samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 10 Post: 64 Age:
22
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 10:46am |
|
|
kya maa ki badua lagti hai?
kya maa ki badhdua lagti hai?? maine suna hai k maa jab badhdua deti hai toh Allah b hasta hai..r baap ki badhdua teer k jaise lagti hai..kya yeh sahi hai?? |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 607 Age:
38
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 10:50am |
|
|
......
Jahan tak mein ne suna hai...baap ki dua aur maa ki bud-dua ahm hoti hai kiun k maa asani se bud-dua nahi deti aur baap asani se dua nahi kerta...
|
samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 10 Post: 64 Age:
22
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 10:53am |
|
|
......
incase maa agar badua dede woh koi baat ko ghalat smjhle jabki uska intension bura na ho phr b agar muhse nikalgaya ho toh kya woh lagegi? |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 607 Age:
38
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 10:56am |
|
|
......
Yeh Allah behtar janta hai k kis ki bud-dua ya dua qabool kerni hai lakin general speaking yehi hai jo mein ne aap ko bataya...
|
alirajput |
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 0 Post: 60 Age:
28
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 11:10pm |
|
|
mufti sahab se sawal
My dear mufti bhai:
Agar, waldaa ki adat maiN hoon, ke unko guza aate hi badwa nikal ti hooN, main khasoosi apni waldaa ki baat bilqul bhi nahiN kar raha, lekin kuch bohot hi kareebi dostoo maiN ek hi ki story kuch aisi hi haiN, toh sawal ye haiN ke pir unki badua lagti haiN ya nahiN, kyun mene aksar jab dosts ki ami se on a friendly note mene aur meri waldaa ne baat ki haiN unko bata ne ke liye ke unonaye ye baat bhi ki thi aise, toh unko yakeen nahiN aata ke unka guza aisa bhi tha?
Lekin ye baat bhi wo hamse kay chuki haiN ke wo kabhi dil se aap ne bacho ko badwaa nahiN de sakti.
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 607 Age:
38
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 11:19pm |
|
|
alirajput Mein ne general baat ki hai aur amoomun maa bud-dua se perhaiz kerti hain aur mein ne post mein likha hai k woh ahm hoti hain na k yeh kaha hai k lazmi woh bud-dua qabool bhi ho... Lekin ye baat bhi wo hamse kay chuki haiN ke wo kabhi dil se aap ne bacho ko badwaa nahiN de sakti. Aap ne apni post mein apnay sawal ka jawab bhi de diya hai,neeat count hoti hai her amal mein.. |
samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 10 Post: 64 Age:
22
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 5:23pm |
|
|
alirajput: mai bhi yeh sawal krna chahti thi..
mufti sahab: kya kisimeh aisi adat ho k woh har baat pe badhdua dede ya phr gussse meh ya ghalatfehmi meh hurt hoker r kbhi kbar maine aisa b dekha hai k kisiko mentally prblm yane anxiety ka shikar honeki wajah se bht jald gussa ajata hai r choti choti bato per takleef phchjati hai r badhdua dejati hai kya aise tym per badhdua khubul honeke zyada chances hote hai? hoskta hai woh dilsehi hurt hoker badhdua dede but baadhmeh realize hojaye r maf krde tab?? |
alirajput |
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 0 Post: 60 Age:
28
|
|
Posted on:31st Mar 2012, 7:35pm |
|
|
Badwaa aur dua ke adaab Dear Samaira, dua aur badua ke adaab hote haiN, wese toh badua kisi ko bhi nahiN deni chahye, lekiN ALLAH ta'la toh har kisi ke dil, pareshani ko samajte haiN, koi kis haal maiN badua kartaa haiN wo sab samajte haiN.
Aap fikar na karo, agar aap ne Ghalat nahiN kia aur badua dene walaa guzaye maiN de raha haiN ya adat se majboor hon kar de raha haiN toh mumkin haiN ke Allah aisi badua ko Qabool na farmaye. |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 607 Age:
38
|
|
Posted on:1st Apr 2012, 2:03am |
|
|
samaira Dekhein her amal ka daromadar neeat per hota hai,yeh to bud-dua hai jab k Allah ki teraf se wajib ahkemaat mein bhi neeat count kerti hai,aap ki hajj,namaz,zaqat etc. ka qabool hona neeat per hi hai...koi hajj agar iss neeat se kerta hai k loag ussay naik kahein ge to ussay dunyawi dikhawa hi naseeb ho ga na k uss ka yeh amal Allah k haan qabool ho ga... Neeat aik alag topic hai ussay hum yahan discuss nahi ker saktay kiun k yahan sirf zahiri amal ki baat ho rahi hai... Agar neeat waqai bud-dua ya dua hi ki ho to phir jo mein ne aap ko bataya hai woh ziada qabil e amal hai... |
|