Emeraldine
|
Group: Members Joined: 05th Sep, 2010 Topic: 5 Post: 27 Age:
30
|
|
Posted on:12th Sep 2010, 3:10am |
|
|
good appne acha islamic view pesh kia hai.full agree.excellent
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:14th Sep 2010, 12:01am |
|
|
Mohabbat hona aur Mohabbat karna nice & comprehensive reply by myrizvi bhai
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:14th Sep 2010, 2:11pm |
|
|
Love Or Arrange Marriage: Which One Is Better main aysy topics par bat karny sy iss liye katrata hoon ... k shadi love ki ho ya arrange ...hoti shadi hi hey aur shadi baaz oqaat buhat sy logon k liye koi acha tajraba sabit nahi hoti aur baz oqat "effected" persons ko to dosri shadi ka b "risk" laina parr jata hey .....banda puchy jab pehli sy kuch nahi mila to dosri sy kia milny ki tawaqqo hey..?:)))) |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:14th Sep 2010, 2:32pm |
|
|
aik aur baat shadi ...haye rey shadi..
aik bandy ki 3 shadiyan hoi'een ...pehli arranged thi ...BV mamooli parrhi likhi thi shohar zara ziyada parraku tha aur bat bat main BV k kamoon main keerry nikalta rehta tha..lehaza dono ki na ban saki aur kafi arsa tak jhagrry rehny ki bina par shadi toot gayee ...
pehli shadi k doran hi miyaan sahib ki aik aur larrki sy ankh lag gayee lehaza dosri shadi racha li gayee aur khair sy issy love marriage ka name dy diya geya...magar wo b toot gayee uss k tootny ki waja yeh bani k iss bar itteffaq sy BV ziyada parri likhi thi ....:)
khair thak haar kar kuch tamashaiee kisam k dostoon ny phir sy aik larrki dhoond li jo miyaan ji k barabar ki parri hoi hey ....ghar to jaisy taisy chal hi raha hey ..magar uss bandy ny apni sari tago do main aik nateeja nikal liya hey wo mosoof kehty hain k
"paa g ey shadi koi changa kam nai j.....pawaien love di howey ty pawaien arrange kar k kitti jawey .....dowaan soortaan ch hay phadda ee yaa pai......:) |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:15th Sep 2010, 3:48am |
|
|
Love & arrange marriage
"apne wakt main kuch na kuch karchukay hotay hain but karnay k baad jab unka wakt khatam hojata hai to wo us he baat pe tankeed karnay lagtay hain jo kabhi wo khud kia kartey thay, "
zarori nahi hai k har insan apne waqt me kuch na kuch kar chuka ho.
aur agar os ne kia bhi hai aur ab ose ehsas hai k esa nahi krna chahiye.to achi bat hai.wo isi lie hi esa kehte hain dosron ko k aapko jo ehsas bad me ho behtar hai ab ho jae.
is ka ye matlab hargiz nahi hona chahiye k agar koi apne waqt me kuch esa wesa kr chuka hai to aap bhi wesa hi karein.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7739 Age:
55
|
|
Posted on:15th Sep 2010, 3:56am |
|
|
Diplomate brother shadi ...haye rey shadi..
aap beeti ko jug-beeti banaa kar pesh karnay ka yeh koi new fashion hai kia lol
s4u
agreed. aik cheeni kahawat hai k tajarbah aik aisee comb hai jo aadmi ko oss waqt milta hai, jab woh ganjaa hochuka hota hai........... aqalmandi ka taqaza yehi hai k doosrouN k tajarbah say faidah oThaya jaa.ay...warnah ganjaa honay k baad 'zati tajarbah ki kanghee' kiss kaam ki :) |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:15th Sep 2010, 4:07am |
|
|
ji sahi farmaya aap ki bat theik h. per jab tak insan khod thokar nahi khhata ose kisi ki bat asar tab tak nahi krti jab tak wo khod thokar na kha le.
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:15th Sep 2010, 4:11am |
|
|
re Yeh eshq-o-Tulub kay Mutwaaly Bekaar ki batin kurty hen
Payil kay ghumo ka elm nahi Jhinkaar ki batin kurty hen |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:15th Sep 2010, 11:52pm |
|
|
oho ho ...nahi nahi re : "aap beeti ko jug-beeti banaa kar pesh karnay ka yeh koi new fashion hai kia lol"
nahi nahi....aap ko ghalt fehmi ho gayee hy......:)) big brother main abi apny pehly tajruby sy hi mutemay'en hoon aur fil haal dosra tajraba karny ka soch b nahi sakta ...:D lol
re : " Payil kay ghumo ka elm nahi Jhinkaar ki batin kurty hen "
Dr. bhai aap k mu sy "koayl" ka name to buhat suna tha abb yeh miss "Payil" kon hain ...?...('',) |
KNIGHT
|
Group: Members Joined: 29th Jul, 2013 Topic: 18 Post: 259 Age:
22
|
|
Posted on:15th Sep 2010, 1:53pm |
|
|
Diplomate mere dost dippo tum tou pechay hi par gae ho masoom doctor qasim ke, females ko yaad karna koi buri baat nahi hai, aray payal ko hi yaad kar rahay hain na koi ghayal tou nahi kar rahay :)......
|
AppkaDost
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2009 Topic: 24 Post: 281 Age:
37
|
|
Posted on:15th Sep 2010, 2:02pm |
|
|
Mohabbat Oar Shadi... Shahid meray dost Diplomat jaisay kissi dana/mofakkir nay kaha hy keh "Shadi ki sobbah Mohabbat ki sham hoti hy....keh abb mohabbat ko judai oar hijar jaisay zahiqoon say mehroom hona hota hy...mazeed izzafi notes asusual diplomat bhai hi dain gay ...lol |
smartfaizy
|
Group: Members Joined: 22nd Aug, 2010 Topic: 0 Post: 73 Age:
26
|
|
Posted on:17th Sep 2010, 3:22pm |
|
|
hi maza to love marriage me hee hai....arrange so boring yaaar
|
DARISHA15
|
Group: Members Joined: 20th Dec, 2009 Topic: 5 Post: 393 Age:
|
|
Posted on:19th Sep 2010, 1:08am |
|
|
smartfaizy love marriage main kaisay maza hai? or arrange marriage kaisay boring hai?
