Young~Man
Group: Members Joined: 08th May, 2009 Topic: 2 Post: 70 Age:
33
Posted on:21st Jul 2009, 4:50pm
Mojhe Dard E Dil Do Esa Mojhe dard-e-dil do esa , Sarey dard jo bhula dey
Jo kisi ne bhi na di ho esi pyar ki saza dey,
Mojhe dard-e-dil do esa , Sarey dard jo bhula dey,
Yeh azal se meri aadat ,Woh azal se tumhari fitrat,
Main wafaoun pe wafa don, Tu jafaoun pe jafa de,
Mojhe dard-e-dil do esa, Sarey dard jo bhula de,
Main gya sharab-khaney tere dard ko bhulaney,
Nahi dekha esa saqi mojhe bhar k jo pila dey,
Mojhe dard-e-dil do esa, Sarey dard jo bhula dey,
Hai mera naseeb esa,Tera doush kuch nahi hai,
Main jo fasley mitaon,Tu wo fasley barhaey,
Mojhe dard-e-dil do esa,Sarey dard jo bhula dey,
Hai tumhare hath meri laaj bhi anaa bhi,
Mojhe koi bhi na chahey esey nazroun se gira dey,
Mojhe dard-e-dil do esa,Sarey dard jo bhula dey,
Main woh dard ashna hon, Bina dard kuch na mangoun,
Esey zakhm do mojhe to,Mera aang aanng dua dey,
Mojhe dard-e-dil do esa,Sarey dard jo bhula dey,
Na ho charah-saaz koi,Na rahe koi masiha,
Na koi kaam aa sake,Na koi dua dey,Na koi dawa dey,
Mojhe dard-e-dil do esa ,Sarey dard jo bhula dey,
Sara sara din main roun,Sari sari raat main jagoun,
Maroo teer-e-hijr esa,Gehri neend jo sola dey,
Mojhe dard-e-dil do esa, Sare dard jo bhula dey,
Main kahan se laon Taimor , Woh sitam bhari adaein,
Mere paas dil nahi woh,Jo kisi ko badd-dua dey,
Mojhe dard e dil do esa ,Sare dard jo bhula dey,
Jo kisi ne bhi na di ho, Esi pyaar ki saza dey,
Mojhe dard-e-dil do esa, Sare dard jo bhula dey,
tena
Group: Members Joined: 30th Mar, 2009 Topic: 11 Post: 197 Age:
30
Posted on:21st Jul 2009, 5:42pm
nice very nice
DoN2009
Group: Members Joined: 17th Mar, 2009 Topic: 3 Post: 331 Age:
Posted on:21st Jul 2009, 5:45pm
Young~Man Waaah Waaah
Bhimji
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
Posted on:22nd Jul 2009, 7:47am
Jab sar-e-shaam uss ne zulfoon ko sanwara ho ga Jab sar-e-shaam uss ne zulfoon ko sanwara ho ga,
Hath main kangan, aankh main kajal awara ho ga,
Uss ke jooray main saja woh sufaid gulaab,
Raat ko sotay main kisi ne tou utara ho ga,
Aalam-e-tanhai main shab bhar karwatain le kar,
Koi tou ho ga jissay uss ne pukara ho ga,
Haye woh neend main doobi hui makhmoor aankhain,
Jis ne dekha woh dil wahin pe hara ho ga,
Uss ke be-taab larztay huay hontoon pe Faraz,
Humain yaqeen hai machalta hua woh naam hamara ho ga
Bhimji
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
Posted on:2nd Aug 2009, 8:11am
Ye barishain b tum c hain Ye barishain b tum c hain,
jo bars gai to bahar hain ,
Jo thehr gai to qarar hain,
Kabi a gai yun he besabab,
Kabi chaa gau yunhe roz o shab,
Kabi shor hain kabi chup c hain,
Ye barshain b tum c hain,
Kissi yaad main kissi raat ko,
Ik dabi hui c raakh ko,
Kabi yun hawa ko bujha dia,
Kabi khud se khud ko jala dia,
Kahin bond bond main gum c hain,
Ye barshain b tum c hain,
Bhimji
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
Posted on:3rd Aug 2009, 8:28am
Yun akelay mai usay Ehd-e-Wafa yad aye Yun akelay mai usay Ehd-e-Wafa yad aye
Jaisay banday ko museebat mai Khuda yaad aye
Jaisay bhaktaky howay Panchi ko nasheman apna
Jaisay apno kay bicharnay pe Dua yad aye
Jaisay dhalti hoi shaamoo ko sawaira koi
Jaisy pinjaray mai parinday ko Fiza yad aye
