Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics
Recent Reply
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Myrizvi: Kahan Ghayeb Hain Rizvi Saheb?

Chatting   >>   Gup Shup
 
 
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2532  Age:  49  
Posted on:14th Sep 2011, 9:12pm
 

Myrizvi: Kahan Ghayeb Hain Rizvi Saheb?

kahan ghayeb hain rizvi saheb

sab kher to hai na

idher 2 dhari talwar bh kuch dino se NIYAM MAIN HAIN

yani bewaqoof saheb

kahin ikathay to nhn gai vacation per?

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:15th Sep 2011, 1:54pm
 

WEHSHI

asal maiN last one week say mera net disconnect thaa... abhi abhi access howi hai... insha Allah fursat miltay hi baqi threads dekhouNgaa
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:21st Sep 2011, 9:18pm
 

rizwi bhai

herat hai apki yeh dukan khali pari hai? yahan koi gahak nhi aya...

aj ma ny forum open kia tau kuch ajeeb o ghareeb kisam k "shocks" lagay, kuch aesi unexpected posts read kin jin par yakeen nhi a rha. yeh sab yahan normal hai ya apko bhi aj yeh forum kuch badla badla sa mehsus ho raha hai?

wesay achi baat hai yahan ap aur wehshi bhai ikathay hain. ma kuch dinon se wehshi bhai ko pakarnay ka soch rha tha lekin na moka mila na time... :)


wehshi bhai kesay hain aap ?
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:21st Sep 2011, 9:25pm
 

wehshi bhai

wehshi bhai pehla sawal ap sy yeh k mujhay yeh fiqra apki writings se match karta samajh main nahi ata. kia ap issay samjha saktay hain?

"...profile.......diploma in family counseling, female beauty massage system, female beauty enhancement by under garments.."


WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2532  Age:  49  
Posted on:21st Sep 2011, 9:25pm
 

info123

main janab theek hun ap pakrain an main wesay hi mojood hun yahan :)
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:21st Sep 2011, 9:38pm
 

hmmmmm

arey ap tau online hain. yahan mojud hain achi baat hai. umeed hai ap se achi discussion rahay gi.. :)
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2532  Age:  49  
Posted on:21st Sep 2011, 9:48pm
 

y not

sure no problem u r wellcome
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:22nd Sep 2011, 5:32am
 

confusion

thankyou ji.. lekin ap nay sawal number 1 ka jawab nahi dia ya shaid ap nay sawal number 1 ko dekha hi nahi, ooper wali post k neechay aik aur post bhi hai woh read karain...... woh meri confusion thori clear karain plz, phir ap par sawalon ki barsat kartay hian.. :)

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:22nd Sep 2011, 6:10am
 

info bhai

yahaaN ajkal jo "dokan.daari" chal rah hai, mera dil iss say ochaaT saa hogaya hai...issi liyeh "bay.fazool" :) threads /replies /behaviours say dooooooor doooooor houN lol
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2532  Age:  49  
Posted on:22nd Sep 2011, 11:47pm
 

info123

janab main ne singapore se 2 saal ka diploma kiya tah FILIM MAKING AND PRODUCTION ka lekin us k liyay 4 diplomaas aur bhi kernay thay as side dish

aur jo facilities available thin yeh un main mujhay sahi lagin us waqt :)

family counsoling k matalb hai k is se hum guide kertay hain is terah k jo sawalat zehan main aatay hain au rjin ka jawab nhn milta ya kisi se poochtay nhn hum to confusions berhty jati hain specialy teenages main aur married peoples main un k liyay aik terah ki guide line hoti hai is main

female beauty massage system

yeh asla main tah massage system hum samnjhay k yeh hoga wesa massge jo karachi main BOTTLE GALi walay kertay hain hath paon k JOR theek kernay k liyay lekin jab class main pohanchay to pata chala k yeh to female beauty massage system hai jis main females ki physical beauty k liyay massagen exercises ki detail hoti hai

female physical beauty inhancement by under garments

ap en dekha ho ga k forum per akser females ki problem hai k un ka figure chota hai ya bera hai ya adjusting problems hoti hai to yeh us k liyay hai k kesay woh khud kio fit n smart bana sakti hain sahi undergarments choose kerkay

umee dhai ap k sawal ki tafseel bata di main ne :):)

