jawab hazir hai - agar apse ma yeh kahun k mujh par aik bharpoor andaz main tanqeed karain tau aap kia kahain gy?
A: ap bahoot "ghalat" aadmi haiN. nah "moqah" dekhtay haiN nah "mahal" nah "hawa ka rukh" k kiss taraf ko chal rahi hai ... (chalo tum odhar ko, hawaa ho jidhar ki:) nah hi apko logouN k jazbaat o ehsasaat ki kuch "par.waah" hai bus ap har issue par 'qalallah' o 'qala rasool Allah (saw) ki gardaan kiyeh chalay jatay haiN...kia "zamaanay" main 'pinapnay" ki yehi "bataiN" haiN??? ham "ahlay dunya" apkay iss "sakht behaviour" ki sakhti say mozammat kartay haiN
Q: kia main ziada jarihana hun ?
A: yeh sawaal kam aur 'etraaf e jurm" zeyadah hai... "jaarihana" to ap haiN...magar otna hi jetna k aik surgeon ko oss mareez say hota hai, jiska oss nay operation karna hota hai...agar surgeon "maamta bhari mohabbat" say apnay mareez ko dekhega to oss par nishtar zani kaisay karega?
Q: ap k khayal main meray andaz e bayan main kia tabdeeli honi chahiey?
A: jab ap "ilmi andaaz" main guftagoo kartay haiN to zaahir si baat hai k apki baat 'awamunnas" k sar par say guzar jati hai /hogi. ilmi guftago, awamunnas k liyeh hoti bhi nahi, khaah onhaiN samajh aa.ay yaa nah aa.ay... aisay 'mokaalmay" sirf "concerned" logouN k liyeh hotay haiN aur ontak apka "message" easily pahonch jata hai.... haaN agar ap purely "academic guftagoo" ko "awami" andaaz main "bayaan" karna chaahaiN to andaazay bayaan ko mazeed 'simplify' kar saktay hain....magar mera khayaal hai k yeh aik alag "art" hai...kaheeN aisaa nah ho k iss "chakkar" main ap "nafsay mazmoon" hi say aagay peechay" nikal jayain. lehaza ap apnay maujoodah standard ko barqarar rakhain "awaam' ko chahiyeh k woh apna 'level' mazeed up karain :)
Q:kia meray andaz se ta'ssur ghalat mehsus hota hai ? kia main bahut mushkil andaz main likhta hun jo kisi ki samajh main nahi ata? jo bhi aap behtar samajhtay hian k jo apko meri tehreer main khami mehsus hoti ho ussay khul kar bayan karain.
Ans: answered above. jab ap urdu main kissi "ilmi topic" likhtay hain to etna mushkil nahi hota. aur iss say zeyadah "asaan" ho bhi nahi saktaa
Q:is k ilava yeh sab main us "waba" k pasmanzer main bhi pooch raha hun, aur jissay yakeenan aap nay bhi parha hai. t
A: ab maiN aisi 'waba' ka aadi saa hogaya houn... ap yaqeen karain k last 15 years main net forums maiN etna kuch likh chuka houn, etni pani pat ki jangaiN lar chuka houn, etna kuch sun aur sah chuka houn k ab NCF k "tanaze'aat" par sewaa.ay hansi aanay k aur kuch nahi aataa. ghussah tak nahi :)
Q: ajarba tau apka bhi "Mr Abdullah" k sath hai. us lehaz se ap kia kahain gy? mujhay sakht chir honay lagti hai k dawa karnay walay se sawal poocha jaey tau woh aik lafz bolay beghiar ghaib ho jaey.
A: meri sochi samjhi roy hai k aisaa woh log kartay haiN jinka kuch nah kuch relatinship "monaafeqat" say zaroor hota hai. warnah aik "true believer" (khaah woh x/y/z kisis par bhi believe karta ho) mokaalmay /bahas say rahay faraar ikhteyaar nahi karta, apni ghalati sabit honay par kabhi apni ghalati ko mannay say inkaar nahi karta, debate k dauran dushnaam taraazi nahi karta, ikhtelaafay roy ko "mokhaalfat" ka darjah nahi detaa...lehaza aap aisi situation maiN yeh samajh laiN k apkay mokhatib ka talluq kis "groh" say hai. phir apko onka koi behaviour hurt nahi karega....... jaisay agar iss waqt main apko gaaliyoun say nawaaznay lagoun to apko bahoot bora lagegaa, ap hurt hongay...lekin agar koi dr. apkay kaan maiN yeh "haqeeqat" kah day k aray yeh myrizvi to aik 'psyco case' hai. to kia yeh "jaan" kar bhi apko meri baatoun par gussah aayegaa... nahi naa ... agar aayaa to phir ap k baray main wohi dr. yeh fatwa day sakta hai k ap bhi...:)
Q: mera dil chahta hai k jesay "vaccines" bimarion se bachnay k liay di jati hain usi tarhan is mamlay main bhi logon ko mutawakka "wabai imraz" se immunize kar dia jaey.
A: yeh "tareeqah elaaj" iss beemaari k liyeh "nahi" hai... "motawaqqah ikhlaaqi wabai imraaz" say bachaanay k liyeh takleef dah "Teeka" lagaana, surgery karna, yaa karwi kaseli dawayee denaa ... kuch kuch naa.monaasib hai....bilkul aisay hi jaisay...gurbah kushtan rozay awwal" maiN miyaan g nai naweli dulhan k "motawaqqah sarkashi" ko kill karnay k liyeh cat ko kill kardetay haiN. yeh behaviour "islami adal" k khilaaf hai... haaN jiss qadar marz paida hota jaa.ay, nazar aataa jaa.ay aap ossi qadar taiz nishtar chalaa saktay hain... magar "peshgi" nahi
(wallaho aalam bissawab) |