Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Media Per Larka Larki Acting Job: Islam Kya Kehta Hai?

Religion and Culture
 
 
 
honest.sincere Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 2  Post: 10  Age:  25  
Posted on:15th Apr 2013, 10:13am
 

Media Per Larka Larki Acting Job: Islam Kya Kehta Hai?

media jobs: iss ka answer dajiye. plz aoa mera app sy sb sy swal hai ky jb islam mei na mehrm sy bat krna bi mana hai glti sy nigah pr jay to nazr nichey krna ka hukm hai lrkey or lrki dno ko tu jo media py reality sth bedh kr as a acting bat krtey hain tu isla
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 14  Post: 669  Age:  24  
Posted on:15th Apr 2013, 12:28pm
 

honest.sincere

aap apni puri post karain please
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6661  Age:  54  
Posted on:17th Apr 2013, 12:01am
 

females ki acting /modeling /singing

1. yeh teenoun kaam HARAM aur sakh gonaah haiN... khaah koi female satge, radio, tv, film k kissi bhi zariyah say kaisi hi saaf sothri acting, singing, modeling karay... aurat ka naa.mahram mardouN k saamnay aan kar naachna, gana, adakari karna sab manaa hai

2. mard albattah acting bhi karsakta hai, singing (without saaz/music) bhi aur modelling bhi... agar in activities k dauran koi ghair islami kaam nah karay to
honest.sincere Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 2  Post: 10  Age:  25  
Posted on:17th Apr 2013, 4:34am
 

media pr larka lrki ki job:islam kia kehta hai

larko ko bi tu mana ha na mehrm lrki sth bedh kr bat krna? as a acting islam mei un ky lie kaisey sahi hai? or jo paisy milten hain dno k lie halal hon gy ya haram? detail mei ans djiye


Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4314  Age:  38  
Posted on:17th Apr 2013, 4:49am
 

honest.sincere: Post sahi se karain

mohtarma aap sahi se post karain. aap har baar Message box ki bajaye Title waly box min post ker rahi hai. jis ko forum ke members sahi ker rahey hain jo keh ghalat baat hai.

Title Bold hota hai aur Message box mei likhi huyee cheezain normal font mein. misal ke tor per aap mera post dekhain.



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6661  Age:  54  
Posted on:17th Apr 2013, 4:51am
 

dear honest

maiN nay yeh nahi likha k mard, khawateen k saath milkar acting kar sakta hai... aisa karna yaqeenan haram hai dono k liyeh... meray kahnay ka matlab yeh tha k mard, mardouN k saath yaa bachouN k saath screen par acting, modeling karsakta hai takay media /society ki zaroorat poori ho. screen par females ka aanaa hi HARAM hai...males ka as such aana haraam nahi hai... illah yeh k woh on screen anti islamic kaam karay. hope k ab apki tashaffi hogayee hogi :)

yeh meri zaati roy hai..agar apko FATWA chahiyeh to kissi darul aloom, darul ifta ya mufti say rabita karaiN ya online islamic forums say rajoo karaiN
honest.sincere Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 2  Post: 10  Age:  25  
Posted on:17th Apr 2013, 5:19am
 

thanks for reply

mery khilyal sy islam mei dno mei ek jaisa kanon hai. bachoun ,mrdun k sth tu bhot km krten hai or lrky na mehrm lrkiyu k sth as acting kam ni kr skty different rols jaisy husband n wife? boyfriend ky tor pr sth chlna hth pkrna yeh role zaida krty hain or paisy halal kehlien gy ya haram! or mei mobile sy posting krti hon ni hoti!
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6661  Age:  54  
Posted on:17th Apr 2013, 6:16am
 

na.mahram k sath acting

ki income donouN k liyeh HARAM hai... ajkal movies, tv drama, music programs maiN hissah lenay walay male n females donoun ki income haram hai

wallaho aalam bissawab
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 45  Post: 2469  Age:  48  
Posted on:17th Apr 2013, 7:33am
 

honest.sincere

BB ap poochna kia chahti hain?

is main aurat merd ki tafreeq ka koi sawal nhi hai

kuch kaam merd k liye jaiz hai aurat k liye nhi islam ka sahi mutalea hi merd aur aurat k feraq ko sahi wazea ker saakta hai

duniya ka koi bhi mazhab aurat ko woh muqam nhi deta jo islam deta hai lekin aurat khud ko us muqam se gira de to us ki hamaqat hai

kuch arab chanels per lerkiyan news caster hain lekin puray hijab main aati hain sirif face open hota hai aur us per bhi wahan k ulama etraz kertay hain

jab k humaeay han tofashion show ki model bhi news caster se peechay reh jain

myrizvi ne jo detail btaai ha wohi sahi hai k

merd acting bhi ker sakta hai modling bhi ( under wear ki na ho) ga bhi sakta hai bina saaz k ya sirif duff k sath

aurat aisa koi kam nhi ker sakti jis se na meram merd us ki teraf raghib hon

honest.sincere Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 2  Post: 10  Age:  25  
Posted on:17th Apr 2013, 10:14am
 

dear aram sy

jo app ko pta islamic ya hadees ky hwaly sy pta ho usi ky mutabik apny point djiye na k apny mrzi sy point of view dena shru kr dain. islam mei aurto ka kia mukam hai mujy bi pta hai or hr koi ek jaisa ni hoti alumdulallah mei zaida sy zaida kohsish krti islam k bty hoy rasty py chalti hon. or islam mei as a ismic scholar prdy mei reh kr any ki ijazt hai koi gunah ni is ki bari misal dr farth asmi hai check kr lena google pr.my rzvi ny to lrkiyu ko media py ana he sy mna kr dia agr wo islamic chanel pr prdy ky sth ay to koi gunah ni or bki jitny km hai acting modeling is zkt gunah hai
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6661  Age:  54  
Posted on:18th Apr 2013, 1:48am
 

post ka aghaaz

screen par naa.mahram k saath acting job k baray maiN islam kia kahta hai???

