info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 12:22pm |
|
|
grooming
2-wese to har insaan deen e fitrat par paida hota hae lekin waqt k sath sath us ki grooming bhi bohat zaroori hoti hae. aap k khayal meiN aik muslim child ko kis tarah groom kiya jana chahiye aur us ki grooming mein zyada kirdar kis ka hota hae ?
meray khiyal se rizwibhai ko ma iska reply kr chuka hun..... :) meray khiyal se sab se ziada "infradi ustad" ka kirdar hota hai..... agar woh aesa "alim" ho jo saddion ka safar "dinon" ma teh kra sakay tau yeh Allah ka ahsan aur insan ki kismat hai... jin logon ko "achay ustad" nahi miltay, woh "dhondnay" ki koshish karain tau mil saktay hain.......... ajkal tau "aik click" par hidayet k zakheeray hain net par, ......... jin logon nay hidayet hasil karni hoti hai, woh har jgah hasil kar letay hain, qk un ma "talash" hoti hai.......... insan apni "fitrat ko hi talash"karta hai..... exceptionals exclusive
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 12:23pm |
|
|
oho aapki tbiyat theik nahi.Allah tala aapko shifa de. wese jb se meri Dadi Ami Allah ko pyari hoi h mojhe bhi osi din se bukhar,zukam & khansi hai.aram farma farma kr thak jati hon is lie net pr jasosi krne aa jati hon:D
wese main itni bari jasosa nahi hon.aap dariyein mat.
baqi sawal rat me krti hon:)
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 12:29pm |
|
|
......plz koi ghalat mat samjhay.. wesay ham pakistanion ki aik kamzori yeh bhi hai k ham kisi ko "had se ziada izzzat" de kar kharab kartay hain, aur kisi ko "beghair kisi wja se ignore kar k kharab kartay hain... :)"
kisi se maroob ho jana "khud aik kamzori hai" iska dusray lafzon ma yeh matlab bhi hota hai k "falan bahut naik hai, ham us k jesay nahi ho saktay.."....(yeh statement sirf aam insanon k liay hain, peghambar AS aur dusray khas log is se mustasna hain......zahir hai ham kabhi bhi peghambaron ya un k janasheenon k level tak nahi pohanch saktay)
ajkal k har insan ko Allah nay peda farmaya hai, aur yeh soch hi Allah ki shan k khilaf hai k koi khud ko "kamtar" samjhay.... :), qk Allah ki takhleeq ma aib nahi ho sakta... aib insan ki soch ma ho sakta hai.. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 9:42pm |
|
|
masha Allah info bro... apnay wakhray sawaaloun k wakhray.tar jawaabaat day kar dil khush kardia....... iss qism k "bay.fazool" threads (s4u say maazrat k saath) maiN ainwaeeN say sawaalaat k bhi apnay "meaningful" jawaabaat day kar issay bhi aik kaam ka thread banaa dia hai........aur hona bhi yehi chahiyeh gup shup ho ya ilmi bahas, sanjedah sawaal jawaab houn yaa chit chat...har moqay pay koi nah koi kaam ki baat ki jsakti hai aur ki jaani chaahiyeh.
jazak Allah bro |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 11:08pm |
|
|
agreed to rizvi bhai . info bhai : Allah pak aap ko sehat atta farmaye . abhi aap ki tabiyat kaisi hae ? |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 11:32pm |
|
|
Asslam o Alikum Wrwb Subh Bakhair.
Rizvi uncle maine aik thread me kaha tha k koi bhi insan fuzool me kuch nahi likhta ya lambi lambi posts nahi krta. isi trha chatting me koi bhi thread ho to os me aap is kism ki discussion kr sakte hain jis se baqi logon ko bhi faida ho jb wo read karein.
aksar log bewaqof ko bewaqof hi samjhte h lekin kabhi yehi bewaqof bhi aqalmandi ki bat kr dete hain.isi lie kisi ki post ko maine kabhi fuzool nahi samjha:)
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 4:47am |
|
|
s4u................. AREY WAH WAH WAH S4U.........:)
"aksar log bewaqof ko bewaqof hi samjhte h lekin kabhi yehi bewaqof bhi aqalmandi ki bat kr dete hain"..........clapping... :D:D:D
agar koi bewakoof aqalmandi ki baat na bhi karay tau bhi Allah ki koi bhi takhleeq hikmat se khali nahi hai.......agar dunia ma bewakoof na hotay tau "aqalmandon" ki pehchan kesay hoti?
