aik pyasay admi ko pani na milay tau usssay kisi bhi tarhan chain nahi ata, ussay sirf pani chaiey hota hai, woh har us cheez ko dekh kar cheekhnay lagta hai jis ma ussay pani k milnay ki umeed ho......jab ussay pani mil jaey, tau us k bad woh "normal" ho jata hai..... :)
bilkul yehi hisab insan ki fitrat ka hai........ hmari fitrat asman se ayi hai na? isiliay iski ghiza bhi asman se hi utri hui hai "asmani taleem".....jissay ham apnay words ma "islam" kehtay hian...... jis insan ki fitrat ko uski ghiza nahi milti, ussay sab kuch karnay k bawajood chain nahi ata...:) ...... aur yehi fitrat har us cheez ko dekh kar cheekhnay lagti hai jis ma ussay apni ghiza k milnay ki umeed ho.......ajkal bahot sy log "piyasay" hain isiliay unhay kisi bhi tarhan chain nahi ata...phir woh log "tranqualizer" use kartay hian....yani fitrat ko "behosh" kar k apna "kaam" kartay hain.......kitnay zalim hotay hian na aesay log? jo apni fitrat ko "khilanay" ki bjaey bhooka rakh rakh kar qatal kar detay hian....... :(...phir woh log behis aur beraham ho jatay hian, jo sirf apna faida sochtay hian....
s4u tau aesi bilkul bhi nahi hia na?....:).....s4u ko zaroor asmani ilm seekh k khoob strong aur khush ho jana chaiey....:D.... mazay hi mazay.....quran ka apna taste hai, namaz ka apna taste hai, dusron ki help ka apna taste hai, parents se pyar ka apna taste hai, har chiz ka apna taste aur apni khushi hai.....:)
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
Posted on:17th Jan 2011, 6:31pm
Info Bhai
jazak Allah....aap ka mojhe samjhane ka style uhot psand aya.aap ki sab baton se agree krti hon....agar ye meri nature nahi hai to main koshish kron gi k ise badal lon.mojhe reading me interest hai.koi book ya kuch bhi hath lag jae to ose parhe baghair nahi chorti.lekin ab kuch dinu ya months keh lein.ajeeb sa mizaj ho gya hai mera.na kisi se bat krne ko dil krta hai,na hansi mazaq ka,life buhot boring lgti h..jese zindagi ka koi maqsad hi nahi....sab hi friends ko yehi shikayat hai k "saba aap badal gai ho"............:((
pta n kiu. khair aapki batein mojhe buhot achi lagi...thank u so much
ap nay onion (piaz) ko ghore se dekha hai? aik layer k ooper dusri layer, dusri k ooper teesri layer aur isi tarhan bahot sari layers se onion bna hota hai.
insan ki fitrat bhi bilkul isi tarhan layers ma hoti hai... age k sath sath aik layer k ooper dusri layer, dusri par teesri, yani onion ki tarhan stratification hoti chali jati hai.
jab bacha peda hota hai, tau us ki fitrat, sari layers k sath nuqtay ki tarhan hoti hai..ahista ahista pehli layer develop hona shuru hoti hai, aur bacha har chiz se "khelna" shuru karta hai.... 6 maheenay k bachay k hath ma jo chiz a jaey woh ussay apnay mouth ma daal leta hai... agar uski care na ki jaey tau har kisam ki ulti seedhi chiz mouth ma daal kar khud ko zakhmi kar le ga...kabhi aag ma hath dalay ga, kabhi pani ma koodnay ki koshish karay ga.
phir 1-2 saal k bachay ki fitrat p pehli layer mature honay lagti hai aur dusri layer develop hona shuru ho jati hai, aur woh bolna aur chalna shuru karta hai.... yahan bachay ki care na ki jaey tau woh bhagtay huway gir jata hai, aur apnay ghutnay zakhmi kar leta hai.
phir 3-4 saal ki age ma fitrat ki teesri layer develop honay lagti hai, aur bacha "observation" shuru karta hai..har chiz ka sawal karta hai...yeh kia hai? woh kia hai? billi ki 4 tangain q hain?......itnay bachay har nayi cheez ko dekh kar aesay attract hotay hain, k agar inki care na ki jaey tau kisi bhi cheez k peechay chal partay hain, aur itni age k bachay hi aksar "gum" hotay hain, jo park ma "bandar ka tamasha" dekhnay k liay apnay parents ka hath chore detay hain.
phir 10-12 saal ki age ma fitrat ka agla layer develop honay lagta hai aur bacha "intellectual thinking" ma qadam rakhta hai. ab ussay har chiz ki "logic" samajh anay lagti hai...parinday "air pressure" se urtay hain, pani "vapours" ban kar sookh jata hai, zameen k suraj k gird ghoomnay se din raat atay hain.....itna bacha aag k nuksan aur faiday samajh kar ussay "qabu" kar leta hai, cycle par school jana seekh leta hai...... har chiz par "experiment" kar k ussay explore karta hai......itni age k bachay ki care na ki jaey, tau woh apnay experiments ma "ulti seedhi ghalat" harkatain seekh kar apna nuqsan bhi kar leta hai.....12/13 saal ki age hi adatain kharab honay ki age hai.
