Ajeeb ghair-sanjeedgi hai
Ye aapki samajhdaari hai, kisi ne kuch keh dya aag lag gai jaan jal gai.
Shohar ki mohabbat aur shohar ko aag se bachana aur deeni maslay ko samajh ke suljhanay ka bukhaar khatam hogya foran?
Jo deen ke rastay pe chalnay ka aur apnay taur pe mamla suljhanay ka aur kisi na kisi tarah Allah ko raazi rakhnay ka, umra ke maqbooliat ka shoaq thaa wo hawa ho gya?
Ye sanjeedgi hai. Ye samajhdaari hai. Ye resolve hai. Ye commitment hai. Ye shoq hai. Ye dekh bhaal hai.
Mujhe aapke batein dohranay pe aiteraaz nahen. Mujhe to ye nazar araha hai ke aapka masla hal nahen ho raha aik he circle baar baar chal raha hai. Har martaba ghoom ke baat waheen ajati hai. Aur time aapke paas kam hai. Ye aapne khud bhi kai martaba kaha hai ke bacha paida hotay he visa ajayga aur phir bahar mulk jana hai.
Aapne mujhse help nahen maangi lekin aapne open forum pe help maangi hai. Jahan jiska jo dil chahay ga woh jawaab dega. Aapko aqal ki kaafi kami hai jiska pata har post aapne jo apni tareefein likhi hein unse pata chal raha hai. Aur aqal ki kami ka jazabaati reply se bhi pata chal raha hai. Aur goal ki janib barhnay ke bajay chakratay rehnay se pata chal raha hai.
Kisi ne help kardi to yeh ja raha hai ke aapne mufta baandha hua hai. Ye bhi pata kardo woh bhi pata kardo. Wo apni gari ya motorcycle pe ya bus mein dhakkay kha kar aapko pata kar kar ke deta rahay ... nokar laga hai aapka. Aapki pregnancy hai chalo maan lia aap bahir nahen ja sakteen to aapke paas phone bhi nahen hai kya?
Evocative se meri din mein 6 martaba larai hoti hai ... lekin mujhe unki kamzori ka bhi pata hai ... jahan kisi ne deen ka naam lya waheen fida ho gay. Sab kuch qurbaan kar dia. Aur aap unki isi baat ka faida utha rahi hein. Warna unki umar kam hai aur unkay quality of input ka aapko bhi maloom hai. Agar high-quality of input hota to ab tak masla hal ho chuka hota.
Self-servitude khatam nahen hota aapka. Har baat mein apni tareefein. Har cheez dekh bhal ke karni hoti hai.
Dekh bhaal ke kii hoti to aaj ye hashar hota?
Baad mein pachtana na paray? Pachta to abhi bhi rahi hein aap...
Sex ka maza...! Kyunke sex hai he mazaedaar cheez. Illa ye ke kisi ke saath ziadti ho jay to sex mazaydaar nahen hota. Qabil-e-aiteraaz mawaad ki nishandahi kijye aap.
Meri tamiz pe na jayn aap. Mein tameez na seekhun to aap apni life barbaad kar leingi. Forum chor kar apna masla adhoora chor kar nikal jaengi? Apnay honay wali aulad ki zindagi barbaad kar deingi? Family destroy kar leingi? Ye hai hashyaari aur samajhdaari?
Aik post to samajhdaari se ho nahen paa rahi self-servitude ki intaha yeh hai ke har post mein apni tareefein.
Mein ne aapki post parhi hai aur mujhe hargiz ehsaas nahen hua ke aapke saath ghalat hua hai. Yehi aapka ghuroor aur takabbur hai, aur yehi aapki khud-gharzi (selfishness) hai. Ke bas apni mazloomiat ka dhandoora peetay jao. Aapko kis ne kaha thaa raat bhar ke jagay huay aadmi ko tang karti phirein.
