Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Aik Sham Info1234 Ke Naam (Worth reading )

Non Medical Discussion
 
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:2nd Jan 2011, 12:14am
 

oh to main pahar?

itna nazuk sa pahar....:))
is pahar k niche se to koi bhi asani se nikal sakta h.jese Info bhai ne jawabat die to is se andaza ho raha k ye pahar kitna bhari h in pr
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:2nd Jan 2011, 12:17am
 

myrizvi bhai

apnay dil ki baat doosroN ko front line pe lakar nahi karni chahiye :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:2nd Jan 2011, 12:40am
 

lo karlo gal

s4u: dil krta hai k aap se seekha jae k bat ko kese ghomaya ya bnaya jata h...

Re: eeN sa'aadat bah zoray bazoo neest :) taa nah bakhshand khodaa.ay bakh.shandah... (iskaa matlab Maryam Aunty say pooch lo)

Maryam: apnay dil ki baat doosroN ko front line pe lakar nahi karni chahiye :)

Re: phir kaisay kahni chaahiyeh ? agar aisee koi baat kahni bhi ho aur apna daaman bhi bachana ho lol

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:2nd Jan 2011, 12:44am
 

chalein ji btaein

mere palley to kuch n para.beech beech me se kuch samjh aya lekin jo n samjh aya to phir jo pehle se samjha hoa tha wo bhi pani me mil gya....:))
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:2nd Jan 2011, 12:55am
 

kar li ji gal :)

jahaN daman bachana maqsood ho wahaN baghair daman k baat kehni chahiye :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:2nd Jan 2011, 4:01am
 

phir apnay yeh kahna hai k...

etni nah baRhaa paaki.e.damaaN ki hekaayat + daaman ko zara dekh (jo ab rahi nahi) zara band.e.qabaa dekh (jo pata nahi kab tak rahti hai:)
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:2nd Jan 2011, 5:30am
 

aur agar

apnay dil ki baat kisi aur ko front line pe lakar kahain.ge tab kuch is tarah kehna paRega k

palkoN ki hadd ko toR kar daman pe aa gira + aik ansu meray sabr ki toheen kar gaya .
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:2nd Jan 2011, 5:53am
 

koshish karouNga ayandah aisaa nah ho

:(): :():

inn qeemti ansu k qatrouN ko sambhaal kar rakhiyeh aur aisay waqt / aisee baar.gaah maiN giraiyyeh jab inki qadro qeemat moti jaisee lagaayee jaa.ay

moti samajh k shaanay kareemi nay chun liyeh + qatray jo thay meray arqay infe'aal k

takay jab yeh qatray daaman par giraiN to .... daaman bhi aisaa ho jaa.ay k .... daaman nichoR daiN to farishtay wazoo karaiN :)

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:2nd Jan 2011, 8:09am
 

bye the way

yeh thread info bro sy interview k liye start kiya geya hay aur baqi sab members ki koshish honi chahhiye k wo yahan sawalaat karain ..jawabaat sirf "info1234" k liye chorr dain aur wo hi jawaab dain ..yahi iss thread ka asal fayda b hay..iss liye ikhlaqan yahan kisi dosry member ko jawaab nahi daina chahiye ..:)

taham iss thread ko read kar k meri likhny ki hiss bila waja hi pharrak rahi hay jo k mujy sawalaat ki bajaye jawab dainy par ziyada uksaa rahi hay ..abb main kia karoon iss silsaly main ..to socha k jis member k sawal par mera jawab dainy ka dil kar raha hay main ussi sy hi pooch loon k kia mujy ijazat hay aur sath main main info g sy b ijazat laina chahon ga .....for example myrizvi brother ka aik sawal hay...

"4. "future planning" maiN muslim youth professional education, achi job /business, achi biwi, acha ghar, khush.haali etc tak hi kiyouN "mahdood" rahtay haiN. kia onhaiN nahi patah hota k yeh poori life to mahaz aik "examination centre" hai....... issi EC ko sab kuch kiyouN samajhtay haiN......yeh onkay Imaan ki kamzori hai yaa quran o sunnat say aagaahi nah hona"

mera dil iss sawal ka apny tooty phooty alfaaz main answer karny ko kar raha hay bulky dil yeh b kar raha hy k sahib-e-swal aur deeqar members iss mozo par aik debate krain ..buhat acha rehy ga ...readers k liye beneficial sabit ho sakta hay ..agy aap ki marzi...:))
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 10:33am
 

