s4u sister......apka thread bahot hi acha raha...:) sab se achi baat yeh hai keh aap yeh sab kuch parh rahi hain....:)
ma detail main us sy baat karta hun jis ny koi faida gain karna hota hai....aur ap k baray main meri observation yeh bhi hai, k apko koi achi baat samajhai jaey tau aap bahot saray logon tak woh baat pohanchanay ki koshish karti hain.....lekin pta nahi apko meray "lectures" buray hi na lag rhay hon...:(
ap k topic ko end kartay huway kuch likhna chahta hun.....
pyar, mohabbat mangnay ki nahi, perfume ki tarhan denay ki cheez hai...pyar MANGNAY k liay Allah Talah ki zaat kafi hai....insanon ko pyar sirf DENA chahiey...
insan ko apnay sy sacha pyar karnay walay par bahot maan hota hai k woh uski ghaltion se bhi naraz nahi ho sakta....tau ham isliay bhi beparvah ho kar Allah Talah ki nafarmanian kartay rehtay hain, kiukeh hamain yakeen hai k ham jab bhi Allah se maafi mangain gy woh hmari ghaltian, nafarmanian maaf kar dain gy, aur ham sy kabhi naraz ho hi nahi saktay.......aur Allah Talah aesay hi hain.....sari zindgi ham gunah kartay rehtay hian woh ham se naraz nahi hotay.....YEH HAI SACHA PYAR......kisi insan ka pyar aesa ho sakta hai?
aur ham insanon ka "woh din" kabhi nahi ata, jis din ham Allah se maafi mang kar dosti kar lain.......kitni buri baat hai na?
aik admi na Allah Talah ko yaad karta hai, na apnay parents ka obedient hai, na apni family aur relatives ka khayal rakhta hai....logon se sirf apnay faiday k liay milta hai......woh admi kahay k "mujhay aik larki se bahot mohabbat hai, uski khatir kuch bhi kar sakta hun...."
ye admi mohabbat karnay wala hai? mohabbat ko yeh samajhta hai? ya woh admi jo dusron ko "dozakh" se bachanay ki fiker karta rehta hai ? jo Allah Talah ka farmanbardar hai, apnay parents ka, family ka, relatives ka, friends ka, sab ka dhyan rakhta hai.....sab logon se pyar karta hai....??
isi admi ma "perfume" hai, jo dusron ki khushi sochta hai....aur yehi admi apni wife ko bhi khush rakhay ga...
love and romance qissay kahanion ki unrealistic dunia ma rehnay se nahi hota, balkeh life partners ka practical life ki realities ko samajh kar aik dusray ka sath denay se hota hai...
aap sara din mehnat kar k apnay liay cake banain...sham ko apki friends a jain aur aap khaloos sy unkay samnay rakh dain...yeh bhi aik tarhan ka "romance" hi hai...aur yehi "deeni taleem" bhi hai.....:)
|