s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:31st Dec 2010, 7:36pm |
|
|
Aik Sham Info1234 Ke Naam (Worth reading )
Asslam o Alikum wrwb...:)
Info uncle k replies forum pr dekhe gae hain to wo qabil-e-tareef hain.wese jhot nahi bolon gi maine 2,3 topics me aap k replies read kie ziyada nahi kie.to socha k kiu na aap k bare me kuch mazeed jana jae.isi lie jb tak aap free hain to plz yahan time dein aap ka interview lena hai.tussi tyari kr lo.
members k sawalon ki barsat ho gi aur aap hon ge akele wow kitna maza ae ga:-P
agar kisi ne sawal na bhi kie to main hon na.....:)
to aapko yahan welcome kehte hain
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:31st Dec 2010, 8:00pm |
|
|
meri traf se kuch sawal
sab se pehle to aap apna hal btaein k aap kese hain aur ghayab kiu ho jate hain itna itna arsa?
Baqi sawal:
1.aap ka real & full name? (agar aap btana psand karein to) 2.aap kis city me aur kab peda hoe?time,date,day sab. 3.aap ka star? 4.aap ki taleem? 5.mujoodah peesha? 6.aap kitne bhai behn hain?aur aap kis number pe atey h? 7.is waqt aap kis mulk me rihaish pazeer hain? 8.aap ka koi esa posheda raz jo abhi tak forum members ko pta na ho? 9.aap k nazdeeq ideal personality kesi honi chahiye? 10.apni kis adat se nafrat hai aur kis se pyar? 11.aap ko ghussa kab aur kin baton pe ata hai?last time kab kia?aur kiu kia? 12.kab dil chahta hai aapko akela chor dia jae.koi bhi aap se bat na kare? 13.agar kabhi aap buhot ziyada preshan hon to aap kia krte hain? 14.log agar net pr aap k bare me ghalat raey qaim karein to ghussa ata hai ya nafrat? 15.esa kon sa kam hai jis k lie aap humesha ready rehte h? chalein abhi in k jawab dein baqi phir
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:31st Dec 2010, 9:52pm |
|
|
info1234 bro hor choopo GanDeriyaaN :) apko kissi nay nahi batlayaa thaa k s4u say "bach bachaa" kar rahna warnah..... lol
uljha hai waqt info ka s4u k sawaal maiN
ab s4u k daam maiN 'info uncle' aa gayaa :) |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:31st Dec 2010, 9:58pm |
|
|
Rizvi uncle agar Info uncle dar k phir se ghayab ho gae to is sawalon k jawab kon de ga.main to ye soch rahi hon.aap ki baton ne to dra hi dia
uncle aap bhi in se pochein na sawal jo aap k mind me hon
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:31st Dec 2010, 10:03pm |
|
|
hmm pahlay woh apkay tayyar kardah ring maiN to otraiN...phir ham bhi sawalouN k daa'o pech aazmanay ring maiN otar jayengay... :) |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:31st Dec 2010, 10:14pm |
|
|
insha Allah kiu nahi.wese mere sawal kabhi itne mushkil nahi hoe.omeed hai jaldi hi reply karein ge
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 12:36am |
|
|
arey... :o arey itnaaayyyy sawaaalaaaat????? :D
acha ma sab sawalon k bari bari jawab deta hun, lekin sab se pehlay s4u aap btain k apki exact age kia hai? .. :D .. takeh ma sawalon k jawabat apki "frequency" se match kr k doon...... mujhay tau rizwi bhai ki baat ma wazan nazar aa rha hai ganderion wali mai... :D
wesay aik request hai plz k is thread ka title change kar dain...... chat betweeen myrizvi, info1234m s4u and others kar dain, ya chat with info1234, ya aur kuch aesi kisam ka kr dain,... :) agar apko bura na lgay tau |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 12:41am |
|
|
qs 0 sab se pehle to aap apna hal btaein k aap kese hain aur ghayab kiu ho jate hain itna itna arsa?
ma alhamdolillah bilkul theek hun.... bas thori si uljhanain hain aur bahut sari masroofiat hain k net par anay ka time nhi milta... :) |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 12:56am |
|
|
tamheedi ilfaz..... :D ma bahuuuut sari reasons ki wja sy apnay baray ma ziada personal info nahi de sakta... :) mujhay pehchannay walay bht log hain, kuch meray students aur kuch meray teachers, is k ilava net par kuch websites par meri english writings aur articles bhi hain, aur is k ilava bhi kuch reasons hain k ma net par kisi bhi website par ziada personal nahi hona chahta... :) noor clinic par pehli martaba ma nay urdu ma likhna start kia hai..........