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2532  Age:  49  
Posted on:22nd Sep 2011, 11:48pm
 

myrizvi

BADAL KER FAQEERON KA HUM BHAIS GHALIB

TAMASHAA E EHL E KARAM DEKHTAY HAIN

بـدل کـر فقیـروں کـا ھـم بھیـس غـالـب

تماشاۓ اھـــل کـــرم دیکھـتے ھیـں

LAGTA HAI AAP BHI AB ISI rawish PER CHAL RAHAI HAIN pagri BACHA KER

:):):)

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:22nd Sep 2011, 8:44pm
 

dooooor ?

wahhhhh ap nay "farmaya" k yahan ki dukan darion se doooooor dooooooor bhag rahay hain. angrazi main door boltay hain darwazay ko.. shaeri main darwazay ko "dar" boltay hain.. yani apka matlab hai k ap dukanon main "dar dar" bhatak rahay hain ?

wesay apne "do-kaanon" ka hamesha golden rule yaad rakhain.....aik se "yeh dusray se "woh" ... :P

isi context main koi sher sunain.... ;)
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:22nd Sep 2011, 9:12pm
 

WEHSHI bhai

ji bilkul ab sab kuch samajh main aa raha hai. shuker hai janab aap nay mind nahi kia.. :)

wesay yeh bari dilchasp situation hai k aap nay is kisam ki professional education hasil ki hai.. . wesay ilm-un-nafia yani nafa pohanchanay wala ilm us context main ap apni qualification k baray main kia kehtay hain?

aik aur ap se "personal" sawal, jiska jawab dena ya na dena aap ki marzi par hai..... umeed hai aap bilkul mind nahi karain gy.. :)
agar koi mard female under gaments ya is kisam ki "consultancy" se females ko beauty enhancement ki service provide karay tau aap k khayal main yeh islamically justified hai? parday aur na mehram ki pabandion samait? yeh kaam tau females k liay suitable nahi hia ?

mazeed yeh k itni libral studies k bawajood apki life main islamic turn kesay aya? ya ap nay apni direction ko kis tarhan define kia?

is k ilava ap se mazeed sawal :
aap k noorclinic forum k baray main kia comments hain? education wise tau yeh site waqai qabil-e-tareef hai, aur jis maqsad k tehet bani hai woh maqsad bhi nihayat umdagi se achieve hua..... lekin yahan par kuch members had se ziada free aur out of limits replies bhi kartay hian jo females ki presence ka bhi koi khayal nahi rakhtay, aur woh replies yahan visit karnay walay teenagers par nihayat bura asar bhi dal saktay hian.. main apki raey jan.na pasand karon ga.. :)




WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2532  Age:  49  
Posted on:22nd Sep 2011, 11:06pm
 

info123

asal bat yeh hai k is field main pehlay to koi hai hi nhn yani pak main specialy.

females undergarments 1 industry hai aur isay humaray han aik ajeeb nazar se dekha jata hai werna isay aik zaruret ki cheez hi samjhna chahyayis k ilawa kuch nhn

lekin chunkay humari socity main isay ajeeb terah dekha jata hai jab k merd hi producer hain, merd hi designer, merd hi sale bhi kertay hain aur mera khayal hai k normaly shops per is k baray koi aisa behave nhn k yeh koi alag ya buri cheez hai

jahan tak bat hai consultancy ki to yeh on net hai is main koi smanay nhn hota aur na hi pata hota hai k kon hai poochany wala is liyay dono sides comfirtably discuss kertay hain

meray profile main meri basic education bhi likhi hai

islam humarai base hai is se hum hut nhn saktay

aur meray pass koi khas ilam nhn jitna aik musalman ko apni daily life k liyay chahyay shayed abhi us se bhi kam hai

is forum ka jo buniyadi maqsad tah woh abhi tak hasil nhn huwa 26318 members main se bas 10-20 hi hain jo yahan poochtay bhi hain au rbtatay bhi

halankay hona yeh chahyay tha k kuch poochnay k liyay registration ki qaid na hoti han jo jawab dena chahta woh register hota aur admin n senior members decide kertay k yeh member kis had tak aur kin topics per jawab de sakta hai

lekin yahan sab azad hain jis ko kuch bhi nhn pata woh ziyadah jawab deta hai aur her topic per deta hai specialy sab se asan topic islam hai

medical per koi jawab de to sab kehtay hain k sirif doctor jawab den lekin islam per koi qaid nhn her kas o nakas mufti ban jata hai

