glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:14th Jun 2012, 12:49am |
|
|
Shadi Shuda Log Or Un Ke Affairs AS SALAM OALIKUM
ye ek bht hi aam sam asla hai jo ghar ghar main mojod hai or muahray ka takreban her fard hi is masla ka shikar hai .................jaisa kay enternet or mobile phone her kisi ki dastars main hain or is ka miss use b bay daregh kai jata hai or is koi sharmindgi b nahi hai .........aaisa akser daikhnay main aya hai kay ek shadi shuda mard 4 ya 5 bachon ka baap or us kay posheeda affairssss...........phir us p us ka ye rona rona kay main apni shadi shuda zindagi se mutmahin nahi ..( 5 bachay kaisay ho gahay phir ye samajh se bahir hai meri ) us ki wife sara din kam main juti howi ho bachay palay ghar kay dosray afrad ka khayal rakhay or husband sahab kisi or ki zulf kay aser hon kia ye us mard ko zaib daita hai ?/or us orat kay sath ziadti nahi hai jo sara sara din ghark ay kam karay or phir do lafz pyar ko b tarsay ku kay wo lafz to mard kisi or ki jholi main dal aata hai to apni b.v kay liye kia bachay ga ..................
aaisi bht si examplr atraf main bikhri parihain aaisa ku hai or ek bat kay kia waqai wo apni b.v se bayzar hota hai ya just pause kar rha hota hai kisi or orat per us ki hamdardi or tawajo hasil karnay kay liye ????????
waqti tor per to wo apna dil behla laita hai magar us ki fitrat main ek orat per iktifak u nahi hai ????????
isi maslay ka dosra rukh ye b hai kay shadi shuds orat kisi or main involve ho jay wakti tor p hi sahi jab us ka hubby na ho aaisa bht se cases hain jo ird gird bikhray paray hain or in se mu nahi mora sa sakta
main tamam senior members se req karti hon kay wo is discussion main part lain or kindly phsyco doc bro se b kay is maslay ki nafsiati wajohat p roshni dalain thanks
|
fahad hussain khan |
Group: Members Joined: 26th Apr, 2012 Topic: 4 Post: 862 Age:
24
|
|
Posted on:14th Jun 2012, 5:16am |
|
|
glamour ap ne yahan mard ko necha sabit karne k liy post kiy hai yea topic.ap k topic yaqtarfa hai. bazahir jahan mard k affairs hain wahein p hi us orat k bh affair hai. mard our oorat dono mil k muashire ko bigar sakte hain sudhar bh sakte hain.aksr mars kiy bahir batk jate hain kiy k sukon name k koi chez inhe ghar main nh milti.sara din bbahir ka kaj mehnt musakt dhop barish ghr k akhrajat.and bhair k kharche.bacho k fees dawae wagera bijli k bil.pore month ka rasahn koi chez ghr k khr ho jae wo bunwane itne sare tense sath laker wo mard ghr se rawana hota hai har subha phr wapis ata hai thka hara sham ko our phr bewi k man mania start ho jae to kiya us mard ko itna sehn k bawajod ghar main sukon nh milta tbhi wo rah bhtak kar kise affair main par jata hai phr nateja ghr main bache bukh our ash us affair wali k m2nd agr kise orat k affair hai to us k sth bh koi na koi tregedy ho jati jis se wo behk jati hai us ka hubby use time nh deta tekh se bat tk nh karta sub se ehm azdiwaji talkat main itrest nh lete na hi us main khd main.to is k waja yehi bayan hoti hai k kahe p kise orat ka kasor hota hai kahe p kise mard ka.baqi yea bat galt hai kise ek ko zimedar tehraya jae goya wo mard ho ya orat. |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:14th Jun 2012, 5:59am |
|
|
fahad husain bro as salam oalikum thank for participation bro aap nay ghalat percive kai .mera maqsad kisi ko b neecha dikhana nahi hai namard ko na orat ko or ye jo metter main nay discussk ai hai is main b mainnay dono points se hi bat ki hai kay sirf mard h nahi orat b baz okat involve hoti hai .........magar mardon ka tanasub ziada hai apa mano ya na mano ye aap ki marzi hai magar jo fact hai aap us se nazar nahi chura saktay ..........
isi bat ko to main nay discribe karna chaha hai kay agr wo mard jo kisi parahi orat per pyar lutata hai do meethay bol apni b.v ko bol day to kai us ki zaindagi aasan nahi ho sakti ;) think abt it and then reply
|
alirajput |
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 5 Post: 538 Age:
30
|
|
Posted on:14th Jun 2012, 7:47am |
|
|
Waja hi kia banne? KauN sensible minded marad aap ne ghar ki chor kar, bahar ki daal pasand karenga?
ans : Jho tang hon!
