|
Stalker |
Group: Members
Joined: 21st Dec, 2009
Topic: 13
Post: 255
Age: 31
|
|
Posted on:25th Feb 2011, 6:57am |
|
|
masla e talaaq sunan abu dawood meiN mazkoor hai k teen talaq aik bar di jaeiN to aik he talaaq ho gi , magar hazrat umar ne iss ko 3 juda juda talaq bana dia ....
sunan abu dawood page 184 to 187.
ye wazeh rivayat mojood hai , iss k ilawa tafseer ibn e kaseer meiN bhi talaq k barey meiN hukm mojood hai ....
lekin phir bhi in logoN ko nahiN dikhta ....aaya e summun bukmun shaied inhi k liye aayi hai mufti bhai :)
|
Stalker |
Group: Members
Joined: 21st Dec, 2009
Topic: 13
Post: 255
Age: 31
|
|
Posted on:25th Feb 2011, 7:00am |
|
|
wazeh rahey ... hamarey liye rasool e akram saww k usool "hujjat" heiN kisi aur k nahiN .... lekin hazrat umar ne kai jagah usool e rasool saww meiN tarameem ki heiN jiski aik misaal above reply meiN mojood hai .... kabhi sharab ki saza meiN kami kar di to kabhi baRha di .... aur kabhi quraan ko jhuTla dia .... kabhi mutah ko "mansookh" kar dia to kabhi aazaan meiN izafa kar dia .....
|
Stalker |
Group: Members
Joined: 21st Dec, 2009
Topic: 13
Post: 255
Age: 31
|
|
Posted on:25th Feb 2011, 7:13am |
|
|
one more hadith... sunan nasaayi , jild 2 , hadith 3438 , page 471
ibn e abbas se kisi ne pucha kia tum log nahiN jantey huzoor e akram saww k zamaney meiN aur abu bakr k dor meiN aur umar ibn e khattab k dor e khilafat k shuroo meiN radd ki jati theiN 3 talaaq aik nashist meiN , ibn e abbas ne kaha haaN radd ki jaati theiN ...
ye hadees dalalat kar rahi hai k 3 talaqoN ka aik nashist meiN dia jaana aik talaaq samjha jata tha rasool saww aur hazrat abu bakr k dor tak ... lekin hazrat umar ne iss meiN tarmeem kar di ....
ab aap log muje bataeiN k rasool saww wa hazrat abu bakr ki maneiN ge ya hazrat umar ko rasool saww k hukm par foqiyat dete heiN ??? , wese abdullah ibn e umar ne masla e tamt'a meiN rasool saww ko foqiyat di thi hazrat umar k kalam par aur apne baap ko jhuTlaya tha aur kaha tha k ham rasool saww k ilawa kisi aur ki nahiN mantey .... (ref ka taqaza ho ga to mil jaye ga)... |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 10th Sep, 2010
Topic: 167
Post: 5417
Age: 33
|
|
Posted on:25th Feb 2011, 7:13am |
|
|
re ess bat ki wuzahat myrizvi he kury gah,
|
Mufti |
Group: Members
Joined: 15th Feb, 2011
Topic: 0
Post: 24
Age: 30
|
|
Posted on:25th Feb 2011, 9:58am |
|
|
myrizvi Acha hota k aaj aap online hotay to hum kafi kuch clear ker chukay hotay kher aap k liye aik aqali daleel dena chahon ga...
Ab Quran ne jab bhi kaha Talaq De Do kahin bhi yeh nahi kaha Talaq Keh Do... Ab kehnay aur denay mein bohat farq zahir hota hai... Iss se zahir hota hai k talaq faqt aik lafz hai na k koi amal... Jaisay Quran kehta hai namaz perho... Ab agar mein din mein 5 baar keh doon namaz namaz namaz namaz namaz to kiya meri 5 waqt ki namazein ada ho gaein ?? Ya mein ghar bethay Jihad Jihad ki tasbeh perhta rahon to kiya mein ghazi bun jaon ga ?? Nahi kiun k namaz ya jihad sirf lafz hain... Inn per jab tak amal nahi kiya jaye ga aap ki na namaz ho gi na jihad... Aur her amal k kuch asool hotay hain sirf aik lafz nahi hota k uss k kehnay se aap ne kaam poora ker diya... Agar sirf talaq kehnay se talaq ho jati hai to phir mein kisi larki ko 3 baar kehta hoon.. Mera Tum Se Nikkah Hai... Kiya nikah ho jaye ga ?? Woh meri zojiat mein aa jaye gi ?? Jab meray bhai nikah ka aik apna procedure hai to phir talaq aik lafz ki kaisay ho sakti hai ??
