Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Aik Sham Info1234 Ke Naam (Worth reading )

Non Medical Discussion
 
 
 
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:14th Jan 2011, 6:02am
 

phir milain gy inshAllah.... :)

sab members se partially Allah hafiz....:)

is week se meri routine dubara se masroof ho jaey gi, aur mujhay forum par anay ka bahot kam wakt mila karay ga, shaid weekend par... ... wesay is thread ma filhal ma kuch arsay tak active hi rahun ga

jab yeh thread start hua tha tau mujhay s4u k "sawalon" par hansi bhi aa rahi thi, aur herat bhi ho rhi thi.....lekin bad ma sanjeeda topics p baat kartay huway mujhay mehsus hua k jaisay yahan mujhay apnay khialat k izhar ka moka mil rha hai, aur shaid meri writings kisi ko faida bhi pohancha sakain....usi niyat se ma yahan likhta raha, k chahay beshak koi aik bhi parhna pasand na karay, kamazkam mujhay aik khushi milay gi keh aik pakistani forum par urdu ma bhi kafi kuch likh chuka hun....

s4u sis aap ka interview bahot bahot acha laga.... :)...agar aap kisi baat se hurt huin tau us k liay sorry...:P .. wesay meray khiyal se ma nay apko hurt karnay wali koi baat nahi ki..... :)..... baki baatain ap se ainda hongi.... :)

maryam sis apkay technical points, bahot directive hotay hian, ap meri sari posts parhti rahi hain, yeh meray liay herat angez bhi tha, encouraging bhi.....:)...ap k liay special msg... k ma kisi ki "khoobi" ki tareef us k samnay nahi karta, qk agar ussay apni khoobi ka "ahsas" ho jaey tau uski khoobi mand parnay lagti hai....:)

myrizwi bhai, ap ki participation hi aik honour thi... :) ap k "jawabaat" ka intzar rahay ga... jin logon ki orientation mamlat suljhanay ki janib ho, un sy ma isi kisam k sawalaat poocha karta hun....qk meray khiyal se aesay karnay ma bahot saray faiday hain.....woh faiday konsay hain, apko iski wazahat pesh karna wakt zaiya karnay wali baat hai...:)

Eaglefly brother, apka is thread ma involve hona meray liay bahot ziada khushi ki baat thi, mujhay mehsoos hua k ma "sahi baat" kar raha hun, jo ap jaisay active mind ko appeal kar rahi hai.....

diplomat bhai.... ap har martaba sharminda kar detay hian....:)....ap nay bhi meri itni lambi lambi posts parhnay k laeeq samjheen, :)

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:15th Jan 2011, 2:42pm
 

s4u sis........

arey s4u aap nay reply nahi kia..?

lagta hai aap kafi bz hain...... :) ....lekin yeh bhi tau ho sakta hai k apko meri dant buri lag gai ho???? mujhay tau nahi pata....... aur na hi ma kisi k baray ma guman kia karta hun...:P ... anyway agar aap bz hain tau koi baat nahi, aur agar "naraz" hain tau phir tau bht ghalat ho gya na...... :( ......

actually ma soch rha tha k interview mera ho rha hai, lekin sawal ma sab se poochnay laga hua hun..... :P ... tau s4u tau reh hi gai...... ABHI MA APKA INTERVIEW LENAY K LIAY KUCH SAWALAAT LE KAR AAYA THA...:D .... lekin aap tau ghaib hain....... kal meri last holiday hai... :(:(:(

ap yahan reply krain tau ma apka bhi sar ghumanay ki koshish karta hun.... :)

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:15th Jan 2011, 2:44pm
 

myrizwi bhai

rizwi bhai apkay answers ka intzar hai.... :)

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:16th Jan 2011, 12:39am
 

Info Bhai

I am sorry phir se late reply kr rahi hon.ab aj achanak hi forum pr ai to dekha tussi jarahe ho.hum sab ko akela kr k...:(
maine beech beech me buhot si na-laiqiyaan ki hain.aap ki sari posts ko read nahi kia.bas jo sawal kie on k jawab parhe aur bas.......mera dil buhot buhot krta tha k hr aik sawal pr sawal uthaon.lekin.....:(
masrofiyat hi kuch esi ho gai k yahan time nahi de pai.ab bhi aapko reply krne k lie login hoi warna pta n kb hoti......khair aapka buhot buhot shukria aap ne yahan time dia .aik time hi insan k pas buhot hi qeemti cheez hoti h,agar time ko kisi achi baton me ache kam me lgaya jae to aap k is qeemti waqt se buhot logon ka faida hota hai.