is forum ak add facebook pe den achahyay takay log ziyadah se ziyadha is k baray main janain aur shayed is terah sahib e ilam log bhi aain aur kuch bhalaai ho

glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 15  Post: 1122  Age:  27  
Posted on:23rd Sep 2011, 4:39am
 

as salam oalikum

rizvi bhai aa b jahiye ;-) baat to muk gahi kab ki hahahahaha

jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain
kheyaban kheyaban iram dekhtay hain

dil aashaftagan khaal-e-kunj-e-dehen kay
sueeda mei sair-e-adam dekhtay hain

teray sir-o-qamat se, aey qad-e-adam
qayamat kay fitnay ko, kam dekhtay hain

tamasha keh aey mehv-e-aeena dari!
tuje kis tamanna se hum dekhtay hain

suragh-e-tuf-e-naala lay, daagh-e-dil se
keh shab rau ka naqsh-e-qadam dekhtay hain

bana kar faqeeron ka hum bhais, Ghalib!
tamasha-e-ehl-e-karam dekhtay hain...

aray ye kia wehshi bhai ne ye thread rizvi bhai kay lihay start kia or divert ho gaya un ki taraf .koi mod note b nahi aaya ;-p
khair info 123 bhai ne ye kam aacha kia kay aap se sawalat kar kay hamain aap ko jannay ka moqa dia thanks bhai .kia 1 sawal ki main b jasarat karon ? ok kar laiti hon :-))

jahan tak bat hai consultancy ki to yeh on net hai is main koi smanay nhn hota aur na hi pata hota hai k kon hai poochany wala is liyay dono sides comfirtably discuss kertay hain

jahan tak baat hai online consultancy ki to zahir hai aap un se chat kartay hon gay or un kay masil ho hal kartay hon gay kia kahbi aaisa howa kay aap nay doran e chating kisi ko is tarha hurf hurf parha ho kay jaisay wo aap kay samnay mijood hai .un kay chahray kay utar charhao .un ki kaifiat .iztarab ,androni jazbat kia ye b mehsos ho saktay hain on line consultancy main ....... or agaer aaisa howa to kitni had tak sahi niklay wo andazay wo judgements

ye sawal zehan main is lihay aaya kay akser mai nnay note kia hai kay aap yahan forum p b logon ki baatain ( lochay ) :-p pakar laitay hain .or baaz okat aap kay jawab se pata chalta hai kay aap sawal karnay walay ki kaifait ko samajh gahay hain .ho sakta hai ye sirf mera andaa ho .behar haal jawab ki umeed hai ;-))
thanks






WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2532  Age:  49  
Posted on:23rd Sep 2011, 12:06pm
 

glamour

yeh thread rizvi ki gher hazri k liyay tah lekin info ne isay meri teraf turn ker diya hai

isay kehtay hain

KHUD AAP APNAY DAAM MAIN SAYAD AAGAYAA

halankay yeh dam nhn tah rizvi k liyay :):):)

mzeed yeh k main koi ais aeham insan nhn k jis ko janana zaruri ho

jab koi apna masla biyan kerta hia to sirif us k maslay per concentrate kerna hota hai na k us ki zaat per han ager masla us ki shakhsyat se relate ho to zaruri ho jata hai k usay puri terah read kernay ki koshish ki jai lekin ais abhi nhn k koi TELEPATHY hai k usay heraf ba heraf perh ajai

counsoling main tewajah sirif samnay walay k paslay per hoti hai is k ilawa counsling aik khaternak kam bhi hai kiun k aisa bhi hot ahai k kabhi samnay wala yeh bhi soch leta hai k us k maslay ka hal ap k pas hai y aap usay sab se behter samjhtay ho to ap hi kiun na us k liyay zaruri ban jao

yeh situation bohat khaternaak ho sakti hai si liyay counsoling kertay huway samnay walay ko aisa ehsas na honay dena hi asal kamyabi hai aur us k surounding main se hi us k masail ka hal diya jata hai ya denay ki koshish ki jaty hai

han doston se chat ekrtay huway kabhi zaruret ho sakti hai ya kabhi ho jata hai k dost ki smajhnay k liyay ya us ko us ki importance btanay k liyay usay deeply jana jai

umeed hai ap ko jawab mil gaya ho ga????

