zameeni haqaaiq jo log bolton market k mohallay waqoo say agaah haiN, onhaiN maloom hai k yeh whole sale cum retail sale market thee. aur dokaan k saath saath hi godown bhi thay....... yeh woh unique market thee jahaan jahaaN whole business bhi hota thaa aur whole sale rate par hi retail supply bhi milti thee. aur kifayat sha'aar motawassit tabqay k log yaheeN say shopping kartay thay. matlab yeh k agar mugay aik school bag lena hai to woh bhi (say) 330 rs. ka yahaaN say milega. aur agar mujhay 100 piece school bag lena hai tab bhi issi rate par. yahaan bargain nahi hoti thee. M.A. Jinah road k dounouN sides par choTy choTy shops theen jo whole sale ka liasion office bhi thaa aur retail ki shop bhi. har main shop ki gosown M.A. jinnah road say left n right sides par chand galiyaaN ander theeN. lehaza yeh kahna ghalat hai k yahaaN sirf sample maal thaa. ap kissi sbhi shop say kharay kharay 100/1000 pieces tak buy karsaktay thay. albattah jo dealer yahaaN say containers bhara maal khareed kar andaroonay mulk bheja kartay thay woh in shops par aa kar yaa mahaz phone par deal kartay thay aur inko containers onkay matloobah moqaam tak book karwaalia jata thaa. yahaan 10,000 ki purchasing karnay walay houn yaa 10 lakh ki...sab ko yaksaan sahoolat hasil thee...samaan apnay samnay khareed kar paisay adaa karkay matloobah address day do.... bhijwanay ka kaam onka...akhbari ittelaa k motaabiq sirf aik cigarette lighter dealer ki 60 lakh k lighters ka stock jal kar khaakstar howaa... yahaan maujood maalka andazah woh log lagaa hi nahi saktay jinhouN nay kbahi yahaan whole sale purchasing hi nah ki ho.
aag kiss nay lagayee kiyouN lagayee??? yeh aik alag daastaan hai....... karachi k karobari marakaz main last 20 years say ytawater say aag lag rahi hai... aisa iss say qabl last40 saaloun maiN kabhi nahi howaa??? last20 barsouN maiN achanak kia hogaya k karobari marakaz main :
1. jab bhi aag lagi, bujhayee nah jasaki...bujhanay nahi dee gayee
2.jin marketouN maiN aag lagi, kabhi juzwi aag nahi lagi...anana faanan aag nay sab kuch jala kar khaak kardia.
3. aag laganay k nn waqe'aat main chemicals /petrol ka bharpoor istemaal howaa
4. aag lagnay k in waqe'aat main qanoon naafiz karnay walay adaarouN nay "pur.asraar taur" par ...oswaqt tak "interfere" nahi kia, jab tak sab kuch jal kar khaak nahi hogayaa.
5. haalia aatish.zani ki waaardaat...jiss maiN 3000 say zayad shops jal kar khaak howeeN...yeh aag oss waqt lagayee gayee jab poora M.A. Jinnah Road high alert thaa...aarmty, rangers, police sab live monitoring kar rahay thay... aur jaloos ki hifazat k liyeh poora M.A Jinnah Road 2 roz tak seal thaa...aur yahaaN k rahnay walay bhi kaheeN aanay janay say qasir thay........ aisay sakht security ki maujoodgi maiN within 15/20 mint 300 say zayad shops aur 70 say zayad gaaRiyaaN ketnay logouN nay mil kar jalaayee hongi...din ki raushni maiN jabkay poora elaqah darjanoun tv cameroun say live reporting bhi kar raha thaa...aur cctv cameray bhi lagay thay sarkoun par......... kissi police, army, rangers nay in "logouN" par koi single goli, koi aansoo gas, koi laThee charge kiyouN nahi kia, inhaiN roknay ki koshish kiyoun nahi ki gayee....... kia onhaiN pahlay say batlaa dia gaya thaa k tum nay kuch nah karnaa...
6.jaloos maiN dhamakaa yaa to 1/2 khud.kash hamlah aawer nay kia yaa ambulance main planted bomb blast howaa... yeh karwayee to 1,2,3 yaa zeyadah say zeyadah 4/5 logouN nay ki ho=hogi........ magar iss blast k 10/15 mint k ander ander above aatish.zani ki wardaat main ketnoun logouN nay hissah lia, ketnay logouN nay onhaiN mosalsal petrol, chemicals supply kia, shelter dia, shops k taalay toRnay maiN aur ketnay security k logouN ki direct /indirect support hasil rahi.... karachi ki poori intezamia ki concenytration M.A. jinnah road k jaloos par thee woh sab k sab kia iss 1 ghantay maiN so gaye thay yaa....
7. 10 moharram ko poora shahar closed thaa kaheen koi business sargarmi nahi thee... shaam ko yeh aatish.zani ka waqe'aa howaa...poora shahar saham kar gharoun maiN dubka rahaa... leki raat gayee pooray shahar maiN iss aatish.zani ki mozammat main mozammati banners hazaroun ki tadaad main pooray shahr main lag gayee.... kia yeh banners pahlay say ready thay. aur inkay lagawanay ka intezaam bhi tayyar thaa...
8. bolton market say firebrigade k marakaaz qareeb tar thay.... aag bujhanay wali gaaRiyaan moqay par awwal to late pahonchi...jo pahonchi, onmain pani nahi thaa...aur jin maiN paani thaa woh moqay pay pahonch kar bhi operation start nahi kia... jaltay howay shopkeepers nay jab insay aag bujhaynay ki ro ro kar request ki to jawaab mila abhi hamain order nahi milaa hai k aag bujhanay ka ...aur jab order milaa tab tak sab kuch jal chka thaa....
aisay darjanouN sawaal hain jo sirf on 2 dinouN ki press /channel reporting ko dekh kar aur wahaaN moqay pay visit karkay observe kia jasakta hai ai=ur ki bhi gayaa... magar nka jawaab kaun dega aur kiyouN???? |