main aapki kisi bhi bat se hurt nahi hoi...mojhe hurt krna zaror ata hai magar hona nahi....main dheet hon zara itni jaldi hurt nahi hoti...:))

aapka dantna mojhe acha lga.meri age ki larkiyon ko beshak itni gehri sochon me nahi dobna chahiye....lekin kuch logon ko sakoon hi tab milta hai jb wo hr aik bat ko gehrai me le kr jate hain....aur chahe hum ye koshish kr lein k ab nahi sochein ge kisi k bare me ya koi bat to ye insan k bas me nahi hota...aik nature hai ye.

aik bar na main kafi bimar ho gai thi.to maine yahan k hr ache doctor ko dikhaya.to sab ka kehna yehi tha k main sochti buhot...:D
soch soch k apni halat khrab kr deti hon itni adat hai sochne ki...bari koshish ki k khtam kr don is adat ko lekin nahi hoti.:)

aap mojhse sawal krna chah rahe hain....???
mojhe sawalon se dar lgta hai.is lie main khod hi sawal krti hon kisi ko moqa nahi deti...hehehe
last me yehi dua kron gi k Allah tala aapko dunya me aur aakhirat me kamiyab kare.ameen

thanx once again



s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:16th Jan 2011, 12:59am
 

Info Bhai

"jab yeh thread start hua tha tau mujhay s4u k "sawalon" par hansi bhi aa rahi thi, aur herat bhi ho rhi thi."

ye btaein k hansi kiu ai aur herat kiu hoi?
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:16th Jan 2011, 4:42am
 

info bhai

jazakAllah & Alhamdollilah :) aap k replies se maine hamesha more & more gain kiya hae . kanwal ka phool keechaR meiN reh kar bhi phool hi rehta hae aur sab ki attention attract karta hae . maiN forum pe participate karoN ya away houN lekin kuch membesr aise haiN jinhaiN maiN regular read karti houN . u r one of them .

jahaN tak tareef se khoobi maand paRnay wali baat hae maiN is se 100 % sehmat houN . kyuN k aik time hota hae jab insaan sirf  Allah pak ki raza aur apnay dil ki khushi k liye likhta hae lekin agar us meiN tareef shamil hojaye aur musalsal hoti jaye to phir likhnay se pehlay 10 martba apnay dil ko bhi TaTolna paRta hae k kahin is meiN raya to shamil nahi hogai . kahiN maqsad Allah ki khushnoodi ki bajaye tareef ka hasool to nahi hogaya. tab dil se likhna bohat mushkil hojata hae kyuN k kisi bhi kaam ki asal khoobsurti tabhi qaim rehti hae jab woh dil se kiya jaye.  bas dua kiya karaiN k Allah pak humaiN in ilfaaz k sahi istemal ki bhi taufeeq ata farmye (ameen).

jahaN rahaiN khush rahaiN aur Allah pak ki amaan meiN rahain . aap k liye DheroN duaen :)



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:16th Jan 2011, 8:17am
 

thanks info g..:)

but aik bat ki samjh nahi ai k main ny aysi konsi baat likh di jis sy aap shirminda ho gaye ....:PPP


info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:16th Jan 2011, 11:35pm
 

maryam sis.......


aap ki post parh kar aesa lag rha hai jesay yeh sab ma nay hi likha hua hai... :)
bilkul aesa hi mehsus hota hai, ham sab kamzor insan hain, aur inhi kamzorion ma dhoka ho jata hai aur sochna parta hai k ham kahin raya kari tau nahi karnay lag gaey....aur hmaray pas time bht kam hai k ham kaam karnay ki bjaey, beghair wja tareefon ma wakt zaiya kartay phirain......wesay bhi, koi achi tasveer tareef k laiq nahi hoti, balkeh us achi tasveer ka artist tareef k laiq hota hai.....bilkul isi tarhan, koi insan impressive hai, tau tareef k laiq us ka khaliq hai jis nay ussay peda kia......kisi musalman ka character impressive hai, tau tareef k laiq Nabi e kareem SAW hain, jinki seerat e mubarika hi asal ma woh markaz hai, jis ka aks uskay character ko impressive bna rha hai...