umeed hai "mandarja bala" guzarishat ko manzoor kar lia jaey ga.....(wesay mujhay chotay bachon se dar nahi lagta....lol)
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 2:22am |
|
|
qs 1-7 real & full name? sorry.....:) wesay mujhay apna nick bhi nahi pasand info1234........ ma tau is site par 2 sawal poochnay aaya tha isliay jaldi ma jo zehan ma aya tar tar tar type kar lia, but aj tak afsos hai k koi acha sa nick hi bna leta...:(
2.aap kis city me aur kab peda hoe?time,date,day sab. sorry, sorry, sorry,..... :) time subah 8 bjay, day ka nhi pta date tau kher, mujhay abhi yeh samajh nahi aa rhi k noor clinic par naya saal shuru honay par sab ki age 1 saal agay q ho gai hai....
3.aap ka star? sorry... :)
4.aap ki taleem? haan yeh acha sawal hai....... physics ki aik feild ma specialize kia hai...is k ilava maths, aur chemistry bhi achay level tak study kiy hain.
5.mujoodah peesha? temporarily lecturer, us k ilava research topics, future ma irada kuch aur hai
6.aap kitne bhai behn hain?aur aap kis number pe atey h? sorry.... :)
7.is waqt aap kis mulk me rihaish pazeer hain? pakistan ma :D
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 2:51am |
|
|
qs ....8
8.aap ka koi esa posheda raz jo abhi tak forum members ko pta na ho?
hmmmm.... bahut saray hain... but aik yeh bhi keh profession se hat kar yahan mujhay science se hat kar apnay social views express karnay ka moka milta hai aur religious discussion ma as a muslim debater apnay religious knowledge ma izafay ka moka milta hai.......
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 2:52am |
|
|
qs 9 10 9.aap k nazdeeq ideal personality kesi honi chahiye?
hmmmmm...bahooot gehra qs hai........mukhtasiran.. woh jissay na ehsas e kamtari ho na hi ehsas e bartari ho.... woh jo apni salahiyaton aur khamion ko aur apni limits ko pehchan kar "normal" act karay, aur "kawwa chala hans ki chal" jesa behave na karay.... insanon k bahot sy flavours hotay hain... woh personality jo apnay flavour par mehnat karay , na keh kisi dusray ka flavour khud par khol ki tarhan charha le....... woh jis ki life ki direction sanjeeda ho, magar andaz mizahia.... .... (ideal musalman kesa hona chahiey woh alag topic hai)
10.apni kis adat se nafrat hai aur kis se pyar? ghussa karnay ki adat se nafrat hai, study karnay ki adat se pyar hai.
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 3:11am |
|
|
11- 15 11.aap ko ghussa kab aur kin baton pe ata hai?last time kab kia?aur kiu kia? meray khiyal se is baat ka jawab denay ki zarurat nahi hai.... :)
12.kab dil chahta hai aapko akela chor dia jae.koi bhi aap se bat na kare? research/professional problem solution kartay huway... :D .... Allah maaf rakhay is sawal ka ziada acha jawab ziada tar married log detay hain... :D
13.agar kabhi aap buhot ziyada preshan hon to aap kia krte hain?
Allah ka shuker hai abhi tak aesa experience nahi hua..... :)
14.log agar net pr aap k bare me ghalat raey qaim karein to ghussa ata hai ya nafrat? hahahahahah...... kuch bhi feel nahi hota.....ulta hansi ati hai... lekin us wakt tak jabtak us raey ka taluk mujh se personal ho...... agar ma koi aesi baat karon jo aik haqiqat ho tau phir zabardasti false tactic se ghalat matlab nikalnay walon par ghussa aata hai.. .....
