Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Food For Sperm Count
Foods to Increase Sperm Count - Which Food is Right for You
Low Sexual Desire
Causes of Low Libido in Men
Increase Sperm Count
10 Easy Ways to Increase Sperm
Natural Aphrodisiac
Natural Aphrodisiac for Enhancing Sexual Desire
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

kya dua aise mangi jaaskti hai...??

Religion and Culture
 
 
 
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 11  Post: 66  Age:  22  
Posted on:26th Mar 2012, 5:43pm
 

kya dua aise mangi jaaskti hai...??









kya hum jab dua mangte hai toh kya Allah se aise mansakte hai k 'ya Allah apko mohammad(s.a.w) ka wasta apke tamam namo ka wasta r apki rehmato ka wasta ap ise khubul krdijiye'..kya ye sahi hai??
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 13  Post: 911  Age:  25  
Posted on:26th Mar 2012, 9:23pm
 

dua

samaira sis

as salam o alikum

dua kay lafz jo b hon neyat ye honi chaye kay dua bht hi aajizi se mangi jay or is neyat se kay ager allah tabarak o taala nay ye dua qabool na ki or hajat pori na ki to ye fakeer is dar kay siwa or kahan jay ga ........dosri most important think kay dua main bht ziada insist nahi karna chaye means zid nahi karni chaye kay ya allah aaisa hi kar aaisa hi kar aaisa hi kar nahi aaisa nahi karna chaye ku kay ho sakta hai jo chez aap mang rahay hain wo aap kay liye soodmand na ho ....dua is tarha mangni chaye kay aay allah ager is main mewri bhalahi posheda hai to to meray haq main is bat koi pora kar day ku kay bay shak gaib ka ilm tu hi janta hai or ager is main meray liye koi shar posheeda hai to bay shakl is ko mujhay ata na kar ....... ku kay jo teri raza wohi meri raza hai
thanks

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5627  Age:  53  
Posted on:26th Mar 2012, 11:49pm
 

hmmm

@@ dua kay lafz jo b hon
** g nahi ... sirf wohi alfaaz houN jo masnoon haiN ... bilkhasoos shirkia alfaaz adaa karkay ... kissi qabar ki taraf rokh karkay ... kissi mushrikanah rasam ko follow kartay howay etc etc Allah say bhi dua maangna jaiz nahi

@@ neyat ye honi chaye kay dua bht hi aajizi se mangi jay
** well said

@@ or is neyat se kay ager allah tabarak o taala nay ye dua qabool na ki or hajat pori na ki to ye fakeer is dar kay siwa or kahan jay ga ........

** dua hamesha iss yaqeen say mangi jaa.ay k Allah duaoun ka qabool karne wala hai...ab Allah dua kaisay / kiss shakal maiN qabool karta hai, yeh Allah ki marzi hai

@@ dosri most important think kay dua main bht ziada insist nahi karna chaye means zid nahi karni chaye kay ya allah aaisa hi kar aaisa hi kar aaisa hi kar nahi aaisa nahi karna chaye ku kay ho sakta hai jo chez aap mang rahay hain wo aap kay liye soodmand na ho ....dua is tarha mangni chaye kay aay allah ager is main mewri bhalahi posheda hai to to meray haq main is bat koi pora kar day ku kay bay shak gaib ka ilm tu hi janta hai or ager is main meray liye koi shar posheeda hai to bay shakl is ko mujhay ata na kar ....... ku kay jo teri raza wohi meri raza hai

** masha Allah well said ... jazak Allah

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5627  Age:  53  
Posted on:26th Mar 2012, 11:52pm
 

dua ka tareeqah

@@ kya hum jab dua mangte hai toh kya Allah se aise mansakte hai k ... 'ya Allah apko mohammad(s.a.w) ka wasta .... apke tamam namo ka wasta r .... apki rehmato ka wasta ap ise khubul krdijiye'..kya ye sahi hai??