Jaisay boorhay ko khayalat mai bachpan apna
Jaisay bachay ko shararat pe saza yad aye
Jaisay ujri hoi basti ko zamana apna
Jaisay Toofaan kay thehrnay pe Dia yaad aye
Bhimji
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
Posted on:19th Aug 2009, 7:14am
Chaand kay tamannai Chaand kay tamannai,
Shahar-e-dil ke galiyoon main,
Shaam say bhatak'tay hain,
Chaand kay tamannai,
Bay qaraar sodaai'ee,
Dil gudaaz tareeki,
Jan gudaaz tunhai,
Rooh-o-jaan ko dastee hai,
Rooh-o-jaan mein bastee hai,
Shahar-e-dil ki galiyoon main,
Taak shab ke bailoon par
Shabnameen sarkashoon kee,
Bay qaraar logoon nay,
Bay shumaar logoon nay,
Yaad'gaar choori hai,
Itni baat thori hai ??
Sadd hazaar batain theen,
heelaaa-e-shakeebayai,
Sourtoon ki zay'bayee,
Qamtoon ki ra'nayee,
In sayaah ratoon main,
Ik bhi na yaad aiee,
Ja baja bhataktay hain,
Kis ki raah taktay hain,
Chaand kay tamannai,
Yeh nagar kabhi pehlay,
Iss qadar na vairaan tha,
Kehnay wallay kehtay hain,
Qaryaa nagaraan thaa,
Khair apnay jeenay kaa,
Yeh bhi aik samaan tha,
Aaj dil mein vairaani,
Aabr ban kay ghir aiee,
Aaj dil ko kaya kahiyay,
Be wafa na har jayee,
Phir bhee loug divaanaay,
Aa gaey hain samjhanay,
Apni wahshaat-e-dil kay,
Bun liay hain afsaanay,
Khush khayaal duniyaa nay,
Garmiyaan tu jaati hain,
Woh rutaain bhi aati hain,
Jab malool ratoon main,
Dostoon ki batoon main,
Jee na chain paye ga,
Aur aoob jaye ga,
A'ahatoon say gounjay gee,
Shahar e dil ke punhayee,
Aur chaand ratoon main,
Chandini kay shaydayee,
Har bahanay nikllain gay,
A'azmanay niklaain gay,
Dhoondhnay ko ruswayee,
Sard sard ratoon ko,
Zard chaand bakhshay ga,
Bey hisaab tunhaii
Bey hijaaab tunhaii
Shaahar-e-dil ke gailiyoon main....!!!
saim1
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
Posted on:19th Aug 2009, 7:18am
wah wah wah wah jab sar-e-sham uss ney zulfon ko sawara hoga
wah
very nice
Be Happy
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
Posted on:19th Aug 2009, 7:56pm
wow bhimji very nice Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai,
Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai,
Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho,
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai,
Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey,
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai,
Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas,
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai,
Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi,
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai... )
saim1
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
Posted on:19th Aug 2009, 8:09pm
wow nice poetry
Be Happy
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
Posted on:20th Aug 2009, 2:25am
Mohabbat Hum Ne Jo KI To Ik Khata Ho Gai
Mohabbat HUM Ne Ki Jo Ek Khata Ho Gai Ki Wafa Zndgi se Saza Ho Gai Wafa Karte Rahe HUM ibadato Ki Tarha Phir ibadat Khud Ek Gunah Ho Gai Ktna Suhana Tha Safar Jab Sath Thy HUM Phir Kiya Howa Q Manzil Juda Ho Gai Koi Chahat Koi Hasrat Koi Umeed Nahi Rahi wo Gaya To Laga Dunya Fana Ho Gai Ye Dua Ki K Jise Chahe Wohi Mile TUJHE Par Ye Dua Apne Liye Bad-dua Ho Gai Abhi Kuch Dair Huwi USY Yaad Karte Huwe Ye Aaj Q itni Jaldi Subah ho gai...
