nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:28th Jun 2011, 7:59am |
|
|
Why I Have Missed Period?
salam to all.pehlay bhi mein ne bohat question kiye hain..but mujhay kisi ne jawab nahi diya..plz reply me..mera sawal hai k iss bar mei ne ultrasound kerwaya tha..11th day of my period..egg size 10mm tha..aur mere hamesha 28 32 day k baad periods ho jate hain..aisa pehli baar hua hai..k 38 din ho gaye hain.mere periods nahi ho rahay..aur pegnency test bi kiya hai..negative hai..aur jahan tak hormones ki baat hai to prolactin bhi normal hai.aur pcos ki to kafi are se medicine le rahi hoon..so plz tell me..periods na hone ki aur kya wajah ho sakti hai...
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1055 Age:
33
|
|
Posted on:28th Jun 2011, 11:57pm |
|
|
Missed period:
PCOS mein pregnancy nah hone ke bohat se reasons hoti hain, the most important being hormonal imbalance.
Hormones ka imbalance kai tarah ka hota hai. For example female hormones ( estrogen, progesterone, FSH, LH) ke abnormal levels, male hormones( testosterone) ka level barh jaana, abnormal thyroid function resulting in abnormal TSH,T3and T4 levels, abnormal prolacin level, and abnormal insulin levels resulting in diabetes. Aap ka prolactin level normal hai, that's good, but how about the other hormones? |
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:29th Jun 2011, 3:18am |
|
|
psychdoc thanks..aap ne jawab diya..pcos k liye mein glucophage le rahi hoon..jab se pata chala hai..to her month ultrasound kerwati hoon...to ab to normal hai..yeh meri report.........
prolactin 6.5ng|ml
t3 112.6ng/dl
t4 7.9 ng / dl
tsh 1.86 uiU/ml
serology...
hsv 1+11 1gm 10
fsh 2.71 miu/ml
lh 7.03 miu/ml
rubella igG 309. 00 IU/ml
glucose 101
yeh meri reports hain..prolectin aur tsh t3 t4 ke test last month ko kerwaye thay........
aur baqi test aik saal pehlay kerwane ke baad treatment start kiya..abhi tak treatment le rahi hoon.... |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1055 Age:
33
|
|
Posted on:29th Jun 2011, 9:42am |
|
|
Missed Period: Some questions and some suggestions:
Nidaa, You are very welcome. In order to have a better understanding of your situation, I have a few more questions for you, and also some suggestions. 1): Are you overweight? Zyada tar women jin ko PCOS hota hai woh overweight hoti hein. Overweight hona ke wajah say PCOS ka treatment ke effectiveness kam ho jaati hai. Agar aap overweight hain to make sure keh aap regular exercise karain, and watch your diet. This is the single most important thing that you can do to make your PCOS under better control. 2): Kya aap na kabhee birth control pills use ke hain? 3): Kya aap ko ovulation hoti hai ( Egg release hona)? Agar nahin, to kya aap ke doctor na kabhi aap ko clomid prescribe karne ke baat ke hai ovulation ke liye? 4): Kya aap ka testosterone level kabhee check hoa hai? Yeh aik male hormone hai jo un women mei increase ho jaata hai jinhain PCOS ho? This results in symptoms like facial hairs etc. 5): Aap ke ultrasound mein kitni cysts aaie hain ovaries mein, aur unka size kya hai? 6): Aap na apna HSV ( Herpes Simplex Virus I and II) ke report shaid thori ghalat likh de hai.
