TUM BIN
|
Group: Members Joined: 19th Mar, 2007 Topic: 5 Post: 18 Age:
33
|
|
Posted on:7th Apr 2007, 9:31pm |
|
|
Olad nhi hoo gee.... I AM 25 YEARS OLD Assalam-o-Alaikum Dr. sab & Members main aap k saath apna aik problam share kerna chahta hoon.main ny pehly bhee aap ko bataya tha k mjy bachpan sy hormonic problam hai shave bhee nhi aa rahi thee jis k liyee mjy her week TESTOVERON ka injection lyna perta hai.ab jo mere tests reports ayee hain un k mutabik main apni wife k saath sex tou ker sakta hoon lykin main kabhi baap(father)nhi ban sakta.ab ager yee baat main kisi larki i mean apni fiance ko batata hoo tou wo muj sy shadi nhi kery gee bal.k koi larki bhee muj sy shadi nhi kery gee.tou ab main kia kero larki ko apny problam k bary main na bataoo tou yee uss k saath nainsafi nhi hoo gee main kia ker sakta hoon?Please Help Me aur Dr. sab iss injection k koi side effects tou nhi hooty.aur inn ko ziada use kerna harmfull tou nhi Thanks ALLAH HAFIZ
|
Zain_ali
|
Group: Members Joined: 14th Mar, 2007 Topic: 2 Post: 281 Age:
34
|
|
Posted on:8th Apr 2007, 7:08am |
|
|
 first thing jo humare society main aum hain ka hum her baat ko sub sai pehle negative souchte hain then positive kaye taraf atye hain . main ap ko galat nahi kah raha lakin zaroori nahi ka aap agar such bolo toa woai ap sai shadi na keraye lakin jhot bol ker bai toa koye zamant nahi hain ka aap khush rah sakwo gaye . mere khial main ap ko such bolna cahye . asee laye kyon ka agar ya sub shadi ka baad bai pata chalye ga aur tub bai toa seperation etc ho sakti hain . (its my personal opinion) aur such bola toa shadi nahi ho gaye (maybe) lakin ho bai toa sakti hain
yaar in the end wht i should have to say don't know coz u can better understand that girl which is ur fiance and their parents. koye bai maa baap nahi cahte ka anhai kaye olad kaye olad na ho |
saruzi
|
Group: Members Joined: 25th Mar, 2007 Topic: 3 Post: 53 Age:
38
|
|
Posted on:8th Apr 2007, 8:43am |
|
|
I am impressed
Dear Tum Bin,
Asslam-0-Allakum ,
To be honest I am really impressed by the courage shown by you , in our society accepting to be infertile for men is examplery.I total agree with Zain_ali he says rightly cause there is no guarantee to remain happy if you dont tell your fiance.
Meray bahi Allah neetooon kaay haal khub janta haay oar amlooon ka daromadar neeton paay haay , agar aap sab kuch sach batatay hain ais neeet say kaay oas larki kee zindagee kharaab na hooo , then mujhey yaqeen haay Allah nain aap kee neet kaay badlay main aap ko bohat achee larki dainee haay and dosri baat kaay Allah haar cheez paay qadir haay har cheez ka maalik haay , Allah aap ko khusian daay, meri saab members saay request haay kaay apnay ais bahi kaay liye dua karain Allah ain paay apna khaas karam karay oar ain kee achee neeet kaay badlay main ainheen khushion saay nawazay.
Ameen
Allah Hafiz |
Dr Rizwan
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 1 Post: 513 Age:
47
|
|
Posted on:8th Apr 2007, 1:46pm |
|
|
Never tell a lie Never tell a lie. There are number of women who can marry with a banjh man but never agree to marry with a lie person.
|
Zain_ali
|
Group: Members Joined: 14th Mar, 2007 Topic: 2 Post: 281 Age:
34
|
|
Posted on:8th Apr 2007, 2:59pm |
|
|
 who told u that u r banjh |
khan_80
|
Group: Members Joined: 09th Mar, 2007 Topic: 8 Post: 2594 Age:
34
|
|
Posted on:8th Apr 2007, 4:00pm |
|
|
infertility in males be brave and tell everything to the girl u r going to marry. if she loves u and understands u then she will definitely admire ur courage and will understand ur problem.
also remember that ALLAH is very kind. u may got children after treatment. keep faith on ALLAH.
think positive. |
sitarazeem
|
Group: Members Joined: 12th Mar, 2007 Topic: 19 Post: 54 Age:
26
|
|
Posted on:8th Apr 2007, 4:45pm |
|
|
must read Assalamoalikum...how r u tum bin bhai maine aapki post perhi mera manna yeh ha k aapko apni fiyounce sai jhoot nhi bolna chahiya agar woo aap sai piyar kerty hai tou aisa bhi shadi keraigi werna baad mai bhi tou usko pata chalaiga hi na uska ilawa aap treatment gari rakhya or dekhya bhai aga wife understanding ho tou aap shadi k baad koi new born baby hospital sai adopt bhi ker saktai hain im also adopted but mugha mera maa baap na apnai bachoun sai berh kar piyar diya ha ya phir agar aap samaghtai hain k aisa koi larki shadi nhi keraigi tou aap koi aisi larki jo bewa ho ya jehaiz(dowary) afford na ker sakty ho ya talak yafta ho but yeh dekhya gaa k wife ki nature achi ho bacha tou adopt bhi kia jaa saktai hain...take care bye |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:8th Apr 2007, 6:27pm |
|
|
jhoot nahi bolo abhi se yeh jhoot bolne ka bahana ka mashwarah mang rahe hai. shadi ke bad tu sare mard jhoot bolte hi hai. shadi se pahle tu jhoot nahi bolo.
