listener
ap ki post main bohat se tazadat hain 1 ap k mutabiq ap log kisi bohat poch/ posh area main rehtay hain like defence, clifton etc aur ap ki wife kisi middel area means korangi, landhi, new karachi, nazimabad, paposh nagar, liaqatabad etc jab k ap ne khud hi kaha k ap k walden ne ap ko bari mushkil se pala hai baqol ap k kuk mere walidein ne bht mehnat or mushkilat me paala hy. dono batain match nhn kertin ap ki ap ki wife ka atitude btata hai k woh ziyadah educated aur mohazab hai aur shayed kisi achi family se hai jesa k us k walden k rawaiyay se lagta hai 2 ap ki wife ne M.A. kiya hai to woh IT professional kesay ho gain? aap to simple B.A. hain aur yahan MBA ki koi value nhn to ap ki kya ho gi jab k ap ka apna koi bussiness bhi nhn kiun k ap k walid abhi bhi job kertay hain baqol ap k jubke mere walid ki apni salary 45,000 hy. is k ilawa ap ki wife ka kehna hai k ap ki family bohat big hai to ap ko kya problem hai alag rehnay main walden k sath piyar aur care alag reh ker bhi ki jasakti hai islam k mutabiq ager ap eford ker saktay ho to alag hi raho kiun k islam main joint family ka woh concept nhn jo humaray mausheray main hai is k ilawa walden k haqooq alag hain biwi k alag na dono mix ho saktay hain na over lap ap ki wife ki salary sirif us ki hai ap k walid ko to choro ap ka bhi us per koi haq nhn han ager woh ap ko kuch dena chahay to ap per jaiz hai ager ap ya ap k walid zaberdasty ap ki wife ki salary ya us main se kuch lo gay to ap k liyay na jaiz hai ap pehlay khud ko compose kero k ap ka asal problem kya hai walden se alag rehna koi islami problem nhn ap eford ker saktay ho to alag raho aur un ka khayal rakho ap ki wife per islami lehaz se ap k walden ki khidmat feraz nhn balkay ap pe rferaz hai lekin ager woh un ki khidmat keray gi to naikiyan kamai gi aur apnay bachon se bhi khidmat keraai gi is k ilawa walid ak gher k kamon main dakhal den akoi bera issue nhn jisay handle na kiya ja sakay walden ka haq pehla hai lekin us main bhi bohat details hain Quran perhain ba tarjuma FATEH MOHAMAD JALHANDRI SAHEB ka sab samajh main aajai ga
|