15.esa kon sa kam hai jis k lie aap humesha ready rehte h?
hamesha tau kisi bhi kaam k liay ready nahi hua ja sakta... lekin ziada tar kisi "unsolved problem" ko solve karnay k liy ready rehta hun. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 11:30pm |
|
|
hmmm smart replies bro...... paRhkar aur apko mazeed "jaan" kar acha lagaa...
iss qism k "interviews" aksar forum par hotay hain aur beshtar "personal type" k sawaalaat par mabni k apko rung kaunsa pasand hai, khushboo kaunsee...subah kia khayaa aur raat ko kiakhaneka iradah hai lol
ap jaisay logouN say "interview" iss tarah ka hona chaahiyeh:)
1. har mard ki kaamyaabi k peechay aik hi aurat ka haath kiyouN hota hai (as per zarbul misal)...bahoot see aurtouN ka kiyouN nahi
2. har nakaam aurtouN k peechay bahoot say mardouN ka haath kiyouN hota hai... "nakaam aurat", kissi mard balkay mardouN (mordouN nahi:) ki "help" k beghair az khud "naakaam" kiyouN nahi hoti
3. miyaaN biwi agar aik gaRi k 2 wheels hain to iss ghar maiN bachay (bacha nahi:) kia haiN?
4. "future planning" maiN muslim youth professional education, achi job /business, achi biwi, acha ghar, khush.haali etc tak hi kiyouN "mahdood" rahtay haiN. kia onhaiN nahi patah hota k yeh poori life to mahaz aik "examination centre" hai....... issi EC ko sab kuch kiyouN samajhtay haiN......yeh onkay Imaan ki kamzori hai yaa quran o sunnat say aagaahi nah hona
5. log kahtay haiN k bachay 2 hi achay...ap zara aisay "logouN" say pooch kar batlaayaiN k 2 say zayad bachouN ka "status" kia hai??????? |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 11:45pm |
|
|
masha Allah buhot ache jawabat die magar beech beech me se buhot se kha gae...:((
16.acha ye to bta dein k aap ki forum pr kitni ids hain?:D
17.kis chez ko superior samjhte hain aap deserve ya desire?aur kiu?
18.aap ki kuch esi aadatein jin se hume kuch seeekhne ko mile?
19.aqal ka darya muhabbat k khaiton ko kese sairab krta hai?
20.aap ki nazar me wo kese log hain jin pr aitbar kia jana chahye?
21.aksar khawateen dosron ki bat ka humesha ghala matlab nikalti hain.aap kia kehte hain wo esa kiu krti h?
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 11:52pm |
|
|
info bhai meri age 22 hai...:) aur title name agar change kr dia to aap se phir sawal kam aur aapko jawab ziyada milne lg jaein ge is lie ye sirf aap k nam se hai takey aap k bare me kuch jana jae.
haan aik bat balkey aik qeemti mashwara aapko meri traf se.pr kisi ko btana na k maine aapko mashwara dia hai. aap Rizvi uncle k 5th question ka answer inhii se hi pochna kiu k uncle ne likha h "ap zara aisay "logouN" say pooch kar batlaayaiN k 2 say zayad bachouN ka "status" kia hai?"
ese logon k matlab jin k sirf 2 hon.
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 11:57pm |
|
|
ab aya oonT pahaR k neechay aise hi mowaqay pe kaha jata hae :) umeed hae yeh interview dekh kar rizvi bhai ko apna "interview" yaad agaya hoga :) . info bhai nice to see ya in this thread . aap k baray meiN jaan kar bhi khushi hui. aap ne above replies meiN apnay teachers aur students ka zikar kiya to aap se poochna chahti hoN
1- moallim aur muta.allim meiN se konsa status aap ko zyada pasand hae (aap k hawalay se )
2-wese to har insaan deen e fitrat par paida hota hae lekin waqt k sath sath us ki grooming bhi bohat zaroori hoti hae. aap k khayal meiN aik muslim child ko kis tarah groom kiya jana chahiye aur us ki grooming mein zyada kirdar kis ka hota hae ?
3-agar ab aap ko apna nick change karnay ka moqa milay to aap kiya nick rakhna pasand karaiN aur aap k khayal meiN kiya nick names bhi insaan ki personality describe kartay haiN ? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:1st Jan 2011, 11:58pm |
|
|
haaa haaa meray to masha Allah 4 bachay haiN.... 2 achay baRay walay aur 2 onsay chotay achay walay lol ..... s4u ....ab beech beech main mera interview shooroo nah kardena :) maiN iss imtehaan say guzar chuka houN :) |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 12:01am |
|
|
Maryam Sis shhhhhhhh bori baat...... s4u ko pahaaR say tashbeeh to nah do :) agar onhouN nay apko dekh lia to :D |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 12:10am |
|
|
hahahha kabhi kabhi to waqi dil krta hai k aap se seekha jae k bat ko kese ghomaya ya bnaya jata h...
oho pahar k niche main nahi Info bhai ae hain khair se. shukar h mojh me esi koi bat nahi k main is tha pahar k niche aoun..lol
|
|