bint hawa /polygamy [quote] Agr aisa he hy to wo aisa q nhi krti k shadi he na kre sari zindgi kia ye isse behtr nhi k wo us aurat ka dil dukhay.[/quote]
1. maazrat k saath arz hai k ... yeh koi islamic soch nahi hai... doosri, teesri balkay chauthi biwi ban.na iss say kaheeN behtar hai k koi laRki ya aurat beghair nikaah k rahay....
2. indo-pak k musalmaan sadyouN tak british rule /hindu community k saath rah kar yeh samajhnay lagay haiN k mard ko aik hi shadi karni chaahiyeh aur pahli biwi ko apni har mumkinah "saukan" say bachna chaahiyeh... quran o hadees ki taleemaat iskay bar.aks aur nabi kareem saw /sahabah karam n sahabia RA ki seerat iss concept k barkhilaaf hai... being a muslim iss topic par quran, hadees aur islamic history zaroor paRhiyeh takay polygamy say motalliq sahih islamic soch /imaan paida hosakay
3. agar ham islam say haT.kar khalisatan dunyawi etbaar say bhi sochaiN to yeh baat rozay raushan ki tarah ayaaN hogi k dunya maiN khawateen ki tadaad mardouN say zeyadah hai..sirf pakistan maiN 48% male aur 52% females haiN goya 4% khawateen zayad haiN jo 20 karoR ki abaadi ka 80 laakh banti haiN. ab agar pakistan k saray mard aik shadi karain to yeh 20 laakh khawateen kahaan jayaiN... kia inhaiN azdawaji khooshiyouN ka koi haq nahi hai... agar yeh pahli biwi bannay say rah gayee hain to kia yeh doosri, teesri aur chauthi biwi bhi nah banaiN aur sari omar unmarried rahain. jiss society maiN khawateen ki shadiyaaN nah houn, woh bil.amoom sexual corruption ki taraf easily maail hojati haiN ya kardi jaati haiN yaa phir sex worker bannay lagti hain...
zara sochiyeh k islam nay aurtouN ko doosri, teesri, chauthi bannay ka rastah khola rakh kar oskay liyeh ketna ehsaan kia hai k phir woh kiss kiss azaab say bach jati /sakti haiN... aik shauher ko 2/3/4 maiN share karna behtar hai ya har roz ka kharchah poora karnay k liyeh har roz aik new mard k saath shab basri karna ... yeh faislah karna aurat ka kaam hai... agar sirf dunyaa hi oski nazar maiN ho tab bhi... aur agar being muslimah sochay to phir ossay apnay shaitaani dil ki awaaz k barkhelaaf quran o sunnat ka raastah apnaanay main kabhi bhi hichkichahat nah ho
wallaho aalam bissawab |