ma yahan bahot kuch likhna chahta hun, lekin yahan sirf chand members k ilava, majority ka religious level aur perception level kafi low hai, aur woh na samjhi ma ghalat matlab nikal kar asal baat ko kahan se kahan pohancha dain gy......isliay bhi ma yahan bahot kuch nahi likhta, jo is wakt muslims ko pata hona chaiey.....yahan aesay topics p larai jhagra hota hai jin par ma bahot kuch likhna chahtay huway bhi thread ka flow dekhtay huway kuch nahi likhta.

pakistan ma abhi tak koi aesa influencial public forum nahi hai jahan mukhtalif classes k log ikathay hon, aur pakistani community k problems discuss hon.... Noorclinic is noyiat ka wahid forum hai jo medical forum k ilava bhi aik ideal national forum k tor par emerge ho sakta hai, lekin filhal aesa nahi hai, aur filhal yahan k kuch members aesay hain jin k samnay khamosh rehna behtar hai...yahan aesay members bhi kam hain jinki raey logically backup karti hai...isliay filhal yeh forum medical problems ki had tak hi kafi hai...

ap aur ap jesay members dekh kar khushi hoti hai.... :)

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:16th Jan 2011, 11:59pm
 

s4u sis...yeh hoi na baat.. :)

maine beech beech me buhot si na-laiqiyaan ki hain.aap ki sari posts ko read nahi kia.bas jo sawal kie on k jawab parhe aur bas

yeh tau ap nay bahoot acha kia... :) .... abhi apki "tension free" rehnay ki age hai, abhi yeh baatain ap k matlab ki hian bhi nahi...:)


ap ko kuch bhi bura nahi lga, bahot achi baat hai... :).... mera bhi yehi khiyal tha k aap bz hongi...
aur itna ziada sochna achi baat nahi hoti, bahot ziada sochnay se blood brain ma hi ikatha rehta hai, baki body ma theek se flow nahi karta jis sy bp low ho jata hai, aur immunity theek se work nahi karti.....shaid isi wja se bhi aap ziada bimar rehti hain....:)
agar apko ziada sochnay ka shok hai, tau apni soch ko kisi constructive purpose ma use karain...:)
behtar hai k koi achi informative book parh lia karain, achay programs dekha karian, achi recipes par cooking kia karain, quran parha karain, apnay zehan ko khali mat chora karain....:)


ye btaein k hansi kiu ai aur herat kiu hoi?

hansi isliay ayi k ma personal sawalon k jawab nahi dia karta lekin ap nay aesay style ma sab kuch poocha k ma reply kiy beghair reh hi nahi saka, aur ma nay decide kia k s4u jo bhi poochay gi jawab zaroor donga... :)
herat isliay hui k ma regular member bhi nahi hun, senior bhi nahi hun, phir meray baray ma kisi ko "jannay" ki kia zarurat hai...:)

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:16th Jan 2011, 12:03pm
 

to Info Brother

"ma yahan bahot kuch likhna chahta hun, lekin yahan sirf chand members k ilava, majority ka religious level aur perception level kafi low hai, aur woh na samjhi ma ghalat matlab nikal kar asal baat ko kahan se kahan pohancha dain gy"

shaid hazrat alama iqbal ka aik shair hay k

"tundi-e-baad-e-mukhalif sy na ghabra ey aqqab
ye to chalti hay tujhy uncha urrany k liye"

iss liye aap janab sy appeal hay k aap yahan likhain ..zaroor likhain ..kisi aur k liye nahi to muj jaisy kam ilam k liye to zaroor likhain ...agar aap iss dar sy yahan nahi likhty k shaid aap ki bat ko ghalt meaning dy diye jaien gy to aik baat aap k gosh guzar kar doon k yahan har koi nahi to na sahi laiken aksar afrad ko koi na koi bat sochny par zaroor majboor karti hay aur apna asar b dikhati hay (as per maryam saying ) aur yahi aik writer ki khoobi aur kaamyabi hoti hay k uss ki kahi gayee ya likhi hoi baat apna asar dikhaye ya kam az kam sochny par majboor kary ..

