shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 5:06am |
|
|
Shadi Shuda Se Shadi
Assalamualaikum,, mera sawal gour se parhiyega or koi acha behtar mashwara dijiyega islam ko nazar me rakhte hue plzzzz,, meri ek dost hai wo unmarried hai wo ek shadi shuda larke se shadi karna chahti hai dusri biwi ban na chahti hai or us larke ka ek beta b hai larki k ghar walo ko pata hai k uski zindagi me wo larka hai par larki k ghar wale razi nahi hai hargiz b or larke k gharwalo ko b pata hai k us ki zindagi me wo larki hai or wo us se shadi karega lakin larka ki biwi us k ghar wale hargiz razi nahi hai or meri dost kehti hai k usne is larka k elawa or kisi se shadi ki to wo shadi kamyab nahi hogi kunki us k past me aesi koi bat reh chuki hai jo wo share nahi kar sakti kisi se lakin wo larka sab kuch janta hai us k past k bare me bawajud wo us se shadi karna chahta hai us k past k bad usay accept karta hai larka k ghar wale biwi khilaf hai par wo kehta hai me shadi karunga,, meri dost b kehti hai me piche nahi hat sakti or meri dost se uske abba sakht naraz hai or baki ghar k log b pareshan hai main b usay samjhati hu par wo kehti hai k tu nahi janti kuch main majbur hu ,, plzzz mujhe jaldi se jaldi bataye kya is tarah in wajhuhat pe shadi ho skti hai ky meri dost k liye ye sahi hoga kya uski ye shadi kamyab hogi or is k elawa ap koi sawal puchna chahe behtar mashwara k liye to puchiye lakin mene mukammal tor pe sab bataye hai par pher b koi sawal banta hai to kijiye ????
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6638 Age:
54
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 5:37am |
|
|
walekum Assalam 1. kissi shadi shudah mard say shadi karna islam maiN bilkul jaiz hai aur iss main koi khaami yaa aib nahi hai... dauray resaalat saw aur adwaaray sahabah RA mai yeh sab bahoot aam tha aur yeh aik islamic culture ka hissah hai
2. agar laRka doosri shadi karna chaahta hai aur laRki bhi oski doosri biwi bannay par raazi hai... bilkhasoos apni kissi majboori ki wajah say ...aur yeh majboori woh laRka bhi jaanta hai...phir to kissi aur ko iss laRki ko aisa karnay say nahi rokna chaahiyeh
3. laRki ko chahiyeh k woh kam az kam apni waledah ko etmaad maiN lekar apni 'majboori' batlaa.ay takay oskay waledain iss shadi maiN shareek hosakaiN... kiyouNkay agar parents razi nah howay to laRki ko ghar say bhaag kar shadi karna paRega...jiss say masail khaRay hosaktay hain...phir laRki ki shadi maiN oskay wali ki razamandi bhi ... aam haalat main zaroori hoti hai.......lekin naaguzeer halaat /majboori ki wajah say wali k beghair honay wali shadi ko bhi baaz foqaha jaiz qarar detay haiN
best yehio hai k apni waledah ko sab kuch batlaa de...jab woh apni saheli ko batlaa sakti hai to waledah ko kiyoun nahi... agar direct khud nahi batlaa sakti to saheli k zariyah hi batlaa day k meri falaaN falaaN majboori hai... jiski wajah say meri kaheeN aur shadi kaamyaab nahi hosakti...jabkay yeh shakhs meri majboori k bawajood mujh say shadi ko tayyar hai...lehaza iss k saath meri shadi ki kaamyaabi k chaances zeyadah hain...aur waisya bhi islam maiN mard k liyeh aik say zeyadah shadi karna koi ghalat baat nahi balkay mostahsan baat hai, bilkhasoos agar kissi "majboor" laRki say ki jaa.ay to
Allah apki saheli ki madad karay aur ossay durust faislah karne ki taufeeq day... haaN shadi say qabal woh aik baar namaaz istikharah zaroor paRh lay... namaaz k baad kissi khaab etc ka wait nah karay...just namaaz istikharah aik dua hai...jiskay zariyah oTha.ay janay walay qadam k asraatay shar sya Allah ki panaah maangi jati hai |
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 5:48am |
|
|
??? majburi usne mujhe b nahi batayi hai,, puchti hu kehti hai me hargiz b nahi bata sakti par bina bataye kese samajh me aye or us k ghar wale bohat pareshan hai mahol b bohat strict hai khandan sara khilaf ho jayega abi family k elawa kisko pata nahi hai or ye baate chupti b nahi hai or agar wo shadi kar b le us se to kya wo larka zindagi bhar usay khush rakh sakega or us larke ki biwi b razi nahi hai ghar me to koi man ne ko tayyar nahi to kya bhag k shadi karni paregi kya ye sahi hoga uski zindagi akhirat dono is me sanwar sakegi plz meri mada kijiye mei dost mere dil ka tukra hai mujhse bardasht nahi hota uska dukh ??? |
