Walekum Assalam
1- Namaz e Taraweeh females per wajib hay? Ans: namaze taraaweh aur tahajjud aik hi namaaz k 2 names haiN. quran o hadees maiN kaheeN bhi word "taraaweeh" nahi aayaa hai. sirf "qayamul lail" (Raat ko qayaam karna for salaat) ka zikr hai. ghair ramadan maiN yeh "tahajjud" kahlata hai. jabkay ramadan maiN nyehi qayamul lail taraaweeh k naam say mash'hoor hai. 4 rekaat k baad thoRi dair baiTh kar zikr karnay ko "tarweeh" kahtay haiN... tarweeh ki jamaa, taraaweeh hai. taraaweeh ki regular /baa.jamaat namaaz ka silsilah dauray farooqi RA say start howaa. iss say qabl iss tarah baa.jamaat taraaweeh pooray Ramadan nahi howa karti thi. log inferadi taur par qayamul lail kia kartay thay. yeh wajib /farz nahi balkay just sunnat hai. paRh laiN to sawaab hai. nah paRhaiN to koi gonaah nahi hai. iss maiN mard aurat ki koi tafreeq nahi hai. wallaho aalam bissawab
2- Eid ki namaz females per farz hay, sunnat hay ya good deed hay? Ans: Eid ki namaaz mardouN par wajib hai. aurtouN ko agar sahoolat ho, masjid maiN iska intezaam ho to paRh sakti haiN. aurtouN par to jummah ki namaaz bhi farz nahi hai (mardouN par farz hai) to eid ki namaaz kaisay wajib hosakti hai... wallaho aalam bissawab.
3- Namaz e Jumma Females per wajib hay, sunnat hay ya good deed hay? Ans: namaazay jummah khawateen par farz nahi hai. lekin agar ghar ki taraf say sahoolat ho aur masjid maiN aurtouN ki namaaz ka ehtemaam ho to paRh sakti haiN. khanah kaabah aur masjid e Nabwi maiN khawatee bhi jumaah /eidain namaaz adaa karti haiN
4- Females ko qabarastan jana mana kia gia hay... es k peechay jo myth batai jati hay k angels female ko without dress dekhtay hain... What islam say about it? Ans: yeh baat to maiN nay pahli baar soni hai angles wali ... hadees main aurtouN ko qabristan jaanay, janaazah maiN hirkat say manaa kia gaya hai... bus yehi hukm kaafi hai, aik muslim k liyeh... is hukm ki hikmat yeh hai k amooman khawateen apnay jazbaat qaboo maiN nahi rakh sakteeN... aur ain mumkin hai k janazah /qabristan main woh rona peeTna shooroo kardaiN.
5- Female ka Namaz e taraweeh, eid ki namaz aur namaz e jumma parhnay k sawab kia hay? Ans: aurtoun ko in namaazoun maiN shirkat ki koshish karni chahiyeh bah shartekay 1) aisa karne say onkay gharelu nizaam bigaRnay ka khadshah nah ho 2) mohallay ki masjid maiN aurtouN ki namaaz ka separate intezaam maujood ho... agar yeh donouN sahooltaiN maujood haiN to khawateen ko zaroor yeh namazaiN masjid maiN ada karni chhaiyeh. iskabaRa ajar o sawaab hai.
|