Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum


  Male Sexual Health
Benefits of Exercise on Male Sexual Health
Male Fertility
Increasing Male Fertility
Male Semen Production
Increase Sperm Count, Mobility, and Motility
Sperm Count
Increase Sperm Count Naturally
 
     
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
Best Articles
    Start New Topic  My Profile
 

Keya Divorce (Tullaaq) ho Ghayii?

Social Problem
Saas Aur Bahoo
Mother-in-law/Daughter-in-law Friction
Daughters-in-Laws Mistakes
The 10 Most Common Mistakes That Daughters-in-Laws Make
Your Mother-In-Law
Relationship Advice: Housing Your Mother-in-law
Mother and Mother in Law
Mother Should not Turn a Mother in Law
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 34  Post: 1914  Age: 34 
Posted on:24th Feb 2011, 11:42pm
 

hadees ka aur ravi ka "sikka" hona

hadees k bary main aik baat zehan main rakhni az had zarrori hay k hadees kalam-e-alahi be zuban-e-rasool (s.a.a.w) hay aur aysa possible hi nahi k aqal kul k maliq koi ghair aqli baat keh dain , sab sy pehly anhazrat (s.a.a.w) ka asal muqaam dark kiya jaye phir unn sy mansoob karda alfaaz ko daikha jaye k aya yeh aap (s.a.a.w) ki shakhisiyat k aozaan par poora b utarty hain k nahi ..kaheen aysa to nahi k apni tassalli k liye kuch baton ko aap (s.a.a.w) sy mansoob kar k hadees k toor par kutab main shamil kar liya geya hay ..!!!

iss k baad hadees ko parkhany k liye dosra amal start hota hay jissy ahal-e-ilam ilam-e-rajjal k name sy janty hain

hadees k valid hony k liye uss ko ilam-e-rajjal k miyaar par parkha jata hay, ravi k sikka hony ka maloom kiya jata hay ..ravi k anhazrat (s.a.a.w) k door main majoodagi sabit ki jati hay , iss k baad ravi k anhazrat (s.a.a.w) sy taluqaat k bary parkha jata hay , iss k baad uss ravi ki zindagi ka mushahida kiya jata hay k aya wo anhazrat (s.a.a.w) ki suhbat main direct baitha karta tha ya uss ravi ny kisi aur sy hadees suni hay ..iss k baad aham tareen cheez jo ilam-e-rajjal main kisi hadees k sikka hony k liye daikhi jati hay wo hota hay ravi ka hasab nasab

baad azaan kaheen ja kar ahal-e-ilam k nazdeek hadees k sikka hony ki tasdeeq hoti hay ..agar aik hadees sikka ho to uss ka mazaq urrana yaqeenan gunah k zumary main ata hay laiken agar ravi ki shakhsiyat hi motbar na ho to phir uss k zariye biyan karda alfaaz ko hadees nahi kaha jasakta lehaza iss trah koi toheen b nahi hoti aur mazaq b nahi hota ..balky mazaaaq to wo hoga k jo log aysa alfaaz ko hadees main sy sabit karain jo hadees k miyaar par poora hi nahi utarty..

number 2 agar above biyaan karda hadees ko valid tasawar kar b liya jaye to phir aqli mantaqi miyaar ko b daikhna hoga ..farz karain k mazaaq ki haqeeqt hay aur mazaaq main nikah ho jata hay , mazaaq main talaq ho jati hay to kia mazaaq main rujoo b ho jaye ga ? kia rajoo k liye koi miyaar nahi hoga..? agar rajoo k liye miyaar hoga to phir tallaq k liye b miyaar hona chahiye , phir nikah k liye m miyaar hona zarori hay

