glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 13 Post: 911 Age:
25
|
|
Posted on:30th Mar 2012, 9:32pm |
|
|
glamour ka jawab as salam oalikum
kia aap bata sakti hain k dua k sath unnecessary baton sy aap ki kia muraad hay ?
un necessary bataon se murad hau kay dua mangnay main itna taradud nahi karna chaye jitnaye kaer rhi hain or kuch muradnahi hai ......dosri bat ye kay topic starter told kay i got your point ang she agreed to jab wo meri bat wazay tor p samajh gahi hai to mazed behas ki koi junjaish hi nahi ......diplomate ji aap na tension liak aro bila waja ki aian wain hi aap ka b.p high hona hai or ilzam hamaray sir aana hai lolz ........
thanks
|
samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 11 Post: 66 Age:
22
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 10:51am |
|
|
glamor
glamor mai apki baat se sehmat toh hun but is baat se nahi k apne kaha k dua meh zid na karo n al..har insan ki murade hoti hai woh Allah se jithna chahe mangskta hai jab woh humare liye behtar na b ho toh Allah apni rehmat se use behtar banaskte hai humare haq meh toh hum q na usse gidhgidaye ismeh kya burayi hai ap bataye... |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 13 Post: 911 Age:
25
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 11:51pm |
|
|
samaira sis as salam oalikum sis main nauy girgira kay mangnay se mana nahi kai hai .......main nay ye kha hai kay jo b manga jay us main erab ki raza mangi jay na jay zid pakar li jay kay nahi yehi chaye yehi chaye .........let me explain u 1 thing ....ager koi larki ye chahti hai kay us ki shadi falan larkay se ho jay or wo ro ro kar us ko mangti hai kay nahi chay kuch b ho ya allah bas ye shaks mujhay ata kar day is ko mera kar day mujhay ye chaye main nahi reh sakti is kay bina .......yahan tak kehti hai kay ya allah ager tu meri zindagi bhar ki ibadaton or riazaton kay badlay mujhay kuch ata karna chahta hai to bas mujhay wo shaks ata kar day ..............ab wo shaks us kay liye behtar nahi hota ( misal kay tor per ) aagay ja kar us ka nibah nahi hota magart us ki zid p allah usay ata karta hai to kai is main khair hai batahiye .ya ye dua ziada behtar hai kay aay rabul aalamen ager meri us shaks kay sath shadi main khair hai or teri raza is main posheda hai or meri bhalahi is main posheda hai to mujhay wo ata kar day or agr meri is main bhalahi nahi hai or teri hikmat kisi or b at main posheda hai to tu wohi ata kar jis main meray liye khair ho ameen .........
bas isi point ko main aap k osamjhana chah rhi thi
thanks
|
samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 11 Post: 66 Age:
22
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 5:17pm |
|
|
glamour
ab mai apki baat se sehmat hun..:)..apne bht sahi xample diya hai glamour..meri prblm kch isi dua se related hai..but kya hum Allah se yeh b nahi maang sakte k woh humare haq meh behtar banake ata karde??cuz uskeliye toh koi b cheez na mumkin nahi hoti hai ryt..phir dua aisi mangi jaye toh khubl b hogi r humare liye behtar b hogi..:) |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 13 Post: 911 Age:
25
|
|
Posted on:1st Apr 2012, 12:24am |
|
|
samaira sis daikho sis bat dara asl ye hai kay hum allah per bharosa nahi kartay ........kia wo hamaray liye koi ghalat faisla kar sakta hai .jo hamain satar mahon se barh kay chahta hai kai wo hamara bura chah sakta hai ..........ek bacha dehakta howa kohila pakarnay ki zid karta hai ......bacha chota or na sajh horta hai us ko lagta hai ye dehakta hoqwa kohila nahi balkay roshni hai is ko pakar kay muthi main qaid kar lon ga to ye roshni meri milkiat ho jay gi us ko nahi pata hota kay ye aag hai ye jala day gi jab us ki ma us ko batati hai kay nahi ye nahi milay ga to wo rota hai machalta hai tarapta hai us ki ma phir b nahi daiti.bacha maa se dab guman ho jata hai kay maa mujh se pyarn ahi karti phir maa bachay ko ye batati hai kay ye aag hai roshni nahi hai ya jala day ga .bacha maa se kehta hai is aag ko thanda kar kay mujhay do ......maa phir b nahi daiti ku ? ku kay maa janti hai kay aker kohila thanda b ho to b jalahay ga nahi ho hath kalay zaror karay ga .........:) i thing main nay bht ghahri example di hai hope u understand
dosri bat kay ager allah tabarak o taala koi shay hamain ata nahi karta to kai ye us k iaazmahish nahi ho sakti kia hamain us ki aazmahish p aanso bahanay chaye wawelay karnay chaye .......kia hum us ko khush karnay kay liye apni khuwaish se dasrt bardar nahi ho saktay kay ya allah jo teri raza wohi meri raza main nadan hon main teri hikmat nahi samajh sakti bas to wo ata kat jis main sharfn a ho ............:) hum jis se pyar kartay hain hum akser usay kehtay hain .hukum karo ye dunia b chor dain gay bas hukum to karo .to kai rab ki khatir us kay pyar main kuch chor nahi saktay ager wo na milay to sabar nahi kar saktay ? ye b to ho sakta hai kay allah aap ki muhabat ko aap ko aazma rha ho or us kay badla aakhirat main ata karay
thanks
|
samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 11 Post: 66 Age:
22
|
|
Posted on:1st Apr 2012, 7:25am |
|
|
glamour
apki baat sahi hai glamour but mai yeh bolna chahri hun k maa us aag ko apne bache k liye roshni nahi banaskti cuz woh insan hai lekin Allah chaha toh woh us aag ko roshni banaskta hai yeh uske liye koi badhi baat nahi hai uske haq meh woh behtar na b ho toh behtar banaskta hai apni rehmat se...
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 13 Post: 911 Age:
25
|
|
Posted on:2nd Apr 2012, 9:48pm |
|
|
samaira sis han allah chay to sab kuch kar sakta hai .......in nal lahah ala kul e shaiheen qadeer .........or bay shak allah her shay per qadir hai .........ye quraan pak main likha howa hai .........per ager allah na chay to kai kai ja sakta hai dear .......or ager us main aagay ja kay koi masla ho to aap kia karo gi ....kia aazmahish kisi shay ka nam nahi ..........
mujhay ek bat batao ......kia allah chahta to muhammad (p.b.u.h) per tahif kay larkay pathar martay ............ager allah chahta to kai un p jadu karnay walay ko rok nahi sakta tha kia allah us waqt qudrat nahi rakhta tha ?????? kia jab hazrat yousub alah salam ko misar kay bazaron main korion kay mol baicha gaya to kia allah hazrat yaqoob alah salam kay liye un ko rok nahi sakta tha aap socho wo chand chahra jis ko daikh kay khud chand b sharma jay chand korion kay baho main bika tha kia us waqt allah nahi rakhta tha qudrat ..........aaisa nahi hai kay us waqt allah qudrat nahi rakhta tha .....is sab ko aazmahish b kha jata hai or is aazmahish main pora uternay se insan kay darjat buland hotay hain aakhirat main naikian milti hain ....main ye nahi keh rhi kay khuda na khasta aap k idua rad hi hogi main bas aap ko prepare kar rhi hon kay ager aaisa na ho ti is maian b mayoos mat hona hope u got it :)
thanks
|
|