|
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 34
Post: 1927
Age: 34
|
|
Posted on:25th Feb 2011, 1:31pm |
|
|
totally agreed with mufti brother ..:) keep it up |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 85
Post: 3617
Age:
|
|
Posted on:25th Feb 2011, 10:57pm |
|
|
i'm not interested to participate this discussion any more...... maiN iss topic pay last few years maiN baar baar likh chuka houN.....ab ossay repeat karnay ka koi iradah nahi.
meri guftagoo ka conclusion yeh hai k nikah talaaq jaisay topics par baaz aqliati firqah /fiqah maiN aisay aisay masaail haiN, jinhaiN muslim ummat ki aksariyat tasleem nahi karti...... jaisay nikaah beghair gawaah k bhi hojanaa, fixed days /hour k liyeh nikaah karna aur talaaq k liyeh gawaah ka laazman hona yaa nashay /ghussay maiN talaaq ka nah honaa etc etc.
aisay "ikhtelaafi amoor" sadyouN say chalay aarahay haiN aur taa qayamat jari rahengay....lehaza baham jhagaRnay ka to koi faidah nahi. jis ka jis jis fiqah pay imaan hai, woh ossi fiqay pay amal karta rahay.
wassalam |
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 34
Post: 1927
Age: 34
|
|
Posted on:25th Feb 2011, 11:09pm |
|
|
re baat apni fiqah par amal karny ki ho to ye b prove karna lazmi hota hay k q fiqah par amal kiya jaraha hay ..har fiqah choun k apny aap ko haq par samjhti hay lehaza asal haqaniyat ka pata bahmi debate aur ikhtalafi amoor par khush guwaar tabadala khiyaal sy hi chalta hay ..
agar aksriyati firqa kisi masly par amal kar raha hay to apny amal ko quran ki roshni main sach b sabit karay ...yeh kia baat hoi k jahan baat apny ooper ajaye aur apni fiqah k andar jawab na ho to wahan keh diya jaye k ji jo jo jis jis fiqah par amal karta hay wo karta rahy
amal to uss ny karty hi rehna hay kisi k kehny par idhar udhar to nahi hona laiken asal masla yeh hay k sabit b karna hay k amal q kar raha hay ...aysa na ho k bas aksriyati bhairr chal ko hi daikh kar aksriyat k sath ho liya jaye |
Mufti |
Group: Members
Joined: 15th Feb, 2011
Topic: 0
Post: 24
Age: 30
|
|
Posted on:26th Feb 2011, 2:39am |
|
|
myrizvi Aray janab phir aap iss thread per kiun mufti banay agar aap itnay saalon se iss topic per baat kertay kertay shadeed thak chukay thay ?? aap ko thakawat ussi waqt hi mehsoos kiun hoti hai jab koi aap ki baat se etiraz nikala jata hai... Itnay saal aap ko thakawat nahi hui jab aap ki islah kernay ka time aaya to aap thak gaye janab ?? Aur dosri baat yeh kisi akleti ya akseriti firqah ki baat nahi hai... Balkeh yeh Islam ki shariat ki baa ho rahi hai... Kiya aksariati firqah k Quran mein Surah Talaq nahi hai jo aap loag inkar ker rahay ho ?? Aur janab agar hum ghalat rastay per chal rahay hain to aap jaisay faseeh o baleegh aalim ka farz hai k aap apnay keemti time se thora sa time de ker humein ghalat sabit karein aur humein haq ki raah dikhaein... Aur myrizvi sahab yahan firqah-baazi ki baat bhi aap ne hi start ki hai jab k mein ne abhi tak kahin yeh baat nahi ki... Mein ne to sirf Quran se talaq ka aqeeda sabit kiya lakin aap hain k firqon ki aar mein chupnay ki koshish ker rahay hain... |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 10th Sep, 2010
Topic: 167
Post: 5417
Age: 33
|
|
Posted on:26th Feb 2011, 3:05am |
|
|
Mufti Sahab
