Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
31
|
|
Posted on:4th Mar 2009, 8:26pm |
|
|
Poetry: Na Neend Rehi Na Chain Raha
na neend rehi na chain raha apne kamre mein beth kar lagta hai kuch ese…. Jese safer kar raha hon Shahyed achey pal ka Ya shayed es duniya se…. Ruswa hone ka. Written Veer .......................................... Kisi ki chahat bhi dard deti hai Kisi ki nafrat bhi dard deti hai Yeh duniya hai he esi Veer Bas dard-e-ghum deti hai Written Veer
|
M Asif
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2008 Topic: 4 Post: 794 Age:
|
|
Posted on:4th Mar 2009, 10:49pm |
|
|
Dard... Yeh qarb ka tufaan guzarta kun nahin,
Dil toot gia hai to bikharta kun nahin,
Aik he shahks ko chahta hai kun itna,
Koi dosra is dil mein uterta kun nahin,
Her baar uski be-rukhi pe pyar ata hai,
Dil uske ravaye pe akarta kun nahin,
Kehnay ko to woh dard aik lamhay ka hai,
Magar woh dard ka aik lamha guzarta kun nahin........... |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 31 Post: 2017 Age:
48
|
|
Posted on:5th Mar 2009, 2:55am |
|
|
Asif. very nice sharing.. |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 31 Post: 2017 Age:
48
|
|
Posted on:5th Mar 2009, 3:12am |
|
|
veer bhi mein ne sumja k ye thread Asif ne open kiya,khair mujy ub ye ehssas ho rah he k ubi tuk aap afsurda hein mein aap k liye poetry zaroor likhoon ga aur kindly aap apny hissay k dukh humein de dijye hum se bardasht nahi ho rah realy.... |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:5th Mar 2009, 5:30am |
|
|
Jin lamhoon main hum sath rahe Kuch yaadein hain unn lamhoon ki,
Jin lamhoon main hum sath rahe,
Khushiyun se bharre jazbaat rahe,
Ek umer guzaari hai hum ne,
Jahan rotay huay b hastey thay,
Kuch kehte thay kuch suntay thay.
Hum roz subha jo miltay thay,
Tou sab ke Chehre khiltay thay,
Pur-lutf woh manzar hota tha,
Sab mil kar baatein krte thay,
Hum socho kitna hanstey thay,
Woh goonj hamarey hansney ki,
Ab aik puraani yad hai,
Yeh baatein hain unn lamhoon ki,
k jin lamhoon main hum sath rahe... |
Gram Msala
|
Group: Members Joined: 02nd Mar, 2009 Topic: 2 Post: 69 Age:
28
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 2:41am |
|
|
Nice Poetry behad achi lagi sab ki dukhi poetry.
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 7:29am |
|
|
Kaha Tha Yaad Hai Tum Ne Kaha Tha Yaad HaI, Tum Ne K
Me Hon Chand Aur Tum Chandni Meri
Magar
Jab Chand Chup Jayen Kaho Phir Chandni Kesi
Kaha Tha Yaad HaI, Tum Ne K
Main Hon Phool Or Tum Phool Ki Khushboo
Magar
Jab Phool Murjha Jaye Kaho Khushboo Bhala Kesi
Kaha Tha Yaad Hai, Tum Ne K
Main Ho Dil Tum Ho Dharkan
Magar
Dil Toot Jayen To Kaho Phir Dharkaney Kesi
Kaha Tha Yaad Hai, Tum Ne K
Me Hoon Aas Aur Tum zindagi Meri
Magar
Jab Aas Toot Jayen To Kahoo Phir zindagi Kesi |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:6th Mar 2009, 7:53am |
|
|
Abhi ghar na Jana Abhi Ghar na jana
Yeh bikhri zulfain
Yeh phhela sa kajal
Yeh bheega sa kajra
Yeh simta sa aanchal
Tere haal se Log
Pehchaan len ge
Tujhe dekh kar sab
Mujhe jaan len ge.
Yeh behke qadam
Larkhrati jawani
Yeh betaab dil
aur muhabbat deewani
Shafaq jese gaalun pe
Ubhri hui hai
Mere hontun ki ik mehakti nishani
Tere jisam se urrti
yeh meri khushboo
Suna de gi har ik ko sari kahani
Na ban jaaey apne milan ka afsana
Abhi Ghar na jana, Abhi Ghar na jana,
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:7th Mar 2009, 4:38am |
|
|
wah wah wah Bhimji, kia poetry ki hai aap ne.
Kamal kar dia hai.
Aisi poetry sirf aap hi kar skte hain..