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:30th Jun 2011, 6:58am |
|
|
mein ne kabhi birth control pills nahi li
salam..mera weight 55kg hai.. mein ne kabhi birth control pills nahi li.. 7 month pehlay jab mera polyp ka operation hua tha..aur dnc bhi..to mere 2 baar periods 16 ,17 din baad ho jate thay..to doctor ne mujhay progyulton di thi..ab 4 month se mere periods regular thay.. mein ne 1 year tak fertility k liye tratment kerwaya hai..6 month clomiphene aur 6 month fertab..iss doran bohat baar ovulation hui hai.. but aik baar bhi pregnency nahi hui..aur testerone ka test nahi kerwaya..aur meri chin per hair hain..woh to doctor ko bhi dikhaya tha.. ultrasound mein size to nahi likha..bas wright ovary mein polycystic hai..yeh likha hota hai....... jin tests ka mein ne likha hai..bas mere yahin test huay hain..iss k ilawa koi test nahi hua..yeh testerone test kerwana zarori hota hai... aur ab 6 month se mein koi medicine nahi le rahi..gluchophage k ilawa..3 baar ultrasound kerwaya..without medicine 2 baar ovulation bhi hui..aur iss month egg ka size 10mm tha..aur 40 din ho gaye hain ..10 din ooper ho gaye hain..mere periods abhi tak nahi huay...iss ki kya wajah..
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1055 Age:
33
|
|
Posted on:30th Jun 2011, 12:50pm |
|
|
Testosterone level increase hona ke symptoms
Walaikum Salam. And again, you are very welcome. Jaisa keh mein nai apni pehli post mei likha thaa keh PCOS mein pregnancy nah hona ke kaafi saari reasons hoti hain, and increase of male hormone ( testosterone) is one of them. Testosterone level increase hona ke symptoms hota hain facial hairs( that you described), acne on face, upper back and arms, and hairs on other parts of the body ( chest, legs ets). Aap ka testosterone level check hona chahye ya nahin yeh to aap ki doctor hee decide karain gee, magar generally it should be checked in every female suspected of having PCOS. Agar level increased ho gaa to uska liya aik different medicine prescribe ke jaati hai. By the way, aap na jo progyluton khai hai, that actually is a birth control pill ( technically). Aap na yeh bhee mention kiya hai keh aap ka polyp ka operation hoya hai. Occassionally, gynecological surgery ke aik complication hote hai keh female reproductive tract mein obstruction ( rukawaat) ho sakti hai surgery ka baad, jiski wajah say sperm egg tak nahin pohoonch sakta. Mujha nahin patah keh aap ke saath yeh complication to nahin ho gai hai, magar agar aur tamam cheezain normal aa jaati hain, aur phir bhee pregnancy nahin hoti to, to obstruction ke possibility consider karne chahye, aur iska liya aik test HSH ( Hystero Salpingo Gram ) karwaya jaata hai.
Sorry, typing error.The test is HSG ( Hystero Salpingo Gram).
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:1st Jul 2011, 4:21am |
|
|
periods k na hone ki kya wajah ho sakti hain
salam..mein testerone ka test bhi kerwa lon ghi..aur kya yeh test periods k doran hota hai.? jis complication ki aap baat ker rahay hain..iss ki symptoms kya hoti hain? hsh test blood se hi hota hai..aur kisi bhi din kerwa sakte hain..aur agar iss mein bhi koi masla na hua to. aik aur baat aap ko batana chahti hoon..k mere doctor ne last month kaha tha..k aap laproscopy kerwa lain.but mein bohat darr gai..mere husband bhi kehte hain.k kerwa lo..iss se kya ho gha..aur koi complication to nahi hoon gay..aur yeh kin days mein ki jati hai... aap ne mujhay yeh to bataya nahi k periods k na hone ki kya wajah ho sakti hain..mere saath kabhi bhi aisa nahi hua..ab 10 din ooper ho gaye...kya mujhay doctor k pass jana chaiye..aur iss k liye kya test ho sakte hain..k mujhay reason ka pata chal jaye..k mere periods kyun nahi ho rahay..aaj kal mujhay bohat tension ho rahi hai..k mere periods irregular ho jain gay..pehlay hi mere saath itne problems hain..aur ab periods ka bhi masla ho raha hai.. agar mein doctor k pass jaon to kya woh mujhay progyulton de ghi..yah phir koi aur medicine de ghi..jis se periods ho jain..
