|
foz |
Group: Members
Joined: 27th Oct, 2007
Topic: 8
Post: 55
Age: 36
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 6:56am |
|
|
Keya Divorce (Tullaaq) ho Ghayii?
salam every body.mujy doctor saab sy advice chahi last week mary husband nay bohet zeada sharab pi hoi thie or mary sath beath kr hensi mazak kr rahy they or mujy chara rahy they aik dem sy boly talak talak talak or ma shak ho gai laiken un ko koi hoosh nahi tha wo nashy may dut theiy ma gusy sy uth gai or on ko bola mary sath baat nahi krna aik genty baad wo fir mary paas aa kr jasy charany k mood may bolay talak talak talak or fir wo so gay do teen din baad hoosh ay a tuo manay un sy baat ki pehly tuo wo maan hi nahi rahy ma asa nahi kr sekta ma nashy my ult patang bolta rehta hoon ager bool bi dia tuo asy talak nahi hoti plz ap mujy batyn asy talak ho sekti hai ya nahi ager ho gai hai tuo ab mujy kia krna chai plz help me asap,
|
this_is_me |
Group: Members
Joined: 27th Jan, 2011
Topic: 0
Post: 34
Age: 31
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 9:43am |
|
|
alcohol is haram Sharab haram hai Islam mai.Allah ne sharab ko is hi liyee haram kara hai ke insaan apney hoosh kho deta hai is ko pii ker.app aur app ke husband ne Islam ko mazaak bana liya tha.app ke husband ne app ko talak 3 bar khaha hai aur asa kerne say app ko talak ho ghayee hai.is mai ab koi shaak nahi raha.app apni tasalli key liyee masjid ke immam say rabta karen.TOO BAD PEOPLE DONT TAKE ISLAM SERIOUSLY.... |
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 34
Post: 1914
Age: 34
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 12:21pm |
|
|
bye the way iss sawal ka theek answer to mutalqa fiqah k kisi alam-e-deen sy hi laina chahiye ..aur wohi answer valid b hoga..laiken aik general answer yeh b hay k iss trah talaq nahi ho sakti q k jab insan apny hosh hawaas main na ho to ussy yeh ilam nahi hota k wo kia keh raha hay kia kar raha hay ..:) |
foz |
Group: Members
Joined: 27th Oct, 2007
Topic: 8
Post: 55
Age: 36
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 1:18pm |
|
|
divorce thanks a lot diplomate ager koi or ic baray may janta hai plz mujy quran or sunnet k mutabik mashwara deyn. |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 10th Sep, 2010
Topic: 167
Post: 5406
Age: 33
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 2:18pm |
|
|
reply to foz
Mera apko Mushwara hay kay ap Kisi Achy Mohuzuz aalim-a-deen say Mushwara kur lain, Jessaa ap btaaa rahi hain, kay ono nay Tullaaq Tullaaq Tullaaq bolaa , ono nay Yeh nahi bola kay Meah apko Tullaq dataa hon, essy nahi bollaa or woh Apny hosh meah bhe nahi tah, agur ono nay Baqydaa yeh ulfaaz Essy undaaz meah boly hon pory fiqraa meah tub meah sumajta hon divorce ho jati hay lakin just Divorce Divorce Divors ya Tullaq tullaq Tullaq kehny say yeh Baat waazeh nahi hoti woh Keya keh raha hay, Ess leyeh meah sumajta hon essy meah Divorce nahi hoti, Jub tuk pora Jomlaa na adaa keya jay mokhaatib kur kay, baqi essy muzaak na sumjaa jay or ap Husband ko warning day dain agur oss nay again essi hurkat ki or Nushaa kur kur kay Ghur aya tu Woh osy chor day ghi ,
|
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 84
Post: 3607
Age:
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 10:50pm |
|
|
foz 1. mujhay nahi maloom k apka talluq kis fiqay say hai. afzal aur durust tareeqah yeh hai k ap apnay fiqay k kisi mustanad mufty say fatwa hasil karkay oss par amal kijyeh.
2. baaz "aqliati firqouN" k nazdeeq shayad iss tarah talaaq nahi hoti. lekin dunyaa e islam k aksariyati ulemaa k nazdeeq sharab k nashay maiN di gayee talaaq valid hai...ap khud bhi net par search karkay dekh laiN...aksar islamic website bhi aisee talaaq ko valid kahti hai.
