kim84 |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 787 Age:
28
|
|
Posted on:22nd Apr 2008, 4:42am |
|
|
Maa ki Mamta... Raat phir khawaab main aa kar mujhse Meri maaa ne kuchh sawaal kiye Usse pahley mujhey duaa ye di Khuda karey ki tu sau saal jiye Unki aankhon main muhabbat bhi thi, Afsos bhi tha Ek aaNsu bhi tha un aankhon main Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha Mujhse poocha ki betey kaisey ho Koi diqqat to nahin hai tumko Phir kaha Tumko maloom hai kya Main badi takleef main hoon Jab se laiti hoon so nahin payee Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi Merey samjhaney main kami thi kya Ya meri tarbiyat adhoori thi Kyon burey kaam roz kartey ho Kyon nahin us khuda se dartey ho Jisney tumko ye jaan bakshi hai Jisney tumko amaan bakshi hai Laut kar jiske paas jaana hai Kya usey munh nahin dikhana hai Kya tumhein is liye parhaya tha Kya tumhein yehi sab sikhaya tha Ki apney ilm par Guroor karo Apney nafs ko masroor karo Jab bhi bolo to bas galat bolo Zulm dekho to lab nahi kholo Bhool kar deen bhool kar mazhab Apni auqaat note main taulo Sach batao ki kya ye qissa hai Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai Mujhko afsos nahin ki tu mujhey bhool gaya Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya Main to Jee key bhi roz marti hoon Main tujhey roz yaad karti hoon Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney Uskey anjaam se main darti hoon Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka Mujhey bhi ajar miley terey naik kaamon ka ! |
saima arif |
Group: Members Joined: 26th Mar, 2008 Topic: 10 Post: 401 Age:
34
|
|
Posted on:22nd Apr 2008, 4:48am |
|
|
TUM KO DEKHA TUM KO DEKHA TO YEA KHYAL AYA
ZINDAGI DHOOP TUM GHNA SAYA
AJJ PHIR DILL NAY AIK TAMMNA KI
AJJ PHIR DILL KO HUM NAY SAMJHYA |
saima arif |
Group: Members Joined: 26th Mar, 2008 Topic: 10 Post: 401 Age:
34
|
|
Posted on:22nd Apr 2008, 4:50am |
|
|
RASTEY MAY KAHA RASTEY MA KAHA MUJH SAY MAREY PAR KAY CHALLON NAY
KITNI DOOR DUNYA BASA LI DILL MAY BASNEY WALOON NAY |
saima arif |
Group: Members Joined: 26th Mar, 2008 Topic: 10 Post: 401 Age:
34
|
|
Posted on:22nd Apr 2008, 4:52am |
|
|
INTAZAR-E- SABA INTAZAR-E-SABA RAHA BARSOON
AIK DARECHA THA KHULA RAHA BARSOON
AIK DINN USS KA PIYAR BARSA THA
OR MAY BHEGTA RAHA BARSOON |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:22nd Apr 2008, 6:11am |
|
|
KIm uncle Very nice
|
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:24th Apr 2008, 3:21am |
|
|
one more well i guess u ll gona pardon me am writing english poetry under urdu poetry heading this i hav writen on the death of my frnds mother
I am screaming here under, can you hear me my mother! today i want to say this louder, i am missing you more than ever……
scratched my head till it bleed, wanted to feel your hand’s warmth, standing before the same mirror, brushing my hairs from the same old comb!
cheeks got red, slapped them hard, to recall your love, your care, before my books on the same chair, where you used to teach me daily…..
on dining table infront of tray full of food, just can’t help myself starting it up, waiting for you, addicted to the taste which i got, from the first piece that you put in my mouth!
you used to see me off everytime i left, you waived your hand, prayed for me, here i am seeing you off for the first and the last time, shifting weight on my hand over to the sand!
heart weeps here tonight, can you heal my wounds once again, i know you can’t come back here, just forgive me, hug me in my dream! i will be waiting…………….. |
nelish |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 24 Post: 1151 Age:
23
|
|
Posted on:24th Apr 2008, 5:09am |
|
|
Dear hamzi Gooooood................... |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3599 Age:
25
|
|
Posted on:24th Apr 2008, 6:46am |
|
|
Kim & Hamzi Yaar app donon ne tou mujhey Emotinal & Sentimental kardiya hai...
|
Confident |
Group: Members Joined: 13th Nov, 2007 Topic: 13 Post: 33 Age:
35
|
|
Posted on:24th Apr 2008, 9:42am |
|
|
Maa Ki Duaa Na Jane Kon Duaa'on Mein Yaad Karta Hai
Mein Doobta Hun Samander Uchaal Deta Hai
ammi ki duaa hi hogi jo har mushkil aasan ho jati hai :) |
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:24th Apr 2008, 1:08pm |
|
|
nelish and beauty star thanx 4 aplause sis well all that good is in ur eyes thats y u lik these so so kind of poetry |
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:26th Apr 2008, 3:58am |
|
|
an other aik mudat se mere maan nahi soye Tabish Main ne ek baar kaha tha mughy durr lagta hai
|
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:30th Apr 2008, 2:57am |
|
|
one more Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi Aur Wo Bachpane Ki Batein Hain Baqi Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar Acha Ho Jo Dedoon Dil Tohfay Mein Agar Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Soog Hotay Hain Kuch Logoon Ke Liye Maa Ko Choorte Nahi Chahay Kuch Ho Jaye Moo Moortey Nahi Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe Aur Wo Mujhe Pyar Karey Meri Issi Ada Pe Maa Se Mujhe Meri Koi Juda Na Karey Karoo Pyar Kissi Aur Se Khuda Na Karay |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13612 Age:
31
|
|
Posted on:30th Apr 2008, 4:06am |
|
|
Maan Seenay se laga ker kaha kerti thi maan mujh ko...