Mera yakeen haiN ke aurtaiN kuch changes ko aap ne habit maiN nahiN la paati, marad ki khaishaat, ek shoher ke taur se badal ti rehti haiN, bache peda kar lena koi kamal nahiN, wese bhi ummat bar hana sunnat haiN. Leehaza, ye sochna ke marad aisa kyun karta haiN ke wo affair chalaye, masla uska ghar se sharu hota he.
Mere nasdeeq:
Problem ye haiN ke aurat ke paas bacho ya aur masrufiyat hone ki wajah se time nahiN milta ke saj kar rahe shoher ke liye, jiski wajah se, ek mardana fitrat haiN jahan attraction hon wahan chikaa chalaa jaaye.
Mere nasdeeq possible solution:
Ek aurat ko bataur bivi chahye ke aap ne khawind ki har (jaiz) khaish ka ehtimam kare, aur har cheez jho jaiz qarar nahiN di gaay lekin na-jaiz bhi nahiN kaha gaya uss maiN bhi tawun kare agar shoher ki marzi hon. Hamesha mukhlisana taur par tayar rahe, aur hamesha uss ke liye waqt ka bandabuz kare.
Jho miyan bivi ke aap si taluqaat he unn maiN bhi, rozana thori tabdeeli laaye, ek hi position ya ek hi tareeka kar na, boring haiN aur in baatoon se interest bhi khatam hoti haiN.
Aaj acha likha haiN mene (matlab bohot si lines) Umeed kartaa hooN glamour aur deegar membraan ko pasand aye gaa.
Shukria. |
fahad hussain khan |
Group: Members Joined: 26th Apr, 2012 Topic: 4 Post: 862 Age:
24
|
|
Posted on:14th Jun 2012, 12:38pm |
|
|
galmour sis walikum asalm chaliye ap k soch ko ap k pont age barhate hain k jo mard bahir hazro luta ta hai wo do lafz hus k bewi k sth boly ya bitady to us k zindge janat bun jae ge ye he mqasad hai na ap ka sis to ub is masaly k hal ye hi hai k jo mard affair rukhte hain ya jo orte affirs rukhti hai un ko btana chiye k is ka ant bht kharb hai kch nh rukh in lawaris rishto main jis k koi jar hi nh koi makam nh is muashire main in ka.agr koi mard apni bewi ko bewi k darja dy ga to use khd hi usi main janat nazr aae ge agr wo sirf rukhil samjhe ge to khan mubt bethe gi dil main. |
fahad hussain khan |
Group: Members Joined: 26th Apr, 2012 Topic: 4 Post: 862 Age:
24
|
|
Posted on:14th Jun 2012, 12:43pm |
|
|
Glamour sis mujhy jahan bh jb bh moqa milta hai kahe apne dosto ko samjhta rehte hu k galt rah p mat chalo kch nh rukha is main jo shdi k bad bewi k aghosh main sukon rukh hai.yea mere khd k bat the k sirf bto se mhswaro se khc nh hota kise bhai ko behn ko jhan bh moqa milta hai kise bhtke hue ko rah dikhne ka to plz kbhi nh gawo yea moqa.agrr shorum main betha hu azan aae to jo dost koi bh betha hao lake chalt hu nimaz p matlb jahn bh koi bh moqa milta hai hath se mat gawo. |
fahad hussain khan |
Group: Members Joined: 26th Apr, 2012 Topic: 4 Post: 862 Age:
24
|
|
Posted on:14th Jun 2012, 12:44pm |
|
|
galmour sis walikum asalm chaliye ap k soch ko ap k pont age barhate hain k jo mard bahir hazro luta ta hai wo do lafz hus k bewi k sth boly ya bitady to us k zindge janat bun jae ge ye he mqasad hai na ap ka sis to ub is masaly k hal ye hi hai k jo mard affair rukhte hain ya jo orte affirs rukhti hai un ko btana chiye k is ka ant bht kharb hai kch nh rukh in lawaris rishto main jis k koi jar hi nh koi makam nh is muashire main in ka.agr koi mard apni bewi ko bewi k darja dy ga to use khd hi usi main janat nazr aae ge agr wo sirf rukhil samjhe ge to khan mubt bethe gi dil main. |
WellKnOwN |
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 48 Post: 3378 Age:
23
|
|
Posted on:14th Jun 2012, 1:32pm |
|
|
affairs wese ye to ek aam baat hai ke mard kissi or ke sath or bivi kisi or ke sath, jaha tak mujhe pata hai ye ek bemari nahe hai halanke ye ek trained activity hai jo ke kafiro ne hamai sikhai hai, ye sab pehle kiyo nahe hota tha wo iss liye ke pehle tv nahe tha, net par blue nahe tha or cell har koi use nahe karta, ab agar dekha jaye to Mashallah tv to har kiss ke ghar mai hota hai along with cable, to cable mai har hour new film hota hai jis mai yahe cheez hoti hai bivi ek ke sath, mard kisi or ke sath to hum ne bi in se seekha hai, ek baat ye bi hai ke bache white paper hote hai on par jo likha jaye wahe karte hai, or aaj kal ke yahe bache barhe ho kar yahe ban jate hai,,, mera maqsad ye hai ke ham ne in sab cheezo ko seekh liya hai or kafiro ne hamare ander zameer ko khamoosh kar rakha hai or agar ham sirf 10 minute ye soch le ke kiya jo ham kar rahe kiya wo islam ke mutabiq theek hai to ho sakta hai ke hamare muashre se e$i gandagi hamesha ke liye door hojaye, |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:16th Jun 2012, 1:08am |
