Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Editing options

Suggestions
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7664  Age:  55  
Posted on:3rd Mar 2014, 7:20am
 

Editing options

mujhay editing options nazar to aatay haiN... lekin kissi reply ko edit karo to finally edit nahi hota... agar to editing power khatam kardi gayee haiN phir to Theek hai...lekin agar yeh koi system error hai to issay dekh lia jaa.ay.
bushra2012 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 625  Age:  21  
Posted on:4th Mar 2014, 5:18am
 

Same problem

Aik to jmod ke ikhtiyaraat kam hotay hein. Doosray moderation mumkin naheen ho pa rahi. Mein ne pehlay bhi share kia iss topic mein:

Topic: Request To Admin For Vulgar Member ID
Link: http://www.forum.noorclinic.com/thread.php?topic=31801

Post #15 hai.

Ab soorat-e-haal ye hai ke duplicate topic ya multiplicate topic post ho rahay hein. Unko correct nahen kia ja sak raha.
Duplicate post theek nahen ki ja sak rahe.
Abusive post jis mein aik doosray ko be-ghairat waghera kaha gya hai unko correct nahen kia ja sak raha.
Post delete ki option smod ke pas hai shay wo bhi kaam nahen kar rahi.
Topic ke subject vague daalay hotay hein users ne woh bhi correct naheen kiye ja sak rahay, jis se forum ki usability mutassir ho rahi hai.

Loag dharadhar email aur phone number share kar rahay hein usko bhi theek nahen kia ja sak raha.
Profile mein bhi share kar rahay hein usko smod kam visit kar rahay hein islye shayd correct nahen kia ja raha ya phir unko bhi wohi problems aa rahi hein. Agarche intizamia ki janib se bara sa banner laga dia gya hai ke aisay users ko block kar dia jayga.

Akhir ye sab kia hai?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7664  Age:  55  
Posted on:4th Mar 2014, 6:55am
 

System Error hosakta hai

i think k sytem error hai ... kaheeN koi technical gaR baR hai jissay technical mod /admin hi remove kaarsakta hai .....

Guide Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 5  Post: 962  Age:  51  
Posted on:4th Mar 2014, 7:48am
 

edit error

yes yeh technical error hai, jo keh technical moderator hi sahi ker sakti hai ..... ham log sirf dua ker saktay hai keh technical moderator zara idhar bhi tawajjoh karain.
Saba KM Group: Members  Joined: 09th Jan, 2014  Topic: 1  Post: 83  Age:  34  
Posted on:4th Mar 2014, 9:49am
 

mafi chahti hn pr zuba pe ai bt ko lotana ni chahti

ap logon ko Vulgar replies ki bht tension rehti hy jb ke ap mein se bht si mod aksr galt alfaz ko intekhab krty hn results ko break krty hn khair sarai sex ko promote krty hn unko replies ko pahrny wala galt qisam ki sochon mein prta hy jinsi-isteyal peda krny waly topic banaty hn ya asy topic pe khud mods replies krty hn bht zahda hosala baraty hn khair-sarai sex krny ke liye
haqekat tu yh hy ke batein bari hn bs sirf btein achy topics pe ya zahrori topics pe member wait krta rehta hy ur fahashi waly topics pe replies ki bharmr lagi hoti hy is site ke senior mods ko fikar ni hoti ke yh site kis taraf le ja rahi hy hamari nai nasal ho bht se sawal uthty hn marey zehan mein magar mjy pta hy bht se logon ko meri btein chubi hn ur sawal likhny pe zhda chubny lagein gi nai nasal ki kisi ne theka jo ni liya hova ab kaam niqaly bs woh tu wahsy bi begr rahi hy bhala hum q apna hisa dalein isy thek krny mein bs yh soch reh gi hy koi apna hisa dalna q ni chahta???
bushra2012 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 625  Age:  21  
Posted on:5th Mar 2014, 7:05pm
 

@Saba KM

1. Aisi baat karein he nahen jisko kehnay se pehlay he aapko maafi maangni par jay.

2. Topic par ghair-mutalliqa post na karein. Ye topic editing aur moderation ke baaray mein hai. Sirf isi baaray mein guftugu karein.