Tu laal hai mera na sata mujh ko...
Pachtaye ga ek din jub main chali jaun gi...
Na chahtay huye bi akela duniya mein chor jaun gi...
Zamana dikhaye ga garmi ki shiddat tujh ko...
Yaad ker k roye ga tu phir mujh ko...
Muddaton se meri maan ne seenay se nahi lagaya...
Ab so gae khaak mein jub kuch kehney ka waqt aya...
(plzzzzzzzz Just take care of ur mothers before it is too late...) |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:1st May 2008, 11:48pm |
|
|
Zeb uncle & hamzi Very nice
|
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:1st May 2008, 11:54pm |
|
|
aik aur mout kee aagosh main jab thak key so jaatee hai maa, tab kahin jakar raza thodha sookun paati hai maa.
fikr key shamshan main aakhir cheetaoon ke tarah, jaisey sukhi lakhdhiya ho is tarah jal jaati hai maa.
oodhtee hai hasratoon ka khud tou bosida kafn, chahtoon ka perahan bachoon ko pehnati hai maa.
apney bachoon ko khilaati hai sukun-o-chain sey, baad main jo kuch bachey vo shouk sey khaati hai maa.
har musibat aur pareshani sey bachey ko bachaney key liyen, dhaal bantee hai kabhi talwaar ban jaati hai maa.
zindagi ki gard na jam jaaye merey laal par, barishey imaan sey yoon rooz nahlatee hai maa.
barf see un sard raatoon main aksar aysa bhee hua, bachcha tou chaati pey hai geeley main sou jaati hai maa.
zindagani key safr main gardhishoon ki dhoop main, jab koi saya nahi milta tou yaad aati hai maa.
har ibaadat har mohabbat main nihan hai aik garz, begarz beylos har khidamat ko kar jaati hai maa.
ham bhaley hee khushiyoon main maa ko bhul jayen dostoon, jab musibaat sar pey aati hai tou yaad aati hai maa. |
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:1st May 2008, 11:56pm |
|
|
mutafarik ashar labo'n pe us k kabhi bad dua nahi hoti bas ek ma'a he jo mujh se khafa nahi hoti
ye aisa karz hai jo muzse ada hohi nahee sakta mai jabtak ghar na lauto Maa meri sajde me raheti hai |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:1st May 2008, 11:59pm |
|
|
Hamzi very nice .........bohaaat he khoob
|
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:1st May 2008, 11:59pm |
|
|
Maa tu shidat se yaad ati hai jab... Maa tu shidat se yaad ati hai jab! raat ka andhera cha jata hai, jab tanhaiyon ka daira jam jata hai, jab mein......bhataqti hun rooti hun to.....yah jab naya zakham lagata hai koi, be-terhan mujh ko satata hai koi, teri yaad phir bara rulati hai, Maa tu shidat se yaad ati hai |
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:2nd May 2008, 6:57am |
|
|
MAA jaisi hastee dunya mai hay hi kahan *~*~*MAA jaisi hastee dunya mai hay hi kahan*~*~* *~*~*nahee milai ga badal chahay dhond lai sara jahan*~*~* *~*~*shafqat bhara taira chehra*~*~* *~*~*sabki mohabbat ka jazba*~*~* *~*~*qaim rahay saya taira*~*~* *~*~*qadmo mai hay jannat ka nisha*~*~* *~*~*har dukh ko tou nai saha*~*~* *~*~*mairai lye tou naiiiiiiii*~*~* *~*~*maa jaisi hasti dunya mai hay hi kahan*~*~* *~*~*nahee milaiga badal chahay dhond lai sara jahan*~*~*
*~*~*jab bhi wo din yaad atay hayn*~*~* *~*~*ankhai mairi bhar jatee hayn*~*~* *~*~*mairai dukh ki khatir tou nai*~*~* *~*~*kitni raatain jagee hayn*~*~* *~*~*har dukh ko tou nai saha*~*~* *~*~*mairai lye tou nai*~*~* *~*~*maa jaisi hasti dunya mai hai hi kaha*~*~* *~*~*nahee milaiga badal chahay dhoond lai sara jahan*~*~* |
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:3rd May 2008, 3:21am |
|
|
another attempt of mine With Eyes brimming mercy She sees me every day Her sugary words and the healing touch Then to an unseen God, why do I pray?
She made me walk, she made me crawl She cheers me up with her simple talk With showers of love she blesses my way Then to an unspoken God, why do I pray?
Her heart pumps at my smallest defeat A touch of her makes worries fleet Tired with the world and the naughty fray Than to an untouched God, Why do I pray?
“Mother” not just a word, but a world with in The women, the inspiration, who makes me win I bow NOT to the entities of stone or clay To “The Mother “, my God, I always bow, I always pray |
|