3. talaaq howi yaa nahi...yeh aik aham maslah hai issay kissi forum k member ki roy par nah choraiN... yaa to apnay fiqay k mufty ki roy par amal karaiN yaa aksar ulemaa ki roy par amal karaiN... issi tarah apko "zehni sakoon" milega aur kal qayamat k roz ap Allah k saamnay kah sakengi k maiN nay ulemaa /muftiyaanay deen ki baat par amal kia
Allah apko deen par chalnay ki taufeeq day aur talaq k valid honay ki soorat main apko apnay sabeqah husband k saath sari omer haraamkaari say mahfooz rakhay. aameen |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 84
Post: 3607
Age:
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 10:57pm |
|
|
aik hadees ابو ہريرہ رضى اللہ تعالى عنہ بيان كرتے ہيں كہ رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے فرمايا:
" تين چيزوں كى حقيقت بھى حقيقى ہى ہے، اور ان ميں مذاق بھى حقيقت ہے: نكاح اور طلاق اور رجوع كرنا "
سنن ابو داود حديث نمبر ( 2194 ) سنن ترمذى حديث نمبر ( 1184 ) سنن ابن ماجہ حديث نمبر ( 2039 )، |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 84
Post: 3607
Age:
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 11:09pm |
|
|
http://www.banuri.edu.pk/ur/node/898 سوال: اگر شوہر اپنی بیوی کو شراب کے نشہ میں طلاق دے تو کیا طلاق واقع
ہوجائے گی
جواب: فقہ حنفی کے مطابق طلاق واقع ہو جائے گی۔
(حوالہ: جامع علوم الاسلامیہ، بنو ری ٹاؤن، کراچی)
|
s4u |
Group: Members
Joined: 18th Aug, 2010
Topic: 89
Post: 4940
Age:
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 11:16pm |
|
|
Posted by foz ( deleted) divorce salam.this-is-me app k job ka bohet thanks jawab tuo
asy dia hai jasy maray husband ny pehly mujy kitni talaky di hain or ma
bar bar app sy mashwara mang rahi hoon bohet afsoos hoa ap ka jawab pr
kr lagta nahi k app enginer hain or usa may rehtay hain agar koi insan
dukhi hai tuo diljoi nahi kr sekty tuo hurt b nahi krna chahi mary
husband drink krty hain tuo ma pul pul ki mooat merty hoon koi oret b
asy zindgi nahi guzarna chehti laiken kia karyn mujboori ka naam
shukria.
|
this_is_me |
Group: Members
Joined: 27th Jan, 2011
Topic: 0
Post: 34
Age: 31
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 11:31pm |
|
|
Posted by foz ( deleted) mai ne app ko facts bataya hai. ab app suna chahen yeah nahi. islam is not a khel.
s4u and foz AOA,
bohet afsoos hoa ap ka jawab pr kr lagta nahi k app enginer hain or usa may rehtay
As an engineer ,we only talk facts and no fiction.someone who not telling u the truth is not a good engineer.
agar koi insan dukhi hai tuo diljoi nahi kr sekty tuo hurt b nahi krna
app ko maine koi ghalaat baat nahi bataye.Zaroori nahi ke jo app chahate hain woo sahi hai.
BE a realistic .. |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 10th Sep, 2010
Topic: 167
Post: 5406
Age: 33
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 1:12am |
|
|
re
Myrizvi brother jessaa eno nay btayaa hay kay ono nay Tullaq tullaaq tullaag kay ulfaaz adaa keyeh hen, or ono nay sonny hen, divorce meah onko mokhatib kur kay dany kaa nahi bola ghiyaa hay, na pora jomla bolaa ghiya hay jiski wajah say mutlab waazeh nahi hotaa, abi just yeh teen lufz apny husband kay moun say son lany say hum enko yeh nahi keh sukty kay divorce ho choki hay , agur onky husband pori tura jis tureeky say ulfaaz adaa keyeh jaty hen os turaah adaa kurty tu pher hum keh sukty ty, ess meah ubhaam paaya jata hay, wesy enko ek nahi chund mohuzuz or momtaaz aalim deen say mushwara kur lana chayeh, or pher jo motafiqaa ray pai jay fasila kur lain, lakin meah apni sumaj say agur essy dakhoon tu meah nahi sumajta essy meah divorce hoi hay,
Yeh khod behtur btaa sukti hen ono nay Kessy or keya ulfaaz adaa keyeh,
|
abcd |
Group: Members
Joined: 04th Jul, 2007
Topic: 9
Post: 31
Age: 31
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 1:29am |
|
|
foz maray khayal may to divorce ho gain ha? |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 84