** go k iss tareeqah maiN koi mozaaiqah nahi hai ... aur in ilfaaz k saath dua maangi jasakti hai ........ magar jab iss tarah wastah say dua maangnay ki aadat par jaa.ay to phir insaan iss say bhi agay barhnay lagta hai ... aur kabhi kissi aur kabhi kissi k waastay say dua maangna start kardeta hai ... aur phir woh gomraahi ki taraf jaa sakta hai ...jaisay baaz log falaaN peer ka wastah, falaaN buzrug ka waastah dekar Allah say dua maangnay lagtay haiN...
Allah sab say bara hai wohi hamara maalik, khaaliq, raaziq hai...lehaza ossi say barahay raast maangiyeh k woh apkay shah rag say bhi qareeb hai...woh direct apki dua sonta hai aur ossay apki dua par recommended by xyz ki zaroorat nahi hoti

albattah Allah ko Allah hi ki sifaat ka waastah denaa yaqeenan pasndeedah hai k Ay Allah tou hi hamara raaziq hai, tujhya teri razzaqiyat ka wastah k hamari tang.dasti door farmaa ... etc etc

wallaho aalam bissawab








Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 611  Age:  38  
Posted on:27th Mar 2012, 5:26am
 

samaira

Beshaq iss terha waseela se dua mangna mein koi harj nahi hai balkeh dua qabool honay k ziada chances bhi hain...

Mujhay samajh nahi aati k kaisay kuch loag Rasool Allah saww k wasta se dua mangnay ko shirkiya amal kehtay hain aur iss per Quran se woh ayaat paish kertay hain k jin ka shaan e nazool shayed unhon ne perha hi nahi ho ga aur agar perha ho ga to samjha nahi ho ga...

Jo ayaat quote ki jati hain woh ayaat pathar k buaton k liye nazil hui thein na k Allah k anbiya a.s aur naik bundon k baray mein nazil hui thein,jin ko aaj tak shan e nazool ki ahmiat ka hi na pata ho woh Quran aur deen ko kiya samjhein ge ??

Surah Noor 64 We sent not an apostle, but to be obeyed, in accordance with the will of Allah. If they had only, when they were unjust to themselves, come unto thee and asked Allah.s forgiveness, and the Messenger had asked forgiveness for them, they would have found Allah indeed Oft-returning, Most Merciful.

Yeh Surah noor ki ayat hai jis mein Allah ne wazeh toar per kaha hai k Rasool Allah saww ka waseela bunao...

Surah Yusuf 97 They said: "O our father! ask for us forgiveness for our sins, for we were truly at fault."  
 98 He said: "Soon will I ask my Lord for forgiveness for you: for he is indeed Oft-Forgiving, Most Merciful."

Surah Yusuf perh lein aap uss mein Hazrat Yaqoub a.s k betay apnay walid se kehtay hain k hamaray liye dua karein ta k Allah hamaray gunnah buksh de...

Ab Nabi Paak a.s ne yeh nahi kaha aaj k kam-ilm mullaon ki terha k nahi beta yeh shirk hai balkeh unhon ne kaha mein jald hi Allah se tumhari maafi ki dua karon ga...

Kiya Hazrat Yaqub a.s se aaj k mulla ziada ilm rakhtay hain ??

Aaj Rasool Allah saww aur unn k Ahle Bait a.s ko waseela bunanay per shirk ka fatwa denay walay deen ki taseeh nahi kerna chahtay balkeh asal mein inn k dilon mein bughz e Muhammed saww aur Aal e Muhammad a.s hai jisay woh iss terha bahana bana ker paish kertay hain ta k musalman inn paak hastion ki fazeelat aur maqaam bhool jaein...

Inn ko khud kaha jaye k hamaray liye dua karein to foran se shuru ho jatay hain k Ay Allah! iss ki mushkilein asaan ker de,yeh ker de woh ker...uss waqt yeh kiun nahi kehtay k meri behan samaira tum Allah se direct mango,humein kiun waseela bana ker shirk ker rahi ho ??