|
|
mard aurat ki bahas
bahoot poraani hai... mard achay bhi hotay haiN aurboray bhi ... issi tarah aurtaiN bhi achi bori donouN qism ki hoti haiN... yeh apni apni 'vision' aur localized situations par depend karta hai k kissi ko kaheeN mard zeyadah kharaab /ayaash aur (biwi ko choR kar ghair ) aurtouN ki taraf maail nazar aatay hain to kaheeN kissi ko aurtaiN zeyadah kharaab nazar aati haiN... lekin ghair jaanib daar hokar asal reality ko koi bayaan nahi kartaa... maiN aksar ghair jaanib.daari say iss situation ko bayaan karneki koshish karta houN
1. iss haqeeqat ko nah bhoolaiN k aurtouN ki nisbat mardouN maiN jinsi bhook zeyadah rakhi hai. yeh oski fitrat maiN daakhil hai k aik say zaid aurtoun ki taraf "raaghib" ho... dunya k har ahad, har society aur har mazhab o millat maiN mard aik say zayad (legal) shadiyaaN kartay chalay aa.ay haiN. aur aisaa karnaa koi mayoob baat nahi rahi hai. islam nay bhi mardoun ko aik say zayad shadi ki ijazat dekar yeh tasleem kia hai k k yeh mard ki tabe'ee zaroorat hai.... aur issi maqsad ko poora karnay k liyeh Allah nay dunya k har samaaj maiN (istasnaa k elawah) mard kam aur aurtaiN zeyadah paida ki haiN... iskay bar.aks agar kisis society maiN (mazhab say bahas kiyeh beghair bhi) koi aurat bayak waqt aik say zayad mardouN k sath relation ship rakhay to issay ossi samaj k aksar log, including khawateen issay mayoob hi samajhtay haiN... aur dunya k kissi mazhab nay aurat ko aik say zayad shadi ki ijazat bhi nahi di hai
2. doosri baRi haqeeqat yeh hai k dunya k beshtar samaj maiN aurtaiN zeyadah haiN. pakistan maiN aurtaiN 52% (51 % kahna ghalat hai) haiN aur mard 48 %... goyaa pakistan maiN 4% aurtaiN zeyadah haiN yaani har karoR par 4lakh aur sirf karachi ki 2 karoR abaadi maiN 8 lakh khawateen "ezaafi" haiN... goyaa agar karachi ka har shadi k qaabil baaligh laRka /mard shadi karbhi lay to 8 laakh laRkiyaaN /aurtaiN shauher say mahroom hongi.... laRka 16-18 saal k darmayaan baaligh hojata hai aur laRkiyouN maiN kashish mahsoos karnay lagta hai... magar pakistan k shari elaqouN maiN laRkay 25-35 saal k darmayaan hi shadi kartay haiN ... iss tarah baaligh honay k baad amalan 4 % say bhi zayad larkiyaan husband say mahroom rahti hai yani roughly ham kah saktay hain k sirf karachi maiN kam o besh 10 lakh laRkiyaan /aurtaiN legal husbands say mahroom rahti haiN
3. hamara media (film, tv chgannels k dramay, adz , songs etc) society maiN jinsi bhook ko baRhanay maiN aham kirdaar adaa kar raha hai. yeh shaitaani kaam last 5/6 decades say horaha hai...lekin VCR ki aamad k baad iss fahashi nay zor pakRa jabkay cable tv aur net ki aamad nay issay intehaa tak pahoncha dia
4. taleemi adaaroun maiN larkouN ki kaar kardagi batad reej kam aur laRkiyoun ki baRhti chali gayee jiskay baees har makhloot taaleemi aadary main larkiyoun ki aksariyat hogayee...aur zeyadah taalem yaaftah larkiyoun nay kam mo'aawzay par kaam /job karna shooroo kardia...iss tarah dekhtay hi dekhtay samaj k har tejarti aur kaarobaari adaaroun maiN khawateen ki tadada baRhti gayee... jin maiN say shauharoun say mahroom laRkiyaaN aur khawateen bhi haiN... bewa aur motleqah samait...jo zarooratan job karti haiN...jabkay unmarried larkiyaan taleem k baad shadi nah honay tak bhi job karkay time pass karnay par majboor haiN
