aik howi go k apka sawaal mokammal post nahi howa hai ... lekin apkay sawaal ka jawaab yehi hai k aik talaaq howi hai
jab koi husband apni biwi ko talaaq deta hai ... khaah woh aik martabah kahay yaa hazaar martabah ... to talaaq aik hi hoti hai... aisa kahnay k waqt say "iddat period" ka aghaaz hojata hai jo 3 menses cycle hai. yeh almost 3 month ka waqt mutleqah husband k ghar hi gozaaregi... nah talaaq dene wala issay ghar say nikala sakta hai nah motleqah ghar choR ka jasakti hai... iss iddat period k dauran naan nufqah husband k zimmay hoga. iss dauran aurat mard k saamnay bhi aayegi... aur chaahay to ban saNwar kar bhi.... iss 3 maheenay k iddat period k ander mard ko ikhteyaar hoga k chaahay to woh "rajoo" karle ... zobaan say ya amal say /yaani biwi k saath azdawaji talluq qaim karkay ... donouN soortoun maiN nikaah continue rahegaa aur woh donouN phir se miyaaN-biwi ban kar rahengay
1. teen maheenay ki iddat period k ander ander rajoo kar lenay ki soorat maiN mard k 3 talaaq k haq main say 1 haq utilized hojayega...ab iskay pass sirf 2 haq baqi rah jayega
2. agar iddat k ander ander mard nay rajoo nahi kia ... aur 3 maheenay /cylcle pooray hoga.ay tab ... talaaq NAAFIZ hojayegi... donouN alag hojayengay... aik doosray k liyeh ajnabi ban jayengay.... issay kahengay k talaaq ka process complete hogayaa... 3 menses /iddat say qabal talaaq ka process complete nahi hota
4. jab iddat k baar talaaq ka process complete hojaa.ay to donoun jahaaN chaahaiN alag alag shadi kar saktay hain... lekin agar donoun chaahaiN to aik doosray k saath bhi nikaah karsaktay hain... new mahar aur new gawahoun k saamnay new nikaah ... agar chahaiN to iss nikaah k liyeh qazi ko nah bolayaiN...nah hi koi baRi taqreeb rakhaiN... just mard-aurat + 2 male adult gawaah k saamnay eejaab o qabool karlaiN...mahar baanh kar...nikaah hojayega... ab bhi mard k pass sirf 2 hi haqay talaaq baqi rah jayega... k aik osnay utilize karlia hai
hope k divorce ka poora process samajh maiN aagaya hoga... aur apko apnay sawaal ka jawaab bhi mil gaya hogaa. |