nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:28th May 2012, 6:48am |
|
|
psychdoc thank you so much.aap ki baaton se mujhay bohat hosla hua hai.aur mein zaroor in baaton per amal karon ghi..
meri sis kabhi kabhi mere pass aati hai,,us ki 2 betiyan hain..un k saath kafi acha time guzarta hai..but jab bache chalay jate hain..to bohat akela pan feel hota hai..
aur yahan mein akeli kabhi gher se baher nahi gai..jahan bhi jana hota hai husband k saath jati hoon.aur un ki job ki wajah se un k pass bilkul bhi time nahi hota..
kher skype per gher walon se baat ho jati hai..kabhi kabhi aisa hota hai k mera dil kisi bhi cheez mein nahi lagta..aur mujhay bohat akela pan feel hota hai.aur bohat sari soochin tang kerti hai..kabhi kabhi mein sochti hoon.k ager mera baby hota.to ab woh mere pass hota.aur phir mujhay kabhi bhi akela pan feel na hota..
inshaallah tala jald hi ALLAH TALAH mujhay dobara khushhabri aata farmaye gha..aameen
aap ki baton per mein zaroor amal karon ghi..once again thank you so much
ALLAH aap ko hamesha khush rakahy,aameen
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:5th Jun 2012, 5:03am |
|
|
salam how r u?
main ne periods k 14th day ko ultrasound kerwaya.jo k bilkul theek tha..largest follicle right ovary mein 26mm tha..doctor ko report dekhai thi..unhon ne kaha k ivfc 5000 inj lagwa lein..MASHAALLAH se iss baarbhi ultrasound wali report theek aai hai..iss baar phir doctor ne cyclogest 400mg 19th day se use kerne ko kaha hai..
mera sawal yeh hai k kab tak ovulation ho ghi?aur aisa bhi hota hai k egg bhi mature ho aur phir bhi ovulation na ho..plz mujhay detail mein iss bare mein bata dein..kyun k pehle bhi 2 baar reports bilkul theek aai thi..but pregnency nahi hui..
aur humain kab tak intercourse kerna chaiye.mera cycle 30 ya 31 hota hai..aur kya 24 ya 25 day kobhi ovulation ho sakti hai?
thanks |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1058 Age:
33
|
|
Posted on:6th Jun 2012, 11:25pm |
|
|
Nidaa:
Walaikum Salam, I am fine thanks. Aap kaisee hain? Nidaa, waisa to 100% surity kay sath kuch kehna mushkil hai keh ovulation kab ho gee magar chances yehi hain keh ovulation aap kay ultrasound kay within the next day or so ho gae ho gee, inshallah. Jee haan, unfortunately yeh true hai keh aisa possible hota hai keh egg mature ho aur ovulation nah ho sakay. Ovulation depends upon a number of things, including LH levels at mid cycle. Agar aap ka cycle 30 yaa 31 days kaa hai to most likely ovulation day 16 yaa day 17 par ho gee, aur iska liya aap ko around day 10 day to day 18 alternate days par intercourse karna chahye, inshallah that would increase your chances. Generally, agar cycle 30 yaa 31 days kaa ho to ovulation day 24 yaa 25 ko hona kay chances kam hain, most likely day 16 yaa day 17 kaa chance hai. All the best. |
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:28th Jun 2012, 8:54am |
|
|
psychdoc salam.how r u?unfortunately iss baar bhi pregnency nahi hui..jaisa k mein ne aap ko ultrasound report k bare mein bhi bataya tha .woh bhi thek thi. iss baar mein ne koi fertility ki medicine nahi li aur na hi doctor k pass gayi hoon.... anywayz mein poochna chahti hoon k aur kya wajah ho sakti hai pregnency na hone ki..jab k test bhi sab theek hai..kya pcos mein egg bhi mature ho aur ovulation na ho..aisa kyun hota hai?? second aap ne mere husband ki report dekhi hai..un ki motality 45 hai kya yeh wajah ho sakti hai?aap ne iss k bare mein kaha tha k count acha ho to koi farq nahi perta.kya un ko apna test dobara kerwana chahiye.?.kaam ki wajah se un ki diet bhi bohat disturb hai..aur woh smoking bhi kerte hain... pcos mein pregnency k chances bohat kam ho jate hain?agar koi aur test bhi ho to mujhay batain mein wo kerwa lon...plz mujhay detail mein answer dein. thanks
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1058 Age:
33
|
|
Posted on:28th Jun 2012, 1:49pm |
|
|
Nidaa:
