luv-marriage 1. yeh aik tarah say love marriage hai jispar apkay parents razi nahi. apkay parents apsay zeyadah wasee tajarbah rakhtay haiN iss dunya ka aur onsay zeyadah apka koi khair khaah bhi nahi hosakta. lehaza ap apnay parents ki baat maan laiN. aur yeh shadi nah karaiN.
2. shadi ki kaamyaabi k liyeh dounouN ka ham.khayaal hona bhi zaroori hota hai. yahaaN to dounouN gharanouN k masaalak hi juda juda haiN... agar larki sunni ho bhi jaa.ay to laRki k ghar walay to sunni nahi hongay... shadi go 2 afraad k darmayan hoti hai, lekin amalan yeh 2 gharanouN kaa milan hota hai. 2 opposite nazaryaat k hamil gharanay baham kaisay saath mil jul kar rah saktay hain jabkay apkay ghar walay abhi say razi nahi haiN.
3. laRki kahti hai k woh shadi k baad "sunni" hojayegi... farz karain k agar woh kahay k ap shia ban jaa'o to ap ban jaa'o.gay??? agar ap apna "faith" change nahi karsaktay to woh kiyouN karegi???
4. luv marriage k nateejay maiN mahaz shadi k liyeh mazhab ya maslak agar koi change bhi karay to yeh aik "arzi amal" hota hai... jab love -ka-bhoot sar say otartaa hai to log phir apnay apnay mazhab /maslak ki taraf laUt jatay hain... aur 2 opposite nazarya k log aik chat k neechay kaisay khush o khurram rah saktay hain.
5. it's true k shia -sunni ki shadi aam hai aur bahoot si aisee shadiyaaN kaamyaab bhi hoti haiN... magar yeh wahaaN hota hai jahaaN log mahaz rasman /nasban shia /sunni hotay haiN... onki zindagiyouN maiN onkay mazhab /maslak ka koi khaas amal dakhal nahi hota..... bilkul issi tarah jaisay bharat maiN hindu-muslim shadiyaaN hoti bhi haiN aur kamyaab bhi rahti hain... magar yeh woh log hotay haiN jo naam k hindu aur naam k mosalmaan hotay haiN... amalan onka apnay apnay mazhab say koi wastah nahi hota.
6. agar ap aik baa.amal mosalmaan haiN. aur apki zindagi maiN mazhab ki koi ahmita hai to apko aisee shadi nahi karni chhaiyeh jo baad azaaN ap dounouN k beech aur phir 2 familes k beech fasaad ka sabab banay. |