"hidayet" insan k ander hoti hai jissay woh bahir talash karta hai....... jis k ander "gumrahi" ho ussay har chiz gumrahi sikhati hai...
jis k ander "hidayet" (aqalmandi) ho, ussay aik machar bhi katay tau ussay hidayet hi nazar ati hai......yani.. ma itna takatwar aur baikhtyar insan ho kar, apni tamam tar technology k sath bhi is "nanni makhloq" k agay bebas hun, lehaza mujhay takabbar nahi karna chahiey, ajiz rehna chahiey, yakinan Allah nay mujhay pegham dia hai k ma baikhtyar hun tau Allah ki hukam se hun, aur jab woh chahta hai mujhay bebas kar deta hai..............lehaza Allah se dosti kar leni chahiey.... :)
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 4:54am |
|
|
rizwi bhai aap ka izzat afzai ka shukria....... koi bhi sawal fazool nahi hota agar uski koi simt ho....... :)
wesay kia mujhay ap se kuch sawalat karnay ki ijazat hai? :D
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 5:03am |
|
|
maryam sis...... Allah ka shuker hai aj kuch behtar hun........ :)
wesay agar aap mind na karain tau aik baat kehna chahta hun....... :)
meray khiyal se "aap ko naseehat" karna time waste karnay wali baat hai... :)
woh aesay keh..
jo hidayet ko taalash karta ho, ussay naseehat karnay ki zarurat nahi hai qk woh khud hi haqiqat tak pohanch jata hai......apki misal aesi hi hai..
jo ziddi gumrah ho ussay bhi naseehat karny ki zarurat nahi hai qk us nay kabhi nahi manna.....
naseehat karnay ki zarurat ussay hoti hai jo "misguided ho" ya "haqiqat se laparvah" ho, ya "tabahi" k rastay par la ilmi ma chal raha ho, ussay "khenchnay" ki zarurat parti hai....... in logon ma se "kuch" log hotay hain jo naseehaton se asar letay hain... |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 5:35am |
|
|
info1234 bro most welcome sir ... ap mujh samait kissi say bhi aur kuch bhi pooch saktay haiN... iss main poochnay ki kia baat hai :)......waisay yeh yaad rahay k yeh thread ap say poochnay k liyeh hai. agar apnay hi poochna shooroo kardia to hamaray baaz 'ahbaab' ko naa.gawaar bhi feel hosakta hai k thread ka rukh moRa jaraha hai lol |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 6:20am |
|
|
forbidden error aksar meri post appear nahi hoti aur forbidden error aa jata hai.. jesay abhi ma kitni dair se aik post kar raha hun lekin nahi appear ho rhi..... |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 6:21am |
|
|
...:( jo useless post hai woh appear ho gai... jo kaam ki post thi woh nahi ayi |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 6:23am |
|
|
perfect log..... maryam sis k kal walay sawal k jawab ko agay barhatay huway......
wesay tau koi bhi insan perfect nahi hota.......
lekin apni qualities ko pehchan kar apnay weaknesses par ghalib anay walay logon ko relatively perfect log kaha ja sakta hai..
generally 2 kisam k log perfect hotay hain......(exceptions exclusive) aik woh log jinki tarbeeyat balanced aur behtareen tarikay se ho, aur unhay sazgar halat bhi muyassar hun.......(yahan tarbeeyat se murad deeni tarbiyat hai........)
dusray woh log jo samajhdari ki umer tak pohanch kar "asmani ilme wahi" ko samajh kar apni zindgi ma apply kar dain.......
pehli kisam k logon ka taluk kismat se hai, aur bahut hi kam logon ko yeh naymat hasil hoti hai.......
dusri kisam ka taluk "fitrat" se hai... har insaan ki fitrat wohi hai jissay "ilme wahi" ma bian kia gya hai..... qk asmani ilm ka "ultimate muallam" wohi zaat hai jis nay insanon ko peda kia hai... lehaza jo log apni fitrat ko masakh nahi kar detay, unkay liay har wakat "asmani ilm" se faida utha kar "perfect insanon" ma shamil honay ka moka mojud hai. jo zindgi k kisi bhi hissay ma hasil kia ja sakta hai.... iskay liay bachpan ki tarbeeyat bhi kuch zaroori nahi hai........iskay liay sazgar halat insan ko khud peda karnay aa jatay hain..
lehaza koi bhi insan apni tarbeeyat ko apni deen se doori ka ilzam nahi de sakta... tarbeeyat yakinan insan ki shakhsiat par bahot gehra asar dalti hai.......... lekin "aqil baligh" honay k bad insan apni tarbiyat khud bhi kar sakta hai, agar woh "asmani ilm" ki qadar pehchan le.......