Kiya yehi misaal aap k aik topic per nahi milti k jab aap ne dua k liye topic start kiya to members foran shuru ho gaye k jaisay inn k paas to Allah ka direct contact number hai magar aap k paas nahi hai,uss waqt shirk ka woh fatwa kon se pocket mein rakh ker bhool gaye thay ??

Wajah sirf yeh hai k yeh Muhammed saww aur unn ki Aal a.s ki fazeelat k dushman hain lakin apni itni fazeelat samajhtay hain k tab direct dua ka fatwa denay k bajaye khud waseela bunanay ko fakhar mehsoos kertay hain...

Meri behan iss k ilawa bhi bohat se Quran ki ayaat aur ahadees aur waqiyat se sabit hai k inn Paak Hastion ko waseela bunana deen mein jaiz hai balkeh kafi behtar bhi hai...

Ab aik misaal deta hoon k agar mujhay aap se koi kaam ho aur mein aap ko call karon aur aap ko kaam kernay ki request karon...

Ya phir mein aap ko call karon k mein aap ki falan best friend ka bhai hon aur mujhay aap se yeh kaam hai...

Ab aap bataein k aap kis call k baad ziada tawajoh se mera kaam karein gi ??

Zahir hai jab mein aap ko aap k samnay aap ki best friend ka waseela paish karon ga...

To jab aik insan mohabbat mein priority deta hai to Allah to sab makhlooq se ziada Rasool Allah saww aur unn ki Aal a.s se mohabbat kerta hai,to kaisay ho sakta hai k woh iss waseela ko shirk manay ga ya woh ilteja nahi sunay ga ??

glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 13  Post: 911  Age:  25  
Posted on:27th Mar 2012, 5:34am
 

rizvi b hai

as salam oalikum

dua kay lafz jo b hon it doesnt means kay shirkia alfaz hon.........it means kay alzaf jis b zuban main hon magar neyat saf honi chaye ..........ye post subha kay wakt ki hai us wakt meray pas time short hota hai main ziada detail main discriber nahi kar sakti in short likha tha ...........or ye bat kay allah se request k ijay kay ager tujh se na mangain gay to kahan jahain gay ye b main nay book main read kai tha ......
thanks

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 611  Age:  38  
Posted on:27th Mar 2012, 5:35am
 

samaira

Surah Maidah 35 O ye who believe! Do your duty to Allah, seek the means of approach unto Him, and strive with might and main in his cause: that ye may prosper.

Aur waseela k jaiz honay ka sab se behtar proof iss ayat mein hai jis mein waseela ka hukam diya hai...

Ab yahan per tafseer yeh ki jati hai k yahan waseela se muraad namaz hai,jab k yeh ghalat tafseer hai kiun k yahan khitab momineen se kiya ja raha hai jab k momin wohi hota hai jo namaz perhta ho phir jab woh namaz perhta hai to phir unhain yeh hukam kiun diya ja raha hai aur yahan waseela ko talash kernay ki baat ki gaye hai jab k namaz aisi cheez nahi hai k ussay talash kiya jaye...

Iss se murad yehi waseela hai jis ka aap ne pocha aur jisay kuch kam-ilm loag shirk ka fatwa detay hain...

samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 11  Post: 66  Age:  22  
Posted on:27th Mar 2012, 7:37am
 

......








i agree wid u glamour...n myrizvi g maine srf huzur(s.a.w)ka wasta dena yeh kaha kisi r ka nahi cuz woh Allah k sabse mehboob hai...