aysa nahi k deen k aham tareen kaam mazaaq main hi kiye jaty rahain ..agar mazaaq main hi sab kaam kiye jaien to kia yeh kehna theek nahi hoga hoga k deen aik mazaaq bana diya geya hay (nu'aouzo billah min kazalak) ...waddy praa g deen ko mazaaaq nahi hay aik haqeeqat hay iss ki ahkamaat ko mazaaq mazaq main interpret nahi kiya jasakta aur na hi islam ka koi hukam mazaaq main valid hota hay balky iss k liye insan ka aqal baligh aur hosh-o-huwaas main hona az had zarori hay

islam main majnoon , dewaana , paqal aur mahboot-ulhawaas shakhas ko isi liye islami ahkamaat main exemption dy rakhi hay q k wo qudarti toor par hazar dimagh aur normal halat main nahi hoty ...aur deen islam basha'oor afraad k liye deen hay , jo pagale ho yani apny hosh-o-hawaas main na ho deen k ahkamaat uss k liye mu'aaf hain ..issi trah sharab peeny k baad b insan apny hosh main nahi hota iss liye uss waqat kahi gayee koi b baat haqeeqt nahi hogi issi liye to islam ny sharab noshi ko haram qarar diya hay aur issy peeny k liye mana farmaya hay .
Mufti Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 0  Post: 24  Age: 30 
Posted on:25th Feb 2011, 3:02am
 

Foz

Sister mein aap se sirf itna kehna chahta hoon k aap ki talaq nahi hui kiun k pehli baat to yeh hai k woh shaks hosh mein nahi tha aur aisi haalat mein koi amal sahi nahi mana jata...

Dosri baat agar hum maan bhi lein to tab bhi aap ko 1 hi talaq hui hai na k 3...

Lakin mujhay hairat unn users per ho rahi hai jo iss ko talaq keh rahay hain...

Janab yeh koi mazzaq nahi hai balkeh kisi ki life hai jisay ap kam-ilmi mein tabah ker rahay hain...

Agar ap ko ilm nahi hai to mat do ghalat fatwa...

Aur hairat hai k aap Quran se rajuh kernay k bajaye abu huraira se rajuh ker rahay ho...

http://qurango.com/images/t5/436.jpg

Yeh Quran hai issay perhnay ki zehmat karo pls aur dekho k aakhir Allah keh kiya raha hai...

2 adil shaks gawah hon talaq k aur her talaq ki adat bhi samnay hai werna agar 3 talaqein aik sath jaiz hotein to iddat mein rajju kernay ki ijazat na hoti,iss se sabit hai k 3 talaqein aik sath Quran se ghalat sabit hain aur her talaq k baad aik iddat hai jis mein rajju ker saktay hain...

To kiya iss sister ko jab 3 baar talaq di kiya 2 adil gawah thay ??

Agar nahi thay to phir talaq kaisay ho gaye ??

Sister Foz aap ki talaq nahi hui,iss liye aap apnay shohar se rajju karein aur halal amal ko haram na banaein...


Cool-Boy Group: Members  Joined: 23rd Sep, 2008  Topic: 11  Post: 75  Age: 21 
Posted on:25th Feb 2011, 4:21am
 

Mufti

Mufi sahab main ap se bilkul mutafiq hoon....muje itni ilam to nahi lakin Dr Zakir Naik ka maine ek programe deka tha us ne yeh wazaya kiya jo apne ke Ek sat 3 Talaq nahi ho sakti sab 1 talaq ke baad 3 mahine ki iddat hoti hai...
Mufti Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 0  Post: 24  Age: 30 
Posted on:25th Feb 2011, 4:33am
 

myrizvi

meray khayaal say to hojati hai......jaisay agar ham biwi k saamnay ossay "chor ... chor ... chor" kahaiN to iska matlab woh yehi legi k husband mujhay chor kah raha hai...halaaNkay husband nay poora jumlah nahi kahaa k " rum chor ho" ........above case maiN bhi biwi nay yehi "samjha" k husband ossay talaaq kah /day raha hai, jabhi to woh pareeshan howi aur osnay yeh maslah yahaaN oThayaa........... agar husband ki "body language" talaaq denay wali" nah hoti to biwi pareeshaan nahi hoti............khaah jumlah mokammal hi kiyouN nah bola jaa.ay


Meray bhai aap ne Islam ko mazzaq samjha hai ??