Above tamaam haqaaiq /data ko zara jamaa karkay situation ko imagine nkaraiN... karachi maiN 10 laakh laRkiyaan aur aurtaiN shauherouN say mahroom haiN ... taleemi adaarouN, dafatar, bazaar, factories maiN inki tadaad baRhti jarahi hai... yeh nisbatan kam ojrat par kaam karti haiN...nisbatan achay kapray aur make up k baad bahar nikalti haiN... onkay aas paas larkay aur mard maujood hotay haiN...onkay gharoun maiN onkay liyeh rishtay nahi aatay (10 lakh k liyeh to aa hi nahi saktay)... odhar radio, tv, movies k zariyah onki jinsi bhook ko mosalsal baRhaya jaraha hai aur onki sharm o hayaa ko kam ki jaraha hai... lehaza ghair shaoori taur par woh apnay aas paas laRkoun aur mardoun main apnay liyeh husband talaash karne lagti hai...onka behaviour males k saath mazeed polite hojata hai...doosri taraf mard iss 'moqah' say faidah othanay ki koshish kartay haiN...dosti kartay haiN..class mates, collegues k saath mail jol baRhatay hain... gup shup, milnay milanay maiN ezafah hota hai, dates par bhi jatay haiN.... maujood mahaul onhain iska bharpoor moqah deta hai... ghair shadi shudah haiN to taleem k 5-10 saal tak shadi nahi karna chaahtay aur iss dauraan darjanoun laRkiyoun say mail milaap kartay hain...laRkiyaaN bhi saal 2 saal dekh kar kissi aur ki taraf motawajajh hojati haiN k in tilouN maiN koi tail nahi :) shadi shudah mard ko ghar sya bahar aik say zayad attractive laRki /aurat milti hai aur woh ghar say zeyadah hrs bahar guzaarta hai...lehaza above mahaul k zeray asar females say attract hota hai...2nd marriage kar nahi sakta...pahli biwi karne nahi deti, kam income ki wajah say chup kar alag double ghar afford nahi karsakta... aur aas pass maujood females ossay attract karti rahti haiN...lehaza shaitaan ko poora poora moqah milta hai k mard aur laRkay bahak jayaiN...mard zeyadah tajarbah kaar hota hai, iss maamlay maiN lehaza woh smartly ghar sya bahar relationship qaaim karleta hai.
SOLUTION: Iss male-female illegal affairs ki jetni bhi CAUSES haiN, ap onhaiN one by one remove karsaktay haiN except one:) yaani aap society say aurtoun ki kasrat ko khatam nahi karsaktay... aur nah hi inki bunyadi jinsi bhook ko khatam kar saktay haiN... agar aap onhaiN legally yey moqah nahi faraham karengay to woh "majbooran" hi sahi... affairs k faraib maiN paR kar bigaaR ki taraf laazmi jayengai...abhi 2/3 din pahlay ARY nay karachi k tariq road jaisay elaway maiN beaty parlour ki aaR maiN fahaashi ka dhandah karnay walay kai markaz par chaapaa maaraa...aisay kai deger maraakaz par chapa maara aur yeh kaam karne wali youn k interview liyeh to sab ne yehi kaha k woh majbooran aisaa karti haiN... kai aik nay compere say kahaa k aap ham say shadi karlain, ham yeh kaam choR dengi
iss maslay ka fitri hal yehi hai k "faazil khawateen aur laRkiyouN" say mard doosri aur teesri shadiyaaN kar laiN... iskay elawah in faazil females ka koi aur islamic /possible solution kissi k pass ho to zaroor share karay...mujhay nahi lagta k iskay elawah bhi koi aur permanent solution hoskata hai.
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:16th Jun 2012, 6:45am |
|
|
rizvi bhai AS SALAM OALIKUM thanks for ur participation,nyc nd very detailed answer aap nay aachay poins batay hain bro .........i agre with u but main nay un logon ki bat ki hai jo shadi shuda hain or wo dosri shadi b nahi karna chahtay ku kay jaib bojh b bardasht nahi kar sakti na hi zimadari galay dalnbay ka koi shok hai per phir b side by side ek adha chota mota posheeda affair chalay bina nahi reh saktay main nay un point ki nishandahi ki hai..............ye kai logon ki nafsiat hai ...specialy mobile phone p or packages aanay kay bad to ek aam insan jo seedhi sadhi si zindagi basar kar rha ho or koi bewaqof larki ho wo kisi kay hathay char jay to bas phir allah hi hafiz hai us ka ........or mazay ki bat main aap ko batahon bro kay wo log khula kehtay hain kay janab hamain shadi main koi dilchaspi nahi hum to bal bachon walay hain bas ji dosti karni hai ;p
or aap ki agr bat man b lain kay chalo fazil orton ko thikanay laga dia jay dosri or tesri b.v bana kar to un shadi shuda khawaten kak ia jo shohar kay hotay howay b is tarha ki baton main invlove o jati hain ..............or ye bat b bht aam ho ghi hai ab .....