According to my concern: arrange marriage main zaida maza hai husband wife shadi k bad aik doosray k baray main jantay hain roz nai nai batain aik doosray k baray main jannay ko milti hain jubkay iskay baraks aj kal love marriages main hota yeh hai k husband wife pehlay say hi aik doosray k baray main jan jatay hain or jub shadi hojati hai to shooro k chund di to acha guzar jatay hain phir uskay bad kuch new hota nahi hai to phir larrtay hain yeh meri personal raay hai ub zaroori nahi hai kay hur koi mujh say mutafiq ho |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:19th Sep 2010, 6:15am |
|
|
AapkaDost > Love Marriage & Arrange Marriage re "mazeed izzafi notes asusual diplomat bhai hi dain gay ...lol"
mera khiyaal hey k aap ka answer hi complete hey iss k bad mazeed kisi azaafi note ki gunjaish to nahi bachti phir b agar aap mazeed notes mulahza karna chahty hain to "Darisha" ki post ko ghor sy parr lain ....
iss k ilawa aik aur baat k Love marriage unn afraad ka mashgla hey jinhain duniya main aur koi kaam nahi hota aysy afraad choon k har time free hoty hain aur keha jata hey k free aur farigh qisam k logon ka dimagh b khali hi hota hey iss liye aysy khali dimagh main muhabbat k "jaraseem" ghar kar jate hain aur baaz oqaat to yeh "jaraseem" itny khatarnaak ho jaty hain k madd-e-muqabil ko b "love flue" kar daity hain to nateeja.tan muhabbat ki shadi marz-e-wajood main ajati hey ..
laiken baaz oqaat yehi "jaraseem" kisi aysy khali dimagh main b guss jaty hain jahan yeh madd-e-muqabil ko "flue" karny ki bajaye khud hi "flue" ka shikaar ho kar mar jaty hain aur nateeja.tan muhabbat ki shadi k bajaye muhabbat ki nakami marz--e-wajood main ajati hey...
muhabat main nakami bazahar to pur afsoos lagti hey magar mera khiyaal hey k agar overall obsereve kiya jaye to muhabbat ki nakami muhabbat ki kamyaabi sy kaheen behtar hey ... wo iss liye k nakami ki soorat main banda roo dhoo kar chup kar hi jata hey akhar ...jab k kamyaabi ki sorat main banda saari umar roota hi rehta hey ...."\(';')/" |
000amna
|
Group: Members Joined: 09th Sep, 2009 Topic: 42 Post: 252 Age:
25
|
|
Posted on:23rd Sep 2010, 8:46am |
|
|
koi hai jo ans de plzzz yar koi mujhe b to batao k meri love hui ya arange haiiiiiiiiiiiiiiii.upar kb ka Q pocha huwa haiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii????????????????????????????????? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7739 Age:
55
|
|
Posted on:23rd Sep 2010, 1:26pm |
|
|
Mathematics ki roo say meri shaidi kch is tarha hui k: 1=> phaile engagement 2=> pir hm dono ma love hogia 3=> bht zada ek dusre se pyar karne lag gay. 4=> pir shadi hogai.
mathametically...
1+4 => it looks like arrange-marriage
(2+3) + 4 => it looks like love-marriage
Q: so kia yeh love hai ya arrange? A: it is => arrange-cum-luve-marriage lol
Q: kia asi shadi kambiyab hoti hain? A: hoti bhi haiN aur nahi bhi...it ONLY depends upon both of u |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:23rd Sep 2010, 2:31pm |
|
|
big brother aap shadi related matters ko define kar rehy hain ya masla feesa ghoras hal karny ki koshish kar rahy hain ......:P |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7739 Age:
55
|
|
Posted on:2nd Oct 2010, 3:55am |
|
|
nikkay praa shadi ko ap maslah feesa ghauras say kam samajhtay haiN kia lol |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:2nd Oct 2010, 7:51am |
|
|
yeh b theek keha aap ny han g fee zamana daikha jaye to shadi waqiya e masla feesa ghoras sy kaheen ziyada mushkil hey.....feesa ghoras to bechara awien e mufat main badnaam hey ...:lol |
Shane Bond
|
Group: Members Joined: 09th Nov, 2009 Topic: 1 Post: 20 Age:
33
|
|
Posted on:19th Oct 2014, 11:42pm |
|
|
Reply It all depends what kind of undestandingYou had before marriage in Arrange Marriage So this one not bad
Love marriage both people undestand each Other well This one bit better
But over all one thing That in love marriage boy or girl jump in wel by self :p
In Arrange marriage boy or girl thrown By there family in wel :p
In short love or Arrange in both cases Person go straight in wel :p so its ok To any option up you people what you decide |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|