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 5:53am |
|
|
??? wo larka us se bohat mohabbat karta hai or larki b behad wo larka shadi se pehle se usay mohabbat karta tha par keh nahi paya or ab 3 saalo me usne bataya or shadi b karna chahta hai balki kehta hai kar hi lega or pehli shadi gharwalo k kehne pe kar li tab usne meri dost se kabhi bat nahi ki thi shadi k bad koshisho pe uski bat hui mujhe ye bat khaye jati hai k mohabbat karta tha to shadi kyu kar li ??/ |
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 5:56am |
|
|
plzzzz me jitna kehti hu sunte jaye jwab de meri madad kare meri dost kehti hai mera faisla ho jayega jald hi dar lagta hai mujhe us k sath kuch galat hua to main sakun se kabhi nahi ji sakungi main usay koi mashwara kar salu sahi sahi |
lifestyle
|
Group: Members Joined: 24th Jan, 2009 Topic: 2 Post: 532 Age:
39
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 6:14am |
|
|
rep rizvi ma ap ki bat sa agree krta hoon ghalt nahi lakin yahan condition dosri hy. Ager larki na kahin or shadi krli to wo larka us ki zindagi kharab kar sakta hay q k wo raz wohi janta hay is lya larki is say shadi ker rahi hay. ya larki ki majboori hay larka ki nahi. Jub tak wo apnay gher waloon ko wo raz nahi batay gi jub tak ya masla hal nahi hoga. Shayad us larkay ka passs past ki koi vidoe snap waghera hoon. Is lya wo majboor horahai hay. Lehaza ap apni sahili sa wo raz maloom karain pahlay kisi bhi terha . Werna honay dain shadi . Shadi k bad dosri biv khush rahny day gi ya nahi is ki koi garantee nahi day sakta. Ager majboori dono ki hoti to rizvi sahb ki bat applicable hay |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6638 Age:
54
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 6:19am |
|
|
dunya aur akkherat 1. pahli priority aakherat bachanay ki honi chaahiyeh khaah dunya ketni hi kharaab kiyouN nah hojaa.ay.
2. shadi shudah say shadi karnay say bhi aakherat kharaab nahi hoti aur kissi majboori ki wajah say kissi say shadi nah karnay ... nah honay say bhi aakherat kharaab nahi hoti... lehaza aakherat to almost mahfooz hai...agar koi aur ghair sharayee kaam nah karay to
3. hamari society maiN shadi shudah sya shadi karnay say samaji problems to hongi... aur shadi nah karnay sya bhi samaji problems hongi... dono taraf problems hi problems haiN, females k liyeh aur khasoosan kissi "majboori" wali female k liyeh... ab faislah ossi nay karna hai k kiss taraf ki majboori ko qabool karay...mera zaati khayaal hai k shadi kar lay ossi laRkay say... takay woh atleast 2 mil kar aanay wali majboori ko sambhaal sakay... aik do saal main aulaad hojayegi to zindagi ka rukh bhi aulaad ki taraf hojayega... phir zindagi aulaad k liyeh.. aulaad ki khaatir guzaari jasakti hai... bah nisbat iskay k oss say bhi shadi nah karay ...aur kaheen aur bhi nah ho aur tanhaa waldain k ghar rahay aur waledain bhi naraaz rahain
ossay chaahiyeh k himmat karay aur apni ammi, saheli yaa kissi aur qareebi azeezah ko sab kuch khol kar bataa day... maslah openly batlaa.ay beghaitr oska sahih solution nikaalna bahoot mushkil hai |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6638 Age:
54
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 6:21am |
|
|
agreed with lifestyle well said :) |
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 6:39am |
|
|
Allah k liye behtar samjhaye mujhe tasalli aye kuch to wo bata nahi rahi apna masla me kya karu mein us k liye bohat pareshan hu meri neende uri hui hai main dua b bohat karti hu aakhirat ka main isliye keh rahi hu uske walid naraz hai waledah duniya me nahi hai to walid ki narazgi se Allah naraz na ho ye dar lagta hai na jane kya bat hai main bohat mahino se pareshan hu k main apni pareshaniya kis se share karu kisi se nahi kar skti meri saheli ki izzat log bhul jaye usay bhala bura kahe mere bardasht me nahi kisi mufti sahab se b puchu to sab jan ne wale hai dar lagta hai mujhe is forum ka khayal aya aj hi mene yahan profile banaya hai ap samjhiye k Allah ki taraf se ap meri madad karenge yahin mera masla raz rahega apna koi nahi jan sakega or me chahti nahi thi k kisik pata chale or suggestion b chahti thi apka dil se shukriya or dusri bat sahab aesa koi istekhara nahi hai jisme foran wajin ya nahi wajib aa jaye main wo karungi sarikoshish karungi mujhe batlaye plzzzzzzzzzzzzz dua b kare |