apsabne shayad mere sawal ka matlab nahi smjha theek se..kisike waseele se dua krna r kisika wasta deker dua krnemeh bht fark hota hai...yeh sahi hai k dua direct Allah ta'ala se mangni chahiye q k uski nazar har pal humper hoti hai r woh humare dil ka haal achi tarha janta hai..hum q kisika waseela de ya q kisi auliya ambiya se kahe k ap humare liye dua kijiye jabke Allah ne khud farmaya hai k kisi b insan ko nek na kaho q k hoskta hai woh meri nazar meh gunahgar ho ya kisi bhi insan ko gunahgar na smjho hosakta hai woh meri nazar meh nek ho toh hum kaise yeh sabit karskte hai k jolog 5 waqt ki namaz ada krte hai quran padhte hai woh jannati hai??hum nahi jante k jo insan marchuka hai woh kis haal meh hai..r jo log marchuke hai woh nahi sunskte hai nahi dekhskte hai...lekin humare huzur(s.a.w)..Allah pak k sabse mehboob hai r hum jab madina jake huzaur(s.a.w)ki ziarat krte hai r unhe salam kehte hai woh har kisike salam ka jawab dete hai aisa kaha jata hai..n unse zyada nek koi nahi hai is duniya meh..lekin hum unse yeh nahi kehte k ap Allah se ye kahe balke hum wahan jaker direct Allah se mangte hai..toh baki sab log secondary hai hum unse q kahe k woh humare liye dua kare jabki hum nahi jante k woh kis hal meh hai nek hai ya nahi..
mera matlab kisi auliya ambiya ya kisi r ka watsta dena nahi hai..srf huzur(s.a.w)ka wasta deker yane 'aye Allah ap unke liye humari dua khubul kare' aisa hai..naki unke zariye se....
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5627  Age:  53  
Posted on:27th Mar 2012, 11:19pm
 

dua maangnay ka tareeqah

اسماء الحسنی اور صفات الہیہ کا وسیلہ:

جب کبھی انسان کوئی دعا کرے تو اللہ تعالی کی صفات اور اس کے پاکیزہ ناموں کا واسطہ دے کر اس سے سوال کرے- جیسے کوئی انسان اللہ کی رحمت کا امیدوار ہو تو اس کی صفت الرحمن الرحیم کے واسطے سے دعا کرے- کوئی بیمار ہو تو اس کی صفت الشافی کے وسیلے سے دعا کرے جیسا حدیث شیرف میں آتا ہے:

" اذھب الباس رب الناس واشف انت الشافی۔۔۔۔۔۔۔"
( بخاری، کتاب المرضی، باب دعاء العائد لمریض، حدیث: 5675)
اسی طرح:
" یا حی یا قیوم برحمتک استغیث"
( سنن ترمذی، کتاب الدعوات، باب 91، حدیث: 3524)
اس طرح اسم اعظم کے وسیلے سے دعا کرنا جیسے:
" الم، اللہ لا الہ الا ھو الحی القیوم، والھکم الہ واحد لا الہ الا ھو الرحمن الرحیم"
(سنن ابی داؤد، کتاب الوتر، باب دعاء، حدیث: 1496)
قرآن کریم میں ارشاد الہی ہے کہ:
" وللہ الاسماءالحسنی فادعوہ بھا" الاعراف:180
( یعنی اللہ تعالی کے اچھے اچھے نام ہیں- اس لیے اس کو ان کے ساتھ پکارو)

dua maangnay k mostanad tareeqay ko choR kar "apni pasand aur marzi" k tareeqay ko ikhteyaar karna koi aqalmandi nahi hai




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5627  Age:  53  
Posted on:27th Mar 2012, 11:25pm
 

جائز و نا جائز وسیلہ ۔

وسیلہ کی دو قسمیں ہیں (1)جائز وسیلہ (2) نا جائز وسیلہ ۔

1 : جائز وسیلہ :یہ ہے کہ اللہ کے نام اور اسکے صفات کا واسطہ دے کر اللہ تعالی سے دعا کریں جیسے آپ کہیں کہ اے اللہ تو رحمان ہے ہماری حالت پر رحم فرما ،یا اپنے نیک اعمال کا واسطہ دے کر اللہ تعالی سے دعا کریں یا ایسے انسان سے دعا کرائیں جو متقی وپرہیز گار ہو اور زندہ ہو ۔