|
TUM BIN
|
Group: Members Joined: 19th Mar, 2007 Topic: 5 Post: 18 Age:
33
|
|
Posted on:8th Apr 2007, 9:36pm |
|
|
Thanks Friends..... |
TUM BIN
|
Group: Members Joined: 19th Mar, 2007 Topic: 5 Post: 18 Age:
33
|
|
Posted on:8th Apr 2007, 9:42pm |
|
|
Thanks Friends..... Assalam-0-Alaikum
ok Friend main kal apni Family aur apni Fiance sy Sub Such Such Bolny Wala hoon wo mere Cousin hai aur main us ko boht chahta hoon uss ko kisi kimat per khona nhi chahta aap sub k aur apny zameer k kehny per main apni zindagi ka boht bara risk lyny ja raha hoon Please aap sub log mere favour main Dua kerna.kia hoo ga aap sub ko zaroor inform kero ga INSHALLAH.
ALLAH HAFIZ
|
saruzi
|
Group: Members Joined: 25th Mar, 2007 Topic: 3 Post: 53 Age:
38
|
|
Posted on:9th Apr 2007, 1:25am |
|
|
Tum Bin
Bahi Tum Bin,
Asslam-0-Allakum,
Allah aap ko asanian farhaam karay , meray bahi meri personal views main yeh baat sirf apni cousin*mangaitar* ko batao , abhi apni family main zikar naa karooo, kion kaay baqool shaaira *** Baat niklay gee to dooooooooor talaak jaye geee*****.Apni cousin ko shamil kar loo ais secret main but not the family right now ,,,, and if she refuses to marry and ur family ask the reason then tell them other wise remain silent. May Allah bless you and your family.
Allah Hafiz |
TUM BIN
|
Group: Members Joined: 19th Mar, 2007 Topic: 5 Post: 18 Age:
33
|
|
Posted on:11th Apr 2007, 3:31am |
|
|
MJY INKAR HOO GYA HAI... Assalam-o-Alaikum
Members mjy inkar hoo gya hai.SUCH un logon k samny bola jata hai jin k seny main dil hota hai.itni takleef(aziyat) shayed death k waqt na hoti hoo jo main inn 2 dino sy bardast ker raha hoon.Lykin main khush hoon Iss main Mery ALLAH ki koi na koi Maslihat Zaroor hai. |
cherry
|
Group: Members Joined: 10th Apr, 2007 Topic: 9 Post: 124 Age:
31
|
|
Posted on:11th Apr 2007, 6:49am |
|
|
be brave mere bhai....mai es forum main sirf aap ki waja se aii hoon. b/c i have the same problem...mai ne apne fiance ko sab kuch sach bata diya kiyu k mai apne zameer par bojh nahi rakhna chahti thi. aur agar yeh baat un ko shadi k baad pata chalti to unke saath naa-insafi hoti. aap samajh sakte hain naa k hamari society mai larki ka yeh problem hona kitni bari baat hai. but mere fiancee ne yeh sab sun kar bhi mujhe tasali di aur kaha k es sab mai mera koi qusoor nahi. kiya koi apni marzi se beemar hota hai. yeh sab allah ki taraf se hai. aur unko es cheez se koi farak nahi parta.
aap ne yeh ghalti kar di ke sab ke samne apni baat khol di. aap ko sirf apni fiancee se baat karni chahiye thi......khair jo howa, so howa.... hope 4 the best....hosakta hai k woh log apni ghalti realize karlen aur aap ko accept karlen....wait and watch... allah se dua karo aur apni fiancee ko samjhane ki koshish karo.
all the best. |
ZedBoy
|
Group: Members Joined: 10th Apr, 2007 Topic: 1 Post: 5 Age:
28
|
|
Posted on:12th Apr 2007, 5:22am |
|
|
 Yar tum aiesay he pareshan hou. Allah sae mango ke Allah tumko theek kar day aur Aulaad bhi day.
You see, nothing is difficult for Allah Subhanahu Wa Ta'aala. I would suggest you to do Istekhaara. That would be the best way to find out what you should be doing.
Laikin dekho, Allah Ta'ala he jisay chahta hai baitiyan daita hai, jisay chahay baitay daita hai, aur jisay chahay kuch bhi nahi daita. Tum Allah sae mango, Allah paak ke liye tou 1% bhi Mushkil nahi hai tumko theek karna.
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|