Be Happy
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
Posted on:20th Aug 2009, 2:49am
Wo nahi mera...
wo nahi mera mager us se MUHABBAT HE TO HAI yeh agar rasmo riwajon se bagawat he to hai sach ko maine sach kaha jab keh diya to keh diya ab zamaney ki nazar maein ye himaakat he to hai dost ban kar dushmano sa wo satata hai mujhe phir bhi us pathar dil pe marna apni fitrat he to hai kab kaha mainey k wo mil jaye mujhko uski bahon mein dum nikle ithni hasrat he to hai
saim1
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
Posted on:20th Aug 2009, 4:27am
poetry
rakkh nahee saktey
hUm Apnay dArd LafzOn Kii zUbaani Rakh Nahi Saktay Qlam Kii nOak Par kOii Kahaanii Rakh Nahi Saktay
mUhabbat Kar tO Saktay hAin hUmara Almiya Yeh hAi K hUm Tawaan Mein Apni Jawaani Rakh Nahi Saktay
mUhabbat Kaiynatii Beej hAi Yeh TaSleem hAi Lekin Zameen Zaaday hAin Jazbay AaSmaanii Rakh Nahi Saktay
hUmara Ishq Bala hAi tUmharii SOch Kii Had Say kOii KanGan kOii ChOorii NiShaanii Rakh Nahi Saktay
hUmien tO Zard rUtt Nay Qaid Kar Rakha hAi Kuch Aisay kOii Umeed AankhOn Mein Suhaanii Rakh Nahi Saktay
Chalo Kuch PhOol Lay Aaien Naii Khwaahish Kay mOusam Say Naye Dalaan Mein Yaadien Puraanii Rakh Nahi Saktay
Para hAi WaSta "Amjad" mUhabbat Ka YaZeedOn Say Yahaan hUm Apni AankhOn Mein Bhi Paanii Rakh Nahi Saktay
saim1
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
Posted on:5th Sep 2009, 5:22am
poetry
Kisi bhi dukh par malaal
Kisi bhi dukh par malaal kerna na usko aaya na mujko aaya Wafaaoun ko lazawaal kerna na usko aaya na mujko aaya
Jo faslay thay inhain mitana agharchay dono hi chahtay thay Maghar taaluq bahaal kerna na usko aaya na mujko aaya
Dhukhon main doobi sadaayen sun kar na wo roya na hi main tarpa Kay rouh ko maala-maal kerna na usko aaya na muj ko aaya
Duwa kay roshan chiraagh apni hatheliyun par jalaey hum nay KHUDA say lykin sawaal kerna na usko aaya na mujko aaya
saim1
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
Posted on:5th Sep 2009, 5:25am
poetry
Na janay kitney baras Na janay kitney baras beet gaye intezaar mein sochon ki waadiyon mein, tanhai ke ghar mein
Na ghairon se shikayat Na Hi Apno se gila hai Shayad ke reh gayi thi kami mere pyaar mein
Budqismati ne gul-o-gulistaan nahi bakhshay gulshan ko ujartay hovay dekha bahaar mein
Chahay koi bhi chaal ho, koi bisaat ho Na jeet ki khushi na koi ghum hai haar mein
Aankhon ki roshni hai salaamat magar Kya Khaak nazar ayega gard-o-ghubaar mein...Theard Closed... Moderator
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 >>