay sath hee aihmihat rukhtay tou dunyea kay sab say barhay dana humaray aaqa Hazoor saww kabhi apnay sahabi ko Abu Horaira na kehtay....(Horaira arabi mein bilhoon ko kehtay hain yehni bilihoon ka baap!!!!!.......wo sahabi bilhoon ka baap naheen tha magar bilhoon say peyyar kerta tha.....oar bilhian khoarak kay lihai oan kay aagay peechay rehti theen ......
Ya Hazrat Ali RA ko Shair e Khuda kaha.....Allah ka shair.....Hallankeh woo tou ashraful makhloqat mein say thay, shair tou na thay....Ya Khalid Bin Waleed RA.ko saif ullah Allah ki Talwar kaha ..........
Ager app shahid oas doar mein hotay tou shahid app aitraz kertay keh inn katabat ka mahani say kuch oar guman hota hai ..........hum tou naheen ker saktay ......Iss lihai meri nazar mein Aala Hazrat hoo ya abu aala Modoodi aisa kehnay mein mein kohee harj naheen....baqi app ki marzi
appkadost |
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 84
Post: 1924
Age:
|
|
Posted on:25th Mar 2010, 11:32pm |
|
|
ujaale mein ankhe band karna baree khoshees ke gaye k ess thread ko start karne ka maqsad khatam ho jai aur starting page par wahabioo ne baree baree post kar k bhar deya taake parhne wala ess thread ko confuse ho jai albatta ess sazish se kamyabee haseel na hone k baad ab apne aqal k mutabiq faisla karne per majoboor wahabi saheeban ne khosshes ke. !!!
jo quran aur hadees ko dekh kar andeekha kardee jo 5 waqt namaz mein Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam ko zabane nida dee aur dil se na manee ess badnaseeb zabanoo ke istalah talash karte hai jab k Arabic zaban jo hamare AQA ke the uss zaban k alfaz ko bhi apne aqal k bal boote per tool kar dosre zaban urdu se meela deya aur sath he yeh bhi last mein keh deya k esse mushrikana alfaz per deehan nahi dena chahe yani namaz humee shirk ke taleem dete hai ess leye namaz mein esse alfaz ko bahar nikal phenkhna chahe yani sahab auleya ne shirk kya aur ajj yeh wahabi muslim reh gaye jo enn k nabi ke taleemat ko chor kar wahabi ke taleemat per chale tu wo muslim jo un ke taleemat per na chale tu wo mushrik...
yeh iman reh gaya hai ess maslak ka jo ebtada se yehe batate araahe hai loogo ko..
ALLAH esse gumrahoo se sab ke hifazat kareen.
آمین بجاء النبی لامین صلی اللہ علیہ وسلم
صلو علی الحبیب صلی اللہ تعالی علی محمد |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2443
Age:
|
|
Posted on:26th Mar 2010, 11:23pm |
|
|
ApkaDost bhai nice explanation bhai
jazak Allah |
AppkaDost |
Group: Members
Joined: 18th Jul, 2009
Topic: 17
Post: 188
Age: 33
|
|
Posted on:26th Mar 2010, 3:38pm |
|
|
Moqam e Mustafah saww oar Namaz Namaz jo khalis Allah ki ebbaddat hai oas mein apnay Nabi saww per salam oar darood yea sabit kerta hai keh Rab ki khahish yahee hai keh jahan jahan rab ka naam aahai wahan wahan Mustafa saww ka nam bhee aahai.....oar yea hokmai rabi hai tou shirk naheen atahat deen hain atahat e rab hai......
Oar kaisi ajeeb baat keh jab namaz apnay noktai kamal ko ponchti hai keh sana bhee parh ker li...Qyam o rakooh bhee ker lia hata keh sajda bhe ker lia tou phir iss noktai kamal per hokkam dia keh abb meray Mustafa saww per salam bhaijoo ,oan per darood bhaijoo oar oan ki aal per salam bhaijoo......
appkadost |
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 84
Post: 1924
Age:
|
|
Posted on:26th Mar 2010, 11:32pm |
|
|
Appkadost bas app ke yehe baat tu ache nahi lagte k app ne namaz mein Sarkar Sallallaho Alahae Wasallam ko yaad karne ka naam le leyaa bas ALLAH k elawa agar namaz mein kese ka khayal aii tu yeh shirk ho jai gaa app ne esse baat kar de k hamare akaaberen k khelaaf hum chale jainge aur essa kar k hum apne tableege nahi khona chahte ... lol.. :)) |
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 84
Post: 1924
Age:
|
|
Posted on:28th Mar 2010, 12:15pm |
|
|
Quaid-e-Azam jab Mohammad Ali jinaah ko Quaid-e-Azam k laqab se musalmaan pukartee hai tu kya kese ka yeh aqeeda hota hai k yeh tu nabi sahaba auleya k bhi qaid hogaye nahi apne door mein mein 1 baree qaid ke hesiyaat se guzreee na k pechle tamam per unn ko fooqeyaat de dee gaye
jab 1 mulk banane waloo k leye etna bara laqab dena k jes laqab se hum nabi sahaba ko nahi pukarte tu Aala hazrat k laqab per q tanqeed jen hoo ne apne door mein Islam ko na sirf khoob phelaaya loogo ko kufur or gumrahee se bachaya Sunniat ko zinda kya balkee ellm ka darya bahaya...