Walaikum Salam, I am fine thanks, aap kaisee hain? I am sorry to hear about your disappointment again. I know yeh aap kay liya kaafi frustrating hai keh itna arsa guzarna kay baad bhee koi positive result saamna nahin aata, I know it must be very hard for you, magar jaisa keh mein nay aap ko pehla bhee kaha, aap kay saath aik positive factor yeh hai keh aap atleast aik martaba pehla pregnant ho chukee hain, jiska matlab yeh hai keh aap kay system mein koi aisee major abnormality nahin keh aap dobarah pregnant nah ho sakain ( inshallah). Aap na poocha keh pregnancy nah hona kee kiya wajah ho saktee hai? Iss ka jawab waisa itna simple to nahin magar aap ko pregnancy say related kuch basic baatain batana chata hoon. Aik successful pregnancy kay liya bohot saari baaton ka role hota hai, including hormones ka sahih waqt par increase karna, sahih waqt par decrease hona, sahih waqt par body mein inn hormones ke wajah say appropriate changes aana, agar pregnancy ho jae to uterus mein sahih say implant ho jaana, pregnancy kay early hormones kaa correct time par early pregnancy ko support karna etc etc etc. Inn mein say kisi bhee step par agar koi cheez sahih time par nahin ho gee to pregnancy mein difficulty ho saktee hai.Aur aisa bhee hota hai keh egg mature ho magar ovulation nah ho ( due to LH levels not increasing right before the time of ovulation). Aap ko yeh sab bata kar aap ko confuse karna maqsad nahin, balkeh aap ko yeh iss liya bata raha hoon takeh aap ko iss baaray mein basic know how ho jae aur aap apni health say related correct decisions lay sakain. Sab say pehla to aap kay liya yeh jaana zaroori hai keh aap ko ovulation ho rahee hai yaa nahin. Iska liya aap ka paas 2-3 options hain. Best option hai Follicular Tracking, jis mein ovulation kay dinon mein ( starting from day 9 to approximately day 20) waqfa waqfa say ultrasounds kiya jaata hain aur follicles ( eggs) kaa size/maturity check kee jaata hai, aur iss say yeh patah chal jaata hai keh ovulation most likely kis din ho gee, aur uska hisaab say intercourse advise kiya jaata hai. Iss approach kaa nuqsaan yeh hai keh yeh costly hai ( many ultrasounds) aur inconvenient bhee. Iss liya mera mashwara aap kay liya yeh hai keh aap aik ovulation predictor kit khareed lain ( mujha nahin patah keh Pakistan mein iss ki kiya price ho gee, but it should not be very expensive), aur iss par dee gae directions ko follow karain tou iss say bhee aap ko apni ovulation day kaa patah chal jae gaa. Iska illawa aap ovulation kay 7 days kay baad apna progesterone level bhee zaroor check karwa lain, kiyonkeh progesterone early pregnancy ko support karna aur miscarriage ko prevent karna mein bohot important hota hai. Kiya aap doctor kay order kay baghair apni labs karwa saktee hain, I mean progesterone level ?? Jahan tak aap kay husband kay semen analysis kee baat hai, unke report mein koi major abnormality nahin thee, magar smoking men's ke reproductive health kay liya harmful hote hai, koshish karain keh unhain smoking say mana karain. I know you must be feeling frustrated and disappointed, magar har cheez Allah taala kay haath mein hoti hai. Hamesha acchee umeed rakhain, khush raha karain, aur kabhee apni soch ko negative nah hona dain. Agar apni soch ko positive rakhain gee to inshallah apni situation ko zyada behtar tareeqa say handle kar sakain gee. As always, my prayers for you, and I wish you the very best.
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:29th Jun 2012, 7:11am |
|
|
psychdoc mein theek hoon.and thank u so much aap ne itna detail mein jawab diya..
doctor ne kaha tha k progesterone k test ka koi faida nahi hai.mujhay doctor ki baat ki samajh nahi aai thi..iss baar mein khud hi test kerwa lon ghi.aur mere periods 31 32 day k baad hote hain.to mein yeh test kon se din kerwaon?
aur mere husband ko aksar stomach infection ho jata hai.to phir wo ciprofloxin medicine laite hain..aur woh bhi stress bohat laite hain..aur yeh panadol cf aur arinac tab laine se bhi kya male fertility effect hoti hai?
kya vaginits se bhi infertility hoti hai?mujhay abnormal discharge to nahi hai..jab periods k baad 9th ya 10th day ko intercouse kerte hain .us k baad jalan hoti hai..aik din ya 2 din hoti hai.us k baad nahi hoti..aik aur baat pehle bhi poochna chahti thi..pehle mere saath aisa kabhi nahi hua tha.ab 2 3 month se ho raha hai.intercourse k doran aur baad mein mujhay vomit feel hoti hai..dil kharab hota hai..yeh normal hai?pehle kabhi aisa nahi hua....