Shohar ki ita'at ka nahen pata aapko. unhon ne kaha phone band kardo to usi waqt phone band kardia hota. Lekin aapko sirf apni pari hui hai. Ke bassss... meray saath zulm hogya yehi dunya ke ooper mera sab se bara ehsaan hai. bushra2012 samait poori dunya mujrimon ki tarah sarr jhuka ke khari ho jay meray saamnay.
Doosray ki izzat aapko karni nahen aati. Koi baat kya samjha di ishara kya dedia ke chakkar mein mat paro final ki taraf jao ... to ham shaitan ho gay. Zaban apni sambhaalni nahen aati bhashaa doosron ko parhai ja rahi hai. Jisne marzi ke khilaaf baat kardi wo shaitaan ho gya... jo apni man pasand hai wo seedhi raah hogai. Jo doosra samjha raha hai wo shaitaan hogya. Jabke mein ne aisi koi baat kii bhi nahen sirf yehi kaha hai ke aap solution kitaraf nahen balkeh chakar mein ghoom rahi hein. Asal baat se hatt kar aik inteqaami jazbay ke tehat sirf sazaa ke baaray mein soach rahi hein.
Halala mard kelye saza suna thaa ... kahan suna kuch pata nahen ... magar asal kaam chor ke saari tawajja isspe ... kyun? Selfishness ... ghareeb aadmi ye khata sadir he kesay hogai ke malka-e-aaliya ko dukh denay wali baat moonh se nikal gai.
Tareefein apni khatam nahen hoteen ... soach samajh ke mohabbat ki hai ... soach samajh ke selection ki hai ... ye hai soach ... ye hai samajh ... ke uss admi ne chand ghantay ki neend kelye 3 talaaq de di. Phone bhi to kaat sakta thaa. Call reject bhi to kar sakta thaa. Phone off bhi to kar sakta thaa. Magar hai aapki he pasand, aaphe ka shohar hai, jaisay aapne meri aik post ke jawab mein NCF chor dya wese usnay bhi 1 lamhay mein aapko chor dya. Ye hai aapki selection ... jo 1 lamhay mein aapko chor day.
Aapki logic bhi ulti hai: Halala mard kelye saza nahen. Talaq to dii he mamla khatam karnay kelye jati hai. Wapsi ka tasawwur he nahen hota 3 talaaw mein. To saza ka kya system? Ye to hashar hai aapka deen ke mamlay mein ke kaheen TV pe sunn lya ya net pe aur usko deen banaya hua hai. Ke bas saza de daloon...
"Nuqsaan aurat ka hota hai bas..." Hunh! Apni he pari rehti hai har waqt. Kabhi khyal anhen aaya ke mard kis tarah pardes mein ghar walon se duur itni garmi mein kamatay hein. Har waqt ye ehsaas ke talaaq de ke acha nahen kya mein to saza de ke rahun gi.
Baar baar apni problems mein honay ka zikr kyun zaroori hai ... hamaray ooper ehsaan kya hai problems mein par ke? Ya hamari hamdardi chahye? Hamdardi chahye to zaban iss tarah talwar ki tarah chalti rahegi kon hamdardi karega?
Behes nahen karni se kya murad hai? Mein jawab na dun? Nokar thoray lagay hein bhai aapke ... ke malka-e-aaliya ne hukum sadir farma hai ke aagay se behas na ho.
Yeh note kar lein ke aagay kya masail ho saktay hein - jo mujhe nazar araha hai ke aapka masla hal nahen hoga balkeh aur ghambeer ho jayga:
1. Doosray shohar se nikaah hogya. Aur unhon ne penetration bhi kardi. Aur talaaq denay se inkaar kar dia? Phir kya karengi? Kesay majboor karengi unko? Majboor karke talaaq sharai haisiat nahen rakhti ... yaani talaaq hui he nahen. Usne pesay maangay ya kuch aur kya phir? Loagon ki selection ke mamlay mein aap kitni hoshyar hein ye to nazar aa he raha hai...