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1055 Age:
33
|
|
Posted on:1st Jul 2011, 9:44am |
|
|
Agar period miss ho jaaian to first possibility pregnancy ke hoti hai
You are welcome. Aap ka last question pehla answer karta hoon. Agar period miss ho jaaian to first possibility pregnancy ke hoti hai ( magar aap na apna initial post mei kaha thaa keh aap ka pregnancy test negative aaya)? Agar aap na home pregnancy test karwaya thaa, to behtar yeh ka lab say serum ( blood) pregnancy test karwa lain, its more accurate than urine. Periods nah hone ya irregular hona ke more or less wohi reasones hoti hain jo mein ne ooper describe kein, yaani hormonal imbalance. Testosterone ( not testerone) kisi bhee waqt karwaya jaa sakta hai. Yeh blood sample say test hota hai. HSG test us waqt kiya jaata hai, jab pregnancy na hona kay aur saare test ( semen analysis of husband, female hormones, egg formation, egg release ) sab normal hon. Agar egg ban raha hai, release bhee ho raha hai, aur sperms bhee normal hain, to phir yeh possibility check kee jaati hai keh female kay reproductive organs mai kahin koi rukawat to nahin, jiski wajah say sperm egg tak nah pohonch raha ho, causing difficulty with pregnancy. Isi rukawat ko check karna ka liya HSG test karwaya jaata hai. Is test main vagina main aik choti se tube insert kar ke aik colored material inject kiya jaata hai, aur phir XRAY kay zarya dekha jaata hai ka colored material kahan tak pohncha. Agar koi obstruction ( rukawat) hoti hai, to colored material rukawat say aaga nahin barh paata aur XRAY photograph say patah chal jaata hai keh rukawat kahan hai. Aksar aisa bhee hota hai keh agar koi rukawat hai bhee to color material inject karna say who rukawat door ho jaati hai, aur test kay doraaan he pregnancy nah hona ke wajah na sirf pata chal jaati hai, bulke treat bhee ho jaate hai. Yeh test bohat zyada painful nahin hota ( mamooly sa dard aur bohot thori see bleeding ho sakti hai test ka baad kuch hours tak). Test ke total duration 20-30 minutes hai. Laproscopy aik surgery hoti hai jis main skin par aik bohot small opening bana keh aik instrument ( laproscope) abdomen ka under daala jaata hai takeh internal organs ko dekha jaa sake. keh ander koi abnormality to nahin. Aap ne mention kiya hai keh aap bohot tension mei hain. Koshish karain keh stress say bachain, warna stress aur zyada hormonal imbalance create kare ge. Aap ka last question keh doctor aap ko kya prescribe kare gee, yeh is baat par depend kare gaa keh menstrual irregularity ke underlying reason kya hai.
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:6th Jul 2011, 2:20am |
|
|
abhi tak mere periods nahi huaye
salam.how r u?mein doctor k pass gayi thi...aur doctor ne mujhay blood test ka kaha..jo k negative aaya ha..i m not pregnent ..aur complete blood test bhi kerwaya hai..us ki report yeh hai... test normal value unit result wbc 4000-10000 /mm^3 6740 total RBC 4.5-6.0 MIL/ml 4.76 HB 11-15 g/dl 8.9 hct 40-50 % 29.1 mcv 82-98 fl 61.1 mch 27-31 pg 18.7 MCHC 32-36 g/dl 30.6 platlet count 140000-425000/mm^3 379000 neutrophils 55-70 % 44 lymphocytws 25-40 % 44 monocytes 2-11 % 09 eosinophils 2-6 % 03 RBC morphology hypochromia - - + microcytosis - - +
...................... abhi tak mere periods nahi huaye..aur doctor ne mujhay 3 din ke liye
medicineo gaye hz h di thi..aur kaha tha.k 3 din k baad periods ho jayin
gay..4 din ho gaye hain .mere periods nahi huay..aur mere 45 days ho
gaye hain..abhi tak nahi huaye ..mere saath first time aisa hua hai..30
ya 32 day normaly periods ho jate hain..plz mujhay batain.mein ab kya
karon....
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1825 Age:
25
|
|
Posted on:6th Jul 2011, 7:05pm |
|
|
nida salam kaisi he ap?
apko dr ne jo medicine di he 3din khana hoti hai.aur phri 3din wait krna hota hai aur phri periods ate he..............na k medicine chorne k foran bad ajaty he.isliye wait kre apko periods ajayegy. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1055 Age:
33
|
|
Posted on:6th Jul 2011, 10:10pm |
|
|
Iron deficiency anemia:
Nidaa:
Walaikum Salam.