Aap ne choar ki misaal di ab farz karein husband nasha mein,mazzaq mein ya serious choar choar keh deta hai to kiya 3 dafa keh denay se woh choar sabit ho gaye ??

Aur kiya shariat uss k hath kaat de gi ??

Aisi misaalein hi mat do meray bhai jin ka na ser ho na paer...

Aur aap ne jo hadith quote ki meray bhai pehli baat to yeh hai k hadith Quran se match nahi ker rahi...

Allah ne talaq k masla ko itna serious liya k aik poori surah nazil ker di aur uss mein itni sakhti rakhi k koi issay mis-use na ker sakay aur aap hain hain k aik aisi hadith quote ker rahay hain k jis mein mazzaq mein bhi talaq ho jati hai...

Kuch Khuda ka khof khao..kahan se li aap ne ilm ki degree ??

Agar ilm na ho to pls aisay sensitive masla per behas hi mat karein...

Aap ki aik kam-ilmi kisi behan ki zindagi tabah ker sakti hai...

Aur yeh kiya baat hui k aap larka aur larki se poochein k aap kis firqah se hain ??

Kiya her firqah ka alag Quran hai ??

Jab Allah ne itna wazeh bata diya hai talaq ka to kiya abhi bhi firqah pochnay ki tuk bunti hai...jis firqah se bhi ho magar talaq denay k asool to Quran mein wazeh hain,kiya unn ka koi inkar ker sakta hai ??



Mufti Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 0  Post: 24  Age: 30 
Posted on:25th Feb 2011, 4:38am
 

cool-boy

Shukriya meray bhai...

Bhai baat ilm rakhnay ki nahi hai...

Aap MashAllah se musalman bhi hain,Quran per yaqeen bhi rakhtay hain aur urdu perh likh bhi saktay hain..

Quran ki wazeh ayat hai bhai jis mein saaf likha hai k 2 gawah banao talaq k liye aur iddat k doraan agar aap rajuh kerna chahtay ho to ker saktay...

Ab yeh iddat aakhri talaq k baray mein to nahi ho sakti..

To phir kis iddat ki baat ho rahi hai jis mein rajju bhi kiya ja sakta hai,zahir hai pehli 2 talaqon k dermayan bhi iddat hai Quran k mutabiq...

Aur meray bhai meray khayal se aap ziada ilm rakhtay ho kiun k aap ne aisay sensitive masla per bina ilm k koi fatwa nahi thonp diya...


sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 89  Post: 4303  Age: 35 
Posted on:25th Feb 2011, 5:14am
 

i agreed

to Mufti & Diplomate..yahan is Forum pe Mazahabi issues pe kisi ne to aqalmandi wali bat ki.. warna yahan kuch log samajhte hain ke unki kahi bat hi Pathar pe lakeer hai ..
mai yahan aise topics me kabhi is lye replay nahi karti ,kyoonke kuch jazbati Mufti´s apna Zehar nikalne lagte hain..

afsos hota hia ye sab parh ke kaise yahan kuch members apni ghalat knowlage faraham kar rahe hain...

agar ek min ke lye bhi man liya jaye ke mazaak ya nashe me di gayi Talaq walid ho gayi hai ,to kya rujuh ka koi amal nahi hai ??? ya phir rajooh pe kuch muftis sahab yaqeen nahi rakhte honge ..??
@Foz agar ye man liya jaye ke apke husband ne jo apko talaq di hai,wo valid ho gayi to kya w rajooh nahi kar sakte ? uski bhi ek iddat hoti hai ..plzz ap yahan kuch members se jawab parh kar Mutasir ho kar apni life ka tabah na karain..apne Fiqeh ke aalim se mashwara lain. Talaq aur Nikah koi mazaaq nahi hai .