2 : نا جائز وسیلہ :یہ ہے کہ قبر میں مدفون لوگوں کو پکارنا ، انھیں حاجت روا ومشکل کشا سمجھنا جیسا کہ موجودہ وقت میں مزاروں اور خانقاہوں پر ہورہا ہے (ان کی دہائی دیتے ہوۓ کہنا یا غوث المدد، یا علی المدد،یا حسین المدد، یا داتا گنج ہجویری المدد،وغیرہ )رسول اکرم صلى الله عليه وسلم کے مقام وجاہ کو وسیلہ بنانا جیسے یہ کہنا کہ اے اللہ مجھے محمد صلى الله عليه وسلم کے جاہ ورتبہ سے شفا دیدے یا یہ کہنا کہ اے اللہ تو ہماری یہ دعا محمد صلى الله عليه وسلم کے طفیل وصدقے میں قبول فرمالے ، یہ سب بدعات میں داخل ہیں اسلۓ کہ صحابہ کرام رضوان اللہ علیہم اجمعین نے ایسا نہیں کیا بلکہ حضرت عمر رضی اللہ عنہ نے بحالت حیات حضرت عباس رضی اللہ عنہ کی دعا کو وسیلہ بنایا جب قحط سالی مدینہ میں پڑ گئی لیکن وفات رسول صلی اللہ علیہ وسلم کے بعد آپ صلی اللہ علیہ وسلم کو وسیلہ نہیں بنایا اور نہ ہی آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی قبر پر فریاد رسی کے لۓ گۓ کیونکہ وہ جانتے تھے کہ یہ کھلا ہوا شرک ہے جس سے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم نے اس دار فانی سے رخصت ہوتے ہوتے وقت بھی اپنے امتیوں کو آگاہ کیا تھا ، ارشاد نبوی صلی اللہ علیہ وسلم (لعنة الله على اليهود والنصارى اتّخذوا قبور أنبيائِهم مساجِد) ترجمہ : آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : یہود ونصاری پر اللہ تعالی کی لعنت ہو جنھوں نے اپنے نبیوں کی قبروں کو سجدہ گاہ بنا لیا ۔(صحیح بخاری و صحیح مسلم )


ایک دوسری روایت جسے امام مالک رحمہ اللہ نے اپنی کتاب (المؤطا ) میں ذکر کیا ہے جسمیں آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا (اللَّهُمَّ لاَ تَجْعَلْ قَبْرِى وَثَنًا يُعْبَدُ اشْتَدَّ غَضَبُ اللَّهِ عَلَى قَوْمٍ اتَّخَذُوا قُبُورَ أَنْبِيَائِهِمْ مَسَاجِدَ ».




ترجمہ : اے اللہ تو ہماری قبر کو عبادت گاہ نہ بنانا ،اللہ تعالی کی سخت غیض غضب ہو ایسے لوگوں پر جنھوں نے اپنے نبیوں کی قبروں کو سجدہ گاہ بنا لیا (المؤطا)



مندرجہ بالا احادیث سے معلوم ہوا کہ کہ مزاروں و خانقاہوں پر جانا اور ان کے سامنے اپنی حاجات وضروریات کو رکھنا ،انھیں مشکل کشا،حاجت روا سمجھنا ،وہاں نذرونیاز پیش کرنا ،یہ شرکیہ اعمال ہیں جن سے اجتناب ضروری ہے کیونکہ اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم نے اس قسم کے شرکیہ اعمال کرنے والوں کے حق میں بددعا کی ہے ،نیز اگر مندرجہ بالا شرکیہ اعمال کرتے ہوۓ انسان کی موت ہوگئی تو اسکے تمام نیک اعمال برباد ہوگۓ اور اگر اسے مرنے سے پہلے توبہ کی توفیق نہ مل سکی تو ایسے انسان کا ٹھکانہ ہمیشہ ہمیش کے لۓ جہنم ہے ، ارشاد باری تعالی (إِنَّهُ مَنْ يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدْ حَرَّمَ اللَّهُ عَلَيْهِ الْجَنَّةَ وَمَأْوَاهُ النَّارُ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ أَنْصَارٍ) سورۃ المائدۃ 72 ۔