|
ch Babar |
Group: Members
Joined: 15th Jul, 2007
Topic: 39
Post: 2277
Age: 36
|
|
Posted on:28th Mar 2010, 12:24pm |
|
|
yahan to ajeeb he kaam hotay hain Yahan to Qabar main dafan howay kisi "buzurag" ko "data" bana diya jata hae Quaid e azam to mamooli misal hae . kisi murday ko Allah ki sifaat main shareek kar dena , to kabhi kisi ko aala hazrat keh diya ye sub kuch yahan pe he hota hae phir bhi in k Islam main kuch kami waqia nahi hoti hae.
|
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 84
Post: 1924
Age:
|
|
Posted on:28th Mar 2010, 12:29pm |
|
|
yeh tu uss se ajeeb ho gaya Baat kes ke chal rahe the aur kaha ho gaye
yehe tu baat hai esse loogo ke jab koi jawab nahi meelta tu dosree taraf baat ko ghooma kar le jaingee tension na lejea ess per bhi baat ho jai gee aur gumrahoo ke ankhe phatee rah jai geee
jes ko jawab na deena ho uss ko 100 bahane
islam k galat nazariyaat per chalna tu koi app se seekhe |
AppkaDost |
Group: Members
Joined: 18th Jul, 2009
Topic: 17
Post: 188
Age: 33
|
|
Posted on:14th Apr 2010, 12:59pm |
|
|
My Rizvi Thanks...Big brother |
AppkaDost |
Group: Members
Joined: 18th Jul, 2009
Topic: 17
Post: 188
Age: 33
|
|
Posted on:14th Apr 2010, 1:13pm |
|
|
Paroot Bhai Jan bas app ke yehe baat tu ache nahi lagte k app ne namaz mein Sarkar Sallallaho Alahae Wasallam ko yaad karne ka naam le leyaa bas ALLAH k elawa agar namaz mein kese ka khayal aii tu yeh shirk ho jai gaa app ne esse baat kar de k
App ki baat sahee hai keh muslamnoo ka aik school of thought yea samjhta keh Namaz mein agar Hazoor ki tarf khyal bhee chala jai tou namaz naheen hoti oar shirk bhee hojata hai ...nouzbillah
Magar humaray nazdeek tou woo namaz hi naheen jiss mein zikera mustafah saww na ho oar namaz mein agar khyal mustafa saww aahai tou namaz kamil hoti hai...........
Hazrat Allama Iqbal rehmatullah alleh kehtay hain
"Azan azal say teray ishq ka tarana bani"
"Namaz faqat teray deed ka bahana Bani"
Sahaba karam RA ki seerat ko study karain tou patta chalta hai keh woo namaz mein hazoor saww ko daikhtay thay....oar agar doran e namaz kabhi Hazoor saww oan ko bolatay tou namaz ko choar ker app saww kay pass aatay app kay hokkam ki takmeel kertay oar jahan say namaz choari hoti waheen say shirroh kertay.....Yea sahaba ki namaz thi.....
Iss per kafi hawalay mojoad hain khas ker Hazoor saww kay aakhri ayam....yahan waqat ki kami ki wajah say iss per phir kabhi behs hogi...
app ka dost |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2443
Age:
|
|
Posted on:16th Apr 2010, 9:50am |
|
|
Namaaz maiN Nabi saw ka khayaal - hum ajmi-muslims bhi ajeeb o ghareeb haiN.... aik to hamaiN arabic zubaan nahi aati (illah masha Allah)... oopar say hum khud ko ahlay zubaan-muslims say zeyadah 'muttaqi' samjhnay lagtay hain.... la haul wala quwwat illah billah...
- jissay arabic zubaan aati hogi (khaah woh arabi ho ya ajmi) ossay namaaz paRhtay howay on "tamaam-logouN" ka "khayaal" laazman aayegaa jinka "tazkerah" ... namaaz main paRhi gayee soortouN maiN howaa ho khaah woh ambeyaa AS houN yaa abu lahab ... kia tabbat yadaa abi lahabiw... paRhtay howay aik arabi daan ka 'khayaal' abu lahab ki zaat aur oskay seyaah 'kaarnamouN' par nahi jayegaa, agar woh oss say waqif ho....