ALLAH aap ko hamesha khush rakhay(aameen) |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1058 Age:
33
|
|
Posted on:30th Jun 2012, 2:00pm |
|
|

|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1058 Age:
33
|
|
Posted on:30th Jun 2012, 2:12pm |
|
|
Nidaa:
You are very welcome, and thank you so much for your prayers.
Progesterone level ovulation kay 7 days kay baad karwaya jaata hai, iss liya agar ovulation day 14 par ho to progesterone level day 21 par karna chahye, magar zaroori nahin keh ovulation day 14 par hee ho. Iss liya bhee aap kay liya ovulation predictor kit zaroori hai takeh aap ko apna ovulation time patah chal jae. Waisa agar aap kaa cycle 31, 32 days ka hai, to most likely aap ko ovulation Day17,18 par ho gee ( though it's not certain).
Ciprofloxacin, arinac aur panadol kay short term use say fertility effect nahin ho gee.
Agar aap ko koi vaginal infection nahin hai to phir koi zyada fikar kee baat nahin.
Intercourse mein nausea feel hona kee main reason generally anxiety related hoti hai, kiya aap intercourse kay waqt relaxed feel kartee hain yaa kisi baat ke anxiety hoti hai?
Once again, aap ke doaon kaa bohot shukria.
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:2nd Jul 2012, 1:48pm |
|
|
psychdoc thanks for reply
pregnency se pehle bhi mujhya kafi baar issi tarah ka infection ho chuka hai.
mera sawal yeh hai k periods k baad se mujhay yellow aur light brown sa discharge ho raha hai..aur vagina mein jalan aur irritation feel hoti hai ..aur kuch dinon se mere haath paon mei bhi jalan hoti hai.
aaj periods ka 10th day hai.aur agar aaj mein aur mere husband secnidal forte medicine use kerte hain..jaisa k mein pregnency k liye bhi try ker rahi hoon..to iss se koi side effect to nahi ho gha...
aur second sawal hai.jo mein ne symptoms batai hain..canesten vaginal tab use ker sakte hain..aur agar 10th ya 11th day ko use kerte hain to iss se koi side effect to nahi hota..mera poochne ka matlab yeh hai k aisa bhi hota hai k is k use se sperms dead ho jate hain..
agar 11th day ko tablet use kerin to kitne din tak vagina mein iss tab ka asar rehta hai..
mein kisi wajah se doctor k pass nahi ja saki.to phone per symptoms batai hain..to doctor ne yeh tab ka kaha hai..aap se iss liye pooch rahi hoon k aap tafseel se iss bare mein bata dein gay..thanks
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1058 Age:
33
|
|
Posted on:3rd Jul 2012, 4:51pm |
|
|
Nidaa:
Kiya aap secnidal forte vaginal infection kay liya use kar rahee hain, yaa intestinal infection kay liya? Kiya aap nay apna vaginal culture karwaya hai ( to know what kind of infection you have)? Canesten , vaginal yeast infection kay liya hai, its safe to use in early pregnancy. Koshish karain keh apna diet mein yogurt kaa use zyada kar daian, aur apna private area jitna zyada dry rakhain gee utna hee yeast infection mein helpful ho gaa. Even shower laina kaa baad bhee apna vaginal area blow dry kar lain kapra pehanna say pehla. Aur cotton undergarments use karain.Waisa behtar thaa keh aap doctor ko dikha daiten takeh yeh patah chal jaata keh kiya waqai yeast infection hai. Generally, canesten kee 2 tabs vagina mein rakhee jaati hain, for 3 consecutive nights. Good luck, I hope you feel better.