myrizvi nay seedi bat ki hay hur koi apny fiqah ko follow kurta hay,or yaha pur hur fiqah say log participate kurty hen, or myrizvi nay Suwaal kurny waly ko yeh he juwaab deya hay kay ap apny city kay mohuzub aailm-a-deen say Rojooh kurin or onsay help lain yaha pur hum apni opinion ka izhar kurty hen or apny apny elm ki budolat juwaab daty hen, Jesy myrizvi nay btayaah divorce waly problems kafi pacheeda hain, enka solution woh olamaa he kur sukty hen jo Quran or Hudess kay elm or roh say waqif hoty hen, wufaaqi shuri adalat kay wukeel essy mohamilaat pur kafi elm or experience rukhty hen essy problems meah na serf Mofti buly wufaaqi shuri adalat ky wukeel say bhe mushwaraa kurna chayeh , yaha pur apko koi huq hasil nahi kay ap kisi ko target kurin, jetna apko puta ap btain help kurin sub apna apna noqtaa nuzur paysh kurny meah azaad hen,reader khod sumaj lata hy kon sahi keh ra hay kon ghult, Sorat Tulaaq meah nay bhe bot dufa puri hay or myrizvi nay bhe or hum Years say forum pur kam kur ray hen, Forum pur sub members ek dosry ki respect kurin or apni apni ray or opinon paysh kurin, myrizvi forum ka asaasa hen, or Forum kay Mostanud Mofti hen,
|
Mufti |
Group: Members
Joined: 15th Feb, 2011
Topic: 0
Post: 24
Age: 30
|
|
Posted on:26th Feb 2011, 4:54am |
|
|
dr-qasim Mujhay to 2 din huay yahan join kiye huay aur myrizvi bohat senior member hain,aap unhain mujh se ziada jantay hon ge...
Lakin thora sa insaf aap bhi kijiye ga k kiya mein ne kisi post mein firqah ki baat ki ?? Balkeh myrizvi sahab aksariati aur akliati firqah ki baat kertay rahay balkeh unhon ne apni posts mein kuch ilzam bhi lagaye lakin mein ne unn ko kuch jawab nahi diya... Aur bhai Quran ko perhna aur baat hai aur samajhna alag baat hai... Zaroori nahi k kisi ne surah talaq zubani yaad ki hui ho to woh uss ko samajhta bhi ho... Yahan discussion honi chahiye kisi ko yeh nahi kehna chahiye k mein thak chuka hon agar users ko hi samjhana hai to phir debate kerni chahiye ta k shai baat users tak pohnch jaye... |
s4u |
Group: Members
Joined: 18th Aug, 2010
Topic: 89
Post: 4949
Age:
|
|
Posted on:27th Feb 2011, 10:49pm |
|
|
♥·´¯`·Re:Mufti sahib
buhot se masail ese hain jin per buhot se ulama ka bhi ikhtlaf hai is lie kisi bhi maslay pr fatway dena hum aam insano ka kam nahi hai.her koi apne maslik,firqay ko dekhte hoe amal krta hai. yahan shia sunni ki buhot baton per larai ho chuki hai, aap ki ye bat bilkul dusrut hai k hume quraan o hadees k hawalay se har maslay ko samjhna chahiye.
kia main aap se poch sakti hon k aap Shia hain ya Sunni. aap ye bta dein phir yahan takay osi lihaz se behes ki jae
|
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 34
Post: 1927
Age: 34
|
|
Posted on:28th Feb 2011, 12:02am |
|
|
re s4u re : "buhot se masail ese hain jin per buhot se ulama ka bhi ikhtlaf hai is lie kisi bhi maslay pr fatway dena hum aam insano ka kam nahi hai.her koi apne maslik,firqay ko dekhte hoe amal krta hai."
yeh baat waddy praa (myrizvi) ko b batain ...:) unhain b chahiye k aysi baton ko dhiyaan main rakhain ...agar pabandi ho to har tarf sy honi chahiye na sirf aik ko hi aysa kaha jaye...:))
re : "kia main aap se poch sakti hon k aap Shia hain ya Sunni. aap ye bta dein phir yahan takay osi lihaz se behes ki jae"
waisy mufti brother ny ooper aik post main apna taruf karwa diya hay ...taham main samjhta hon k shia , sunni hona koi jurm nahi hay aur na hi inn main koi khaas behas hay asal tabahi pathar jaisi soch rakhny walon ki waja sy hoti hay jo sirf apni baat ko hi drusat samjhty hain ...jab k baat wohi drusat hoti hay jo quran ny kahi , aap (s.a.a.w) k amal sy sabit hoi , aur mantqi wa aqli aitbaar sy qabil-e-qabool ho ...baqi apni tarf sy ya mangharrt baton ki deen main shamil kar lainy sy kabi behas khatam nahi ho sakti ..behas bharrti hi rehti hay ..;) |
|