Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Pakistani Unmarried Old Girls Ko Kia karna Chahiye?

Social Problem
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 264  Post: 4456  Age:  39  
Posted on:22nd Sep 2007, 9:06pm
 

Pakistani Unmarried Old Girls Ko Kia karna Chahiye?

jaisa ke aap sab log jante hai keh iss waqt Pakistan mai lakho larkia shaadi ke beghair boorhi ho gai hai. jab keh doosri taraf agar koi shaadi shuda khatoon bewa ya mutlaqa ho jai tu on ki shaadi bhi taqreeban nahi hone ke barabar hai. mera sawal yeh hai keh:

1. Pakistan ki lakho larkia shaadi ke beghair boorhi ho rahi hai, boorhi hone ki asal wajah kia hai?

2. Kia in larkio ko shaadi ke beghair boorhi ho jana chahia ya kisi aise sahib-e-haisiat shaadi shuda shakhs se shaadi kar leni chahia jo keh do bivio ki kafalat kar sakta ho.

3. bewa aur mutlaqa aurto ko bhi sari zindagi be-sahara tanha zindagi guzar deni chahia ya phir kisi sahib-e-haisiat shaadi shuda mard ki doosri bivi ban jana chahia.

4. agar sahib-e-haisiat mard hazrat lakho larkio ko boorhi hone se bachane ke lia aur bewa mutlaqa khawateen ko sahara dene ke lia doosri shaadi kar le tu kia yeh on ki pahli bivi ke sath na-insafi aur ziadti hogi?

5. kia pahli bivi ki mojoodgi mai agar koi sahib-e-haisiat mard pahli bivi ki ijazat ke beghair kisi be sahara bewa, mutlaq ya boorhi kunwari larki se shaadi karta hai tu kia yeh gunah hoga?
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:22nd Sep 2007, 10:03pm
 

@bewakoof

1)iski bohat si wajah hoti hain...

gharibi...jehaz na hone ki wajah se.......umar nikal jane se...........mangetar ke intezar me(jo ke kahin aur shadi kar leta hai).....

kuch logon ki family ka concept hota hai ke khandan se bahir shadi nahi karni ,aur munasib jod ka rishta na hone ki wajah se bhi ladkiyan boorhi ho jati hain....aur joo hin age nikalti hai rishte bhi ana kam ho jate hain

kuch ladkiyan itna parh likh jati hain,ke wo apne jaisa parha likhe Rishte ka itezaar mai baithi reh jati hain...

2)Khuda ka hukam hai,shadi karo...to sab ko shadi karni chahye aur agar age nikal jane ki wajah se agar unko aise rishte ayen to kar leni chahye

3)mera khayal hai ek bewah ko shadi kar leni chahye.kyunke ek aurat ko barha mard ke sahare ki zaroorat hoti hai.

lekin mashre ke point of view se...humare log specially us bewa ke bache jo shadi shuda hon to damaad ki wajah se nahi kartin, na shadi shuda hon to bachon ki wajah se nahi kartin....ke pehle unke rishte ache gharon me ho jaen..and and

4)islami point of view se koi ziyadti nahi hai.....otherwise.....har ek ki apni apni soch hai.

5)nahi Gunah nahi hai......

kim84 Group: Members  Joined: 02nd Aug, 2007  Topic: 113  Post: 786  Age:  30  
Posted on:23rd Sep 2007, 7:20am
 

Marriage Bearue..

Bewaqoof tum marriage bearue khool lo kuch tension hi nhi...............joke tha come to the point

1. Pakistan ki lakho larkia shaadi ke beghair boorhi ho rahi hai, boorhi hone ki asal wajah kia hai?
Ans: Sunheri is right..Jaheaz na hona,Mangetar and 1 important thing Education aj kal parents bolty hi phly larki ko MA krny do MA k waqt tak us k rishtay ana band ho jaty hi....bcoz zyada tr loog kam umar like 16-20 tak ki girls ko pasand krty hi......

2. Kia in larkio ko shaadi ke beghair boorhi ho jana chahia ya kisi aise sahib-e-haisiat shaadi shuda shakhs se shaadi kar leni chahia jo keh do bivio ki kafalat kar sakta ho.
Ans: Agr in ki agr nikal gai hi to fir shadi shuda man sy sahdi krny my koi qabahat nhi..

3. bewa aur mutlaqa aurto ko bhi sari zindagi be-sahara tanha zindagi guzar deni chahia ya phir kisi sahib-e-haisiat shaadi shuda mard ki doosri bivi ban jana chahia.
Ans: Agr to bewa k bachay hi to agr wo chaye to fir nhi krni chaye ha agr bachaay bhut chotay ya nhi hi thn must krni chayee...

4. agar sahib-e-haisiat mard hazrat lakho larkio ko boorhi hone se bachane ke lia aur bewa mutlaqa khawateen ko sahara dene ke lia doosri shaadi kar le tu kia yeh on ki pahli bivi ke sath na-insafi aur ziadti hogi?
Ans: Nhi koi ziyadti nhi ...phli biwi ko sochana chayee k agr aisa us k sath hota to phir....