Post: 3607
Age:
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 3:54am |
|
|
Qasim Bro 1. yeh baat to tay hai k nashah ki halat maiN di gayee talaq valid hotyi hai
2. yeh bhi tay hai k mazaaq maiN dee gayee talaaq bhi valid hai
3. biwi k saamnay ossay talaaq "kahnay" say bhi talaaq ho jati hai
4, ab mausoofah ko actually talaaq howi yaa nahi, iska faislah maiN yaa aap nahi kar saktay... full details k saath onhaiN apnay fiqhay k mufty say rajoo karna chaahiye |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 10th Sep, 2010
Topic: 167
Post: 5406
Age: 33
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 4:04am |
|
|
re - biwi k saamnay ossay talaa q "kahnay" say bhi talaaq ho jati hai
Meah nahi sumajta kay just Tullaq ka Lufzz kehny say tullaaq ho jati hay, jub tuk woh sath yeh naa khay woh Dataa hoon ka Ezaafaa na kury, abi ess condition meah agur maan bhe leya jay tu Aalim-a-deen enki ess Tulaaq ko ek tulaaq Quraar day kur enki uzduwaaji life ko Ek chance dain, or baqi du divorce baqi reh jaty hen, Tullaq ek khandaan ni du khandano ko joddaa kurti hay or esska asar bucho or orat pur bhe purta hay, essy woh olamaa day sukty hen door undash or Islam ki rooh ko sumajny waly hon, Bilkol onko apny Fiqaah kay aalim say mushwara kurna chayeh,
|
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 84
Post: 3607
Age:
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 6:04am |
|
|
kiyouN? biwi k saamnay ossay talaa q "kahnay" say bhi talaaq ho jati hai
iska faislah bhi maiN aur ap nahi balkay koi mustanad "mufty" hi karega k above case maiN aisaa kahnay say talaaq valid howi yaa nahi.
meray khayaal say to hojati hai......jaisay agar ham biwi k saamnay ossay "chor ... chor ... chor" kahaiN to iska matlab woh yehi legi k husband mujhay chor kah raha hai...halaaNkay husband nay poora jumlah nahi kahaa k " rum chor ho" ........above case maiN bhi biwi nay yehi "samjha" k husband ossay talaaq kah /day raha hai, jabhi to woh pareeshan howi aur osnay yeh maslah yahaaN oThayaa........... agar husband ki "body language" talaaq denay wali" nah hoti to biwi pareeshaan nahi hoti............khaah jumlah mokammal hi kiyouN nah bola jaa.ay
jaisay koi husband biwi k saamnay kissi book /akhbaar say yeh jumlah dekh kar paRhay (jo book /news maiN kissi nay kissi ko kahaa ho) k ... "maiN tumhaiN talaaq detaa houN" aur biwi ossay "ehteyaatan Tok day k aisee baat mouNh say nahi nikaaltay... husband ka iradah agla jumlah bhi paRh kar snaanay ko thaa k yeh baat falaaN nay falaaN say kahi (magar kahta nahi).... yahaaN jumlah mokammal hai, biwi bhi saamnay hai...but body language aur intention saaf hai k husband k likhay howa jumlah mahaz "repeat" kar raha hai
jaisay... naqlay kufr, kufr nah baashad.... yaani agar koi kufria jumlah ko hawalay k taur par "naqal" karna /adaa karna "kufr" nahi hai...
iss qism ka maamlah bahoot naazuk /sensitive hota hai...apkay nah kahnay say yeh NAHI aur meray haaN kahnay say HAAN nahi hoga........ lehaza mufti /darul iftaa ki mostanad roy zaroori hai....... islamic literature aur deger fatawaa ka motaale'aa batlata hai k iss tarah talaaq ho bhi jati hai.... lehaza onhaiN hi confirm karnay daiN to behtar hoga |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 84
Post: 3607
Age:
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 6:15am |
|
|
aik baat aur husband nay talaaq ka lufz adaa kia ... ab chouNkay talaaq mazaq maiN bhi valid hojati hai, nashah maiN bhi valid hojati hai, beghair niyyat k bhi valid hojati hai........ iss liyeh yahaaN bhi yehi "understood" hai k tallaq hogayee hai........ illa yeh k koi mustanad mufty, saraa ahwaal sun kar confirm karay k talaaq nahi howi.... talaaq honay hi ka "khauf" foz bibi ko howa hai, nah honay ki tasdeeq karna aik "technical maamlah" hai jiski tasdeeq koi maahiray fiqah /mufty hi karsakta hai.
