aik aham wajah yeh hai k mostly parents yeh "chaahtay" haiN k pahlay onkay (tamaam) beTiyouN ki shadiyaaN hojaa.ay... aur onki beTiyouN ki shadi maiN onkay betay bhi (kamaa kar) maali madad karaiN....... oskay baad woh beTouN ki shadi ka "sochengay". aam taur say bhaiyoun ka bhi yehi 'behaviour' hota hai k pahlay banouN ki shadiyaaN hojaa.ay phir....
logic yeh kahti hai k agar har ghar ki yehi 'soch' ho jaa.ay to 'anjaam' yehi hogaa k laRkiyaaN ghar ghar maiN baiThee rah jayenGi......
iss 'soch' ko olaTnay ki zaroorat hai... tamam waldain apnay apnay beTouN ki jald az jald shadiyaan karanay main lag jayain........ onki beTiyouN ki shadiyaan "khud bah khud ho " jayengeeN |