@ ali rajput bro how r u .thanks for participation ......tabyat kaisi hai ab aap ki .....bro aap khud socho kay ek mard kiaapni b.v ko her wakt model kay get up main daikhna chahta hai ????? b.v tayar ho hot lagay .......yaar what is this itna kam to kisi janwer se b lain gay na to wo b thak hark ay nidhal ho jay ga to b.v b thak jati hai kam se faraghat nasesb ho to aap kay liye tayar b ho gi sajay gi b or apa ki khatir b karay gi ............aap us ko ek taraf itna burdanize b kar rahay h phir ye demand b kay dil b behlay to its not possible kay wo aap ko itni fresh milay gi jitna apa demanding ho .......bro baat tayari ki model banay ki nahi hoti bat hoti hai dil ki dil milnay chaye .........dilon main badgumanian ho to model nbani b.v b aachi nahi lag sakti
thanks
|
alirajput |
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 5 Post: 538 Age:
30
|
|
Posted on:16th Jun 2012, 3:38pm |
|
|
Walikum salaam glamour behen aur rizvi bhaijan Tabiyat bohot behter haiN, sab dua'N walon ka shukria. 2 hafto maiN bahawalpur ke taraf nikalna haiN, doctors ki ijazat se hi travel he. Takreban, mahiney ka stay hoga udhar.
Back to Controversial Topic:
glamour, baat saj daj ne ke had tak hoti toh bhi marad kahin na dekh tah, aurat ne thaan li haiN ke ghar ke kam kare, bache peda aur paal poos kar baraah karenge lekin khavind ko total Ignore karenge aur aap si time se mehroom rakhenge, ye na toh tareeka sahi he aur na hi aisi shadi zada kamyab chalti haiN chahen dil donon ke kahin bhi hon, jinsi zarooratein poori honi chahye at all cost.
to Rizvi bhaijan: Dear bhaijan, i loved ur point, in fact maiN ye kehna chahta hon ke maiN tayar hon aisi female se dusri, teesri shaadi ke liye, lekiN pehle aap kahaiN ke aap karenge.. dusri ya teesri...aisi khatoon ke saath.
Dusri baat, i totally agree ke agar hamaiN inko izat deni haiN aur islami dayre maiN rehwana haiN toh ye behtereen tarika haiN lekin , my dear rizvi bhaijan, majority jho iss kaamo maiN haiN, unka aqeeda, firka hamse nahiN milta.. aur jinka milta haiN khair wo chahe toh ye mumkin bhi hon toh hamesha iss cheez ki fikar rahengi ke kahin dhoka toh nahin daigi??? zameen toh harap nahin kar legi, jho ghar de, jalaa ke raakh toh nahin kar degi... etc..
MaiN , sab bhaiN behnoo se mazrat chahtaa hooN, aap ne kisi bhi be-tuka alfaaz ka, maiN sirf aur sirf chand points clear karna cha raha tha rizvi bhaijan ko aur glamour sister ko.
sincerely alirajput |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:16th Jun 2012, 11:58pm |
|
|
glamour sis yaad rakhiyeh k yeh dunya khair o shar ka majmoo'a hai... shaitaan taa qayaamat apni activities say insaan ko gomraah karta rahega aur insaan shaitaani harkaat karta rahega (kam yaa zeyadah), bilkhasoos mard-auratsay related crime... crime free world possible hi nahi hai. ham sirf crime ki rate ko minimize karsaktay haiN yaa iss tarah isolate karsaktay haiN k woh chahaar deewari k ander say bahar nikal kar publicly doosrouN ko effect nah karay.... jaisay public plate form pay smoking /drinking say doosray log badly effected hotay hain... smoker aur drinker ko dunya ka koi qanoon smoking /drinking say nahi rok saktaa... albattah publicly aisaa karnay say roka jasakta hai ...