ترجمہ :یقین مانو کہ جو شخص اللہ کے ساتھ شریک کرتا ہے اللہ تعالی نے اسپر جنت حرام کردی ہے ، اسکا ٹھکانہ جہنم ہی ہے اور گنہگاروں کی مدد کرنے والا کوئی نہیں ہوگا ۔



اللہ تعالی سے اخیر میں یہی دعا ہے کہ ہمارے جو بھائی اس قسم کے مذکورہ شرکیہ اعمال میں مبتلا ہیں انھیں اس سے سچی توبہ کرنے کی توفیق عنایت فرماتے ہوۓ مستقبل میں صراط مستقیم پر چلنے کی توفیق عطا فرما آمین تقبل یا رب العالمین ۔




Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 611  Age:  38  
Posted on:28th Mar 2012, 3:43am
 

myrizvi

Aap ne shayed copy paste mein degree li hai tabhi to post ka jawab denay k bajaye aap sirf copy paste per hi iktefa kertay hain...

Aap mujhay yeb batana pasand karein ge k zinda shaks se madad ya waseela jaiz hai lakin jo hastian iss duniya se chali gaye hain unn ka waseela kiun ker na-jaiz ho gaya ??

Kiya Allah k nazdeek unn ki ahmiat uss waqt thi jab tak woh zinda tha ??

Aur aisa kiya ker detay hain woh shaksiat k unn k mernay per Allah unn k waseela ko shirk maananay lag jata hai ??

Aur aap ne Quran ki aik ayat se taveel ki kiya aap mujhay bataein ge k iss ayat ka shan e nazool kiya hai ??

Aur dosri baat waseela Allah k sath shareek therana kaisay bun jata hai ??

Aur phir aap ne mauta imam malik ki aik hadith bhi paish ki,kiya aap mujhay bataein ge k kon se aisi qoam thi k jis ne Anbiya a.s ki qabaron ko sajda-gah bana liya tha ??

Umeed hai aap ne history perhnay ki zehmat to zaroor ki ho gi aur aap ko yeh bhi maloom ho ga k kon se nabi ki qabar ko kis qoam ne sajda-gah bana liya tha to aap yahan history se humein bhi agah ker dein pls.




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5627  Age:  53  
Posted on:28th Mar 2012, 4:40am
 

mufti sahab

ap apna point of view bayaan karaiN. maiN apna point of view bayaan kardia hai. nah to ap mujhay qaail karsaktay haiN aur nah apko... in issues par sadyouN say ikhtilaaf chala aaraha hai jissay ap aur maiN mil kar kabhi khatam nahi karsaktay.

sawaal poochna sab ka haq hai aur jawab dena bhi sab ka haq... maiN nay sirf apna haq use kia hai, apka haq khatam nahi howa... agar apki baat maiN WAZAN howa to log apki baat maan lengay... log meri baat mannay k paband to nahi haiN. lekin chouNkay apko shayad yeh khauf hota hai k apki baat maiN wazan nah hone k sabab log apki baat nahi maanengay, lehaz aap bila wajah doosrouN k jawaab par etraazaat start kardetay haiN...

yahaaN monaazerah to nahi horahaa... sawaal poochne wala agar ap ki jawaab say satisfy hojaa.ay to mujhay koi etraz nahi..agar woh meri baat say mot.main hojaa.ay to apko etraaz nahi hona chaahiyeh... jawaab denay waloun ka maqsad sawaal karnay walouN ko satisfy hi to karna hai
hope k ap meri baat samajh gaye hongay
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 49  Post: 3158  Age:  35  
Posted on:28th Mar 2012, 7:55am
 

waseely sy dua karna

aslam-o-alaikum ,

allah k asma-e-husna ka wasta day kar b dua ki ja sakti hay aur Muhammad-o-Aal-e-Muhammad (s.a.a.w , a.s) k waseely sy b dua karna jaiez wa mustenad hay , aur waseely sy dua karny ka hukam to khud Allah ta'ala ny diya hay

daleel

jab hazrat Adam (a.s) ki dua qabool hoi aur wo zameen sy arash-e-bareen tak wapis gaye to hazrat Adam (a.s) ny kuch namo ka waseela day kar dua ki (al quran) yeh waseela waly name allah ny khud hazrat adam (a.s) ko taleem kiye , to goya sabit howa k allah khud waseela ko pasand karta hay
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 11  Post: 66  Age:  22  
Posted on:28th Mar 2012, 9:18am
 