(yar Khuda ke liey beshak poetry na prrha karo par tareef tou kar dia karo. Ab bnda potery likhh likhh ke mar jata hai. Ab samajh aai shayer bhookay kyun marte hain...lols) |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:7th Mar 2009, 4:45am |
|
|
Kaho tou lot jaate hain. Abhi tou baat lamhoon tak hai sadiyun tak nahin aai,
Abhi muskaan ki nobat b hontoon tak nahin aai,
Abhi tak koi majboori kheyaloon tak nahin aai,
Abhi tou gard peroon tak hai baalun tak nahin aai,
Kaho tou lot jaate hain
Tumhara sath gar mil jaaey,
Tou zamaane se uljhna baat hi kia hai,
Agar tum chhor 2 mujhko meri oqat hi kia hai,
Mere baare main na socho tum apni baat batlao,
Kaho tou Chalte rehte hain,
Kaho tou lot jaate hain.. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:7th Mar 2009, 5:15am |
|
|
bhim ji sahib bohat umda:) mujhay kiya pata tha aap yahan bhi poetry kar rahe hain main samjhi veer bhai ko dilasa de rahe hongay:)) |
Gram Msala
|
Group: Members Joined: 02nd Mar, 2009 Topic: 2 Post: 69 Age:
28
|
|
Posted on:7th Mar 2009, 11:47pm |
|
|
Aane wala aa jaati thi saari dunya
aaj tanha hoon to koee nahi aane wala.
muntazir kiska hoon tooti howi dehleez pe mein
kaun aaega yahan, kon hai aane wala.
mein ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koee khwab ki taabeer batane wala.
tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho Faraz
dost hota nahi har haath milaane wala
|
Gram Msala
|
Group: Members Joined: 02nd Mar, 2009 Topic: 2 Post: 69 Age:
28
|
|
Posted on:7th Mar 2009, 11:51pm |
|
|
Kisi Din |
|
Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din
Phoolon ki tarha "husn" ki baarish mein naha loon Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
|
|
Gram Msala
|
Group: Members Joined: 02nd Mar, 2009 Topic: 2 Post: 69 Age:
28
|
|
Posted on:7th Mar 2009, 11:56pm |
|
|
Main Aur Meri Tanhai
Rehtey Hain Saath Saath Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Kartey Hain Raaz Ki Baat Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer Main~*~
~*~Kartey Hain Basar Raat Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Saath~*~
~*~Lakin Rahain Gay Saath, Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi "saad"~*~
~*~Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Aa K Paas Kyon Door Ho Gaye Hum Se~*~
~*~Kartey Hain Teri Talash Main Aur Meri Tanhai
|
Gram Msala
|
Group: Members Joined: 02nd Mar, 2009 Topic: 2 Post: 69 Age:
28
|
|
Posted on:8th Mar 2009, 12:58am |
|
|
TamannaooN ko zindaa aarzuoN ko jawan kar luuN tamannaaoN ko zindaa aarzuoN ko jawaaN kar luuN
yeh sharmiili nazar kah de to kuchh gustaakhiyaaN kar luuN
bahaar aaii hai, bulbul dard-e-dil kahtii hai phuuloN se
kaho to maiN bhii apnaa dard-e-dil tumse bayaaN kar luuN
hazaaroN shoKh armaaN chutkiyaaN le rahe haiN dil meN
hayaa unkii ijaazat de to kuchh be-baakiyaaN kar luuN
koii suurat to ho duniaa-e-faani meN bahalne kii
Thahar jaa aye jawaani maatam-e-umr-e-ravaaN kar luuN
mujhe donoN jahaaN meN ek voh mil jaayenge gar Mustafa
to apnii hasratoN ko be-nayaaz-e-do-jahaan kar luuN
|
Gram Msala
|
Group: Members Joined: 02nd Mar, 2009 Topic: 2 Post: 69 Age:
28
|
|
Posted on:8th Mar 2009, 1:10am |
|
|
Ye apnu ka he war kam kar gaya apne geetu mai dal kar nelam kar geya ek esa shaks tha jo badnam kargeya wo mere dushman he the jo dohndty rahy zamany bar mai ye apnu ka he war hai jo kam kar geya
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:9th Mar 2009, 9:53pm |
|
|
na shikaayaten na gilaa kare na shikaayaten na gilaa kare
koii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baatain kiyaa kare
kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar hansaa kare
merii qurbatain merii chaahatain
koii yaad kare qadam qadam
main taviil safar main hun agar
merii vaapasii kii duaa kare |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:9th Mar 2009, 9:57pm |
|
|
dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai itanaa besimt na dord lauT ke ghar jaanaa hai us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai jaise paanaa hii use asl main mar jaanaa hai bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaaii kyaa hai dil ko rukanaa hai ki taaron main Thahar jaanaa hai kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke us ko har taur suu-e-dasht-e-sahar jaanaa hay main khilaa huun to isii Khaak main milanaa hai mujhe vo to Khushbuu hai use agale nagar jaanaa hai vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil har musaafir ko isii ghaat utar jaanaa hai |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:9th Mar 2009, 11:05pm |
|
|
Garam masala interisting shair ..keep it up.
Uetian
nice poetry |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:10th Mar 2009, 7:38pm |
|
|
bahana us ka acha hai bahana us ka acha hai woh kehta hai nahin hain hum bane ik dosray k wastay shaed mager is ka b hul hai k koi us se zara poochay ager apni duaaoon se naseeb apna badal doon to bahana kya trashay ga? |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 >> |
|