Help! Keya essy shukhs say shadi ki jaa sukti jo selfish ho mutlabi ho?
salam to everyone i am new on this site, main ajjkal bohat pareshan hon, i like a guy aur wo bhi mujhe pasand karta hai, hum 2 saal se saath hai, per maine note kiya hai ke wo humesha mujh se apne matlab nikalta hai, we are in same college,and i do his work, yahan tak he wo apne harchay bhi mujh se he nikalwata hai, i dont know ke mujhe kya karna chahiye, i like him alot please meri madat kar dein app log, give me suggestion ke mujhe kya karna chahiye ... kya wo insan mere leye thek hai yah nahi ?
ap essi Mistake apni life meah Hurgezz nahi kurna nahi tu ap sari zindgi es ek mistake ko bokutti raho ghi meah sumajtaa hon hum say ziyada ap janti hen,es leyeh ap khod fasila kurin, wesy bhe yeh insan Gonah gaar hota hay es turaa ki friendship kurna Gonahoo ki dul dul meah jany kay burabur hay, choty choty gonah insan ko bury Gonaho ki turaf Raghib kurty hen
per i like him alot, aur hum same college mein hai, us se kaise door hon ?:S
mujhe kuch samjh nahi araha,... abhi tou vacations hai lekin is ke baad tou dubara sath ek class mein jana hhoga na uske sath,how should i ignore him :'(
First of all co education is haram. Secondly females are buying the trouble by themselves.
Sister, pehlay to apka co education jana hee fazool hai keon keh tmhain ki pata keh koan tmhara husban hoga or woh tmhari kitni care karey ga.
Maiy ney kai nationality key logon key saath kaam kia hai or iss waqt bhee amarican, south africans, indians, brazilian, italian, spanish, vanazulilians meray under kaam ker rahey hain. Culture per baat hoti rehti hai laikin alhamdulillah real muslims girls hee faiday mai hain. Maslam meri BV ney BA kia hua hai woh sirf house wife hai keh mai pesay kma ker laoon ga or woh ghar apni, meri or bachoon ki care karey gi or mai guarentee se keh sakta hoon keh tm sari raat bhee debate kero us sey to woh kahey gi keh woh hee dunya ki khushnaseeb wife hai. Halankeh shadi sey pehlay mai or woh eik doosrey ka name bhee nahi jantey thaiy.
Tm Chutnoon keh baad us sey is terhaan paish aao keh jesay doosri larkakian paish aati hain. Tm apney parents ko apney liay larka dhoondney do, ager allah ney tmhari jori uskey saath banai hai to woh khud hee rishta ley ker tmharey ghar aajay ga.
Dr. Sahib ney sahi kaha hai keh khud ko berbadi kee terf mat dhakailo.
waisy tu aap ko achi advise di gai hai laiken aaj kl iss daur mein education k liay parents apny bachon ko co education mein majboori se bhejty hein , majboori koi bhi ho skti hai bachon ki khahish , elehda study centre na hona, etc,
bt keep in mind k aap k walden ny tu tumhari education k liay kitna risk lia k aap k ooper ehtmad kr k unhon ny aap ko study ki ijazat di aur iss laiy di k beti ko zindgi achi guzry ,
abhi aap pr farz hai k aap un ki izzat ka khial rakhein na k apny us dil ko tarjeeh dein jiss ko khud maloom nahi k kia faisla krna chaye waisy bhi ye age aap ki study ki hai aap dil lga kr study pr tawajo dein aur apny parents ki izzat pr kabhi bhi koi hrf na any dein jis ki aap baat kr rahi ho wo tu kuch bhi nahi allaha taala aap ko zindgi mein izzat de ga,
bs thora sa faisla krna difficult hai kiun k yahi aap ny apny nafs se jehad krna hai k wo aap ko ek gunah ki trf mail kr raha hai , laiken aap ny sabt qadam rehna hai aur apni study aur apny parents ki izzat ki fikr krni hai,
He is right. Fourm join kerney ka yahee maqsad hota hai sab ka keh khalti sey seekhney ki bajay barey logon sey seekh lia jay by advise etc. Abhi to woh tmhain class mai ignore kerta hai or ager tm usey life partner ki shakal mai dekh rahe ho to bohat bari ghalti hogi..............
Just ignore him & follow the instruction of Mr.Khokhar tmhain apney waldain or faimly ki izzat ka khayal rakhna hai or apni friends, cousins ko bhee advise kertey rehna hai. Co education mai to perh rahee ho laikin being a muslim apni satter ka khas khayal rakhna.........Europ mai to muslim ladies apni jaan dey rahee hain hijab key liay or afsoos keh pakistan mai koi mana nahi kerta tab bhee hijab to door ki baat kai females ki shalwar qamees bhee na qabley bayan hoti hai.............Yeh tmhari haya hee hai jo tmhain yeh discus kerney per majboor kia hai. Tmhain na sirf khud ko manage kerna hai balkeh apni friends, cousins ko bhee advise kertey rehna hai.
mistake main ny tumhri bat parhi hain sari tu main tumy 1 hi bat kaho ga k is dor main such peyar koi nai karta hain or dosri bat ye hain k tumy jab pata hain k wo tumsy apna matlb nikalta hain tu pher tu tumy os sy door rehna cahy k wo matlb parst insan hain jo k kisi b time tumy chor dey gea or main tumy bato hot ye hain k girl jo k bechari srious ho jati hian k hamra sab kuch ye hain par 1 time ata hain k asa nai hota aj kal koi peyar nai karta hain sab moo ki baty hain or dosri bat ye hain k ager wo such main tumsy srious hain tu apny gahr walo sy tmhri bat kary islami lehaz sy taky tumy pata cahly os ka he is good.baqi main 1 hi bat karo ga k kabi koi asa kam na karna jis ki waja sy tumhri life or sab sy bari bat maa bap ki izat na kahrab ho plzzzzzz girl pehly ye bat nai sochti bad main roti hain k hamry sath keya ho hain tu ALLAH sy dua keya karo appny ly achy ki k inshALLAH sab thek ho jay ga
Group: Members
Joined: 23rd May, 2008
Topic: 42
Post: 4434
Age: 32
Posted on:5th Jul 2010, 12:25am
mistake
app ne agar uss larke ka sath na chora tu appki life ki bhout bari mistake hogi
jo larka ajj se appko use kar raha he appne matlab ke liya wo age life may appke ke sath kiya kare ga?asey mard orton par hi depend karte haien or asey insan ke sath orat hmesha pareshan hi rhti he
app ke liya honest mashwara he ke uss se door rahein or Allah ne chaha tu insahallah appki shadi kisi ache larke se ho jai gi bus appne liya dua karien
ap sachi me bht bari mistake krhi he............us larkay se dur hojaye aur jb b amna samna ho to rasmi salam dua aur study k ilawa koi baat nhi kre...........
ap apni sari tawaja apni zaat per markooz kr le apne liye ap colledge jati he na k uskay liye ap study k liye jati he na k love k liye.............apky parents ne apko colledge perhne k liye bhaja na k larka pasand krne k liye.
jb ap ye bate samjh jaye gi to jaan le gi k apky liye kia sahi hai kia ghalta ma baap kbhi bcho ka bura nhi chahte he.
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.