saim 1
humaray muasheray main biwi puri terah husband per dependent hai lekin arabic(Islami) muasheray main biwi puri terah husband per dependent honay k bawajood khud mukhtaar hai apnay maal aur jaidad k muamlaat main is liyay islam ne yeh kaha k Haj feraz e Kifaya hai yani jis main istetaat ho woh keray khud ko mushkil main na dalay jo situation ap ne biyan ki hai us k mutabiq us admi ko apnay sath haj per apnay walden aur biwi ko lejana banta hai kiun k humaray muasheray main walden apna sab kuch aulad per kharach ker detay hain aulad ko is qabil bananay main k aulad ka future ban jai to aulad ka bhi faraz hai k walden k liyay itni qurbani de jahan tak baat hai bachon ki to jab bachay khud is qabil hon gay k kama ker haj ker sakain tab un per faraz hoga is k liyay aik DUA se muamlay ko samjha ja sakta hai k kis ka kitna haq hai ALLAHUM MAGHFIR LANA, WALE WALDENA, WAL AZWAJENA, WA ZURIYATENA AY ALLAH MERI MAGHFIRAT FERMA, MERAY WALDEN KI MAGHFIRAT FERMA, MERI BIWI( BIWIYON) KI MAGHFIRAT FERMA, MERI AULAD KI MAGHFIRAT FERMA الہمغفر لنا والوالدین والازواجنا وازریاتنا arabic text sirif samjhanay k liyay hai shayed kuch feraq ho jis k liyay muazrat Allah se is dua ne insan k feraiz ki derja bandi ker di hai k deen k kamon main pehlay khud phir walden phir biwi aur aakhir main aulad agay Allah behter janta hai
|