jaisay koi zahar khaalay aur oski harkat / saans band hojaa.ay........ issay dekh kar sabhi yehi kahengay k bandah margaya hai aur ain mumkin hai k issay dafnaa bhi dia jaa.ay (aisay cases hotay rahtay haiN)....... lekin agar bay hiss o harkat fard ka koi shakhs yeh kahay k nahi yeh mara nahi hai to oski yeh baat koi oss waqt tak nahi maanegaa jab tak k koi doctor oska check up karnay k baad yeh "confirm" nah karday k go saans band hai magar abhi yeh bandah maraa nahi hai...issay hospital lay chalo... ham mukhtalif treatment say iski saans bahaal karlengay........
hope k ab baat apki samajh main aa gayee hogi... iss waqt talaaq honay ki "tasdeeq" ki zaroorat nahi hai balkay talaaq "nah honay" ki tasdeeq chaahiyeh... agar yeh tasdeeq nah mili to talaaq valid hai |
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 34
Post: 1914
Age: 34
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 8:58am |
|
|
mazzaq main talaq ..ya ..talaq aik mazaq mazaq main talaq ka ho jana unn logon k nazdeek valid hy jo tallaq ko aik mazaq samjhty hain ....tallaq koi bachon ka khail nahi k jis k zariya jab chaha jaisy chaha shadi jaisy paak bandhan ko apny mazaq ya be aqli ki bhaint charrha diya ...nahi balky jis trah nikah k kuch taqazy hain issi trah tallaq k b kuch asool hain
islam jab waqoo pazeer howa to allah ny sab adyaan ko islam main zam kar diya aur sabiqa tammam shariyton ko mansookh karty howy islam ko pasandeeda deen qarar diya ...Cristian's main tallaq jaisy masly ki buhat ahmiyat hay uss main aysy talaq nahi hoti jaisy aaj kal k "mullan" ny islam k andar tallaq ki wazahat kar rakhi hay ...Cristian-ism mansookh shuda deen hony k bawjood tallaq ko bachon ka khail nahi samjhta laiken wah rey ey muslim tumhary haan tallaq ko kaisy mazaq bana diya geya hay ...halan k Islam apny sy pehly tamman adyaan sy super hay
afsoos k "mullan" ny super natural deen ko apni aqal sy kaisy aik zam shuda deen sy b neechy kar diya hay ...zam shuda deen main kisi masly ki khuda ki tarf sy ahmiyat ho laiken khuda k pasandeeda deen main ussi masly ki koi ahmiyat na ho ...yeh baat samjh nahi aati..:) |
this_is_me |
Group: Members
Joined: 27th Jan, 2011
Topic: 0
Post: 34
Age: 31
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 9:09am |
|
|
GOD forgive ALL H/drQasim and myrizvi all of you ASAALM U ALAYKHUM, Please brothers i read both of your discussion on this matter.This is very sensitive matter you and i have lack of islamic knowledge.
So, let her take this topic to some more educated person who can be clearify with more islamic and Qurani way.God forgive us and ours sins .We are just making arguments what is what , but she is going through with all pain and sadness in her life at the moments.PLEASE FOZ app kisi masjid ke imam say contact karen. wo app ko beyter samja sakte hain.. I have a request all of you please stop this topic now no more discussion. |
foz |
Group: Members
Joined: 27th Oct, 2007
Topic: 8
Post: 55
Age: 36
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 2:11pm |
|
|
divorce thanks everybody for your reply i should take advice some mufti.
thanx again |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 84
Post: 3607
Age:
|
|
Posted on:24th Feb 2011, 9:44pm |
|
|
hadees ka mazaaq oRana Allah maaf karay...mazzaq main talaq ..ya ..talaq aik mazaq ... ki surkhi k under Diplomate likhtay haiN k... mazaq main talaq ka ho jana unn logon k nazdeek valid hy jo tallaq ko aik mazaq samjhty hain ....
Allah maaf karay.... ooper hi Nabi kareem saw k hadees maujood hai k...
ابو ہريرہ رضى اللہ تعالى عنہ بيان كرتے ہيں كہ رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے فرمايا:
" تين چيزوں كى حقيقت بھى حقيقى ہى ہے، اور ان ميں مذاق بھى حقيقت ہے: نكاح اور طلاق اور رجوع كرنا "
سنن ابو داود حديث نمبر ( 2194 ) سنن ترمذى حديث نمبر ( 1184 ) سنن ابن ماجہ حديث نمبر ( 2039 )،
mujhay yaqeen nahi aataa k koi "mosalmaan" aisaa bhi hosakta hai jo nabi kareem saw k kissi qaul ka iss tarah mazaaq oraa.ay. |
|