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:7th Jul 2012, 4:55am |
|
|
test report thanks for reply...mein doctor k pass gayi thi..doctor ne canesten tab di hai..aur kaha k abhi use na karo antisperms hoti hai ..
mein ne 12th day ko ultrasound bi kerwaya tha..aur iss baar bhi report achi aai thi..aur doctor ne kaha.k periods ki date aane se kuch din pehle tablet use ker laina.itna ziyada infection nahi hai...
mein aap se tsh hormone k bare mein janna chahti hoon..k mujhay 12th day ho gaye hai thyroxin tab chore hue..aur mein ne kal tsh ka test kerwaya ..report theek hai?
TSH 1.8 uiu/ml
report k baad doctor se abhi baat nahi hui..us din doctor ne kaha tha k medicine tum laiti raho..aap kya kehte hai k mein ne 12th day se medicine bhi nahi li thi..aur us k baad test kerwaya tha..aur kya mujay medicine continue kerni chahiye?
thanks |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1058 Age:
33
|
|
Posted on:8th Jul 2012, 11:13pm |
|
|
Nidaa:
Actually, canesten khud spermicidal nahin hoti, magar spermicidal creams ke effectiveness ko kam kar saktee hai.
Yeh acchee baat hai keh aap kaa ultrasound normal aaya hai.
Jahan tak aap kay TSH ke baat hai, generally throxine chorna kay baad several weeks lagta hain TSH ko abnormal hona mein. Aap kaa TSH abhee normal hai, magar aap ko sirf 12 days hoa hain throxine chorra hoa. Iss baat kaa bohot zyada chance hai keh aap kaa TSH next few weeks mein phir abnormal ho jae gaa, unfortunately, agar aap nay thyroxine restart nahin kee. Iss liya meri suggestion bhee yehi hai keh thyroxine continue karain, takeh aap kaa thyroid function normal rahay, which is very, very important, not only for pregnancy, but for a variety of other things as well.
All the best. |
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:6th Aug 2012, 11:09pm |
|
|
salam how r u?
unfortunately iss baar bhi pregnency nahi hui..ultrasound report bhi theek thi.kher iss baar mein kisi aur doctor k pass gayi thi..doctor ne mujhay period k 11th day se 20 day k liye Q_NEX MEDICINE aur myfol tablet di hai..aur 13th day se duphaston start kerne ko kaha hai...mein ne pochna tha k yeh medicine kis liye hoti hain? |
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:6th Aug 2012, 11:15pm |
|
|
psychdoc husband ki report bhi dekhi thi..aur husband k liye augmentin 1mg 2 time 5 day k liye di hai.aur refert f plus one month k liye di hai..aap ko jo mein ne husband ki semen ki report dekhai thi..us k liye yeh medicin di hai...aap ne report dekhi thi.aur meri doctor ne bhi kaha tha.k report theek hai...phir yeh mediine kis liye di hai?.thanks |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1058 Age:
33
|
|
Posted on:8th Aug 2012, 10:57am |
|
|
Nidaa:
I am fine thanks, how are you? Aap ko bohot bohot Ramzan Mubarak . I know it must be hard for you, magar disappointed nah feel karain. You have been pregnant once before, and there is no reason why you can't again. Allah sayacchhe umeed rakhain. Q_NEX, I am not sure keh aap na medicine ka naam saheeh likha hai. Did you mean Qnexa?? Myfol, folic acid supplement hai, jo aap ka liya bohot zaroori hai. Duphaston, generally irregular menses ko regular karna kay lia dee jaati hai. Kia aap kay periods iss waqt regular hain yaa irregular? Aap ka husband ka semen analysis mein 2-4 wbc/hpf thay, which is considered normal. Magar kuch doctors sirf itna wbc ke presence par bhee infection ke possibility consider karta hoa antibiotic prescribe kar daita hain. Augmentin aik antibiotic hai jo aap kee doctor na yeh soch kar prescribe ke hai keh shayad aap kay husband kay semen mein jo 02-04 WBC/HPF they, woh infection ke wajah say thay. In any case, sirf itni small quantity mein WBC hona generally normal consider kia jaata hai. Haan agar 7 yaa 7 say zyada hoon then antibiotic should be prescribed. Refert f aik multivitamin ha jo aap kay husband ke sperm health ko improve karna kay lia hai. Baharhaal, I don't think he needs it, magar agar doctor na prescribe kia hai to dai dain, iska koi aisa nuqsaan bhee nahin. All the best.