jab apko deen k baray main etna kuch maloom hai to apni info share karni thi...etni simple bat ko as sawal banaa kar time waste nah karteeN

sab kuch alag alag wazah hochuka hai k tv par males /females k liyeh kia haram hai, kia jaiz

female scholar ka tv par aakar tableegh karna...yeh main topic ka hissah nahi tha...yeh aik exceptional case hai... iss baray main bhi ulemaa ki 2 roy haiN

1) aik bara group of ulemaa yeh kahta hai k females sirf females k saamnay chahar deewari k ander aurtoun ko tableegh karsakti haiN... ya phir tahreer k zariyah...books, mags etc maiN ... woh radio aur tv channels k zariyah tableegh nahi karsakteeN k onki awaaz ka bhi pardah hai...

2) doosra aik chota sa group yeh allow karta hai k agar omar raseedah buzrug khawateen mokammal hijaab k saath tv par aan kar dars /lecture dain to iski gunjaish nikal sakti hai.... jabkay hamaray haaN to naujwan, haseen, khoob.soorat aurtaiN full make up aur attractive dresses k saath channel par aan kar deeni bataiN karti hain yaa makhloot deeni program maiN shirkat karti haiN...iss sya to fasaad hi hoga

wallaho aalam bissawab
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 45  Post: 2469  Age:  48  
Posted on:18th Apr 2013, 5:28pm
 

honest.sincere

koi ager perday main reh ker gunah kerta hai to zaruri nhi k wo sahi hai

myrizvi ne jo kaha hai woh 100% sahi hai

ap ko ager islam ko apni merzi se mold kerna hai to kerain forum per is ko discuss kiun ker rahi hain

aurat ka intehaai majboori main gher se baher aana jaiz hai aurat ki azadi k liye nhi

ap khud apnay hi sawal k chaker main arahi hain

jab islam ne kaha k merd arat ka ikhtilat jaiz nhi to jaiz nhi ap kuh bhi ker lo ya keh lo

honest.sincere Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 2  Post: 10  Age:  25  
Posted on:19th Apr 2013, 4:53am
 

title ky agaz mei likhi thi islam ky nazriye sy jwab djiye

hr ek ko islam ka kuch batien pta hoti hain or kuch islamic chanel or hadees parh kr maloom hoti hain is lie title ky agaz mei likhi thi islam kia kehta hai na ky yeh likhi thi ky ap kia kehty ho app wohi ans daiten jo islam ky point of view sy prha ho ya suna ho my rizvi ny sahi kha liken ab app galat keh rahy ho ky majbori mei bahir nikly wrna ni? larkiyan taleem hasil krny college, university ,coching center bi na jaey kia? hazro km hotey hain ami bazar ni ja skti to kon jaey ga ghr pr koi na ma or beti ho tu beti he jay gi bazar ghr ka sman lany? i dont agree with you oky or wo full bio mei bahir nikly tab bi jis ki nazar karab ho gi tu woh dekhy ga islam mei lrko ko galti sy nazar par jany pr apni nazr nichy krny ka hukum hai liken lrki abio yani burkey mei bi nikly to gor gor ky daikien gay .islam ny sirf lrko pr pabandi lgai hai agr un pr amal kry to zaida acha hai plz ab koi reply mt kajiye ga topic is closd jazkallah!
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4314  Age:  38  
Posted on:19th Apr 2013, 7:06am
 

Follow Eastern Culture

Western Culture
Western culture mei mard aur khawateen bilkul mix ho jaatay hai moqa ke lehaz se kam se kam libas balkeh kabhi beghair lebas bhi hotey hai aur aik dosre se jismani taluq bhi rakhtay hai.

Eastern Culture

Eastern culture mei aik had ke ander khawateen aur mard miltay hai. iss had mei poori koshish hoti hai keh jism uryaan ya neem-uryaan na ho aor mard/aurat ka body aik doosre se touch na ho.

Islamic Sharia
Agar Islam ki baat karain tu phir mard aurat ka bila wajah milna julna baat cheet kerna mana hai. aurat apna singhar aur khoobsoorat dresses bhi mard ko nahi dekha sakti.

Pakistani Culture
Pakistan mei mostly eastern culture ko follow kia jaata hai. albatta Islamic sharia ki bhi lahar chal pari hai. aur kuch gharanay mei sakht islami sharia ko follow kia jaata hai.

Ab faisla aap ne kerna hai keh aap konsa culture follow kerna chahti hai. agar aap meri pasand poochain tu mei yahi kahoo ga keh ham sab ko Eastern culture apnana chahiye. lehaza Eastern culture ka taqaza hai keh aik had mei rahtay huye media per kaam kya jaa sakta hai.

Lekin agar aap apne har act ko Easturn culture ke bajaye islamic Sharia ke hisab se dekhna chahti hai tau phir myrizvi saheb jo kuch keh rahe hai wahi sahi hai. mei ne pehle hi kaha keh mei zati tor se Eastern culture ko follow kerta hoo aur aap ko bhi mashwara doo ga keh Eastern culture ko follow karain. aur Eastern culture ke baaray mei mei oopar likh chuka hoo.
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013