phir 16-20 saal ki age ati hai jab physical growth mukammal ho jati hai....ab agla layer develop honay lagta hai......"jazbaat aur ahsasat"......."main aik existance hun, mujhay importance di jaey"...."meri raey li jaey"......"meri life, meray rights, meri choice, meray decisions".....itni age k larkay larkian emotionally delicate aur sensitive hotay hain, aur foran asar letay hian...achanak khush, achanak sanjeeda, achanak hurt ho jana, yeh aam si bat hai..... isi age ma sab se ziada care ki zarurat hoti hai.....aur isi age ma care na ki jaey, tau ziada tar larkay/larkian chamakti cheez ko sona samajh kar apna bera gharak bhi kar letay hian....isi age k ziada tar statements yeh hotay hain...."shadi karon gi/ga tau usi say warna sari zindgi kanwara/kanwari rahun gi/ga ya jaan de don gi/ga..."
jab 2 saal kay bachay ka ghutna zakhmi hota hai tau woh samajhta hai k ab uska zakham kabhi theek nahi hoga aur woh apnay pasandeeda kaam "bhagnay" se mehroom ho gya......lekin "baron" k liay uska zakham koi masla nahi hota....
isi tarhan 17-21 ki age ma agar develop hoti hui "delicate feelings" kisi wja se hurt ho jain tau larkian larkay samajhnay lagtay hain k "ab hmari zindgi hamesha k liay weran ho gai"......bilkul usi tarhan, "baron" k liay unkay is kisam k "zakham" koi anokhi ya bari baat nahi hia, agar woh "immature log" baron ki baat samajhnay ki koshish karain, aur apnay "zakhmon" ka baron se theek wakt par treatment karwa lain......warna woh apni immature approach ma baron ko "bewakoof aur zalim" samajhtay huway apna aur ziada bera gharq kartay hain, yahan tak k is kisam k zakham mature age ma unki shakhsiat ka hissa ban jatay hian....unhay un zakhmon par "kharish" kartay rehna acha lagnay lagta hai.....aur sari zindgi unki choice, "ghamzada ishqia shaeri" hua karti hai.... kuch log sari zindgi "immature" rehna pasand kartay hain..woh khud ko mature honay hi nahi detay....aur sari zindgi larkon/larkion ki tarhan "nazuk mizaj" hi rehtay hian...
yeh tau ho gai insani fitrat, jissay ma nay apko samjhanay k liay "microscope" se magnify kia hai.....:)
ap ko bhi shaid koi "zakham" lag gya hai jiski wja se apko apni life aesi lag rhi hai..... aap btana pasand karain gi kia hua? takeh apko koi solution btanay ki koshish ki jaey?
aap ko apni leg par lagi hui kisi chote ki patti khud karni aa gai hai na? tau apko apni "feelings" ki patti karna bhi a jaey gi...:)
bahot easy hai... sab se pehlay accept karain k aap se ghalti hui hai jiski wja se apki "delicate feelings" ko chote lag gai hai...:) jis tarhan chotay bachay ki ziada care karni parti hai, isi tarhan "young feelings" jo abhi develop ho rhi hon unki ziada care karni parti hai....ap nay care nahi ki... phir ap decide karain k ap issay theek karna chahti hain....is k liay dusron se help aur sahara lena koi sharam ki baat nahi hai, har insan se ghalti ho jati hai... feelings par zakham lag jain tau un par kharish nahi karni chaiey, warna woh aur ziada gehray ho jatay hian......:)...(yani dimagh choosna ghalat baat hai....:D:D:D)
aur phir, ap nay apni life ma usi tarhan hanstay kheltay resume hona hai....:) ok na ??
inhi intellectualness ko daikh kar mera bar bar g chahta hay k main aap ki posts ko parron iss liye main aap ki yahan majoodagi par israar karta hon ...yaqeen janiye aap ko parr kar malomat main azafa hota hay ..:) acha lagta hay ...:)
info brother jis andaz sy aap ny samjhaya bila shuba yeh apny aap main aik authority ki hasiyat rakhta hah taham main samjhta hon k jo phases aap ny insani fitrat k biyaan kiye hain wo asal main insani tabiyat k phases hain tabiyat aur fitrat main farq hay
insan 3 chezon ka majomoa hay 1 > ghareeza 2 > tabiyat 3 > fitrat
ghareeza jisy hum jabillat kehty hain yeh insan ki kabi b chang nahi ho gi iss ki jo b zaroriyaat hain allah ny shuro sy hi insan ki khilqat main rakh deen hain
tabiyat yeh wo insani unsar hay jo tabdeel hota rehta hay iss ko mukhtilif halaat main tabdeel hona hay ..lehaza iss ki tabdeeli mahol ki waja sy hoti hay. iss ki tabdeeli tarbiyat ki waja sy hoti hay ...iss ki tabdeeli mu'asharti set up ki waja sy hoti hay ..gharz yeh k iss ny change hona hay har hal main change hona hay ...apni jabillat k tehat insan tabiyat k taqazy change karta rehta hay ya khud ba khud iss main waqat k sath tabdeeli ati rehti hay aur yahan aap ki murad b issi unsar sy hay ...:)
tabiyat sy murad insan ki sehat nahi hay wo alag subject hay yahan asal murad insan ki khilqat k 3 unsar main aik unsar sy hay issi tabiyat english tarjama "nature" hay laiken badqimati sy hum nature ka mafhoom fitrat laity hain q k humain sikhaya hi yeh geya hay ...:)
fitrat .insani takhleeq ka aham aur Main unsar jis ko khuda ny kisi dosri makhlooq main nahi rkha ..aap ny aik reply main iss fitrat ki ayn tareeqa sy wazahat ki thi laiken aap ny wahan word "khodi" use kiya tha aap ny jo wazahat ki wo ayn fitrat ki thi laiken aap ny word khudi use kiya ...khair fitrat wo unsar hay jis ko "tabiyat aur ghareeza" ko kaam main laty howy insan ny marafat-e-haqeeqi pany k liye apny ooper ghalib karna hay tabi insan aik insan ban kar khuda ki bargah main surakh roo ho ga
jo insan tabiyat aur ghreeza ko iss fitrat par ghalib kar laity hain wo admi , shakhas , fard to rehty hain laiken "insan" nahi banty ..yeh aysy hi hay jaisy bahar sy khobsorat nazar any waly makan main aik qisam ki attraction to hoti hay laiken ussy khobsorat ghar nahi keha ja sakta ...un dar-o-dewaar ko khobsorat makan kaha ja sakta hay khobsorat ghar kehny k liye uss k andar basny waly makeenon ka sober hona zarori hay..jab tak sober makeen nahi tab tak wo khobsorat makan to ho sakta hay laiken khobsorat ghar nahi ....:)
pus insan ki fitrat ka taluq insan k beroni dhanchy k andar basny waly aik khobsorat makeen sy hay ..lehaza iss ko insan na change karta hay na karny ka ikhtiyaar hay na hi khud yeh change hoti hay asal main iss ko beroni dhanchy par ghalib karna hay ta k aik khobsorat ghar ki tasbeeh di ja saky otherwise agar insani fitrat par ghareeza aur tabiyat ghalib aa jaty hain to wo khobsorat makan to shaid ho jaye laiken khobsorat ghar nahi hoga
jis trah khobsorat makan aur khobsorat ghar main faq hay iss trah admi hony main aur insan hony main b farq hay..:pus fitrat k ghalby sy insan .insan banta hay aur tabiyat k ghalby sy insan insan nahi balky admi reh jata hay ...