2. Pehlay shohar ke paas baghair doosray se talaaq lye chali jaengi?
3. Agar pehlay shohar ko pata chal gya to kya hoga? Kya wo nikah-pe-nikah ka case doosray shohar pe nahen daal deinge? Kya mamla thanay kachehri mein nahen jayga?
4. Ye sab hua to doosray shohar ke apnay biwi bachon aur family ka kya hoga?
5. Abhi to aapko adventure ka maza araha hai ke mein sab kuch khud he kar loon aur baad mein tajdeed-e-nikaah bhi kar loon. Lekin yeh sab isi assumption pe hai ke pehlay shohar ko uss waqt pata chalay ga jab aap batain gi. Kisi aur ne bata dya to?
6. Pata chala doosray shohar ne bhi talaaq de di aur pehla bhi wapas lenay ko tayyar nahen? Phir kya karengi?
7. Evocative to zamanay se farigh hai ke aapki khidmat karta phiray... aapke bhai ne yeh keh kar jaan chura li ke yahan hota nahen. Usko aapke maslay ki itni parwah nahen ke apnay kamon mein se time nikaal kar aapka masla hal karay? Dekho ji saga bhai to itni value de raha hai baqi pata nahen kin chakkaron mein khwar hein...
8. Wazeh hai ke aap aik selfish thug hein aur har kisi ko apnay maqsad kelye istemal kar rahi hein: pehla shohar ko saza, Evocative se kaam nikalwana, aur doosray shohar se bhi kaam nikalwana. Uski mangni hui aur shadi nahen, aur woh apni biwi ko used ho kar milega.
9. Aapne Halala bhi karwa lia lekin pehlay shohar tajdeed-e-nikaah ke lye tayyar he nahen huay to kya hoga?
10. Aapne ye assume kar rakha hai ke pehlay shohar ko jab aapki is harkat ka pata chalega to wo accept kar leinge. Jabke ulta bhi ho sakta hai. Agar 10 saal baad unhein pata chala aur uss waqt unhon ne talaq de (aik martaba phir, practice to ho he chuki hai) phir kia karengi? Kya aik aur Halala? Us waqt kis ko iss kaam kelye dhoondengi? Ye yehi shakhs yeh kaam karega aur aapka 2 mardon ke beech football banay rehnay ka irada hai? Kya zindagi mein aur koi kaam nahen?
11. Aap future mein bardaasht kar sakeingi jab aapke pehlay shohar har baat pe aapko ta'ana deinge, naraz mat ho warna phir Halala karwana parega? Tang mat karo warna phir Halala karwana parega. Tumhara kya hai jitni chahaya talaq de doon, tum to Halala karwa ke wapas ajao gi. Ye future mein aapke saath hoga, kyunke jo aadmi zubaan pe itna qaboo nahen rakhta ke chand ghanton ki neend kelye 3 talaq de sakta hai wo aur bhi bohot kuch keh sakta hai. Aur shadi jitni purani hoti hai laraian utni barhti hein. Agar to mutual respect aur love ho to laraian family ko mazboot banati hein ... warna har baat dil ko khanjar ki tarah kaat-ti hai aur aadmi ghut ghut ke marta hai.
--------------------------------------- Naraaz ho kar ke kaheen janay wanay ki zaroorat nahen. Sharaafat se forum pe wapas ayn aur apna masla hal karein - warna acha nahen hoga. Aur kabhi waqt-guzari kelye doosron ke topic mein bhi koi post kardia karein ... warna loag selfish he samjhein ge, apnay maslay pe to lambi chori aik he baat 6, 6 martaba likh rahi hein. Doosray ke sawaal ka kon jawab dega?