-namaaz maiN darood shareef paRhtay howay oss zaat ki taraf khayaal kiyouN nahi jayegaa jiss par darood bheja jaraha ho.... soorat Al-hamd paRhtay howay Allah ki raboobiyat ki taraf dhayaan kiyouN nahi jaayegaa...agar hum paRhay janay walay ilfaaz samajh bhi rahay houN...
-yeh sab to "zimni bataiN" batain haiN aur baat-baraa.ay-baat... asal maiN Namaaz "Allah ki ibadat" k liyeh adaa ki jati hai aur yeh niyyat karkay paRhee jaati hai k hum Allah k hazoor khaRay haiN......... Namaaz nah to nabi kareem saw ki "ibadat" k liyeh paRhee jati hai (nauzo billah) aur nah "on logouN" k liyeh jinka dauraanay namaaz (qiraat etc maiN) 'tazkerah' aataa hai.
- hum namaaz ossi tareeqay k motaabiq paRhtay haiN jisska hukm hamaray piyaray Nabi saw nay dia thaa........ aur waisay to hum namaaz "imaam" k peechay khaRay hokar bhi paRhtay haiN aur dauranay namaaz hamara dhayaan /khayaal "imaam-ki-taraf" bhi hota hai k onki qirrat suntay haiN aur onkay qayaam-rakoo-sajood hi ko 'follow' kartay haiN......... ab koi ahmaq hi yeh kahegaa k ham namaaz "imaam k liyeh" paRhtay haiN ... imaam k darbaar maiN / onko saamnay tasawwar karkay paRhtay haiN bla bla.... yeh sab shaitaani waswasay haiN jo phailaa.ay jatay haiN........ takay hum Aik Allah ki banagi say dooooooooooor hokar shirk ki taraf 'motawajjah' hoja.aiN |
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 84
Post: 1924
Age:
|
|
Posted on:25th Apr 2010, 4:17pm |
|
|
Ismail Dehelvi ne tu kuch or he kaha hai!!! mujhe 1 he baat ketne baar dhoorani paree ge k ...WAHABI KA AMAAL WAHABI K AQEEDE SE TAKRATA HAI!!!
Wahabiat ko follow karne wale shayad yeh nahi jaante k unn k akaaber Ismail Dehlvi yeh lekh chuke hai apne kitab sirat-e-mustaqeem mein k
edited,,,
Ma'azallah ALLAH esse loogo se sab ko bacahai...
yeh ketne bare gustakhe hai k koi bure se bura musalmaan benamazi ho ya sharabi essa nahi soch sakta jesa Ismail dehelvi ne socha hai...
ess k elawa bhi app ke he firqe k akaaberen ne shirk ka fatwa bhi deya hai k essa khayal ana shirk ahi...
ess k bawajood app ne yeh tasleem-e-kham kar leya k khayal ana chahe ess tarha app ismail dehelvi k khilaaf chalai gaye aur Namaz mein Rasoolullah Sallallaho Alahe Wasallam ko harf-e-nida YA k sath pukar kar aur sath mein ALAIKA bhi keh kar Sunniat k aqeede ko accept kar leya k salam uss ko kahajata hai jo samnee ho usse ko mukhatib kar k kaha jata hai... jo saamne na ho uss ko mukhatib nahi kya jata...
app apne he firqe k kheelaf kaha se kaha nikal gaye
Think it.
Mod Note: Aap sirf apna aqeedah bayaan karaiN aur doosrouN par 'tabarra baazi' say guraiz karaiN. shukarya. |
AppkaDost |
Group: Members
Joined: 18th Jul, 2009
Topic: 17
Post: 188
Age: 33
|
|
Posted on:26th Apr 2010, 5:20pm |
|
|
Aayena oan ko dakhia tou burra maan gahay !! Meri post ko sirray say hi delete oar Paroot ki post ko edit yea sabit karta hai keh "Aayena oan ko daikhia tou burra maan gahai"
Kamal hairat hai keh apni almost her post mein ail e Tashi ko kafir kehnay walay dosroon par tabarra bazi say manah ker rai hain ....halan keh Ismail delvi ki books oar reference ko delete kerna intahi ghatia harkat ki gahee hai oar sach ko chopanay ki koshish ki gahee hai.
Ager hum salman roshdi per oas ki ghustakhi per oas ko lanat malamat ker saktay hain tou Ismail Delvi ki q naheen kia sirf iss lihai keh woo MYRIZVI kay mohterm hain ....???????
|
|