info g agar mery alfaz main iss bat ki wazahat buri lagi ya iss main koi ghalti hay to main mazrat k sath sath aap sy correction ka b talabgaar hon
main healthy discussion ka qayel hon jis trah aap hain ...:)
thankyou so much.... meray ilm ma bhi acha izafa ho gya..... yeh sab mujhay ap k zariay hi pata chala.......meri darusti bhi ho gai....... jinab mujhay q buri lagnay lagi apki wazahat?....... discussion kisi aik admi ka nuqta e nazar nahi hua karti....... aik admi ko apnay zawiay se jo cheez "disc" nazar a rahi hoti hai, ho sakta hai dusray zawaiay se dekhnay walay admi ko woh "cylinder" nazar aey......kiunkeh cylinder ka top aur bottom disc ki shakal ka hota hai......... is surat ma "haqeeqat" samnay a gai, k asal ma woh disc nahi wakai ma cylinder hai....aur "haq" ki fatah ho gai....... jab haq ki fatah ho gai tau un donon admion ko kamiabi mil gai......:)
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
Posted on:19th Jan 2011, 10:46pm
very nice
buhot khoob donu ki posts qabil e tareef hain.masha Allah kitne pyare
andaz me bat samjhai.insan kis trha hai ur kia kia hota hai os k
sath...buhot acha lga aap donu ki posts read kr k.
aur omeed bhi krti hon k isi trha ki posts aap karte rahein ge.
Info bhai zindai k sath sath hi khoshiyaan,preshaniyaan aur udasiyaan
hoti rehti hain.ye otaar charhao hi to zindagi ki khobi hain na.agar
humesha hi insan khoshiyon me rehne lg jae ga to ose khoshiyon ki adar
bhala kese ho gi.
jab tak sans chal rahi hai tab tak ye sab chezein sath hi rahein gi.
bas kabhi mood off ho jata hai.lekin insan aik esi chez hai jo sab kuch
bhool k phir pehle jesa ho jta hai.khair mojhe koi khas preshani nahi
hai.bas kabhi choti moti baton ko le kr up set ho jati hon.warna khosh
mizaj hon...:D
ab aap nay ki na aqalmandon wali baatain......clapping........:D:D:D
dunia ki sab pareshanian choti hoti hain. aur agar kabhi pareshani a bhi jaey tau........surae baqrah, 286: "Allah kisi jaan ko uski taqat se ziada takleef nahi deta............"
bachon ko parents khanay ki maiz par "tameez" sikhatay hain keh "saer chashmi" se khao, jo bhi mil jaey, shuker kar k khao....jab yeh "tameez" a jaey, tau bachay ko free hand dia jata hai "jaiz tareekay se" apni pasand ki jo marzi chiz khao aur enjoy karo.....aur in tameezdar bachon k samnay agar koi inki pasandeedah chiz bhi kha rha ho tau yeh uski taraf ankh utha kar bhi nahi dekhtay...
yeh dunia bhi "khanay ki maiz" ki tarhan hai, jis par mukhtalif naymatain, dishes ki tarhan pari hain, aur ham sab insan "bachon" ki tarhan hain, aur is "maiz" par hamain "tameez" sikhanay walay Allah Talah hain...Allah Talah nay bhi bilkul yehi sikhaya hai k lalchi, nadeeday nahi bano, kisi dusray ki "dish" ko mat chhheeno, tang dilli aur buri niyat se kisi ko nuksan mat pohanchao, haram mat khao........ balkeh "saer chashmi" se, "saaf niyaton" se, jo hasil ho jaey us par sabar o shuker karo..... yeh "spirit" develop ho jaey tau Allah Talah ki taraf se bhi freehand hai k "jaiz tareekon se" apni life ko enjoy karo......
jo log yeh raaz samajh letay hain, woh dunia ma hamesha khush rehtay hain.....unhy kabhi koi bari pareshani face nahi karni parti, karni par bhi jaey tau unhay har kisam k halat ko face karna ata hai..
