shazia_anw |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 1 Post: 19 Age:
32
|
|
Posted on:14th Jul 2010, 6:53am |
|
|
Khatna ceremony in pakistan Mera beta ki umar 2 saal hai aur hum log US mei rehta hai...
kya zaroori hai ke khatne same paki jaise karaye ya phir yeha doctor se karaye...
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:14th Jul 2010, 6:57am |
|
|
Dr say karaa laiN ab to pak k baRay baray cities main bhi Dr hi say khatnah karaya jata hai...albattah jahaaN gaouN dehaat maiN dr dastyaab nahi wahaaN log majbooran yaa rewaytan naayee say bhi khatnah karaa letay haiN. |
shazia_anw |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 1 Post: 19 Age:
32
|
|
Posted on:14th Jul 2010, 7:04am |
|
|
pak mein lekin meri mummy dad kehta hai ke pak vacation pe awo aur yeha
locally karayen ge ghar par pata nahi kya bol raha the |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:14th Jul 2010, 7:29am |
|
|
as u wish indo pak maiN log issay aik "event" k taur par bhi manaatay haiN... baqaidah taqreeb kartay haiN...azeez o aqaarab ko invite kartay haiN.... culturally aisaa karnay main bhi koi harj nahi... khatnah bay shak ghar pay karayaiN... but kissi mustanad Doctor say... kissi mustanad nayee (barber) say nahi :) |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:14th Jul 2010, 9:38pm |
|
|
rE:
i agreed with my rizvi (uncle)
|
Mr.Mk |
Group: Members Joined: 28th Jun, 2010 Topic: 3 Post: 128 Age:
33
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 3:03am |
|
|
Yes Consukt to Doctor even in Pak Assalam O Alaikum,
Yes Consult to Doctor even in Pak or US. Don't go to any other...... |
shazia_anw |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 1 Post: 19 Age:
32
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 5:54am |
|
|
kyu barber Assalam
kyu apne barber se nahi karwane ko kahra hai...
mera husban ki bhi barber se hi hui hai aur mai unse zyada nahi poochti hu
is ke baara mai |
Mr.Mk |
Group: Members Joined: 28th Jun, 2010 Topic: 3 Post: 128 Age:
33
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 6:57am |
|
|
Waalaikum Assalam Go ahead....... Iss mai bhee koi massala nahi hai bohat sey log sea bhee kerwatey hain.
Liakin uss barber ki eye side zaroor check kerwalena. 6x6 honi chahiain.......hahaha |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 1:10pm |
|
|
Khatna: Procedure Ceremony In Pakistan And Islam
aaj se qabal khatna professional nayee hi kertay thay. pehlay ke logo se interview kare tu pata chale ga keh on ki aksariat ka khatna nayee ne kia hai.
baaz nayee bahut mashhoor hotay hai. mujhe yaad hai keh bachpan mai mai jis city mai rehta tha waha aik nayee baht mashoor tha, city ki aksariat ki khahish hoti thi keh osi se hi khatna karaya jaaye.
aik dafa yeh nayee city chor ker kisi aur city ya mulk chala gaya. 2 years ke baad aaya aur elan kia keh aik mahina ke liye aaya hai os ke baad chala jaaye ga. lehaza pooray shahar mai aik hangama ho gaya aur sab ki koshish thi keh woh one month ke andar andar os nayee se apne boys ka khatna kara le.
lehaza sirf aik maheena mai os city mai jetna khatna hua os ki misal pehle kabhi nahi milti. aisa lagta tha keh har mohalla aur har gali ke boys ka khatna hua hai. chotay boys mai os nayee ki aisi dehshat baithi keh os ke jaane ke baad bhi log on nayee ka name le ker chotay bachcho ko daraya kertay thay.
......................
aaj kal khatna doctor se karanay ka rewaj ho gaya hai. aksar doctor ke haath mai woh safayee nahi hoti jo keh aik professional nayee mai hoti hai. lekin doctor hazraat sterlization ke saaray asoolo se waqif hotay hai. isi tarah khuda na khasta koi complication ho jaaye ya koi artry musalsal bleed kare tu ose bhi aik doctor hi sanbhal sakta hai koi nayee nahi.
kuch bachcho mai bleeding disorder (like hemophilia) bhi hota hai. lehaza bleeding disorder wale bachcho ke khatna mai special precaution lia jaata hai. bleeding disorder walay bachcho ko nayee na tu diagnose ker saktay hai aur na hi kisi complication ki soorat mai manage ker saktay hai.
lehaza mashwara hai keh khatna pakistan mai karai ya USA mai ab kisi na kisi doctor se karaye. ziadah ideal yeh hai keh aap kisi surgeon se karai.