I am fine, thank you. How are you?
Aap ke report mein iron deficiency anemia aaya hai ( iron ke kami ke wajah say aap kay blood mein red cells kum hain). Iska treatment bohot simple hai, magar bohat important bhee. Aap apni doctor kay mashware say iron supplements ( iron pills ) start kar dain. Iska saath saath green leafy vegetables like spinach ( paalak) aur apples zyada khaian. Is anemia ka treatment hona zaroori hai.
"aur doctor ne mujhay 3 din ke liye medicineo gaye hz h di thi". Main samjha nahin yeh aap na kiya likha hai.
Question by alirajput psychdoc bhai
ek baat aye hein zehain mein Nidaa sis ke liye, plz correct me, kiya
unko ye mashwara dena theek hein ke she should take twice daily Vitamin B
supplements along with Iron supplements?
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 4:30am |
|
|
thanks
thanks
salam to all..aur sab ka shukriya reply kerne ka... mere periods abhi tak nahi huay..23 june ko hone thay..aur aaj 7th july hai..abhi tak nahi huay..aur aisa first time hua hai..ke itne din ooper ho gaye hain..mein last friday ko doctor k pass gayi thi..doctor ne mujhay 3 din ke liye primolut N medicine de thi..3 time a day..ab 5 din ho gaye hain..abhi tak periods nahi huay...doctor k pass to jaon ghi..asal mein mere husband ki job aisi hai..k un k pass tim nahi hota...subah jate hain.aur raat ko aate hain..iss liye rozana doctor k pass nahi ja sakti..kal ka time hai... Nida
psychdoc
7 month pehle jab mein ne blood test kerwaya tha..tab 9.2 tha..aur 3
month k liye iron pill doctod ne di thi...aur ab iss se bhi kam ho gaya
hai..8.9..
iss k liye bhi iron pill hi loon..aur ++ ka kya matlab hai..aur
neutrophils bhi 44 hai...aur normal value 55-70 hain..aur mera low
aa raha hai...agar yeh low ho to to iss se kya hota hai.. hasna
salam..mein theek hoon..aap ka kya haal hai..aaj 5 din ho gaye hain...6
day tak wait ker leti hoon..kal jaon ghi doctor k pass..aap ke saath bhi
kabhi aisa hua hai..agar hua hai.to doc ne kon si medicine aap ko di
thi..aur us ke kitne din baad periods ho jate hain...aur kya mujhay
ultrasound kerwana chahiye...iss se pata chal jaye..k problem kya
hai... alirajput
aap ka bhi shukriya..aur kya vitamin b supplement se blood ki kami poori
ho jaye ghi..aur medicine kitna arsa mujhay leni pare ghi?
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1825 Age:
25
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 5:02am |
|
|
nida
me theek hu ALHAMDOLILLAH
dear mere sath bht dfa aisa hochuka hai................aur dr ne humesha ek hi medicine di periods ane k liye.primolut N ye naam hai.dr kehti k ye medicine 3din 3time khao aur phri 3din wait kro 4th day mensis ajayegy.aur aisa hi hota hai.aur apko b doctor ne yehi medicine di hai.phir se bta daiti hu k 3din medicine khani hai phir 3din guzar jayegy aur 4th day periods ayegy.apko saturday ko lazmi periods ayegy.
ap b do din mazeed wait kre oki aur preshan nhi ho.kia ap folic acid laiti he agur nhi laiti to wo lia kre.
mjy to ek naya hi prob hua hai do month se bleeding stop nhi hoti 13din tk rehti hai mgr bht light...........aur mensis b time per hi ate he mgr bht dair tk rehty he.duao krna mere liye aur me apkay liye inshaAllah, Nidahasna
mujhay bhi yhai medicine di thi doctor ne....kall tak wait ker leti hoon..folic acid to mein leti hoon... mere
saath bhi aik do baar aisa hua hai..10 din tak bleeding rahi hai..but
aisa tab hua tha jab mera polyp ki surgery hui thi..ab aisa nahi
hota...mein aap k liye dua kaon ghi...aur aap k saath abhi tak cyst ka
masla hai..koi farq para..aur aap ke hormones theek huay? hasna
nida
apko saturday ko periods ajaye gy.dontworry.