Talaq 3 bar di jati hai ,kuch fiqah me ek bar me teen bar talaq kehne se talaq wakeh ho jati hai.aur kuch fiqeh ye mante hain ke ek waqt me teen bar talaq keh dene se bhi ek hi talaq hoti hai,aur agar waqai talaq dena chahta hai to use 3 mahine ke wakfe se talaq deni hogi ...in teen mahinon ke dauran rajooh kisi waqt bhi kiya ja sakta hai.

yahan har fiqah se log ate hain,islye koshish karni chahye ke aise mamlon me apne mashware dete hue ikhteyat barti jaye..
Mufti Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 0  Post: 24  Age: 30 
Posted on:25th Feb 2011, 5:27am
 

sunehri76

Meray bhai waqai mujhay bhi yeh dekh ker afsos hua k kis terha fatwa diye ja rahay hain...

Aur aap ne kaha k apnay firqah k molvi sahab se poochein...

Meray bhai jab Quran clear keh raha hai k 2 adil gawah honay chahien werna talaq nahi hai aur her talaq mein iddat honi chahiye phir kisi molvi se kiya pochna...

Yehi to masla hai k hum loagon ne islami ilm ki teraf tawajoh nahi di aur mulvion ne monoply bana dali...

Aur mujhay pata hai k agar yeh wapas rajuh kerna chahein gi to molvi sahab halala ki option de dein ge...

Jab nasha mein talaq nahi hoti aur aik sath 3 talaqein denay se bhi 1 hi talaq mani jati hai to kaisay talaq ho sakti hai...

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 167  Post: 5406  Age: 33 
Posted on:25th Feb 2011, 5:32am
 

re

Divorce kay leyeh witness ka hona zuroori nahi lakin yeh achi bat hay koi witness ho, jaha tuk ess post ki bat hay meah yeh he sumajta hon yeh divorce jessy eno nay btayaa nahi hoi, or essy 3 divorce bhe nahi mana jaa sukta onki ess divorce ko ek divorce Quraar day kur onko baqi 2 divorce ka huq dana chayeh or onki wedding life ko protection dee jay,

Mofti

Quran ki woh kon see ayat hay jis meah divorce kay leyeh Witness kay lazmi hony ko bola ghiyaa hay? divorce kay leyeh witness ki shart lazmi nahi lakin agur witness kay samny dee jay tu ziyada achi bat hay, divorce kay oper myrizvi ka mofussul article mojood hay essi tura mera bhe ek article divorce pur mojood hay,





Mufti Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 0  Post: 24  Age: 30 
Posted on:25th Feb 2011, 5:41am
 

dr-qasim

Bhai mein ne already aik link diya hai aap ko jis mein ayah,translation aur tafseer mojood hai...

Aap surah Talaq perho aap ko kafi samajh aaye ga...

Aur dr sahab mein kaisay maan loon k myrizvi sahab ne talaq per koi sahi baat ki ho gi,sorry to say unn ka knowledge mein ne unn ki 2/3 posts per dekh liya hai ab woh kaisay talaq per article likh saktay hain ??

Jab nasha,ghussa aur mazzaq mein talaaq nahi hoti meray bhai...

Talaq mein iddat rakhi hi iss liye hai k agar koi shaks ghussa mein talaq keh bhi deta hai to uss ko itna time milay sochnay k woh wapas rajju ker sakay...

Aur dosri baat bhai issi tafseer mein hi bayyan hai k nikah,talaq aur rijjat mein 2 gawah lazmi hain...


sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 89  Post: 4303  Age: 35 
Posted on:25th Feb 2011, 5:41am
 

Mufti

maine islye kaha ke yahan pe bohat se fiqah is bat pe yaqeen rakhte hain ke ek bat teen talaqain dene se talaq ho jati hai..aur mai aise logon se behas nahi karna chahti ..islye zahir hai har koi apne fiqah ke mutabik apne maulwiyon ke fatwe pe yaqeen karega...