nomanmaher
|
Group: Members Joined: 27th Mar, 2013 Topic: 1 Post: 7 Age:
17
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 8:01am |
|
|
kasay ager wo boy apke dost say muhabbat krta tha to usnay pahlay he shadi kyn na ke?kisi dosri larki say shadi kr le aur ab kahta ha man us say muhabbt krta hun?? |
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 9:17am |
|
|
noman ji wo bat nahi kar paya tha meri dost se koshisho k bad b shadi se pehle or ghar walo k majbur karne par usne shadi kar li thi shadi k kareeb 2 saal bad uski koshisho pe meri dost se bat hui or wo kehta hai apni pehli biwi ko b wo rakhega us ka pura haq ada karega is se pata chalta hai na k wafa hai warna pehli biwi ko chor na deta ??? |
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 9:26am |
|
|
REPLY plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz reply fastttt |
Bint hawa
|
Group: Members Joined: 21st Mar, 2013 Topic: 4 Post: 28 Age:
20
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 9:35am |
|
|
myrizvi Kia phli bv ki dil azari kr k dosri shadi ki ja skti hy?? Jb 1 mard phli b.v ko khush na rkh ske to akhirat main puch gach hogi dosri shadi krny pr. Mehrbani farma kr is point ko bh enlight krn.. Or attraction to ho e jati hy. Agr us lrky ko zyada e muhbbt th to wo us lrki se bt krta ya shadi e na krta.. Ye kia bt hui k shadi kr k yad aa ra hy k main isse muhbbt krta tha. Mje lgta hy k us lrky ko mubbt nhi th bus wo lrki use apni trf attract kr leti th.. |
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 9:42am |
|
|
bint
nahi attraction hota to kabka chor diya hota wo larki majbur hai uspe wo shadi karne ko tayyar hai or koi larka na kare jab k wo jan k razi hai or shadi se pehle meri dost ne us se bat nahi ki thi or ye enlight ki meaning kya hai ???
|
Bint hawa
|
Group: Members Joined: 21st Mar, 2013 Topic: 4 Post: 28 Age:
20
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 9:42am |
|
|
Shaheena Ap apni frnd ko bh khn k ap apni majburi se zyada us lrky ki 1st b.v ki feelings ko prefer krn. Agr us b.v se ijazat le li jy to phir to ye majbur lrki ki bh shadi successful reh skti hy. |
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 9:44am |
|
|
moderator plzzzzzzzzzzzzzz reply.....
|
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 9:48am |
|
|
bint or agar larke ki pehli bv razi na ho to ???larka kehta hai k wo usay b uska pura haq dega to kya bura hai pher ?? |
Bint hawa
|
Group: Members Joined: 21st Mar, 2013 Topic: 4 Post: 28 Age:
20
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 9:55am |
|
|
Shaheen Mera mtlb hy is hissay py bh roshni dalain.. Ap mje btain kia apko ye bt thek lgti hy phli b.v ki feelings ko nazarandaz krna? |
shaheena
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2013 Topic: 1 Post: 20 Age:
25
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 10:00am |
|
|
bint lakin meri saheli b to majbur hai or wo pehli bv ka koi haq nahi maregi jahan tak ho sakega hum pehli bv ko razi karne ki koshish karenge me khud b pareshan hu kya karu meri dost mujhe behad aziz hai us k sath or bura na ho zamana uski majburi se usay hurt na kare |
Bint hawa
|
Group: Members Joined: 21st Mar, 2013 Topic: 4 Post: 28 Age:
20
|
|
Posted on:14th Apr 2013, 10:04am |
|
|
Shaheen Yhi to aurat ki nature hy k aurat he aurat ka ghar barbad krti hy. Wo admi apni phli b.v ko jismani tor pr or maal dolat de skta hy mgr har wqt ka jalna wo kese thek krskta hy?? Ap apni dost se he puchn k kia wo us admi ki apny bad 3ri b.v bardasht krle gi?? Hargiz "NAHI" to apny apko us pr rakh kr sochn or dosro ki zrurto k bary main zayada sochn to khush rhn gy. Islam main agr 4 b.vian jaiz hn to phir us dost ko khn k us admi ki apny bad 3th n 4th muhbbt k ley apny apko tyar rkhe. Agr wo tyar hy to shadi krle |
|