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 6:24am |
|
|
shuker hai.... :)
|
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 6:37am |
|
|
rizwi bhai yeh thread meray naam ka hai, tau is ma mujhay kuch bhi likhnay ki ijazat honi chahiey.....:Dma nay pehlay bhi kaha tha k ma personal interview ki bjaey tehqeeqi interview dena pasand karon ga, tau meray khiyal se mujhay un sawalon k jawabat denay ka bhi ikhtyar hai jo mujh se poochay nahi gayay.....is k ilava kisi dusray se bhi koi bhi sawal karnay ki ijazat hai..:D .... ...... chalin phir shuru kartay hian......
sawal 1......... aap k khiyal ma ajkal k aam musalmano ma aur ulema ma doorian q barhti ja rahi hain? is ki zimedari ulema par hai ya aam musalmanon par?
sawal 2........ Allah ka naaam lenay walay, aur Allah k deen ki perwi karnay walay logon ma nafratain q barhti ja rahi hian? yeh nafratain insanon se hain ya buraiyon sy? jab Allah k deen ka dars denay walay log, insanon se mohabbat ka dars detay hain tau dusray ki buraiyon ka pardah q nahi bantay? dusron ki buraiyon ko point out q kartay hian?
sawal 3........ kisi musalman ki burai ya ghalti mehsoos kar k, kia tareeka ikhtyar karna chahiey? |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 6:40am |
|
|
filhal 4 sawal hi kafi hain... :D sawal 4..... agar society k logon ma bari bari khofnaak buraiyan bhi hun, aur chand choti choti mamooli buraiyan bhi hon, tau kia choti khamion par target karna chaiey? ya choti khamion ko nazarandaz kar k bari khamion ko target karna chaiey? |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 6:41am |
|
|
s4u s4u aap k "jasoosi sawalon" ka mujhay intzar hai..... :D |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 6:54am |
|
|
jo sawal poocha nahi gaya... :D ma apnay baray ma aik baat zaroor btana chahun ga......
woh yeh k ma yahan apni qualification ka ziker kuch reasons par karta hun....
1....jo log samajhtay hain k duniawi ilm hasil karnay walon k pas deeni ilm hasil karnay ka wakt nahi hota, deeni ilm hasil karnay walon k pas duniawi ilm hasil karnay ka wakt nahi hota, woh sab log GHALAT hain........... iska aik chota sa jawab hai.....USTAD......
2..... jo log samajhtay hain k duniawi ilm insan ko deen se dur kar deta hai woh log jhoot boltay hian............. insan ko har chiz ma apna hi chehra nazar aata hai...... jin logon k dilon ma kufar ho, unhay scientific knowledge ma bhi kufar nazar aata hai........ jabkeh musalmanon ko kainat ki har chiz ma Allah ki nishanian nazar aati hian...
ma apnay baray ma yeh kehna chahta hun, k mujhay apni talib e ilmi k zamanay ma, science ki har feild ma "quran ki tafseer" nazar ati rahi hai.....
insan ko aur is kainat ko aik Allah nay peda kia hai, lehaza insan k andar ki dunia aur bahir ki dunia aik hi jesi hai, bahir ki dunia ko sceince bhi kaha ja sakta hai......... aik teesri chiz hai "ilm e wahi" woh bhi usi khaliq ka sikhaya gaya hai............
haqeeqat ma, "haqeeqi alim" woh hai jissay ilme wahi hasil hai, aur "haqeeqi jahil" woh hai jo ilme wahi se mehroom ho....chahay us nay kitni hi "maloomat" hasil kar rakhi hun.. |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 8:57am |
|
|
masha'allah subhaan allah Info bro aap ny buhat khoobsorti sy sab sawalon k answer kiye hain parr ka maloomat main azafa ho raha hay ..iss liye socha k mazeed maloomati azafy k paish-e-nazar main b aap sy aik sawal kar loon agar aap jawab daina munasib samjain to...