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:24th Sep 2011, 8:11pm
 

hmmmm



wehshi bhai

janab apka itna tafseeli jawab denay ka bahot shukria. :)
mera maksad apka interview lena nahi tha.. bas wesay hi apka yeh thread dekha tau socha ap se kuch discussion ho jaey..jo ma nay personal sawal poochay woh apki hi ijazat se poochay, agar apko bura laga ho tau sorry... :)


apki sab baatain darust hain, jab koi profession muashiray ki zarurat ho tau woh respectable hai. lekin har nai cheez par sawal bhi zarur poochay jatay hian. baharhaal, aik medical doctor, aur aik female undergarments professional, agar strong character k hon tau har cheez normal hai socially bhi aur islamically bhi.

"...mzeed yeh k main koi ais aeham insan nhn k jis ko janana zaruri ho..."

apki baat bilkul theek hai lekin zaruri nahi hai jesa aap sochain dusray bhi wesa hi sochain.. mukhtalif kisam k logon ki dilchaspian bhi mukhtalif hoti hain.

glamour sis

walaikumsalam
thankyou ji... ma nay tau kisi aur maksad se yeh kaam kia tha lekin nateeja kuch aur hi nikal aya, kher jo bhi hua acha hi hua.. majority is authority.. :D

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:24th Sep 2011, 8:38pm
 

myrizwi bhai

myrizwi bhai aap isharon main baat bahot khoob samajh letay hian . :)
apko yaad hoga yahan aik member tha paroot, jissay aik bar ma nay kisi thread ma aik baat boli thi, aap bhi mojud thay usi thread main. phir aik mera thread jo s4u nay start kia tha maryam baji k sath us main bhi aap se meri kuch baat hui thi, usi context ki aik baat ap nay pichlay thread main "abdullah" k naam se batayi. yeh wohi andhi tufan hai jis nay abhi "aam waba" ki shakal ikhtyar nahi ki, lekin is k "mamooli kirdaron" k peechay bahot strong back hai..... aur mera guman hai k dajjal ka aik ankh se andha hona asal main symbol hai "roohani" ankh se andha hona.. qk normal insan ki 2 ankhain hoti hain, aik zahiri ankh ka jora, aur aik roohani/batini ankh.. aur shaid usi ki qom hai jo roohani ankh se andhi hai... in k liay akhir kaar "dhaak k teen paat" hi hotay hian..... yeh tufan hamaray liay taziana sabit hota hai ya azab, is k baray main kuch nahi kaha ja sakta...lekin yahan logon ki kafi bari tadad hai jo sirf "muntazir" hai.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:25th Sep 2011, 8:27am
 

info bhai

baja farmaya ... sooratay haal kharaab say kharaab tar ki taraf jaa rahi hai... asiay maiN ham sab ka farz hai k apni apni jagah jo kuch bhi kar saktay houn, kartay rahaiN...yeh sochay beghair k hamari koshishouN ka nateejah kia niklega

mujhay nahi maloom k iss rewayat ka asal source aur iski authenticity kia hai... magar iss story ki bottom line haq par mabni hai k ... jab hazrat Ibrahim AS ko aag maiN Daalnay k liyeh alla;o raushan kia jaa rahay thaa to aik chiRyaa /bird apni chouNch maiN pani bhar kar laa laa kar iss alla;o maiN daal rahi thi... kissi nay etraaz kia k bi chiRya tumharay in qatrouN say etni baRi aag bujh jayegi kia? to oss nay jawab dia thaa k mujhay bhi pata hai k aisaa nahi hogaa...magar maiN to iss liyeh aisa kar rahi houN k rozay hashar mera shomaar Allah k aik nabi k liyeh aag jalaanay walouN ki saf maiN thaa yaa bojhanay waloun ki saf maiN...

so ham khaah ketni bhi qaleel tadaad maiN houN, hamara shomaar haq parastouN ki saf maiN hoga yaa baatil parastouN ki saf maiN...
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:25th Sep 2011, 4:43pm
 

rizwi bhai

apki baat nihayat darust hai... hamain apni koshish zarur karni chaiey.. balkeh agar hamain yeh mehsus ho k ham main koshish karnay ki salahiyat nahi tau phir koshish karnay ki hi salahiyat peda karni chaiey.

For More Detail Click On Page No: 1 2  >>
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How to get UK settlement spouse visa for us citizen  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us