Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Waldein k haqook zayada ya bivi k.

Social Problem
 
 
 
Listener Group: Members  Joined: 06th Jul, 2012  Topic: 4  Post: 5  Age:  28  
Posted on:8th Aug 2012, 1:37am
 

Waldein k haqook zayada ya bivi k.

Bismillah Or Asslam.o.alekum all freindz"

Wese to Allah ka bara karam hy. Meri shadi ko 1 sal hone wala hy OR Shayad mein is wakht ka 1 bht Lucky Man hun wife k aitbar se. But aaj kal mein bht tens rheta hun. Masla 1 hi hay Maan baap ya bivi ??

Meri Pasand ki shadi hy Phele walid shb' razi na the. K wo log middle class area m rhete hen. Kuk meri walid Middle areas ko like nhi krte. But manane per wo mangye or meri shadi waldein ki raza se hui khushi se hui. Kuk sb ko meri pasand  pasand ai. Meri wife good looking, master M.A, Cook exprt or IT professional thi. Jo faimily ko pasand aya. unke waldien bhi bht respectfull theY or hen abtk.

Mere walid ki 1 adat or hy jhagrne ki gharme orto k kitchen k kam mein rok tok krne ki. Jiski waja se hmare ghar m 1 tension si rheti hy. OR meri walida thori falzool kharch hen jiski wja se papa larte hen...... AB jb meri shadi hui to MERi  walda ne nuks nikal na k ghar k kam nhi krti humse kuch share nhi krti, rok tok krna shru krdiya.... OR meri wife hr kam mujhse poch kr krti hen or share krti hy Jo walda ko pasand nhi tha wo mujhse uski burai krti thi Is bat ko lekr meri wife chirne lagi .....Phir 1 din mere papa ne meri wife k ghrwalo ko shikyat krdi k ye humein kuch nhi smjhti... Mere susral wale chup hogye ye sun kr kuch nhi bole bs dil mein rkhli.  Is bat ko lekr wo shadi k 2month bad hi Alag rhene ki khuwaish krne lagi Kha k mein yaha adjust Nhi kr paa rhi hun kuk apki faimily bht big hy or rok tok hay apke papa larte hen.

Meri wife wese to bht achi hey job k sath sara khayal rkhne wali. Hum Miya bivi m bht pyar h. Mein guse ka bht tez tha shadi se phele. Mene shru shru mein wife ki is bat pe thora narazgi zahir ki or smjhaya k abhi 2month bad hi ye khena shru krdia abhi esa kuch nhi hoskta apko adjust krna hoga. Phir wo thk hogyi or Allah ne humein aulad di jo miscarage hogya 2month ka baby.
Lekin wo Kbhi kbhi apni usi alag ghar wali khuwaish ka mazak m izhar krti rhi. OR mein uske kayal or piyar ko feel kiya to gusa bht hi km krdia or apne apko smjhalia. uska khayal rkhna pyar dena uski har tarah ki satisfaction ka khayal rkha.

But mere waldein ne apna wohi attitude rkha, rok tok, krna larna, M apne waldein ka sb se farma bardar rha walidein ko bhi bht chata hun islye unse alag hone ki bat nhi kr pata.   Or wife ko bhi waldein k lye smjahta hun,

Agar mere parents mujhe kuch khete thy to mein sun lete tha chup chap or jawab nhi deta tha kuk mere walidein ne bht mehnat or mushkilat me paala hy.
..........But jub wo wife ko ulta sidha kehte hen to mujhe feel hota k mujhe 1 achi wife mili hy ye log esa ku khe rhe hen to mene sun nhi pata or wife ki himayat krdeta tha jo waldein ko bura lagta k wife ki himayat kr rha hay..... Walid shb Khete hen k tum ne middle area m shadi krli, ab baho jo kamaye wo humey de. Mein apni adhi salary shadi se phele apne waldein ko diya krta tha. Ab wo khete hen k Tum dono kama rhe ho. islye Humein zada do apni wife ko bhi kho. jubke mere walid ki apni salary 45,000 hy. 

Meri wife ab thora zada naraz or chir chiri rhene lagi hy or kheti hen apko mein sjmhti hun apke waliden nhi ap unhe nhi chorege lekin wo apko 1 din khud jane ko khedenge islye ap hamare liye bhi jama kren.... Waldein chate hen jese hum chaye wife wese kre jo meri wife ko pasand nhi ata. AB kya kron kiski suno. Agar waldein ki sunta hun to wife k sath na insafi hogi kuk wo har lehaz se achi hy bs ghr chati hy... OR waldein ko chorta hun to akhrat ka dar hay...