hum kisi b cheez par apna haq-e-tsaraf zahir karny ki gharz sy kehty hain k "yeh meri cheez hay" ya ye saman mera hay" etc ..maslan hum kehty hain k yeh qalam mera hay , ye computer mera hay etc etc..iss bat sy yeh zahir hota hay k hum alag hain aur yeh qalam ya computer aik alag cheez hay ...tabi to iss par hum haqq-e-tsarf zahir karty hain yani malkiyat zahir karty hain .....!!
issi trah sab apny jism ki traf ishara kar k kehty hain k "yeh mera jism hay" ..yahan b agar do cheezon k alag alag hony k formula ko madd-e-nazar rakha jaye to phir aap sy swal yeh karna chahon ga k ..
wo kon hay jo kehta hay k "yeh mera jism hay"..?? yani "wo" koi alag hay aur uss ka "jism" alag hay ..tabi kehna parrta hay k "yeh jism mera hay"?
ummeed hay main apni bat samjhany main kaamyaab ho geya hon ga ..agar alfaz ki selection ya andaz-e-tahreer k sabab meri baat clear na ho rahi ho to main mazrat khuwa b hon aur dobara sy apni baat mazeed asan tareeqa sy paish karny ki koshish b karon ga....thanks |
info1234
|
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 9:51am |
|
|
diplomat bhai
apka sawal 100% samajh ma aa gya... :) aur is sawal ka jawab denay ma meri hesiat kisi scholar ki nahi hia.... balkeh ab tak mujh se jitnay bhi sawal huy hain un k jawabat detay huway meri hesiat kisi scholar ki nahi thi balkeh AIK AAM SY DARJAY K MUSALMAN ki thi jo apni raey ka izhar kar rha hai... ap k sawal ka jawab detay huway bhi ma aik aam sy darjay k musalman ki hesiat se apni raey ka izhar karon ga.
"woh cheez hai khoodi"
farz karain aik admi apni car ma lahore se peshawar ja raha hai...... logon ko road par "aik aqalmand" car nazar aa rahi hai jo bari danishmandi se moka munasibat k hisab se kabhi apni speed barhati hai, kabhi neutral ho jati hai, kabhi turn leti hai, kabhi kisi car ko khubsurti se overtake karti hai, kabhi kisi ko rasta deti hai, waghera waghera..... tau sab log jantay hain k car ma koi aqal nahi hai, car ma sirf chand khasusiat hain jinhay iska driver bari khubsurti se istemal kartay huway kamal dikha rha hai....... lehaza... car, aur car ka driver 2 alag "chizain ya ashia" hain.... yeh dono lazim o malzom bhi hain qk woh driver akhir kaaar 2 ghantay ma lahore se peshawar janay k liay apni car ka mohtaj hai....aur car se driver nikal dain tau car aik lohay ka bejan dher hai jo khud start bhi nahi ho sakti.
yehi hisab insan ka hai.. "asal insan" woh hai jiski takhleeq alam e amar ma ho chuki hai.... is dunia ma insan k liay "aik behtareen machine" tyar ki gayi hai jis ma "driver" bana kar usi "asal insan" ko qaid kia gya hai.....aur wohi ander se "posession" show karta hai, mera hath, meri ankh....... yeh batini insan aur zahiri jism bhi is dunia ma apas ma lazim o malzoom hain, is dunia ki zindgi k liay "batini insan" zahiri jism ka mohtaj hai qk kisi "jism" k baghair nmaz nahi parhi ja sakti, na hi roza rakha ja sakta hai, na hi "takleef ki azmaish, kamzorion ki azmaish, zarurton ki azmaishon" ma poora utar kar apni loyalti show ki ja sakti hai....... lehaza, is batini insan ki apnay Rab se loyalti us wakt sabit hoti hai jab woh apnay zahiri jism se yeh sabit kar k dikhata hai.........aur is zahiri jism ki kia hesiat hai, jesay hi "batini insan" bahir nikla (rooh parwaz kar gai), is jism ma foran toot phoot shuru ho jati hai aur matti ka dher...!
|
|