:( ..... bad news

sab ki itla k liay arz hai k aj mujhay kafi taiz bukhar/khansi ho gaya hai jis sy meri tabiyat kafiiiiii "nasaaz" hai,
is k ilava aj saray din se bijli ankh macholi khel rhi hai, abhi bhi koi bharosa nahi k meray replies send ho sakain gy k nahi...

kher "sawalaat ki packets" ko bari bari kholnay ki koshish karta hun.....

aik misal de kar shuru karta hun....
"what is electrodynamics ?".....
is sawal ka jawab "aik line" ma bhi dia ja sakta hai, "aik para" ma dia ja sakta hai, "aik chapter" likha ja sakta hai, aur is par motiiii motttiii 10 kitabain bhi likhi ja sakti hain......

"kuch isi kisam k sawalaat" poochay ja rhay hain.... :) jinhay moka munasibat k lehaz se "overlook" karna paray ga.......
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 10:38am
 

s4u

s4u aap 22 ki ho? :O
ma samjha tha 11 years ki ho... :P
kher ma nay suna tha "aurton ki jasoosi" se darna chahiey........ mujhay lag raha hai k "yeh sunehri haroof ma likhay janay wali statement hai... :D "
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 10:43am
 

diplomat ji :)

aap ka tashreef lanay ka shukria.... :)
apko ya kisi ko bhi qattan kisi kisam ki koi restriction nahi hai, jo chahay likhain..
lekin mera khiyal hai k "is aik topic" k ilava "kam o besh 20 topics" aur hain jin par lammmmmmmmmmmba mubahisa kia ja sakta hai..... :)
tau itnay topics ko aik thread ma kesay cover kia jaey, jabkeh "jasoosi log" sath mojud hun?........ :P
apki kia raey hai is baray ma?
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 11:00pm
 

myrizwi bhai ki "gari"


meray khiyal se mian biwi ko "gari" hi qarar dena hai tau "mian ji" gari ka engine aur gari k charon payay hain,....... gari ki body, seats, ac, brakes, carboretor, radiator waghera "biwi" hai, gari ki lights dono mian biwi ka "mushtarika ilm" hai.....gari ka driver, dono mian biwi ki "zindgi ka maqsad" hai........ bachon ki is misal ma KOI JGAH NAHI BANTI.... jitnay bachay woh sab "dusri garian" hain... :D

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 11:15pm
 

aurton ki nakami

1. har mard ki kaamyaabi k peechay aik hi aurat ka haath kiyouN hota hai (as per zarbul misal)...bahoot see aurtouN ka kiyouN nahi

2. har nakaam aurtouN k peechay bahoot say mardouN ka haath kiyouN hota hai... "nakaam aurat", kissi mard balkay mardouN (mordouN nahi:) ki "help" k beghair az khud "naakaam" kiyouN nahi hoti.........


is tarhan ki baatain "mazak" ma bhi society ma "discrimination" peda karti hain...... :) "mera, tera, meri wja se, teri wja se" yeh baatain aesi hain jesi jisam k aiza ko alag alag kar k bola jaey, "nakhun haqeer chiz hai"... "dmagh bht zarori chiz hai", "dil zindgi deta hai", waghera waghera....... tau yeh sab aiza bikhar kar "bekar ho gaey"......... jab in tamam aiza ko ikatha kia jaey tau "sab k sab" kamiabi k rastay par chal partay hain.......

jin aurton ko "kamzori ka ahsas" dilaya jata hai, woh mardon ko bhi nakam bana deti hain chahay aik ho ya kai...... jis aurat ko "protection aur izzat" di jaey, woh mardon ko bhi kamiab bna deti hain, qk, Allah Talah nay insanon k dono formats ko "ideal balance" ma peda farmaya hai...... aur is balance ko kharab karnay ki zimedari ziada tar "mardon" par hai qk unhay ikhtyar dia gya hai....... kamiabi ma "partnership" atay hi "nakami ki ulti ginti shuru ho jati hai"..........

exceptional cases exclusive... :)

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 11:34pm
 

future planning

"future planning" maiN muslim youth professional education, achi job /business, achi biwi, acha ghar, khush.haali etc tak hi kiyouN "mahdood" rahtay haiN. kia onhaiN nahi patah hota k yeh poori life to mahaz aik "examination centre" hai....... issi EC ko sab kuch kiyouN samajhtay haiN......yeh onkay Imaan ki kamzori hai yaa quran o sunnat say aagaahi nah hona....