Ye yaad rakhein ke jazbaati baat se yahan kisi pe asar nahen hoga. Aap ki shadi baqi hai ya nahen, halala hota hai ya nahen, bachay ki life achi guzarti hai ya nahen, umra maqbool hota hai ya nahen, Allah raazi hotay hein ya nahen, jannat mein dakhla hota hai ya nahen, ye sab aapke apnay maslay hein, isse kisi aur ko koi farq nahen parta. Jisne aapke topic mein apna qeemti waqt nikaal ke post ki hai, uska shukria bhi ada karein. Aisa karnay kelye aapko apni selfishness khatam karke selflessness pe ana hoga.
@Evocative
Tanqeed ka mujhe shoq naheen. Baqi aap hero na banain 3 pages aapne bhi nikaal dye aur abhi questioner ka masla hal nahen hua. HAr post aap bhi hikmat aur baseerat ka tazkira dohra rahay hein.
Ikhlaas ki baat aapne ki hai ... aur aapke saath he ikhlaas mein, main ne yh post ki hai ... warna aap himaqat kar rahay hein ... doosray ko thora mashwara de dein ... apni jaan ragar daalnay ki zaroorat nahen hai. Questioner ke taath dekhein ke woh apnay sagay bhai ko to involve he nahen karna chahti. Aapko ghaseet rahi hai. Aap bhi sawaab ke chakkar mein khoob used ho rahay hein.
Wese bhi momin aik sorakh se 2 baar nahen dasa jata. Aap bohot used ho chukay. 3 pages aapne bhar dye. Abhi bhi woh aapki jaan khay ja rahi hein. Sabaq seekhein aur kinara-kashi ikhtyar karein. Warna hadees ki khilaaf-warzi ke murtakib ho jaenge. Kahani he garbar hai warna abhi myrizvi yahan input de chukay hotay.
Jesa moonh wesi chapaer se aapki kya muraad hai? Ye kya bohot acha andaaz-e-guftugu hai. Wese mujhe bura nahen laga. Mein ne to sirf point-out kia hai. Ke apni baat theek lagti hai aur doosay ki ghalat.
Kesa moonh hai mera? Kesi chapaer par jaygi? Par jaygi to mujhe kya nuqsaan hai? Mujhe nahen parwa ... kyunkeh mein questioner naheen answerer hoon ... aur pasa kunwein ke paas aata hai aur kunwein ki karwahat aur gehrai waghera har cheez ko bardaasht karta hai. Na karay to kunwein ka nuqsaan nahen hota.
Mann chahi rab chahi ki kahanian mujhe na sunaen. Aapko kya pata ke mein muslim bhi hoon ya nahen? Aur jo yahan kaha hai wo mann-chahi to nahen. Agar hunza saad ko jhanjhora hai ke topic se hatt gai ho to tazleel, tanqeed aur doosray 2 TT mein shamil ho gya.
Shabash hai bhai tumhari understanding ko.
Aap to baat final kar detay hein na. Aapne final keh dya ke blind man/woman has no judgement. To ab agar koi blind hai to Allah ne aisa paida kya hai to blind hai na. Apni ankhein khud to nahen phoreen? Soach samajh ke misaal dya karein. Agar kisi ko lazim aur kull bura sabit kar deinge to wo kyun improve karay? Aapne to uski nature ko he bura qaraar dya.
Improvement to aapko bhi chahye: Har kisi ki insult karne beth jatay hein: Mujhe keh dya keh "aapke fehem se balatar hein ... aap nahen samjhein gi". Awwal to aapne God's creation ko challenge kya. Kyunke fehen aadmi ke apnay haath mein nahen. Yaani God ne paida he kam-fehem kia. Phir aapne jab faisla kar he lya hai ke nahen samjhein gi to kyun samjha rahay hein? Khud ko contradict kartay hein aap.
Yehi aapka deeni takabbur hai. Ke bas aap ko samajh aagya hai aur doosron ke to fehem se he balatar hai ... woh to samajh he nahen saktay. Uskay aglay jumlay mein appeal bhi kartay hein ke samajh jao! Aapko khud nahen pata kya hazyaan type kar rahay hein. Bhai agar fehem se balatar hai aur samajh he nahen saktay to kesay samajh jaen?
|