iss liye ho sakta hay k sochny walon main sy aik main b hoon ....:)
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:16th Jan 2011, 12:40pm
 

s4u sis... apka interview

s4u ab apka bhi interview ho jaey....:D

ghabrana nahi ok? theek se jawab dena.... :D

1) chotay bachay angootha choos k khush hotay hain, apko apna dimagh choos k ziada maza ata hai ya hansi mazak kar k?
2) jo larkian bahot sensitive hoti hain, unki life kesi hoti hai?
3) bahot ziada sochnay se enjoyment feel hoti hai ya uljhan?
4) agar koi choti si problem ho, us par bahot socha jaey, tau woh problem bari nazar anay lagti hai ya choti?
5) serious honay ma, aur udas honay ma kia fark hai?
6) life se satisfied aur khush hona, apni marzi se enjoyment karna, aur kisi chotay sy maslay ki wja se pareshan ho kar udas bhi ho jana, yeh nature hoti hai ya kisi wja se adat ban jati hai?

ab dekhtay hain s4u kia karti hai..... :P

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:16th Jan 2011, 12:48pm
 

diplomat ji....:)

apka encourage karnay ka bahot bahot shukria....:)

apki baatain bilkul darust hain....

lekin mujhay sab se ziada dar kisi ko misguide karnay se lagta hai........ koi meri wja se misguide ho jaey, mujhay is se bahot dar lagta hai....

ma aksar apnay expressions ma sayedena Ali Murtaza KAW ki naseehat par amal karnay ki koshish karta hun jiska mafhum kuch aesa hai : logon se un ki samajh par baat karo, kia tum is se nahi dartay k Allah aur uskay Rasool SAW ko jhutlaya jaey?

tau kahin aesa na ho k kisi ki samajh kam ho aur meri kisi baat se misguide ho jaey.......

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:16th Jan 2011, 1:03pm
 

ary nahi janab

aysa nahi hota ... aap ko iss jumly ka matlab pata hay ..."wama alaina illal balagh" zara iss ka tarjma kar k ghore karain insha'allah bat clear ho jaye gi..:)
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:16th Jan 2011, 2:29pm
 

jazakAllah diplomat bhai

wama alaina illal balagh al amin

ji ji alhamdolillah mujhay iska matlab pta hai.... :)

"ham par siwaey sachai pohanchanay k aur kuch nahi"

baat tau apki bhi darust hai... :) achay wakt yaad dilaya......

yeh wohi contradistinction wali baat ho gai...... :)

yani hamain sachai ko pohanchana bhi chaiey, aur apni taraf se ussay asan bna kar logon ki samajh k mutabik bian karnay ki bhi koshish karni chaiey..... inshAllah ma amal ki pori koshish karon ga.....time bhi kam milta hai...

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:16th Jan 2011, 3:03pm
 

Info1234

Apky bary meah pur kur jan kur acha lugaa lakin yeh jan kur acha ni luga ky ap nay discussions meah jana posts meah reply kurnaa jo chor deya es thread kay elawaa bhe threads or discussion mojood hen ap edur odur bhe aya kurin yaha aty hen or bechly durwazy say nikul jaty hen chopky chopy ,
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:17th Jan 2011, 10:18am
 

thanks info g..:)

aap sy yahi ummeed thi ...:) aur yeh b ummeed ki jati hay k aap apni masrofiyat sy time nikal kar hamari malomaat main azafa karty rahain gy...insha'allah...:)
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:17th Jan 2011, 11:54pm
 

Dr Qasim....

welcome.. :)

ap ko yahan dekh kar bahot ziada khushi hui...:)

ma chupkay chupkay tau nahi jata, pora forum read kar k jaya karta hun.....:) ..... pichlay dinon kisi discussion ma bharpoor hissa nahi lia jiski reason ma nay ooper likhi hui hai, jabkeh ma farigh bhi tha, yeh mujh se ghalti hui....... diplomat bhai nay achi line yaad karwayi,..ab inshAllah jab time milay ga tau ziada se ziada topics ma bharpoor participate karnay ki pori koshish karon ga........ lekin abhi meri routine hectic ho gai hai, filhal kuch arsa tak mujhay sirf weekends par thora sa time mila karay ga....

wesay qasim bhai ap aksar bahot zabardast topics start kartay hian... ap k bahot saray achay topics mujh se miss huway hian, jo ma bahot arsay bad dekhta tha jab uski discussion khatam ho chuki hoti thi....