hormones
abhi theek he dear.aur hmm meri cyst b pehlay s e choti hui hai.last
month mjko 12din tk bleeding hui to me dr k pass gai ultrasound b hua to
dr ne btaya k cyst 3.2cm hai jo k pehlay 4cm se above thi.
mjy
yha kisi ne aik totka btaya tha cyst k liye.aur mene wohi kia aur uski
se size shrink hua hai.apko b cyst he to ap b kr k daikho.Allah pak apko
b shifa dy.Ameen
Nida hasna
mujhay pcos hai..aaur us k liye mein medicine le rahi hoon..aur
prolectin ki medicine mein ne 2 month se chori hui hai..aur last month
test kerwaya tha..but periods k doran nahi kerwaya.periods k 12 day ko
kerwaya tha..normal aaya tha..doc ne kaha hai...ab periods k doran
kerwao...ab periods hoon gay..to kerwaon ghi...umeed hai k result normal
ho...
mere saath bohat sare masle ho gaya hai...mere bohat ziyada hair falling
ho rahay hain...aur mere cheeks per freckle bhi aa gaye hain...3 month
pehle...pata nahi kya wajah hui hai..meri mother aur sis k saath koi
aisa masla nahi hai..chai waghira nahi hai...aur meri skin per to kabhi
aik pimple bhi nahi nikla..aur meri skin bhi fair hai...phir kya wajah
hai..k meri donon cheeks per chaiyan ho gayi hai..aur hair falling bhi
ho rahi hai..mein bohat preshan hoon..kis kis ki medicine lon...thak
gayi hoon...aur mere shoulders mein bohat dard rehta hai...backbone mein
bhi dard hota hai..aur mujhay infection bhi bohat jaldi ho jata
hai..vaginal infection..
problems
aap sab mujhay koi advise dein.k mein kya karon..aur kya kya kaon..jis
se yeh sari problems khatam ho jain..aur mujhay kon se vitamin lene
chahiye?plz
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1825 Age:
25
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 5:36am |
|
|
nida
hair fallig metformin se hota aur face per chaiyaa ua pimples b usi ki waja se hoty he.
ap yaqeen kre mere itne lmbay hairs thy aur itna girne lgy k kia btau mene last firday apne hairs shoulder jitne kaat diye he kio k lmbay hairs ziada utrty he yha tk k sar ki skin nazar ane lgai........:((
me bht dar gai hu k kia horha mene dr ko btaya usne kha k metformin chor do.face and body per acne b hogai hai aur sar ki skin ukhrti hai jha se skin ukhrti hai wohi se hairs b utar jaty he.............:((
mere bht black hairs thy aur ghune b abhi balo ka colour light brown horha aur bht bareeek aur kmzooor b......:(
ap apni doctor ko btao ye baty wo ya to apki medicine stop kre gy ya dose km krdygy.
nidda hasna
mere saath bhi same yai masla hua hai..neeche se skin nazar aati
hai..mera brush kerne ko bhi dil nahi kerta..doctor ne metformin ki
jagha poze medicine di hai..doc ne kaha haii..k yeh nhai medicine
hai...woh din mein aik tablet leti hoon..metformin chor di hai..
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1825 Age:
25
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 5:47am |
|
|
nida wohi na meri b dr ne kha k metformin chor do.laikin uski jaga koi aur medicine nhi di.cyst aspiration ka kha hai mjko.daikhay abhi kis din jati hu..............next week me jaugi dr k pass ya phri ramadan se ek hufta pehlay..............
dear ek prob hutam hoti hai to dosri shuru.