Also read previous post on this topic:
|
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 184 Post: 6350 Age:
35
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 1:13pm |
|
|
bewakoof bewakoof bai hahahahah abi ap humayin bhe os nai say na durayin, keya style hay jinaab apka wonderful... zuburdust agreed with bewakoof bro
|
shazia_anw |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 1 Post: 19 Age:
32
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 2:58pm |
|
|
is mein ceremony kidar hai
Muje yaad hai jab bachpan mai suna karte the muslaima banare hai... lekin dekha toh nahi kya karte hai mai jana chahati hu ke kaise karte hai khatna
maine suna hai ke bohot dard hota hai
aur kuch barber log fold karte hai skin ko aur kuch nahi
aisa suna hai maine...
|
shazia_anw |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 1 Post: 19 Age:
32
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 3:11pm |
|
|
kya karte hai mai jana chahati hu ke kaise karte hai khatna
maine suna hai ke bohot dard hota hai
aur kuch barber log fold karte hai skin ko aur kuch nahi
aisa suna hai maine... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 3:11pm |
|
|
Khatna ceremony in pakistan mujhe thora thora yaad hai keh os din hamaray ghar per kafi log mojood thay aur deg mai khana tayyar ho raha tha. jis tarah shaadi wale din dulha vip hota hai osi tarah khatna walay din bhi boy vip hota hai.
hamaray mohalla mai aksar gharo mai jab boys ka khtna hota tha tu bara ehtamam hota tha, shmiana lagaya jaata, loudspeaker per gaanay ki recording lagayee jaati thi jise poora mohalla sunta tha.
|
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 184 Post: 6350 Age:
35
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 3:23pm |
|
|
khutnaa
Mujy bhee yaad hay zuraa zuraa tomin yaad ho kay na yaad ho , baby ko news dress panaya jata taa , pora function dhoom dhaam say hota taa,jub khutnaa keya jata thaa tu nai ek choki Sahen meah bichaata tah or Methaai b banti jati thi or nai kay pas ek osturaa hota taa osy wo Khutnaa kurtaa taah or baby boy ro rhaa hota taa sari family jumaa hoti hay, Sudqaa deya jata esky sath sath
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 10:13pm |
|
|
news dress "baby ko news dress panaya jata taa"
ye news dress kesa hota h?kia is dress pe news likhi hoti h?
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 10:19pm |
|
|
Khatna ceremony in pakistan pehle aksar sunte th.par ab shayad nahi hoti.pehle dhom dham se hoti thi,
is bare me islam kia kehta hai k kia dhom dham se ho?
aur jahan tak dard ki bat hai to baby ko waqi dard hota h aur wo kafi dair tak rota rehta h.shayad aik rat.is lie behter hota hai k jab baby bilkul chota kuch hi months ka ho to kra lein...is ka aik faida ye hai k aik to wo beth'ta,chalta nahi h jis se ose pain ziyada feel ho.
KSA me to pedaish k 7th day hi me kra lete hain.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:15th Jul 2010, 10:19pm |
|
|
news mean press release oss dress pay 'zobanay haal' say aik press release likhi hoti thee... aj iss baby ka khatnah hai....jissay sab log bari bari parha kartay aur hasbay taufeeq ossay "eidi" dia kartay thay lol |
shazia_anw |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 1 Post: 19 Age:
32
|
|
Posted on:16th Jul 2010, 6:28am |
|
|
ji haa mere papa bhi is he tarah karana cahata hai pak mai...
aur hum log plan karenge ke next month jaye.....
|
chandgari |
Group: Members Joined: 25th Feb, 2009 Topic: 0 Post: 10 Age:
28
|
|
Posted on:9th Aug 2010, 2:19am |
|
|
welcome to pakistan ye aik acha mouka hota hay gathering ka.. sb loug enjoy kartay hain aur ye aik celebration ke tarah hay.. acha lagta hay k sb loug ikathay ho jatay hain. i know a family, un k baitay ka khatnah 20 years ke age main hua tha aur ghar pe karwaya tha aur celebrate bhe kia tha
|
Logical |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2010 Topic: 4 Post: 371 Age:
39
|
|
Posted on:11th Aug 2010, 9:19am |
|
|
Khatna celebration
re: "ye aik acha mouka hota hay gathering ka.. sb loug enjoy kartay hain aur ye aik celebration ke tarah hay.. acha lagta hay k sb loug ikathay ho jatay hain."
lekin yeh celebration zindagi mai sirf aik baar hota hai, salgira ya anniversery ki tarah har saal nahi hota.
|
|