aur jo log is "chotay dastarkhwan" par tameez seekh gaey, un k liay hi "jannat ka azeemushan dastarkhwan" hai..
chotay bachon ko apnay parents ki baat man leni chahiey, chahay samajh aey ya na aey...bilkul isi tarhan, adults ko Allah k ahkamat man lenay chahien, chahay samajh ain ya na ain.
chotay bachon ko tameez sikhanay k liay un k parents sakhti kartay hain..... bilkul isi tarhan larkay/larkion ko bhi "tameez" sikhanay ma Allah Talah nay thoray sakht rules bnaey hain....... jo samajh lain, unki life khush, simple, pursakoon guzarti hai.....woh apni har pasandeeda chiz ko dekh kar bhi yehi sochtay hian, "agar mil jaey tau Allah ka shuker, na milay tau Allah ki marzi" ..........
.aur jo samajhna hi na chahain, apni marzi k rules follow karain, woh sari zindgi rotay hi rehtay hain.....unhay koi chiz pasand a jaey tau cheekhtay hian k "hamain yehi chahiey, har surat har qeemat par" ........aur milna tab bhi unhay sirf wohi hota hai jis ma Allah ki marzi ho ....
s4u sis aap aesi bilkul bhi nahi hian....:) aap apni sensitivity ko logon k liay use karain.....dusron ki pain feel karain....:) aur aap naturally aik fighter hain, apni pareshanion se fight karain......:) aap muslim hain, is par sab se ziada khushi mehsoos karain.... bas phir apki sari choti moti worries bhag jain gi, aur khushian khud apka interview karti phirain gi....:P:P:D:D
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
Posted on:20th Jan 2011, 7:35pm
Info bhai
aap ne baRoN se lekar choToN tak sab ko is thread meiN baandh kar rakha hae :) yani kuch likha jaye ya nahi paRha zaroor jaye:)
aap k khayal meiN teacher aur student k relashion kiya hota hae ya kaisa hona chahiye ? last days aik PU k prof (name disclose nahi kar rahi) ka scandle samnay aya . yeh sirf aik baat hae jo manzir e aam pe agai is tarah ki hazaroN bataiN hoNgi jo samnay nahi atiN ya anay nahi diya jata. in prof ki 2nd marriage in ki aik student se hi hui hae jo intehai khoobsurat bhi haiN .
isi tarah in k aik aur group member jo PU k dean haiN , ne 2nd marriage aik intehai khoobsurat teacher se ki lekin baad meiN divorce hogai . yeh bhi different scandles meiN involve haiN .
aap k khayal meiN is ki kiya wajah hae ? ustaad ka darja aik roohani baap ka hota hae woh apnay students k kirdar ki tameer karta hae aur agar ustaad hi students k kirdar ko masakh karnay lag jayeN to ilm ka kiya mustaqbil hae?
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
Posted on:21st Jan 2011, 6:41pm
thank u thank u
jese aap ki khoshi...:) insha Allah aap ki sari ki sari baton pr amal kia jae ga aur kabhi shikayat ka moqa nahi mile ga aapko..:)
1.Aurat dunya ki aik khobsurat cheez hai...aurat ko buhot si khobiyon se nawaza gaya hai..Islam me aurat ko buhot izzat bhi di gai hai bas sirf aik azadi nahi di gai..aur kaha gya hai k aurat chupa k rakhne ki chez hai.waghera waghera.
to mera sawal yahan ye hai k hum muslim khatoonzzz(khawateen) hone k bawjod kiu khod ko non-muslims ki trha rakhna chahti hain.onhe dekh kar wohin libas pehn'na,on ki trha mardon k sath job karna,kisi bhi ghair mehram se dosti karna milna waghera.ye sab kuch karti hain.bilkul ghair muslims ki trha.
to aap is bare me kia kehte hain k kia aik aurat ko achi life guzarne k lie itni azadi dena theik hai?donya k sath chalne k lie hum apni pehchan khtam kr dete hain.ye bhol jate hain k hum muslim hain...kiu k hume donya me jena hai.donya k sath agay barhna hai.
2.pyar zindagi me insan ki buhot bari zarorat hai.aur buhot log ise hasil kr bhi chuke hain.pyar aap ko kisi se bhi ho sakta hai.....lekin aik pyar wo jo aap apne life partner se chahte hain wo hota hai. aaj kal aap jis bhi unmarried se poch lo to os ka kisi na kisi se affair ho ga.buhot kam hi log ese hon ge jo love marriage nhi krna chahte hon ge.
to sawal ye hai k kuch logon ki arrange marriage hoti hai to on k khayal me hota hai k hume is trha pyar mile ga ya buhot ziyada.to jin logon ko arrange marriage k bad wo pyar nahi mil sakta jo wo kabhi chahte hain to wo bichare kia karein dosri shadi bhi krne se rahe.
kiu k pyar to sab ki zarorat hai.
aur ye bhi aksar kaha jata hai k love marriage ki nisbat arrange marriage theik hai...:)
aap in donu me se kis k haq me hain?
maine 2,4 esi shadiyaan dekhi hain jo arrange hoi h onki life achi guzar rahi hai lekin onhe is bat ka ehsas humesha rehta hai k hume sacha pyar nahi mila
meri university ma bhi aik professor nay aesa hi kia tha......wesay tau is kisam ki shadion ma koi burai nahi hai....lekin in shadion k peechay "niyyaton" aur "environmental effects" ma burai hai.....
iski wja kia hai?