Halanke hona ye chahye tha ke sab sirf aur sirf Quran ki bat pe yaqeen rakh kar uski tafseel parh kar us se jawaab de..lekin yahan log apne Fiqah ke mutabik fatwe dete rehte hain ..

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 167  Post: 5406  Age: 33 
Posted on:25th Feb 2011, 5:46am
 

re

Aur dosri baat bhai issi tafseer mein hi bayyan hai k nikah,talaq aur rijjat mein 2 gawah lazmi hain..

keya ap yeh btaana pussund kurin gay kay ap kiss fiqah say belong kurty hen, witness ka lazmi hona Quran or Hudees meah kiss muqaam pur likhaa hay zura huwaala dain, or dosri bat witness ka lazmi hona mery khiyal say Fiqah jafri meah lazmi hay fiqah ahel-a-sonnut meah nahi,

Meah yeh urzz kur raha hon, kay yeh chez best hay kay Divorce guwaahoo ki mojoodghi meah dee jay taa kay bahd meah koi apni bat say mokur na jay, amoomun essa hota hay, 

yaa pher Islami nuzuryaati council Pakistan kay Law meah yeh amendment kury kay koi bhe divorce witness kay binaa nahi ho sukti tu pher hum keh sukty hen, wesy witness kay samny divorce achi bat hay essy log apni bat say mokur nahi sukty,  





sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 89  Post: 4303  Age: 35 
Posted on:25th Feb 2011, 5:47am
 

Quran says

65:3] Then, when they are about to reach their prescribed term, keep them with kindness, or put them away with kindness, and call to witness two just persons from among you; and bear true witness for Allah. This is by which is admonished he who believes in Allah and the Last Day. And he who fears Allah — He will make for him a way out,


[65:5] And if you are in doubt as to such of your women as despair of monthly courses, then know that the prescribed period for them is three months, and the same is for such as have not had their monthly courses yet. And as for those who are with child, their period shall be until they are delivered of their burden. And whoso fears Allah, He will provide facilities for him in his affair.

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 89  Post: 4303  Age: 35 
Posted on:25th Feb 2011, 5:50am
 

well said Mufti

Bilkul 3 month ki addat issi lye rakhi gayi hai .ke agar talaq dene ka faisla tabdeel karle ya ghusse me de de, to use in teen mahinon me rajooh karne ka Haq hai .
Mufti Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 0  Post: 24  Age: 30 
Posted on:25th Feb 2011, 5:53am
 

dr-qasim

Bhai mein to ahl tahseeh hoon lakin jo mein ne ref. diya hai woh tafseer ibn kathir se hai jisay ahl sunnah hi mantay hain...

Ahl tasheeh ka to yeh masla hi nahi hota k aap mazzaq mein keh do to talaq,nasha mein keh do to talaq ya 3 baar aik sath keh do to talaq...

Mein jo iss topic per baat ker raha hoon woh mein totally ahl sunnah k aqeeda se baat ker raha hoon bhai aur ref. k liye mein ne authentic tafseer se quote kiya hai jisay ahl sunnah ka her firqah tasleem kerta hai...

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 167  Post: 5406  Age: 33 
Posted on:25th Feb 2011, 5:54am
 

re

  • Yaha pur koi bhe bunda Futwaah nahi data
  • Sorat Tulaaq meah nay ek bar nahi bar bar puri hay
  • Sub say Mostanad Huwala Quran or Hudess ka hay
  • Jo bhe Quran or Hudess ki taleemat kay motabiq juwab data hay woh theek rasty pur hay


Mufti Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 0  Post: 24  Age: 30 
Posted on:25th Feb 2011, 6:01am
 

dr-qasim

Bhai aap pls yeh mat samjhiye k kiun k mein shia hoon iss liye aap k aqeeda ka mazzaq urra raha hoon lakin yeh aik debate hai yahan per sab ko haq hai k woh apnay khayalaat bayyan karay...