5. kia pahli bivi ki mojoodgi mai agar koi sahib-e-haisiat mard pahli bivi ki ijazat ke beghair kisi be sahara bewa, mutlaq ya boorhi kunwari larki se shaadi karta hai tu kia yeh gunah hoga?
Ans: Nhi gunah to nhi bt phli biwi ko ik bar agah zaroor krna chyee...

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:23rd Sep 2007, 10:24am
 

My opinion

Kya aap yaqeen karain gay ke kai khawateen ki shadi na honay ki waja un ki job bhi hoti hae, main ne aisi teachers aor nurse dekhi hian jo ke Govt job karti hian aor un ke parents un ki shadi nahi kar rahe ke ghar main salary aa rahi hae aor jab above 35 un ki shadi hoti hae to woh shadi tallaq pe khatm ho jati hae, isi tarah some time larrki ke educated hona masla ban jata hae ke us ke standard ka rishta he nahi milta , hum muslims choonke  bohat arsa hindu ke sath rahe hain is liye abhi tak asar hae doosri shadi ko bura samjhna , tallaq yafta se shadi ko bura samjhna , Islami taleemat pe amal kar ke hum tamam muashrti buraion pe qaboo pa sakte hian
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:23rd Sep 2007, 1:52pm
 

ch babar

u r right,mai ye point bhi batane wali thi phior bhool gayi...aisa aksar hi hota hai,
nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  35  
Posted on:24th Sep 2008, 3:21pm
 

bewaqqqqqqqqqqqqqqqqqoffff

  tumharay paas kaam ka aur koi topic nahee hai..
all these of urs questions related to basic fundaments of Islam and society....ummmm tum waqeee bewaqooof  ho..leave all this bull shit... ider aik sahdi ko pura kurana azaab buna howa hai aur tum oper say aur presuure daal rahay hooo..aur koi bhee parents apni girls ko jaan booj kur bora nahee kurtay hain, u cant look waht kind of boys these days... alll rubiish and cheters.buhat buhat say family , money , cultural, social, religious, status etc problems hotay hain jin koo nazur andaaz nahee kiya ja sakta hai.. undersatnd meri jaan....ya if some one nice , and baroozgaar mil jayee tu why not , u silly boy..
chill out nowwwwwwwwwwwwwww
fari pari Group: Members  Joined: 05th Apr, 2009  Topic: 3  Post: 95  Age:  26  
Posted on:19th Aug 2009, 4:50am
 

nikama

inho nay bilkul sahi jawab dia hai .. yehi haqeeqat hai .. 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7739  Age:  55  
Posted on:19th Aug 2009, 5:27am
 

society ka burning issue

hamari society ka yeh baRa almia hai....jiski asal wajah aadhaa teetar aadha batair honaa hai........ yaani nah to humm fully islamic culture par amal karnaa chaahtya haiN ... nah hi mazhab ko choRna chaahtya haiN....

jaisay shadi nah honay ka "maslah" non-muslim society main bhi hota hai lekin they dont' care it... woh shadi k binaa bhi jab chahaiN jiss k saath chahaiN aur jab tak chahaiN ... aik saath rahtay hain aur jab chahaiN jodaa hojatay hain... shadi ho yaa nah ho, onki jinsi zaroortaiN poori hoti rahti hain aur woh satisfied rahtay hain...

hamari muslim khawateen deen say ketnaa hi door kiyouN nah houN, above tareeqah /life style ko kabhi bhi pasand nahi karengi......... doosri taraf woh islamic-zaabetah ko bhi "gawaaraa" nahi karteeN k agar ... apnay "mayaar" ki rishtah nah milay to kam tar meyaar k rishtah hi ko qabool kar laiN... overage, talaq, bewah yaa kissi aur kami k sabab agar bachelor-rishtah nahi mil rahaa to kissi married hi say shadi kar laiN...... k yeh Allah ka hukm hai k ghair shadi shudah zindagi say shadi shudah zindagi (kaisee bhi ho) behtar hai k ... bikaah ko nism imaan qarar dia gayaa hai...

ab zaahir hai jo nah idher jaa.ay aur nah odhar... to woh beech mai laTak kar hi apnay aap ko "dunyaawi azaab:" maiN Daalay rahti haiN......

nice post by bewaqoof ......... n nice reply by sunehri....... lagta hai dounouN ki chemistry bahooooooot milti julti hai lol

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:21st Aug 2009, 10:07pm
 

myrizvi

nice post by bewaqoof ......... n nice reply by sunehri....... lagta hai dounouN ki chemistry bahooooooot milti julti hai lol

 achaaa apko aisa lagta hai kya?? mujhe to aisa kabhi nahi lagaa...
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 264  Post: 4456  Age:  39  
Posted on:16th Oct 2014, 9:51am
 

pakistani old age girls aur shaadi

pakistani jin larkio ki shaadi abhi tak nahi huyee aur on ki age bhi nikal gayee, onhai kya kerna chahiye. kia onhai kisi sahib-e-haisiat mard ki 2nd wife ban jana chahiye. aur agar old age larki 2nd wife ban jane ko tayyar ho tu phir os mard ki 1st wife ko kaisay raazi kya jaaye keh woh mard ko 2nd shaadi ki ijazat dey.
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How To Get Visa For Japan  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us