Q: main nay un logon
ki bat ki hai jo shadi shuda hain or wo dosri shadi b nahi karna
chahtay ku kay jaib bojh b bardasht nahi kar sakti na hi zimadari galay
dalnbay ka koi shok hai per phir b side by side ek adha chota mota
posheeda affair chalay bina nahi reh saktay main nay un point ki
nishandahi ki hai..............ye kai logon ki nafsiat hai ...specialy
mobile phone p or packages aanay kay bad to ek aam insan jo seedhi sadhi
si zindagi basar kar rha ho or koi bewaqof larki ho wo kisi kay hathay
char jay to bas phir allah hi hafiz hai us ka ........or mazay ki bat
main aap ko batahon bro kay wo log khula kehtay hain kay janab hamain
shadi main koi dilchaspi nahi hum to bal bachon walay hain bas ji dosti
karni hai ;p
Ans: agrred with ur observations. lekin yahaan bhi aap dekhaiN k doosri shadi nah karnay k khahishmand married man ossi waqt dostiyaaN paal saktay haiN jab onhaiN 'free ladies' dastyaab houN :) suppose karaiN k iss waqt one million shauher say mahroom unmarried girlz, bewa aur mutliqah khawateen, mobile, net aur husn say araastah hokar :) society maiN "azaad phir rahi" houN to achay say acha mard bhi phisal hi jayega... aur kam az kam one million mard to insay involve ho hi jayega .... aik hadees ka mafhoom hai k Allah nay mardouN k liyeh aurtouN say bari koi aazmaish nahi banaayee... ap koi experiment kar laiN... apnay jannay waloun maiN say 25 aisay jawaan married mardoun ko select kar laiN, jinki sharaafat ki aap aur family ki deger khawateen qasmaiN khaa sakti houn.... phir inhaiN batlaa.ay beghair har mard k peechay 4/5 ladies ko lagaa daiN.... kuch hi arsay main aap dekhengi k in paak baaz mardoun ki aksariyat (if not all) bahak jayegi. coz Ahha k nabi saw ka farmaan hai k jab 2 naa.mahram aik doosray say 1-2-1 contact kartay haiN to onkay beech maiN teesra shaitaan maujood hota hai............ issi liyeh islam nay ghair makhloot society ko recommend karta hai aur aurtoun ko bahar nikalnay say qabal complete hijaab ka hukm deta hai aur khawaateen ko "tanhaa" zindagi guzaarnay say manaa karta hai. jab society maiN iss qism ki "azaad khawateen" kam say kam hongi to autometically married men ko affairs ka moqah hi kam milega.... yeh nahi hosakta k aap / society mardoun ko moqaa to khoob khoob faraham karay aur phir oss say tawaqqah rakhay k woh phislay nahi :)
Q: or aap ki agr bat man b lain kay chalo fazil orton
ko thikanay laga dia jay dosri or tesri b.v bana kar to un shadi shuda
khawaten kak ia jo shohar kay hotay howay b is tarha ki baton main
invlove o jati hain ..............or ye bat b bht aam ho ghi hai ab
.....
A: you are true ... shadi shudah khawateen bhi bay raah rau hoti hain... woh bhi corrupt hoti haiN... lekin baat wohi k iska tanaasub kia hai?.... aap "100 corrupt khawateen" k baray main survey karlaiN... iss main say 70-80 % (kam o besh) unmarried, bewah, mutliqah hongeeN. agar society nay 70-80 % khawateen ko legal husban dfaraham kardiyeh to crime rate autometically bahoot less hojayega...
aap dunya bhar k bazaray husn /call girls ka record oThaa kar dekh laiN... iss asmat faroshi k kaarobaar main molawwas ketnay % ladies mariied haiN.... 1-2 % bhi nahi hongeeN ... pahlay openly fahashi karnay waliyouN aur bay.shauher waliyouN ko shauher to faraham kar daiN ... issi aik amal say male-female crime rate bahoot gir jayega insha Allah.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:17th Jun 2012, 12:09am |
|
|
alirajput bhai ap ki tabiat ab kaisi hai. Allah apko jald az jald sehat day aur teesri chauthi shadi k "qabil" banaa.ay. aamen :)
Q-1: Dear
bhaijan, i loved ur point, in fact maiN ye kehna chahta hon ke maiN
tayar hon aisi female se dusri, teesri shaadi ke liye, lekiN pehle aap
kahaiN ke aap karenge.. dusri ya teesri...aisi khatoon ke saath.
A: agar koi smoker doctor apnay mareez ko yeh mashwarah day k aap smoking choR dain to mareez ka yeh kahna k pahlay aap smoking choRaiN, phir maiN choRouNga... to aap aisay mareez ko kia kahengay :) main to ossay alirajput k naam douNga lol
Q-2: majority jho iss kaamo maiN haiN, unka aqeeda, firka
hamse nahiN milta.. aur jinka milta haiN khair wo chahe toh ye mumkin
bhi hon toh hamesha iss cheez ki fikar rahengi ke kahin dhoka toh nahin
daigi??? zameen toh harap nahin kar legi, jho ghar de, jalaa ke raakh
toh nahin kar degi... etc..
A: ap ki yeh tashweesh bay.jaa hai ... jiss firqay ki taraf aap isharah kar rahay haiN, woh aksariyat maiN nahi haiN, pakistan ki kisis bhi society maiN... maiN pahlay unmarried, bewah, mutliqah khawateen ki shadi ki baat kar raha houn... koThay par pesha karne waliyouN ki baat to baad maiN hogi...karachi jaisay city maiN agar one million females shauher say mahroom hain to inmaiN "pesha war khawaateen" ki tadaad zeyadah say zeyadah 5000 hogi, iss say zeyadah nahi... pahlay 9 lakh 95 hazaar khawateen ka maslah to hal ho, inhaiN to husbands milaiN, khaah woh kaisay hi kiyouN nah houn :)
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:17th Jun 2012, 6:53am |
|
|
bro i m not agree with this point b AS SALAM O ALIKUM
RE: you are true ... shadi shudah khawateen bhi bay raah rau hoti hain...
woh bhi corrupt hoti haiN... lekin baat wohi k iska tanaasub kia
hai?.... aap "100 corrupt khawateen" k baray main survey karlaiN... iss
main say 70-80 % (kam o besh) unmarried, bewah, mutliqah hongeeN. agar
society nay 70-80 % khawateen ko legal husban dfaraham kardiyeh to crime
rate autometically bahoot less hojayega...