farz karain aik admi andheray kamray main hai. woh jab chalta hai kisi chiz se takkar ho jati hai, aur kabhi gir parta hai. usay isi tarhan chote lagnay k bad hi pata lagta hai k uskay samnay rukawat hai......is andheray ma ussay koi bhi chamakti cheez nazar a jaey woh ussay heera ya moti samajh kar uskay peechay lapkay ga
aik dusra admi roshan kamray ma hai...ussay kamray k kisi bhi hissay ma chalnay se pehlay hi nazar a jata hai k kis jgah konsi cheez faidaymand hai, konsi nuqsandeh hai...woh baray aitmad se us kamray ma rehta hai...
in dono admion ma farq sirf roshini ka hai......roshini "basarat" ko activate karti hai....
isi tarhan.....asmani taleem "baseerat" ko activate karti hai.
jis insan ko asmani taleem naseeb ho, uski misal roshini ma rehnay walay ki hai, jissay har qadam lenay se pehlay hi faidaymand aur nuqsandeh cheezain aur unkay asrat samajh a jatay hain.... .....yehi insan dusron ki rehnumai bhi kar sakta hai....
jo insan "asmani taleem" se mehroom ho, uski misal andheray ma rehnay walay ki si hai, jo har chamakti cheez k peechay chal parta hai, chahay woh cheez nuqsandeh hi ho, aur bar bar takrain kha kar gir parta hai......aesa shakhs kisi dusray ki kia rehnumai karay ga?
..................
jin professors k nazdeek asmani taleem ki koi ahmiat na ho, woh MSC PHD tau kar letay hain lekin "insaniat" ma primary bhi nahi hotay. tau un say "khwahishat" k mamlay ma kia umeed rakhi jaey? un say "character model" ki kia umeed rakhi jaey? woh lecture bhi students k bhalay ki niyat se nahi balkeh apni car kothi bnanay ki niyat se detay hian.....tau "andheray ma rehnay wala" kia janay muallam ka maqam?
lekin is kisam k professors bahot kam hain....:)
kam az kam mujhay tau inter k bad ki studies ma aesay professors se parhnay ka experience hai jinki life qabil e rashk hai....mujhay apnay deeni alim sahab, aur university k kuch professors ki studentship ma reh kar samajh ayi hai k izzat zabardasti nahi ki jati, balkeh izzat aik jazba hai, jo kisi k liay khud bakhud dil ma peda hota hai...
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
Posted on:22nd Jan 2011, 5:40pm
nice reply
bilkul ese professors ab buhot km hain.jo bhi kisi ko taleem de raha hai to bas wo ye samjh kr hi de raha hai k hume taleem dene k badle rozi roti milti hai.lekin ese buhot kam log hain jo ye samjhte hain k kisi ko achi taleem dena bhi aik trha se naiki hai. ye aik esa beej hai jo aik bar boya jae to ye aik drakhat ban jata hai aur is drakht se buhot logon ko dhoop me saya milta hai.
mere Abu k jo teacher th (Allah on k darjaj boland farmaey..ameen) wo buhot hi naik insan th.on ki batein jab hume abu btate hain to sun k rongte khare ho jate hain k ese insan bhi donya me hoa krte hain.onki har aik aik choti choti bat se buhot bara bara sabaq milta raha hai.aur abu aksar hume on k bare me btatey hain sun k buhot maza ata hai.
aik ustad ki hesiyat aap k walid ki trha hoti hai.lekin ab ye bat kahan
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
Posted on:23rd Jan 2011, 2:49am
Info bhai
nice reply:) but scandle se muraad kisi prof ya teacher ki students se shadi ki nahi . scandle ka word dhakay chupay ilfaz meiN hae. doosri shadi ka hawala bhi isi wajah se diya k islam ne 4 shadiyoN ka hukum jin maslehatoN k tehat diya hae us maiN aik yeh bhi hae k insaan gunnah ki taraf mayl na ho balkay shadi kar le aur izzat se rahay. lekin 2, 2 love marriages k baad bhi kisi ki izzat par buri nazar Dalna to bohat buri baat hae na . bohat si laRkiyan aisi haiN jo apni izzat ki wajah se khamoshi ikhtayar karti haiN . last days jo case samnay aya us meiN bhi prof sahib ko na sirf choR diya gaya balkay un ki post pe bahaal bhi kar diya gaya kyuN k baqol un k woh wazeer e azam sahib k class fellow aur friend reh chukay haiN . ab agar koi laRki baat disclose karay tab bhi harf usi ki izzat pe ata hae aur na karay tab to khair woh aik khilonay k tor pe use hoti hae. aap k khayal meiN education level pe bhi monoply hae ?
aap ki baat bilkul darust hai....... yeh wohi baat hai na, jo log andheron ma rahain, woh apni khwahishat k peechay andhay hotay hain....... woh jesa marzi bhes badal lain......kabhi wohi log doctor ban kar medical k profession ko badnam kartay hain........kabhi teacher ban kar teaching profession ko badnam kartay hian...... kabhi siasatdan ban kar apni qom ko badnam kartay hian.......mukhtalif kisam k "khol" charha kar har idaray ko badnam kartay hain.......
actually ma is topic p ziada wazahat se baat nahi karna chahta....isiliay ma nay pehlay bhi "isharon" ma baat ki aur asal topic ko avoid kia.... :)
meray khiyal se apko samjhanay ki zarurat nahi hai.....:)
aik dariya hai, aik kunwan, aik cooler, aik pani ka glass...
aik admi k liay aik glass pani kafi hai....lekin 10 admion k liay cooler....aik mohallay k liay kunwan, shehar k liay dariya... har cheez ki "capacity" k hisab se uski "limit" hoti hai....woh limit poori ho jana us k liay kafi hai..