KYa kroon plz?? aap log bataien Islamic or dunyavi pheloo se ???.

Meri post shayad apko big lagegi but mein hr moment clear krna chata tha islye detail m likha plz advice me good.
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 48  Post: 3378  Age:  23  
Posted on:8th Aug 2012, 3:43am
 

listener

Walekum Asalam,,,

bhai aaj kal ke zamane mai to saas, sasur or bahu ka to yahi haal hai. lekin app ke statement ke mutabiq,,

Islam mai walidain ke hoqooq sab se ziadah hai chahe wo koi bi hoo wo dono har haal mai walidain hi hote hai.... pir app ne jo tafseel bataya to oss se maloom hota hai ke wo ziadati kar rahe hai na ke insaf,, jessa ke onke already salary 45000 hai or app se bi mang rahe hai to ye bi ziadati hai onke to koi dood pete bache bi nahe or na hi kuch or hai ke kharcha ziadah lage,,,

iss shadi mai apka bi kuch ghalti hai jab app keh rahe hai ke app apne walidain ke farmanbardar hai to jab shadi pe wo dono razi nahe the tab app ne kiyo nahe maan liya?? kher ab to hogaya hai,,

bhai app essa karlo ke onhe piyar se samjao essa nahe ke jab wo kuch kare to app onhe speech start karde jesse mouqa dekho,, jab apka walid essa hi betha hota hai to onke pass jaw kaho ke app iss tarah karo,, app jo mujh se maang rahe hai wo ab iss tarah nahe hosakta ab mai ne shadi ki hai,,, tum jo kuch iss tarah kar rahe wo apke nature ke sath acha nahe lagta etc,, etc Inshallah issi tareeqe se samjao hoaskta wo samaj payege..

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2431  Age:  48  
Posted on:9th Aug 2012, 5:12am
 

listener

ap ki post main bohat se tazadat hain

1 ap k mutabiq ap log kisi bohat poch/ posh area main rehtay hain like defence, clifton etc aur ap ki wife kisi middel area means korangi, landhi, new karachi, nazimabad, paposh nagar, liaqatabad etc

jab k ap ne khud hi kaha k ap k walden ne ap ko bari mushkil se pala hai baqol ap k

kuk mere walidein ne bht mehnat or mushkilat me paala hy.

dono batain match nhn kertin ap ki

ap ki wife ka atitude btata hai k woh ziyadah educated aur mohazab hai aur shayed kisi achi family se hai jesa k us k walden k rawaiyay se lagta hai

2 ap ki wife ne M.A. kiya hai to woh IT professional kesay ho gain?

aap to simple B.A. hain aur yahan MBA ki koi value nhn to ap ki kya ho gi jab k ap ka apna koi bussiness bhi nhn kiun k ap k walid abhi bhi job kertay hain baqol ap k

jubke mere walid ki apni salary 45,000 hy.

is k ilawa ap ki wife ka kehna hai k ap ki family bohat big hai to ap ko kya problem hai alag rehnay main walden k sath piyar aur care alag reh ker bhi ki jasakti hai

islam k mutabiq ager ap eford ker saktay ho to alag hi raho kiun k islam main joint family ka woh concept nhn jo humaray mausheray main hai

is k ilawa walden k haqooq alag hain biwi k alag na dono mix ho saktay hain na over lap

ap ki wife ki salary sirif us ki hai ap k walid ko to choro ap ka bhi us per koi haq nhn han ager woh ap ko kuch dena chahay to ap per jaiz hai ager ap ya ap k walid zaberdasty ap ki wife ki salary ya us main se kuch lo gay to ap k liyay na jaiz hai

ap pehlay khud ko compose kero k ap ka asal problem kya hai

walden se alag rehna koi islami problem nhn ap eford ker saktay ho to alag raho aur un ka khayal rakho ap ki wife per islami lehaz se ap k walden ki khidmat feraz nhn balkay ap pe rferaz hai lekin ager woh un ki khidmat keray gi to naikiyan kamai gi aur apnay bachon se bhi khidmat keraai gi

is k ilawa walid ak gher k kamon main dakhal den akoi bera issue nhn jisay handle na kiya ja sakay

walden ka haq pehla hai lekin us main bhi bohat details hain

Quran perhain ba tarjuma FATEH MOHAMAD JALHANDRI SAHEB ka

sab samajh main aajai ga




WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 48  Post: 3378  Age:  23  
Posted on:12th Aug 2012, 2:02am
 

WEHSHI

Shayed ye bi ek story writer tha. I think ke ab doosre forums story likh raha hoga
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012