MAIN IS BAT SE AGRE NAHI KARTI BRO KAY AAISI KHAWATEN MAIN ZIADA TADAD BEWAH OR MUTALKA KI HAI ........her dosray ghar main aiasa khail khaila ja rha hai mai nnay bht se logon ko daikha hai or bht son nay khud b share kai hai :) kay yar bas phone p bat howi thi to us nay taref kar di falan falan or isi tarha involve ho gay .............wo merried hoti hain hastay bastay ghar ki malkin or apni life main b khush hoti hain :).........phir b side affair chaltay rehtay hain
or isi tarha apa nay jo bat kahi kay crime free world ki pssiblity nahi hai to yehi bat isi topic p hasan nisar sahab nay kahi thi un ka ye kehna tha kay jitnay sex related crime yahan dhakay chupay hotay hain ager un ko open kar dia jay to logon ki cheekh nikal jay gi ........sab se ziada porn sites b pakistan main hi visit ki jati hain .........kia hamara muashara (khas tor se mard) sexualy frstrated hai ...........
main aap ko ek bat bata don kay kuch arsay pehlay ek frnd ka isi tarha ka koi afair tha family tak bat gahi bht narazgi hogi.jab us larkay se poocha kay bhai shadi karo gay to kehta hai kay nahi yar shadi nahi karni bas dosti karni hai yahan 2 point hain 1 wohi apa ki bat kay larki gair shadi shuda thi is liye aaisa howa or 2nd point p b aap ki hi bat lo lay kay chaltay hain kay jo solution aap nay dia kay janab ek mard 2 ya 3 shadian kar lay to wo mard ku razi nahi hota phir jab us ko muhabat hai ya jinsi bhok hai ya jo b jazba hai to us jazbay ka legal ilaj b to mojod hai na to phir kinara ku ???????????
or isi tarha.aap nay example di kay janab muashray main aap aaisay hazrat jin ki sharafatk i kasmain khai ja sakti hon un kay peechay chand khawaten ko laga dain to wo phisal jahay ga ..........to meray bhai mobile phone p kon kis ki personality daikhta hai aray apni maa ki age ki orton ko log nahi chortay aap kai bat kartay ho :).un ko personality se age se koi ghrz nahi hoti un ko pbas timep as chaye ye kaisi ferstration hai un kay ander ki jo khatam hi nahi hoti ??????
thanks
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:17th Jun 2012, 11:05pm |
|
|
The Affair Of Affairs: Glamour sister,
Nice, interesting topic.
Tamam respectable members including myrizvi bhai, Ali bhai, Fahad Hussain aur wellknown nay bohot acchee tarah say iss situation ko discuss kiya hai. Glamour sister,as you requested, mein iss topic ko aik thorra different angle say discuss karoon gaa, keh hamaray brain kay chemicals ( neurotransmitters) kaa married logon kay affairs mein kiya role hai.So let's get started on our topic.
Aap na jo question poocha uska main point yeh hai keh shadi shuda log ( men and women) affairs kiyon develop kaartay hain? Doosray lafzon mein affairs develop kar keh kiya cheez extra milti hai jo married life mein nahin milti. Iss cheez ko discuss karna say pehla mein readers ko sex, love aur intimacy say related hamara brain kaa jo function hota hai uska baaray mein kuch basic facts batana chahta hoon.
Hamara brain mein love, sex aur intimacy say related 2 main chemicals hota hain, dopamine aur oxytocin. Dopamine kaa main function sexual pleasure provide karna hota hai, aur oxytocin kaa main function emotional bonding provide karna hota hai. Most married couples mein waqt kay saath saath oxytocin kaa function strong hota jaata hai, magar unfortunately dopamine kaa function weak hota jaata hai, kiyonkeh dopamine "novelty seeking" hota hai, yaani new experiences ( new sexual partners) say dopamine ke release zyada hoti hai, as compared to having sex with the same partner. Iss concept ko aasan alfaaz mein yon samajh lain keh medically speaking, hamaray andar mukhtalif cheezain experience karna say zyada pleasure develop hota hai ( sex with new and different partners), as compared to experiencing the same thing over and over.
Ab sawal yeh paida hota hai keh agar aise baat hai to phir har married couple hee affairs kee taraf kiyon nahin chala jaata, aur uska jawab hai hamari personality kee aik khaas quality jisko Superego kehta hain. In simple words, Superego kaa matlab hai hamara woh religious aur moral principles jinki basis par ham kisi cheez ko acchha yaa bura samjhta hain, aur phir buri cheezon ko chorr daita hain aur achee cheezon ko apna laita hain. Agar kisi insaan kee upbringing aisa hai keh uss insaan ko Allah taala kaa dar aur khof hai to phir woh insaan apna dopamine kay pressure kaa bawajood extramarital affairs say bachay gaa, aur agar kisi insaan kay andar Allah taala kaa darr aur khof nahin, to woh apna dopamine kay pressure ka haathon majboor ho kar ( jo ussa nae nae logon kaa saath sexual experiences develop karwana chahta hai) affairs ke taraf chala jae gaa/gee. Yahan yeh baat bhee clear kar daina chata hoon keh sexual pleasure ka matlab sirf sexual intercourse he nahin, balkeh sexual talk etc bhee issi dopamine related pleasure kaa hissa hain.