"azadi" bhi isi tarhan ki cheez hai....:) Allah Talah nay har insan ko uski capacity k hisab se azadi di hai, aur har insan ki azadi ki limits hain.. bachon ki azadi ki limit bahot kam hai......agar bachon ko "unlimited azadi" di jaey tau dunia ka kia hashar ho ga? aurton ki azadi ki limit un ki capacity k hisab se hai... aur mardon ki azadi aurton se aik step ziada hai, lekin "unlimited" nahi hai, un par bhi limits hain.
yeh sab Allah ki hikmat hai, jis nay peda kia...
mard aurton par hakim hain tau biwion betion behnon ki shakal main. aurtain bhi mardon par hakim hain lekin maan, betay ki shakal main....aurton ki shadi unki marzi k beghair nahi ho sakti.....aurton ki cheezain unki ijazat k beghair istemal nahi ki ja sakteen....aurton ko unki marzi k khilaf kisi baat par majboor nahi kia ja sakta....aurtain kisi mehram mard k sath jahan chahain ja sakti hain.....aurton par kamanay ki koi zimedari nahi, lekin apni khushi se chahain tau kama bhi sakti hain.
tau aur azadi kia hoti hai? aurton k hisab se aur kitni azadi honi chahiey?.....:) jo restrictions hain, woh aurton ki hi protection k liay hian.....:)
hum muslim khawateen hone k bawjod kiu khod ko non-muslims ki trha rakhna chahti hain.
kiukeh hamari aurtain samajhti hain k non-muslim aurtain bahot tarakki yafta aur zindgi se bahot khush hain, tau tarakki karnay k liay aur khush rehnay k liay non-muslim aurton ko folow karna chahiey..
mardon k sath job karna...
aurtain mardon k beghair job kar bhi nahi sakteen....aurton ko job main khud apnay parday ka khiyal rakhna chahiey.. wesay tau aurton k liay "house wife" hona best hai, aur working ladies ki nisbat house wifes ziada achi aur successful life guzarti hain.... lekin hmari hi aurton ki problems k liay bhi hamain professional working ladies ki bahot zaroorat hai.. hmari society female doctors, female teachers, female tailors, k beghair survive hi nahi kar sakti...is k ilava bhi bahot si feilds ma working ladies ki bahot zaroorat hai.. lekin iska matlab yeh bhi nahi hai k ham apni sari aurton ko job par lga dain...... job k liay thori si aurtain hi kafi hain, aur un k liay bhi baqaida intezamat honay chahien, unkay liay parday k intzamat hon, unkay duty hours kam hon, unki replacement ka system ho k koi aurat jab chahay jitni marzi chhutian le sakay, unki security ka system ho. lekin filhal har taraf se ulti ganga beh rahi hai....ajkal ki aurtain, itnay kharab halat main bhi mardon ko jobless kar k khud jobs hasil kar rahi hian...
aik aurat ko achi life guzarne k lie itni azadi dena theik hai?donya k sath chalne k lie hum apni pehchan khtam kr dete hain.ye bhol jate hain k hum muslim hain...
isliay k ham samajhtay hain k ham Allah Talah se ziada "samajhdar" ho gaey hain....:) ham samajhtay hian k jin baaton se Allah nay mana kia hai woh hamaray liay faidaymand aur bahot zaroori hain...aur jin baaton ka hukam dia hai woh hmara nuksan karti hain.....
kiu k hume donya me jena hai.donya k sath agay barhna hai.
ham log dunia ko yeh sabit karnay k liay hain k islam k btaey huway tareekon se life guzarna sab se best hai.... lekin hmaray hi log samajhtay hain k ab islam purana ho gya hai, aur naya zamana a gya hai.....:) isliay ab log apnay "aqalmand zehan" se apnay liay "modern lifestyle" sochtay hain, jo asal ma yeh hai......."Allah Talah ko chore k kafiron ki farmanbardari karo..."
pyar zindagi me insan ki buhot bari zarorat hai.aur buhot log ise hasil kr bhi chuke hain.pyar aap ko kisi se bhi ho sakta hai.....lekin aik pyar wo jo aap apne life partner se chahte hain wo hota hai. buhot kam hi log ese hon ge jo love marriage nhi krna chahte hon ge. kuch logon ki arrange marriage hoti hai to on k khayal me hota hai k hume is trha pyar mile ga ya buhot ziyada.to jin logon ko arrange marriage k bad wo pyar nahi mil sakta jo wo kabhi chahte hain to wo bichare kia karein dosri shadi bhi krne se rahe.
insan ma pyar, mohabbat karnay ka jazba tau insan ki perfume hoti hai....:) jis insan ma yeh jazba hi na ho, woh tau kaghaz k phool ki tarhan pheeka hai...
insan se pyar woh karta hai, jo uska har tarhan se khayal rakhay, ussay khush rakhay, ussay nuqsan se bachaey, uski zaruratain puri karay, ussay agay barhnay ma madad karay, uski khwahishat puri karay, jo nayey nayey tarikon se pyar ka izhar karay... Allah Talah se ziada insan se koi pyar nahi karta..... :) aur Allah Talah nay insan ma apnay liay bhi shadeed mohabbat rakhi hai...insan Allah Talah se tauheed ki shakal ma mohabbat kartay hain..