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:9th Aug 2012, 4:30am |
|
|
pshchdoc mein bhi theek hoon..aur aap ko bhi bohat bohat ramzan mubarak.
thanks for reply..last time mujhay ramzan mein hi pregnency ki khushhabri mili thi..aur meri ALLAH se dua hai k iss baar bhi ALLAH meri duain qabool fermain..aur mein iss ramzan mein aap ke liye bhi dua karon ghi .ALLAH PAK aap ko kamyabi aata fermaye aur aap ko hamesha khush rakhay..aameen
q nex softgel hain yahi iss ka naam hai..aur mere periods irregular nahi hain..30 ya 31 day k baad ho jate hain..to phir doctor ne mujhay ye medicine kyun di?aur kya iss se pregnency nahi hoti?
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1058 Age:
33
|
|
Posted on:9th Aug 2012, 1:52pm |
|
|
Nidaa:
Salam Alaikum. Gee zaroor mujha apni doaon mein yaad rakhia. Aur meri doa hai keh Allah Taala aap ke pareshani bhee door karain, aamen. Aap mujha iss ka chemical name mention kar dain to aap ko zyada behtar bata sakta hoon. Yahaan yeh medicine iss naam say use nahin hoti. Is it a progesterone?? |
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:24th Aug 2012, 6:52am |
|
|
psychdoc salam.how r u?
start mei mein ne aap ko kuch test ki report dikhai thi..jo k 2009 mein hue thay us mein se aik test rubella ka tha..
texoplasmaIgG(antibody) negative0.5 iu/ml
texoplasmaIgM positive 0.67 iu/ml
rubella IgG (antibody) POSITIVE289 IU/ML
rubella IgM negative 0.28 iu/ml
CMV IgG POstive >250
CMVIgM negative 0.35
yeh test 2009 k october mein hua tha..shadi k aik saal baad..aur dobara yeh test nahi hua..ab yeh purana test aik doctor ko dikhaya hai.woh kehti hai k dobara test kerwao..iss test k baad iss ki medicine li thi.but us k baad dobara test nahi kerwaya..
kya iss se bhi pregnency nahi hoti?kya mujhay dobara test kerwana chahiye..aur yeh hota kya hai? |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1058 Age:
33
|
|
Posted on:26th Aug 2012, 12:48am |
|
|
Nidaa:
Walaikum Salam,
I am fine thanks. Kaisee hain aap??
Iss mein aap ka rubella test yeh indicate kar raha hai keh bachpan mein aap ko MMR vaccine lagee thee, jiski wajah say aap ke body mein rubella infection kay khilaf protection hai ( Rubella IgG positive). That is good.
Agar IgG positive ho to woh yeh zahir karta hai keh body mein uss infection ka khilaf protection mojod hai, which is a good thing. Magar agar IgM positive ho to uska matlab yeh hota hai keh test kay waqt patient ko infection thaa, which ofcourse, would be bad.
Aap ke report mein sirf aik abnormality hai aur woh hai toxoplasma (not texoplasma) IgM positive, jiska matlab hai keh test karta waqt, yaa uss say 1-2 weeks pehla aap ko toxoplasmosis ka infection thaa, jo generally aisa meat khana say hota hai jisko poori tarah cook nah kia gaya ho, yaa phir yeh infection unnn women mein bhee ho jaata hai jo cats paalti hoon, aur pregnancy kay doraan yeh infection baby kay lia dangerous consider kia jaata hai.
Agar aap na uss waqt toxoplasmosis ka proper treatment karwa lia thaa to bohot acchee baat hai. Iss waqt aap ko yeh tamam tests repeat karwana ke zaroorat nahin, agar chahain to sirf toxoplasma IgG aur IgM level karwa lain, most liky aap ka IgG level positive aaia gaa, aur IgM level negative ( which would be good), magar agar IgM positive aata hai to phir aap ko dobarah treatment laina ho gaa.
All the best.
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 21 Post: 188 Age:
27
|
|
Posted on:27th Aug 2012, 5:49am |
|
|
thanks ALLAH ka shukar hai.i m fine..thanks for reply..
mujhay doctor kehti hai k jo jo posotive hai un sab ko negative hona cahiye..
mujhay us waqt itna yaad nahi hai k mein ne iss ka proper treatment liya tha ya nahi.kyun k mujhay doctor ne iss k bare mein detail se kuch nahi bataya tha..aur mujhay yeh bhi nahi pata tha k yeh test kis liye hota hai..mein samji infertility ka test hai..aap kya kehte hain k mujhay ab dobara in mein se kon se test kerwane chahiye?
aur second kya iss test mein koi abnormality ho..to pregnecy nahi hoti?
thanks |
|