insan "jahil" peda hotay hain.. har insan ko "ustad" ki zarurat hoti hai.. ....

insano ki tarbiyat ma aik balance hota hai "infaradi taleem" aur "ijtemai taleem"..

bachpan ma infaradi taleem walidain k hath ma hoti hain aur ijtemai taleem school k reham o karam par...... age k sath sath "infaradi taleem" ka level bhi barhta rehta hai... samajhdar honay par "aik ustad" bhi tarbiyat karta hai, us k ilava "bahut saray" ustad bhi tarbiyat kartay hain....., aur dono kisam ki tarbiyat ma aik balance hota hai, k bacha jawan honay k bad "kyun, kisliay" ka jawab samajh kar de sakay.......

society as a whole, apnay education system ki pedawar hoti hai....hmara education system "infradi ijtemai" k buniadi balance se hi mehroom hai, tau hmari generations "khud ro jaribootian" hi banain gi........jin ka qibla "zahiri chamak damak" hai, jo "bachgana pan" hai..

woh alag baat hai k jawan honay par har insan ma "achai burai" ki samajh peda ho jati hai, lekin bahot kam hotay hain jo "lashauri hissay ki aesh o aram parast soch" se bahir niklna pasand kartay hain.....


note: is pechida sawal ka above reply absolute nhi hai.... :)

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 11:40pm
 

bachay

5. log kahtay haiN k bachay 2 hi achay...ap zara aisay "logouN" say pooch kar batlaayaiN k 2 say zayad bachouN ka "status" kia hai???????

jin logon ki niyaton ma "tangi" hoti hai, unhay poori zameen "tang" nazar ati hai...woh bhool jatay hain k zameen ko aur is k makeenon ko aesay khuda nay peda kia hai jis k samnay "miqdar" koi chiz nahi hai.....

aesay log kabhi bhi "management" nahi kar saktay... aur woh apni nalaikion ki nakamion ko "mukhtalif" wajoohat ma phank detay hain.....

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 11:52pm
 

s4u.. :P

16.acha ye to bta dein k aap ki forum pr kitni ids hain?:D
seriously sif aik.... :D

17.kis chez ko superior samjhte hain aap deserve ya desire?aur kiu?
is ka jawab "deep philosophy" hai... :)

aesay sawalon ka jawab life deti hai.....
deep philosophy ki zaroorat us wakt parti hai jab koi "influencial mistake" karnay ja rha ho.... :)
aapki abhi "guriyon" se khelnay ki age hai.... :D
aap aesi baatain apnay zehan se nikallll dainnn... :D
ap suits. makeups, jewlry ki baatain socha karain.. :D

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 12:04pm
 

s4u ka interviw.... :P


18.aap ki kuch esi aadatein jin se hume kuch seeekhne ko mile?
apni kamzorion ko hamesha pehchantay rehna chahiey

19.aqal ka darya muhabbat k khaiton ko kese sairab krta hai?
:D :D
apki jitni sahelian, behnain, bhai, parents, relatives hain woh apki mohabbaton k khait hain.....in sab se pyar karna sab se bari aqalmandi hai...

20.aap ki nazar me wo kese log hain jin pr aitbar kia jana chahye?
apkay parents aur sibblings....... :D

21.aksar khawateen dosron ki bat ka humesha ghala matlab nikalti hain.aap kia kehte hain wo esa kiu krti h?
isliay k woh samajhti hain k woh sab se ziada aqalmand hain baki sab pagal hain...:D
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 12:10pm
 

maryam sis... :)




3-agar ab aap ko apna nick change karnay ka moqa milay to aap kiya nick rakhna pasand karaiN aur aap k khayal meiN kiya nick names bhi insaan ki personality describe kartay haiN ?

insan ki pasand ma uski poori psychology bolti hai.... .. :)
ab chonkeh nick change nahi ho sakta tau "wishful" nick sochnay ki zarurat nahi hai qk baharhaal mera nick kisi ko nuksan nahi pohancha rha.. :D:D:D
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 12:14pm
 

shagirdi


1- moallim aur muta.allim meiN se konsa status aap ko zyada pasand hae (aap k hawalay se )

dono pasand hain..... shagirdi bhi "seekhni parti hai"..... acha shagird yakeenan acha ustad banta hai......... wesay tau insan sari zindgi shagird hi rehta hai, lekin shagirdi k bhi kuch levels hain jo clear ho jain tau apnay se neechay walon k liay insan ustad ban sakta hai....

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013