Allah Talah insan se apnay pyar ma pehel kartay hain, aur apnay pyar ka izhar "parday k peechay se kartay hian".....:)
lehaza Allah Talah "mother" k parday se insan se pyar ka izhar kartay hian.........tauheed ko samajhnay walay log, Allah Talah ki ibadat kar k is pyar ka "jawab" detay hain, aur is gift (mother) se mohabbat karna bhi Allah se mohabbat ka izhar samajhtay hian.....:) Allah Talah "father" k parday se dusray andaz ma pyar ka izhar kartay hian......tauheed ko samajhnay walay log, ibadat kar k is pyar ka "jawab" detay hain, aur is gift (father) se mohabbat karna bhi Allah se mohabbat ka izhar samajhtay hian.....:) Allah Talah behan, bhai, khala, mamu, chacha, phupho k pardon se bilkul mukhtalif andaz ma pyar ka izhar kartay hain.........tauheed ko samajhnay walay log, ibadat kar k jawab detay hain, aur in gifts se mohabbat karna bhi Allah se mohabbat ka izhar samajhtay hian....:) isi tarhan Allah Talah "ustad" k parday say insan ko taleem detay hian....dost k parday se company, mukhtalif pardon se mukhtalif andaz e mohabbat...
in sab pardon k ilava, Allah Talah nay aik parda aesa bhi banaya hai, jahan se insan ki har kisam ki zaruratain pori ho jati hain, aur woh hai "life partner"..... insan incomplete hota hai, insan ka life-partner uska "missing part" hota hai, isiliay husband, wife mil kar hi complete hotay hian.... aur is wja se bhi insan ko sab se ziada mohabbat apnay life partner se hi hoti hai...
pyar Allah Talah ka hi hai, lekin mukhtalif pardon se, nayay nayay formats main.....:) jistarhan pani aik hi hai jo barish ma nazil hota hai, lekin orange main orange juice ban jata hai, mango main mango juice, apple main apple juice.....
jab Allah Talah har cheez se be niaz, har aib se pak ho kar bhi matti k insan se itna pyar karain, tau insan ko Allah se pyar nahi karna chahiey?
jo log Allah Talah ko bhool jatay hain, unki mohabbat "ghalat raston" par zaiya honay lagti hai.......woh har jgah "pyar ki bheek" mangtay rehtay hian.....aur naturally, woh life partner ki shakal ma pyar ki bheek mangtay hain..
lekin jo log Allah Talah ko yaad rakhtay hain, unhay har lamhay Allah ki mohabbat mehsoos hoti rehti hai, aur yehi mohabbat unhay satisfied rakhti hai....aesay log dusray insanon ko "pyar taqseem karnay walay" hotay hain.....woh har kisi ko pyar de kar khush hotay hian.... yahan tak k apnay life partner ko bhi "Allah ki nishani" samajh kar pyar DETAY hain, aur jawab main unhay apnay life partner se bhi siwaey pyar k aur kia mil sakta hai?
kuch log jo Allah ko yaad nahi rakhtay, Allah unhay seedhay rastay ki taraf bulanay k liay unhay unki kisi aesi cheez se mehroom kar detay hain, jissay hasil karnay ki unhay bahot khwahish ho.....lekin kuch bhataktay logon ko Allah unki "pasandeedah" cheez de kar rastay ki taraf bulatay hian takeh woh shuker karain......Allah Talah har insan se uskay hisab se mamla kartay hain, kisi ko de kar, kisi ko mehroom kar k, yeh samjhanay k liay k insanon se Allah hi sab se ziada pyar kartay hain, aur Allah k siwa unki life ma kisi ki marzi nahi chal sakti, aur Allah hi unki khwahishain puri kar saktay hian, aur Allah hi unhay unki khwahishon se mehroom kar saktay hian......
aur ye bhi aksar kaha jata hai k love marriage ki nisbat arrange marriage theik hai...aap in donu me se kis k haq me hain?
islam main love marriage aur arrange marriage dono jaiz hain...... marriage ka successful hona ya fail hona, Allah k ikhtyar main hai....arranged ya love marriage honay main nahi hai.....LEKIN insan jis kaam ma jesi niyat rakhta hai, ussay uska wesa hi phal milta hai....agar kisi nay naik niyaat se love marriage/arranged marriage ki ho tau woh Allah k hukam se successful rahay gi......agar kisi nay buri niyat se ki ho, tau uska anjaam bhi bura ho sakta hai.. aam tor par love marriages ma islamic ahkamat ko follow nahi kia jata, aur "love" k naam par parday ki limits cross ki ja rahi hoti hain....is tarhan shetan hamla kar deta hai, aur shetan niyyaton ko hi kharab karta hai..isliay ziada tar love marriages ziada successful nahi hoteeen.. arranged marriages k rules hmari society nay had se ziada sakht bnaey huway hian, isliay bhi arrange marriages kabhi fail ho jati hain.....islam ma larka larki ka shadi se pehlay islamic hadood ma mil lena, baat karna bilkul jaiz hai..... agar parents, decision lenay se pehlay larka larki ko apas ma milwa kar phir unki marzi poochain tau is say kafi behtari aa sakti hai..
maine 2,4 esi shadiyaan dekhi hain jo arrange hoi h onki life achi guzar rahi hai lekin onhe is bat ka ehsas humesha rehta hai k hume sacha pyar nahi mila
Allah Talah k siwa koi bhi sacha pyar nahi karta.....Allah Talah k pyar ko thukranay walay se ziada pathar dil aur koi nahi hota, aesay log insanon se pyar ki bheek mangain gy tau Allah Talah un insanon ko bhi un k liay pathar dil hi bana dain gy, kiukeh dil Allah k ikhtyar main hain....... jo Allah Talah se pyar karta hai, ussay kisi insan k pyar ki zarurat hi nahi rehti.....woh insanon ko pyar denay wala ban jata hai, aur jab woh kisi insan ko pyar deta hai, tau ussay jawab ma bhi pyar mil jata hai.
is thread ko 190 posts honay se pehlay close kar dia jana chahiey
hmmm...to info g kia new thread start kar liya jaye ya 190 posts hony ka intezaar kiya jaye..:)
wiasy aap ki majooda forum dilchasbi aur aap k yahan time dainy ko madd-e-nazar rakhty howey mera khiyaal hay new thread start karny k liye humain 190 posts ka intezaar nahi karna chahiye ..:)) aap kia kehty hain iss bary main ?
