Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

talaaq during pregnancy

Religion and Culture
 
 
Activist Group: Members  Joined: 04th Feb, 2012  Topic: 7  Post: 181  Age:  24  
Posted on:25th Feb 2014, 3:44pm
 

talaaq during pregnancy

  1. main ye janna chahti hu k agr koi aorat pregnant ho. us k hubby ko abhi pta na lga ho. or hubby kisi ghalat fehmi me aa kr wife ko divorce de de to kya divorce ho jati ha?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7731  Age:  55  
Posted on:27th Feb 2014, 4:25am
 

g haaN

  1. husband ko hamal ka pata ho yaa nah ho... donoun soortouN maiN during pregnancy talaaq denay say talaq hojayegi...khaah kissi ghalat fahmi ki bunyaad par hi talaaq di gayee ho
  2. iss tarah talaaq denay say aik talaaq hojayegi. lekin agar delivery say qabal husband chaahay to talaaq say rajoo karsakta hai. aur woh donoun dobarah as miyaaN biwi rah saktay hain
  3. agar dilivery tak rajoo nahi kia... to delivery k baad... agar donoun chahaiN to re-nikaah karsaktay haiN...with new mahar
  4. iddat period k ander (jo haamlah k liyeh till delivery hai) rajoo karlia jaa.ay yaa iddat k baad new nikaah kia jaa.ayy... donoun soortoun maiN husband k pass 1talaaq ka haq khatam hojayega ab oskay pass sirf 2 talaaq ka haq baqi rahega.
wallaho aalam bissawab
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7731  Age:  55  
Posted on:27th Feb 2014, 4:28am
 

reply

...MOD EDIT: Removed duplicate post...


MOD NOTE: Moderation is working now. I have removed this post for you.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 775  Age:  40  
Posted on:11th Mar 2014, 3:54pm
 

activist

aisi haalat mein talaq nahi hoti,Rasool Allah saww k zamana mein aisa hi waqoya hua tha jab ibn umar ne during pregnancy talaq di thi,jis per Rasool Allah/saww ne ussay dobara rajju kernay ka hukam diya tha.
LifeChange Group: Members  Joined: 23rd Aug, 2014  Topic: 0  Post: 33  Age:  34  
Posted on:25th Aug 2014, 8:57am
 

Discussion

aoa friends,
ma na noor clinic ki side pa full divorce ka topic study kiye ha.aur har bandee ni apni apni bat ko behain kia hoa ha.jo bat bi ha isnshan ko full malomat honiee chayee tu meri app sa request ha ka ka ma jo bat detail ma type kar rah ho is ko goar sa study karee aur per replay da.

1.aik bat tu ya ha ka kuch logoo ka khail ha ka aik roaz ma divorce agr koi da chayee wo aik sans ma aik bar da ka thousand bar da tu kia wo divorce ho jati ha ya ni.

2.kuch logoo ka khail ha ka ni aik roaz ma three times app na divorce ka words speak kar diye tu wo divorce ho jati ha.

3.ya divorce wali batoo me kia wazhat ha.agr aik inshan divorce da deata ha tu wo apni problems ko kase solve karee.

aksar log divorce gusee ma da detee ha.ya itnee ferkee q ban gayee ha jo allah ka law ha wo kia katee ha aik roaz ma q tv ma program deak rah tha mufti muhammad akmal ka un ki wazhat ya ti ka app na agar aik roaz ma divorce di ha chayee wo three words app na bol diya t ho gi.

sab batee apnii apnii jagoo pa theak ha ka allah pak gafour raheem ha wo asani chatee ha magar jis shaks na divorce di ho aik roaz ma aik hi sans pa aur wo apni galti ma maan rah ha ka galti bi hoi ha aur islamic point of veiw sa bi ka aik sans ma aik roaz aik bar ho ka thousand bar divorce ni hoti aur wo allah sa maafi bi mang la tu kia allah pak us shaks ko maaf kar da gaee.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7731  Age:  55  
Posted on:27th Aug 2014, 3:08pm
 

hamal maiN talaaq

Mufti bhai ki baat apni jagah durust hai. talaaq dene ka AFZAL TAREEQAH yeh hai k biwi ko oskay oss tohar walay zamaanay (periods between two menses cycles) maiN talaaq di jaa.ay jiss maiN biwi say sex nah kia gayaa ho ... lekin agar zamanah tohar maiN sex karnay k bawajood talaaq dedi jaa.ay, yaa during menses cycle talaaq dedi jaa.ay yaa during pregnancy talaaq dedi jaa.ay ... tab bhi talaaq valid hojaati hai ... ahlay sunnat wal jamaat / ajmaa.ay ummat k motaabiq ... albattah shia maslak maiN shayad valid nahi hoti (mujhay confirm nahi hai)