dr ne mjko ye b kha k me theek hojaugi to hairs aur skin pehlay se healthy hojayegy...........inshaAllah
isliye abhi yehi dua hai k Allah pak olaad se nawaz dy Ameen kio k abhi olaad k liye hairs ka utar jana skin ka hurab hona jisamat ka bhur jana ye sab zra b feeel nhi hota hai Allah pak ek baby dydy healthy ho phri hum hush hojayegy to beauty b wapus ajyegy......:D |
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 6:14am |
|
|
hasna yeh to hai.shadi se pehle mein ne bohat km medicine li thi.cause medicine ki smell se hi mujhay vomit ho jati thi..aur ab 2 saal se medicine le rahi hoon..isi wajah se .ALLAH PAK aulaad ki nemat se nawaz de..aur mein to akeli rehti hoon..sara din bore hoti rehti hoon..aur phir skype per apni sis ki beti se batain karti hoon..us ki shadi bhi mere saath hui thi..MASHAALLAH se us ki 2 saal ki beti hai..aur ab phir us ko 5th month hai...mujhay bohat akela pan feel hota hai...aur mein janti hoon..k aap bhi akeli hi rehti hain..saudia mein..aap to samajh hi sakti hain...ab to mein ne shadiyun mein jana bhi chor diya hai..kyun k kahin bhi jao..pehla sawal yahi hota hai...kya wajah hai..kyun nahi baby ho raha..mera kisi k saath baat kerne ko bhi dil nahi kerta...kher ALLAH ne kuch behtar hi socha ho gha...ALLAH sab ko ulaad ki neemat se nawaz..ameen |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1825 Age:
25
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 6:27am |
|
|
nida waqai aisa hi hota kisi ko milne ko dil nhi krta na hi khi ane jane ko.
me ksa me hi study ki hai bht friends he yha kbhi phone per bnat hoto yehi sawal pucha jata facebook pe rb messages aty laikin me reply hi nhi krti sabse dur hogai hu zra b dil nhi krta is hawale se kisi se bat krne ko.
meri nand ki shaid hui thi meri shadi k sath hi uskay do bchy he ek baiti aik baita baita 7month ka hai aur baiti ek saal 11month ki.
shadi ko do saal aur 7month hone wale he.bs ye Allah ki dain hai inshaAllah hume b dyga.omeed rkho. |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1825 Age:
25
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 6:27am |
|
|
nida waqai aisa hi hota kisi ko milne ko dil nhi krta na hi khi ane jane ko.
me ksa me hi study ki hai bht friends he yha kbhi phone per bnat hoto yehi sawal pucha jata facebook pe rb messages aty laikin me reply hi nhi krti sabse dur hogai hu zra b dil nhi krta is hawale se kisi se bat krne ko.
meri nand ki shaid hui thi meri shadi k sath hi uskay do bchy he ek baiti aik baita baita 7month ka hai aur baiti ek saal 11month ki.
shadi ko do saal aur 7month hone wale he.bs ye Allah ki dain hai inshaAllah hume b dyga.omeed rkho. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1055 Age:
33
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 9:36am |
|
|
Ali bhai:
How are you?
Let me explain why I recommended iron for her and not the vitamin B supplements.
Basically, if you look at her blood report , the last thing mentioned in that report is the word " microcytosis." Microcytosis iron deficiency anemia mein hota hai. Agar inhain Vitamin B deficiency anemia hota to word " macrocytosis" likha hota. Inhain basic deficiency iron ke hai, isi liya mein nain inhain iron supplements suggest kiya, and not vitamin B supplements.
Take care Ali bhai. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1055 Age:
33
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 9:49am |
|
|
nidaa:
Aap ko apne doctor kay mashware say iron pill restart karni chahye. Aap ke HB ( hemoglobin) kaafi kum hai.
Aap ke report mein jo + ka sign aaia hain in front of microcytosis and hypochromia, uska matlab hai keh aap ka blood mein hemoglobin kum hai ( hypochromia) aur aap ka red blood cells ka size small hai ( microcytosis). Yeh donon findings jub combination mein hon to anemia ke wajah iron deficiency hoti hai. Mein nay ooper Ali bhai ko bhee reply kia hai, isa bhee parh lain to aap ko clarification ho jaie gee.
Low neutrophils aur elevated lymphocytes viral infection ko show karte hain, like flu etc or other viral illnesses.
Aap na jo Primolut N ( synthetic female hormone) pill khai hai, usko stop karna kay 2-4 days ka baad withdrawl bleeding ho jai gee, unless there is abnormality in uterus lining. |
|