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
Posted on:24th Jan 2011, 6:53pm
ikhtetaami ilfaz :)
yeh thread close honay se pehlay meiN mukhtasaran kuch likhna chahti houN is pooray thread meiN discussion k hawalay se .
1- zaban jism ka aik aisa hissa hae jo gosht ka lothra hae lekin is k zariye na sirf bohat si buraiyaN janam leti haiN balkay nobat jhagRay fasaad tak bhi ajati hae.aur yeh aik aisa hathiyar hae jis ka war shaitan , alim e ilm (deen) pe zyada karta hae. is k liye na to kisi jagah chupnay ki zaroorat hae aur na hi kisi khas mahol ki. yehi reason hae k masjid k minbar par baiTh kar bhi zaban se bohat se gunnah kiye jatay haiN jin meiN sab se baRa gheebat ya bohtan bazi hae. aur sonay par sohaga yeh k is ko burai samjha hi nahi jata isliye zaban ki burai sab se baRi burai ban jati hae.
2- tauheed sirf Allah pak ki zaat k liye hae . chahay woh ibadat k roop meiN ho ya mohabbat k roop meiN . is k ilawa kisi bhi wahid rishtay se mohabbat nahi ki jasakti. mohabbat ka chashma Allah pak ne har rishtay k liye isi liye rawaN dawaN rakha hae k is meiN khaRay pani ki tarah ta,afun na paida hojaye. jo log mohabbat k khazanay pe saanp ban kar baiThnay ki koshish kartay haiN unhi ki mohabbat itni alooda hojati hae k is k boo un k apnay liye naqabil e bardasht hojati hae. so Allah pak k atta kiye gaye har rishtay se mohabbat ki jaye. jaise har rishtay ki mohabbat darpardah Allah pak ki mohabbat hae aise hi har rishtay se mohabbat karna (Allah ki khushnoodi k liye) darasal Allah pak se hi mohabbat hae.
3- Allah pak ne muallim ko bohat baRa rutba atta kiya hae. yeh nabiyoN ka wirsa hae aur ustad is ka ameen hae.lkyuN k sirf asmaani ilm utaar dena hi kafi nahi tha balkay aik aise role model ki bhi zaroorat thi jisay log dekh sakaiN . isi liye Allah pak ne apnay pyaray Anbiya karam ko duniya meiN bheja takay woh jakar logoN ko asmaani ilm ki taleem daiN.
4- sirf asmaani ilm hasil hojana bhi kafi nahi jab tak k Allah pak ka karam bhi us meiN shamil na ho. bohat se log aalim hokar bhi gumraah hojatay haiN. us ka aik reason yeh bhi hosakta hae k ilm ko Allah ki raza k liye nahi balkay apni wah wah k liye hasil kiya ya phir istemal kiya. isliye Allah pak ne jo bhi ilm atta kiya us par amal ki taufeeq bhi milay aur shukar ki bhi. tab hi raah e nijat mumkin hae.
5- naiki aur badi ka aghaz zindagi k aghaz k sath hi hogaya tha. lekin agar badi ki taqat na hoti to naiki ki taqat ko percieve hi nahi kiya jasakta tha. achai aur burai har jagah, har muashray meiN mojood hae bas yeh dekhnay walay pe munhasir hae k woh kiya dekhta hae. aur kisay highlight karta hae. burai ki taraf indication ka maqsad us ki rok tham hae na k yeh bawar karana k hum aik badsoorat muashray k fard haiN .kyuN k ifraad se hi muaashray janam letay hain jo baad meiN inhi ifraad pe asar andaz bhi hotay haiN.
akhir meiN is thread k hawalay se apna ta,sur batana chahoNgi :) go k yeh iferadi interviw tha lekin sab ka sanjha interview ban gaya :) hona to yeh chahiye tha k is meiN muaa.shray ki akai ( info bhai ) k mutaliq jana jata lekin yahaN pooray muashray k mutaliq hi jana gaya :) so yeh apni noiyat ka bohat hi acha aur munfarid thread raha . lekin thread meiN participate kar kar k aur info bhai , myrizvi bhai aur diplomate bhai se taveel guftagu k baad mujhay apna aap bhi bhai bhai feel honay laga gaya hae :))
info bhai : aap ka bohat shukriya k aap ne meray sawalaat ko humbleness se na sirf read kiya balkay bohat achay tareeqa se answer bhi kiya. i,m really thankful to u with the bottom of my heart :)
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
Posted on:24th Jan 2011, 8:09pm
Info Bhai
jazak Allah aap ne itni detial s se reply kia.aur buhot hi pyara jawab tha.jis k lie thanx kehna buhot hi chota lg raha hai mojhe....:) aap ne mere is thread me buhot hi pyari pyari batein ki hum se jo k kisi note book me likh kr rakhni chahiye mojhe....:) insha Allah ab kisi naye thread me bat ho gi aap se.tab tak k lie Allah hafiz.
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.