chouNkay aik talaaq k baad rajoo kia jasakta hai issi liyeh ibne umar RA ko rajoo karnay ko kahaa gaya thaa... agar talaaq hi nah howi hoti to rajoo ka kia sawaal.. phir to Nabi kareem saw kahtay k talaaq hi nahi howi... Nabi kareem saw nay kissi maslehat ki binaa par RAJOO karne ko kahaa thaa... aur RAJOO talaaq k baad hi hota hai ... phir quran bhi saaf saaf kahta hai k pregnancy maiN talaaq valid hoti hai.

سُوۡرَةُ البَقَرَة
وَٱلۡمُطَلَّقَـٰتُ يَتَرَبَّصۡنَ بِأَنفُسِهِنَّ ثَلَـٰثَةَ قُرُوٓءٍ۬‌ۚ وَلَا يَحِلُّ لَهُنَّ أَن يَكۡتُمۡنَ مَا خَلَقَ ٱللَّهُ فِىٓ  (٢٢٨)
سورة البَقَرَة
اور طلاق دی ہوئی عورتیں تین حیض تک اپنے آپ کو روکے رکھیں اور ان کے لیے جائز نہیں کہ چھپائیں جو الله نے ان کے پیٹوں میں پیدا کیاہے
yahaaN saaf saaf kaha jaraha hai k talaaq yaaftah aurtouN ko apna HAMAL chopana nahi chaahiyeh. soorat talaaq-4 maiN haamlah aurtouN ki iddat wazah hamal batlayee gayee hai. 
wallaho aalam bissawab



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7731  Age:  55  
Posted on:27th Aug 2014, 3:15pm
 

LifeChange

bro baat yeh hai k nikaah, talaaq jaisay issues par ahlay sunnat wal jamaat aur shia masaalak maiN faraq hai. iss liyeh apka jis maslak say talluq o, ossi par amal kijyeh... aur agar HAQ janna chaahtay haiN (masaalak say balaa tar hokar) to direct Quran aur sahih ahaadees ko study kijyeh jo nikaah talaaq say motalliq haiN. maslaki /fiqahi ikhtelafaat bahoot poraanay haiN... inhaiN iss forum maiN remove nahi kia jasaktaa... sab apnay apnay maslak par amal karaiN.
LifeChange Group: Members  Joined: 23rd Aug, 2014  Topic: 0  Post: 33  Age:  34  
Posted on:28th Aug 2014, 4:27am
 

Discussion1

myrizvi,
sir app ki batee apni jaga pa theak ha magar divorce ma itni wazatee kis waja sa ha detail ma batee.
LifeChange Group: Members  Joined: 23rd Aug, 2014  Topic: 0  Post: 33  Age:  34  
Posted on:28th Aug 2014, 4:46am
 

Discussion1

...MOD EDIT: Removed duplicate post...



LifeChange Group: Members  Joined: 23rd Aug, 2014  Topic: 0  Post: 33  Age:  34  
Posted on:28th Aug 2014, 4:50am
 

Discussion2

har bandee na divorce ka mamlee ma har bandee ko confuse kia hoa ha theak ha allah pak asani chatee ha magar islam ka bi rules requlations ha beshak allah pak gafoor raheem ha wo maaf karnee walee ha app na jo batee type ki ha wo apni jaga pa theak ha magar ma abi bi bhwat sa batoo pa confuse ho forum ki side ma har bandee na bawt kuch discuss kia hoa ha divorce k mutalak but u please tell ma important point in islamic rules of law.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7731  Age:  55  
Posted on:28th Aug 2014, 8:19am
 

LifeChange

agar apka talluq kissi firqay say nahi hai aur aap sirf aur sirf Allah aur Allah k Rasool saw k farmaan ko hi durust shariyat samajhtay haiN to ...

1. Quran maiN talaaq k tamaam ahkaamaat ko yakja karkay paRh lijyeh
2. shahih ahaadees yaa kam az kam saheehaiN (sahih bukhari+sahi muslim) maiN maujood talaaq se motalliq ahaadees ko yakjaa karky paRh lijyeh

as a muslim yeh ham sab ka fareezah hai k quran o hadees ko paRhaiN, samjhaiN aur oss par amal karaiN... jahaaN koi baat samajh maiN nah aa.ay, to kissi bhi jannay walauy ahlay ilm say rajoo kijyeh

baqi bahas baraa.ay bahas ka koi faidah nahi hai
wassalam
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How To Get Visa For Japan  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us