LOVE 1. islam maiN naa.mahram males aur females k darmayan koi LOVE ka tasawwer nahi paya jata, jo normally romance ki taraf le jata hai.
2. english maiN LOVE zeyadah tar issi mahdood male-female romance related relationship (among different relations or non-related person) bola aur samjha jata hai.
3. islamic pasay manzer maiN "Allah k liyeh mohabbat" karna aik maksoos meaning maiN use hota hai jiska oposite gender k beech natural attraction /romance say koi talluq nahi hai
in saaray nahiiiiiiiiiiii k baad:
4. being a human being, ham amooman "apnay apnay zaati mafaadaat aur zaroorat" k liyeh doosray say mohabbat /shafqat ka bartaa'o kartay haiN, onkay kaam aatay haiN, onki help kartay haiN etc etc... lekin Allah k liyeh mohabbat ka matlab yeh hai k ham zaati aghraaz o mafaadaat say balaa tar hokar bhi zaroorat mandouN k kaam aayaiN, onsay mohabbat bhara salook karaiN, sirf iss liyeh k Allah nay tamaam insaaniyat balkay apni tamaam makhlooq k saath bhalayee ka hukm dia hai... lehaza jab aur jahaaN hamara saamna aisi situations say ho k logouN ko hamari mohabbat o shafqat /help ki zaroorat ho to ham "aisaa karnay maiN hamara kia faida hoga"....... hamara iss say kia lena dena" etc etc jaisay khayaalaat say boland hokar mahaaz Allah k farmaan ko poora karnay k liyeh aisay logouN say husnay salook karaiN........ females ko amooman female-world maiN hi aisa karna chaahiyeh.
wallaho aalam bissawab |