.............








mai bus ithna kehna chahungi k maine jo sawal kiya tha k huzur(s.a.w) ka wasta deker dua krskte hai mujhe is baat ka sahi jawab nahi mila hai aplog bus ekdusre k khilaf daleele pesh karrahe hai..

lekin mai is baat se sehmat hun k kisi auliya ambiya ka waseela dena yeh sahi nahi hai srf Allah se direct mangna chahiye lekin maine jo sawal poocha tha woh kch r hi hai..

mai bus ithna kehna chahungi k apsabmehse jithne b log hai jo dargah ko mante hai r jaker unse kehte hai ap Allah se kahe yeh bht badha shirk hai jiski maafi nahi hai.jo cheez hadees r quran meh nahi hai uske alwah kch krna bidat(buri aadat) r shirk hai plz abhi b waqt hai ap smjhjaye r aisa na kare.cuz wohlog zinda nahi hai woh naa kch sunsakte hai na dekhskte hai pata nahi woh kis haal meh hai..unki ruh kahanper hai...

ap apne ancestors ko na follow kare balke logical snche r quran hadees se hatker kch extra na kare...qayamat k din huzur(s.a.w) insan ki bakhshish krvate hai jab yeh mumkin hai k woh Allah se guzarish krnge insan ki bakhshish ki..Allah ne razullallah(s.a.w) ko apne noor se paida kiya hai unke alawah kisi r ko Allah k sabse mehboob na smjhe..
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 13  Post: 911  Age:  25  
Posted on:28th Mar 2012, 10:02am
 

samaira

as salam oalikum

sister aakhri advise meri ye hai kay aap khud bashaor ho aap k osahi or ghalat ki tamez hai aap suno sab ki or karo wohi jo sahi hai ...........or dua ek aaisi ibadat h jis main aap kay or rab kay darmian koi parda hail nahi hota aap us se mango girgira kar mango wo ata karnay wala hai khud ko un nesesary baton main indulge na karo to behter hai
thanks

samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 11  Post: 66  Age:  22  
Posted on:28th Mar 2012, 2:44pm
 

glamour








glamour ap sahi hai but hosakta hai kisiko gunah krnese bachaker mujhe neki miljaye isiliye maine apni baat clear krli
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 11  Post: 66  Age:  22  
Posted on:28th Mar 2012, 2:45pm
 

glamour








glamour ap sahi hai but hosakta hai kisiko gunah krnese bachaker mujhe neki miljaye isiliye maine apni baat clear krli
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5627  Age:  53  
Posted on:29th Mar 2012, 12:26am
 

Jazak Allah glamour

Masha Allah well said... as usual:)
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 13  Post: 911  Age:  25  
Posted on:29th Mar 2012, 1:19am
 

thanks

to rizvi bhai :) for appreciation as usual :)



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 49  Post: 3158  Age:  35  
Posted on:29th Mar 2012, 6:57am
 

glamour sy aik swal

re "aap us se mango girgira kar mango wo ata karnay wala hai khud ko un nesesary baton main indulge na karo to behter hai"

kia aap bata sakti hain k dua k sath unnecessary baton sy aap ki kia muraad hay ?

by the way agar aap waseela ya wasta dy kar khasosan Nabi pak (s.a.a.w) k waseela ya wasta sy dua mangny ko unnecessary batain keh rahi hain to bra-e-karm apni correction farmaa lain q k allah ny khud waseela sy dua mangny ko pasand kiya hay aur du'aon ki qabooliyat ka miyaar b waseela ko hi banaya hay , ooper wali post mein main nay quran pak ki aik aya ka mafhoom likha hay jis main hazrat adam (a.s) ki waseela k sath dua aur phir dua ki qaboliyat ka zikar hay
1 2  >>
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us