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:17th Jan 2011, 1:52pm
 

♥·´¯`·Re:

hansiye ga mat....:)

1) chotay bachay angootha choos k khush hotay hain, apko apna dimagh choos k ziada maza ata hai ya hansi mazak kar k?

dimagh chos k.kiu k hansi mazaq to hr koi kr leta hai.lekin dimagh buhot km log chosna jante hain...:D

2) jo larkian bahot sensitive hoti hain, unki life kesi hoti hai?

jo larkian sensitive hoti hain onki life buhot hi boring hoti hai.her aik bat ko feel krna,mind krna hr choti choti bat ko bara bna dena.ye sab batein os me hoti hain.aur wo halat ka muqabla buhot mushkil se kr pati hain.apni life ko khod mushkil bna leti hai.

3) bahot ziada sochnay se enjoyment feel hoti hai ya uljhan?

aksar uljhan. jb sochne k bad bhi kuch samjh na ae to uljhan hoti hai.aur phir ye soch ati hai k wo log kitne sakoon me hote hain jinhe na koi fiker hai na koi faka...lol


4) agar koi choti si problem ho, us par bahot socha jaey, tau woh problem bari nazar anay lagti hai ya choti?

buhot bari....zahir si bat hai agar koi choti si bat ko itna ziyada socha jae .dimagh khapaya jae to wo phir buhot bari problem bn jati h.aur choti si bat ko bara bnaney wale log aksar dimagh se pedal hote hain....:))
koi bewaqof hi choti bat ho bara kr deta hai warna aqalmand insan k lie to bari se bari bat bhi choti hoti hai.

5) serious honay ma, aur udas honay ma kia fark hai?

hmmm sanjeedagi ye insan me qudarti hi hoti hai.aur udasi ye waqt k sath sath ati jati rehti.....kabhi halat ese hote hain k aap onki waja se udas ho jate hain.lekin halat k badalne se mizaj nahi badalta.

6) life se satisfied aur khush hona, apni marzi se enjoyment karna, aur kisi chotay sy maslay ki wja se pareshan ho kar udas bhi ho jana, yeh nature hoti hai ya kisi wja se adat ban jati hai?

i think ye nature hoti hai....aur takreeban har insan esa hi hota hai.jise khoshi milti hai to khosh ho jata hai aur koi preshani aey to preshan.
adat tab banti hai jb aap khosh bhi hon aur sath ye bhi soch rahe hon k is khoshi k piche zaror koi preshani hogi.....)

dassu ji pass hon k fail?



info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:17th Jan 2011, 2:20pm
 

s4u

well done.... :)

agar ap in sawalon k jawab dena janti hian, tau iska matlab hai k apko yeh bhi samajh a gai hogi k ap sy ma nay yeh sawal q poochay hain? :P... hainaaa???

abhi ma ap k jawabon ka analysis karta hun

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:17th Jan 2011, 3:42pm
 

specially for s4u sis......

s4u...'dassu ji pass hon k fail'

apki age k larkay/larkian meray students hotay hian.... :)
apki age k larkay/larkion ko samjhanay ma kabhi kabhi sara din bhi sar marnay ka koi faida nahi hota...aur kabhi 5 minute bhi nahi lagtay...:)


ap ki intelligence aur liveliness bahot prominent hain, lekin apki "philosophy" apkay liay achi nahi hai, yeh apko bad ma nuksan pohancha sakti hai....... :)

ab apkay answers ka analysis...... :)

dimagh chos k.kiu k hansi mazaq to hr koi kr leta hai.lekin dimagh buhot km log chosna jante hain...:D


ab ap batain...k dimagh choosnay se faida hota hai k nuksan? nuksan karna achi baat hai k buri baat? ....:) ....apnay apna dimagh khud bnaya hai? ya ap k pas apka dimagh "Allah ki imanat" hai?....imanat ko hifazat se rakhna chahiey ya kharab karna chahiey?......:).... Allah nay apko "itna qeemti gift" dia, apko Allah ka gift nahi pasand? isiliay ap is gift ka satia nas karna chahti hian? Allah ap say apnay gift ki hifazat ka sawal karain gy tau ap kia jawab dain gi?

jo larkian sensitive hoti hain onki life buhot hi boring hoti hai.her aik bat ko feel krna,mind krna hr choti choti bat ko bara bna dena.ye sab batein os me hoti hain.aur wo halat ka muqabla buhot mushkil se kr pati hain.apni life ko khod mushkil bna leti hai.

