Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Men | How To Improve Marriage - Tips  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
21910
 
How To Improve Marriage - Tips

    40.  Raat ko ziyada der tak ghar sey baher naa rahein. Biwi kay soney sey pehley ghar aa jaein. Routine sey hatt kar kahin jana ho to uss ko bata kar jaein kay aap kahan ja rahey hain aur kab wapis aaien gey. Der ki surat mein ghar phone kar kay bataein. Yeh sab cheezein biwi kay sukoon ka ba'is hain.

    41.  Agar aap kisi doosrey shaher (city) gaye hain to Allah ke Rasool Hazrat Muhammad (P.B.U.H.) ka irshad hai kay ghar aanay sey pehley biwi ko inform karein. Aisa naa ho kay jab aap ghar aaein to biwi sogaee ho, tayyar naa ho ya shopping kay liye ghar sey bahir ho. Iss ko ghar mein na pa kar ya untidy dekh kar aap ka mood off ho jaye. Hazrat Muhammad(P.B.U.H.) ka hukum hai kay biwi mian kay aaney sey pehley naha kar tayyar ho jaye ta kay uss ko dekh kar mian ki saari thakan dur ho jaye.

    42.  Hadees hai kay jo insan ka shukariya ada nahi karta, woh Allah ka shukar ada nahi kar sakta. Ghar mein biwi ki mamooli khidmaat par bhi iss ka khoob shukriya ada karein. Iss sey aap kay bachon mein bhi thanks kehne ki achi adat aajaey gi.

    43.  Allah ney humein ek zuban aur 2 ears diye hain lehaza kam bolein aur ziyada sunein. Biwi ki baaton ko tawajjuh sey sunein. Uss waqt newspaper naa parhen, Tv naa dekhen, koi doosra kam naa karein, attention sirf us ki taraf ho. Biwi ko aap ka baatein sunnaa bohut pasand hai.

    44.  Ghar sey jatey huey biwi sey zaror milein, us ko alwidaee salam karein. Jab ghar aaein to sab sey pehley biwi ko talash karein. Iss ko salam kahein, kiss karein, hug karein. Iss sey mohabbat aur relationship mein khushgawar izafa hota hai.

 

 
How To Improve Marriage - Tips
 
<< Next       Prev >>
276277278279280281282283284285286
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012