Yeh baat bhee yaad rakhain keh bohot say log kisi gunah say sirf issi liya bachta hain keh unhain Allah taala kaa nahin balkeh doosra insaanon kaa khof hota hai keh kahin koi unhain daikh nah le, magar mobile aur internet ke wajah say yeh darr bhee bohot had tak kam ho gaya hai ( unfortunately) jiski wajah say yeh sab hota hai jo aap na bataya.
In conclusion, extramarital affairs par bohot lambi discussion kee jaa saktee hai, magar mein nay iss topic say related basic concepts ko readers kee aasani kay liya simple kar keh batana kee koshish kee hai. Aik aur baat bhee yaad rakhain keh "One Size Doesn't Fit Everyone", yaani keh har case different hota hai, aur yeh discussion jo abhee mein nay kee, yeh bhee extramarital affairs kay tamam cases par fit nahin aae gee.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:17th Jun 2012, 11:32pm |
|
|
Jazak Allah psychdoc bhai ap nay medical point of view say glamour k sawaal ka tasalli bakhsh jawab dia hai...omeed hai k ab glamour sis ki tashaffi hogayee hogi k "aisa kiyouN' hota hai.
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:19th Jun 2012, 9:12am |
|
|
Myrizvi bhai:
Thank you very much. |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:19th Jun 2012, 10:52am |
|
|
psychdoc bro AS SALAM OALIKUM........... jazak allah khair ........very detailed and informative post mashallah
medicaly jo aap nay bataya us se mujhay bor bht se logon ko bht detailed ans mil gaya hai.........bro apa nay madicaly is ko jitna behtar samjhaya hai kia aap is kay social aspect ko elaborate karain gay ........ thanks
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2431 Age:
48
|
|
Posted on:21st Jun 2012, 7:50pm |
|
|
merd aurat
yeh masla husband wife ka hai aur is se berah ker aurat merd ka hai kiun k husband wife k beech main jo aati hai woh bhi to aurat hai na aur akser aisi aurtaiin ya lerkiyan jan boojh ker yeh sab kerti hain apnay financial masail k hal k liyay is k sath yeh aik insani fitrat hai k jo cheez dastras main ho us ki ehmiyat kam to nhn hoti lekin insan yaksaniyat ka shikar ho jata hai aur jab usay aas pros main , office main , ya rishtay daron main chori chori dekha jai aur dawat e nazara di jai to merd k behaknay k liyay kuch bera marka nhn marna perta kiun k yeh merd ki fitrat hai k woh munh marnay se baaz nhn aata isi liyay islam main 4 shadiyon ki ijzat merd ko di gai hai aurat k baray yeh ikhtiyar nhn aur kiun nhn di gai yeh aik alag behas hai aurat sheram au rhaya k sath sath sabar ka bhi hosla rakhti hai is k sath aurat naslon ki ameen hoti hai aur jo aurtain is amanat main khayanat kerti hain woh zaleel o ruswa hoti hain duniya main bhi au raakhrat main bhi jab aurat khud ko bana sanwar ker numaish banai gi to merd s ki teraf mutawaja ho ga aur merd ki tawaja her aurat k liyay aik sunsation hai merd ki yeh nafsiyat k aurat ko merd ki zaruret sirif sex k liyay hai is muashrati buraai ki beri wajah hai main ne hamesha kaha hai k allah ne aurat main jitni sensativity rakhi hai us ki utna hi ehtiyat aur care ki zaruret hoti hai ager aurat nafsiyati toar per mutmain ho to jismani tishnagi per khud qabu pa leti hai lekin her aurat k ander 2 terah ki talab hoti hain aik jismani aur aik nafsiyati yeh aik aisi behas hai jis k liyay is forum per choti moti behas main cover nhn ho sakti is k ilawa aik hadees hai k agr koi gher derwazay per dastak de to gher k ander se aurat aisi kerakhat awaz main jawab de k baher walay ko us awaz k peechay kheri aurat k baray sochnay ki jurat na ho lekin aaj kal to awaz ki gunjaish hi nhn sab open hai au rusay family frend ship kah ajat ahai aur is thread main biyan kiyay gai 70% cases aisay hi family frendz k beech hotay hain merd ager yeh soch le k aj ager woh kisi ki bivi ya beti k sath ghalat keray ga to kal us ki behan bivi beti bhi behak saktay hain kya woh is begherti ko berdashat ker sakta hai ??? |
|