Mujhay nahi pata aap kon se dr hain lakin her fiqah mein ilm ul rijjal hai aur her fiqah uss per yaqeen rakhta hai...

Her hadithko youn maan lena k iss ka raavi hamaray aqeeda mein boht mutabbar hai aur ferman bhi Nabi Paak saww ka hai iss liye yeh baat theek ho gi...

bohat se hadithein ilm ul rijjal se zaeef sabit ho jati hain agar unn ki sanad dekhi jaye...

aap pehlay unn hadithon ki sanad dekhein...

Aur meray bhai Quran k muqabla mein to hadith kabhi bhi nahi laye ja sakti...

Aap ne bhi shayed yeh hadith perhi ho gi aur hamari fiqah mein bhi hai k Rasool Allah saww ne fermaya k halal cheezon mein sab se na-pasand cheez Allah ko talaq lagti hai...

To kiya uss ko itna asaan ker diya jaye ga nasha,ghussa mein zindagi ka itna bara faisala ker diya jaye ??

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 167  Post: 5406  Age: 33 
Posted on:25th Feb 2011, 6:10am
 

re

ess kay leyeh Tumaam Fiqah kay olamaa ka Ejtahaad hona chayeh or pher osy Law ki sorat pass keya jay tub essy problem pur qabo paya ja sukta hay , nahi tu humary indo pak mohashury meah Hulala jessy ghyr islami chezz bhe mjojood hay, jiska sahaara lay kur log again rojooh kurty hen, Islam meah divorce dany ka ek process hay or Doniya ka behtreen system hay , divorce pur Allah nay inthaai tufseel say Quran meah hudayaat dee hen,
Mufti Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 0  Post: 24  Age: 30 
Posted on:25th Feb 2011, 6:37am
 

dr-qasim

Bhai aap ne mujhay kaha k mein myrizvi sahab ka mufassal article perhon lakin uss ko dekhnay k baad mujhay aap k aqeeda aur myrizvi sahab k aqeeda mein bohat farq nazar aaya...

Aap ne fermaya halala aik ghair-islami amal hai...

Jab k unhon ne fermaya k agar 3 talaqon k baad mard aurat se rishta kerna chahye to uss aurat ko halala kerna paray ga...

Ab aap mein se kon sahi hain pls yeh aap bataein...

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 167  Post: 5406  Age: 33 
Posted on:25th Feb 2011, 6:48am
 

Hualala

 Divorce kay Bhad kisi orat ka temporary Nikah jissy indo pak meah Hulala kaha jata hay inthaai bay -huyaai ka kam hay, haa ek tulaaq yaafta orat kisi dosry say shadi kurti hay or woh osy divorce day data hay tu tub woh shadi kur sukty hen lakin pre planing kur kay kay tom nikah kuro or ek ek rat bhad dukhool kay bhad divorce day du tu yeh inthai bay huyai wali bat hay, Islam kay sath ek muzaaq hay, pre plan aarzi shadi islami taleemaat kay khilaaf hay,  



Mufti Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 0  Post: 24  Age: 30 
Posted on:25th Feb 2011, 6:56am
 

dr-qasim

Bhai aap meri baat shayed samjhay nahi...

Mein ne arz ki k aap ne kaha k aap talaq k baray mein myrizvi sahab ka mufassal article perho...

Jab mein ne perha to uss mein yeh bhi likha hai k agar phir aurat ussi shaks se shaadi kerna chahti hai to ussay halala kerna paray ga...

Jab k ap halala ko ghair-islami qarar de rahay hain...


1 2 3  >>
Sexy High Heels
Sexy High Heels – the Emblem of Feminity
Womens Perfect Bra
How to Find a Perfect Bra
Proper Bra Sizing
Proper Bra Sizing: What Every Woman Should Know
Bra for Wife
How to Buy a Bra for Your Girlfriend or Wife
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us