my reply Q-1: ye msla mry ghr ka hai abu ki halal salry account mei ajti hai or pora ho kr bach bi jta hai mry abu coustom mei km krten hai or bhot sy apna airport ky kam krwatey hain us k lie extra paisy daiten hai or abu us ko halal smjten hain jb ky mei ny or ami ny samjhiya halal ni hai harm hai ni manty
Ans: apki aur apki amai ki baat durust hai...yeh extra paisa HARAM hai... apkay abbu manaiN yaa nah maanain... agar mumkin ho to onhaiN iss baray main deeni books paRhnay ko dijyeh jiss maiN bikhasoos rishwat ki haram income ka zikr ho yaa kissi family k buzrug /aalimay deen ya kam az kam mohallay k imaam sb hi say kahalwayain k woh apkay abbu say baat karaiN ya apkay abbu onsay baat karkay haram halaal ko samajhaiN... koi nah koi method to ikhteyaar karna paRega onhain samjhaanay ko k haraam ko halala nah samjhaiN
Q-2: or usi extra paisy sy fruit le kr ajten hain or smny cutwa ky bolten hain kaho tu humy khna prta hai. kbhi methai ly kr ajten hain. or hum log is lie kah lty kitna perhaz kry gy or na kahey to gussa krten hai is ka gunah kis per ho ga?
Ans: dil maiN issay HARAM janaiN... bahoot zabardasti karain to thora bahoot khaa laiN but nagawari say... Allah dilouN ka haal jannay wala hai.... abbu /husband ko bilkul inkaar karkay...dotok jawaab dekar naraaz /mushtail nah karain k woh kissi aur fasaad ka shikaar hojayain aur khoda nah khaastah maar peeT par otar aayaiN yaa apni biwi ko kuch aiusa waisa kah dain k ghar hi bikhar jaa.ay.... bus inhi expected fasaad say bachnay k liyeh majbooran nagawari say as min as possible khaa lia karain aur dil main Allah say taubah karlia karaiN... Allah maaf karnay wala hai... saray gonaah apkay walid par hoga...ap par ya waledah par koi gonaah nahi hoga insha Allah.... yaa drakhiyeh k iss tarah haram raqam "kamaana" apkay walid k liyeh haraam hai... yeh raqam aur say khareedi gayee ashyaa...ap logoun k liyeh oss tarah haraam nahi hai ... jaisa k sharaab, pork aur napaak shai haraam hoti hai, fee nafsehi....wallaho aalam bissawab
Q-3: 2nd yeh ky abu coustom ky godam mei kai kapery lay kr a jten jo ky un log ky hotey hai jo airport py aten hain extra sman godam mei rkha jta hai or un ky bi hoten hai jo bhol jten hain abu ki duty ek dfa godam mei lgi tu afsar k sth mil kr kuch godam sy kapry ly kr ajten thy tu yeh bi harm he kehla ga? tu un kapro ko phen kr namaz ho jay gi?
Ans: yeh yeh kapray bhi HARAM hongay... apka inka pahanna bhi jaiz nahi...aur nah hi yeh kapray pahan kar namaaz paRhni chahiyeh... insay mokammal avoid kijyeh... issay apko pahnaanay par to walid sb zabardasti kar hi nahi saktay...jaisaa k fruit /sweet khilanay par kartay haiN...
Q-4: dosra yeh ky agr yeh kpry hum dsro ko bi dain dy to un ki namaz bi kabol ho jy gi? is ka gunah hum pr he ai ga? kiu ky mei ny prha hai tum halal kaho to dsro ko bi halal khilao or halal phenao tu is nazriye sy hum dsro ko bi ni dai sktey tu kia kareien smajh ni ata plz help me
Ans: yeh kapray fee nafsehi /apni zaat maiN HARAM nahi haiN,. bus inkay hasool ka tareeqah HARAM hai...lehaza yeh kapray apkay liyeh hi haraam hai...doosrouN k liyeh nahi.... ap sawab ki niyyat k beghair yeh kapray kisis bhi zaroorat mandoun ko day saktay hain...onka in kapRouN maiN namaaz yaqeena hoga..onkay liyeh yeh kapray as HADYAh tasawwar hongay... aik misaal:
ahlay bait k liyeh zakat ki raqam /cheez ka khana peena jaiz nahi yaani HARAM hai..... kissi (ghair ahlay bait) sahabia RA ko kissi nay zakaat ki mad maiN say kuch khanay ki cheez di aur oss nay qabool karli.... ab oss sahabia RA nay iss maiN say kuch hissah Nabi kareem saw ko pesh kia aur ap issay khanay lagay to ahlay khana maiN say kissi nay nabi kareem saw ko Toka k issay nah khaa.iyyeh k yeh zakat hai jiska khana hamaray liyeh jaiz nahi... nabi kareem say nay farmayaa... yeh zakaat to falaan k liyeh hai, jissay as zakaat yeh shai di gayee... phir oss nay as hadya mujhay dia...meray liyeh hadyah to jaiz hai aur aap saw nay ossay khaa liaa
aap yahaan dekhiyeh k aik hi cheez as zakaat nabi kareem saw k liyeh direct zakaat denay walay say lena /khana jaiz nah thaa....lekin wohi cheez jiss k liyeh lena jaiz tha...oss nay lekar as hadya aagay dia to go k cheez same rahi... lekin wohi najaiz cheez jaiz hogayee..... kiyounkay yahaan yeh cheez bazaatay khud najaazi /haraam nah thi.
kapra ka apkay walid ka najaiz tareeqah say lena HARAM hai...chouNkay aplog barahay raast apnay walid ki kifaalat main hain to jab apko maloom hogaya k yeh haram tareeqay sya hasil ki gayee hai to sirf apkay liyeh haram hai... ap issay kissi zaroorat mand ko detay hain...chounkay oss zaroorat mand nay apsay najaiz tareeqay say (cheen kar, chori karkay yaa kissi rishwat k ewaz etc etc) haasil nahi ki balkay ossay as HADYAH /khairaat /tohfa mila hai lehaza osskay liyeh jaiz aur halala hai...albattah apko iss khairat /hadya ka koi sawab nahi milega...albattah malay haraam ko khud use nah karnay aur issay khud say joda karnay ka sawaab zaroor milega
wallaho aalam bissawab
|