hmmmmmmmmmm..... tau phir sensitive larkion ko apni life kesay set karni chahiey?....:)

aksar uljhan. jb sochne k bad bhi kuch samjh na ae to uljhan hoti hai.aur phir ye soch ati hai k wo log kitne sakoon me hote hain jinhe na koi fiker hai na koi faka...lol


kitni pyari baatain karti hian aap...:).... tau apko "fiker na faka" log achay lagtay hain, tau apko apnay liay yeh formula q nahi acha lagta?.... ap itni bari ho gai hain, kam az kam apnay aap ko tau lead karna seekhain.....:)...baray honay ka matlab hai, k ap par apki marzi chalay....yeh nahi k ap ki marzi k beghair hi apka zehan soch soch k pagal ho rha hai... apka zehan apka assistant hai, ussay qabu karain, k "apki ijazat k beghair" sochnay ma energy waste nahi kia karay..... :)

buhot bari....zahir si bat hai agar koi choti si bat ko itna ziyada socha jae .dimagh khapaya jae to wo phir buhot bari problem bn jati h.aur choti si bat ko bara bnaney wale log aksar dimagh se pedal hote hain....:))
koi bewaqof hi choti bat ho bara kr deta hai warna aqalmand insan k lie to bari se bari bat bhi choti hoti hai.


oooooo..... bewakoof hona achi baat hai ya aqalmand hona?.... :)..... sab kuch samajhtay huway bhi ghalti karna kesa hai?...:D:D

hmmm sanjeedagi ye insan me qudarti hi hoti hai.aur udasi ye waqt k sath sath ati jati rehti.....kabhi halat ese hote hain k aap onki waja se udas ho jate hain.lekin halat k badalne se mizaj nahi badalta.


very good......aik dunia insan k ander hoti hai, aik bahir... bahir ki dunia hmari marzi k beghair change hoti rehti hai...lekin ander ki dunia hmaray ikhtyar ma hoti hai...ander ki dunia ko udas, serious, khush yeh ham apni nalaiqi ya qabiliat se bnatay hain.....:)

i think ye nature hoti hai....aur takreeban har insan esa hi hota hai.jise khoshi milti hai to khosh ho jata hai aur koi preshani aey to preshan.
adat tab banti hai jb aap khosh bhi hon aur sath ye bhi soch rahe hon k is khoshi k piche zaror koi preshani hogi.....

nahi ji yeh sab sirf apko lagta hai......:)

nature pure water ki tarhan transparent hoti hai... is transparent water ko ap farigh para rehnay dain tau us ma smell peda ho jati hia.....colour dal dain tau usi colour ka ho jaey ga....poison dal dain tau poison ban jaey ga......jesa chahain bna lain.....aur isi ko agar achay purpose ma use karain tau fresh, pure bhi rahay ga aur dusron ko faida bhi de ga...
har insan ki nature pure aur transparent hoti hai..... especially young boys/girls ki nature tau bilkul intact hoti hai...aur yeh "open book" ki tarhan hotay hain......apnay environment ka bahot jaldi asar letay hain.... environment ka asar le le kar koi "udas feelings" ko pick karta hai, koi "aggression" ko, koi "non serious attitude" ko, waghera...
lekin jo samajhdar hotay hain, woh "apnay ander ki life" ko maintain rakhtay hain, tau un par environment ka ziada asar nahi hota....woh serious bhi hotay hain, humourous bhi hotay hian...issi ko "strong personality" kehtay hian..... strong personality develop karnay k liay mehnat karni parti hai....yeh pahar charhnay ki tarhan hai.... pahar charhtay huway insan slip ho kar seekhta hai....isi tarhan personality ko strong karnay ma bhi slip ho ho kar seekha jata hai.....aur agar issay mushkil kaam samajh kar chore dia jaey, tau insan sari zindgi environment k reham o karam par rehta hai, dusron ki help ka addict rehta hai.....emotional bhi, sensitive bhi, pareshan bhi, unsatisfied bhi....aur life mushkil...
tau life ko easy bnana bahot simple hai....:)
sirf decision lain, aur mehnat karain, aur.....
....."asman se nazil hui taleem" hasil karain...:).....asmani ilm apko bahot asani se sab kuch sikha de ga..... :)



1 2 3 4 5 6 7 8 9 10  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013