3. Agar moderators ghalat alfaaz ka intekhaab kartay hein to aap Suggestions category mein is tarah ki chezon ko point out karnay ke lye naya topic bana lein: 'Moderators ke istemaal kye huay ghalat alfaaz' aur wahan apni ranjish bayaan karein.

4. Moderators ko vulgar replies ki tension na rahay to kia achi replies ki tension rahay?

5. Forum intizamia ne sab ko azadi-e-izhaar ka haq de rakha hai. Agar aap mehsoos karein ke kisi topic mein kisi fard ne aisi baat karnay ko kaha hai jo sharai taur par ghalat hai to wahaan aapko post karnay se kisi ne naheen roka. Aap bajay yahan ye kehnay ke, usi topic mein kahein ke ye ghalat hai.

6. Moderators ko jo zimmedaari di gai, uska ta'ayyun aapka kaam nahen. Lekin aap apni sahulat ke lye Suggestions category mein puranay topics dekh lein to aapko pata chal jayga ke jin tamam baton par aapne aiteraaz kia hai wo sab to moderators ka kaam he nahen.

7. Members aaqil aur baligh hein aur apna faisla khud kar saktay hein. Moderators ya intizamia members ko majboor nahen kar sakti ke wo kis topic par post karein. Members agar fahashi walay topic (jo aapke hisaab se fahashi walay honge - warna fahashi ka jo standard NCF ka kahi us standard par jo topic fahash hein unko delete kar dia jata hai) par post karna chahtay hein to inhein koi rok nahen. Agar wo sanjeeda ya zaroorat walay topic par post nahen karna chahtay to intizamia unhein post karnay par majboor nahen kar sakti. Aap apna farz nibhaen. Agar aapko koi zaroorat wala topic lagta hai wahan aapki reply nazar ajay to acha hai.

8. Aap har tarah ke sawaal likh lein chubhein ya na chubhein. Is kaam ke lye aap naya topic bana lein. 'Editing options' walay topic se iska koi talluq nahen. Ye topic jald ban jay to acha hai warna ye samjh lia jayga ke karna karana kuch nahen bas tanqeed karnay aai hein.

9. Aap ne 9th Jan 2014 ko forum join kia. Agar abhi tak nahen samajh saki hein ke ye forum nai nasal ke sawalaat ke jawabaat medical aur religion ke hisaab se theek dye jaen to aap 6 maheenay tak post na karein aur sirf reading karein.

10. Theek imlaa ka istemal karein. Alfaaz ko namukammal na chorein. 'zuban' ko 'zuba' na likhein. 'Ghair-sharai' ko 'khair sarai' na lakhein. 'Ziada' ko 'zahda' na lakhein. 'Baat' ko 'bt' na likhein. 'Zaroori' ko 'zahrori' na likhein. 'Hein' ko 'hn' na likhein. 'Bharmaar' ko 'bharmr' na likhein. Agar aap theek karnay mein nakaam hein to us waqt tak post na karein jab tak aap isko behtar na bana lein.

11. Paragraph, sentence waghera ka khyal rakhein. 203 alfaaz ka mazmoon baghair aik bhi full stop ya comma istemaal kye bayaan na karein. Agar aap is nuktay aur nukta #10 wali cheezon par amal karnay mein nakaam hein to teesri jamaat dohra lein.

@Guide

Ab pata chala ke jmod aur smod ke ilawa tmod bhi paay jatay hein. Magar kahan?
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 17  Post: 878  Age:  24  
Posted on:6th Mar 2014, 1:09pm
 

same problem with me

edit kerna to door ki baat main to koi new topic bhi post nahn ker paa raha.
alone but happy Group: Members  Joined: 11th Dec, 2012  Topic: 8  Post: 857  Age:  22  
Posted on:6th Mar 2014, 6:08pm
 

A.o.a .ham b esilie nahi aa rahy yahan

Kuch b samj nahi aa rha kbi doubal posting or kbi site on hi nahi hoti.
Saba KM Group: Members  Joined: 09th Jan, 2014  Topic: 1  Post: 83  Age:  34  
Posted on:7th Mar 2014, 4:01pm
 

yahan reply karon yah kisi topic mein bhala yeh kyun 'Zaroori' hay

jab mai forum pe 1 registered member hon aur Forum intizamia ne sab ko azadi-e-izhaar ka haq bhi diya hova hay tu mai apni izhaar yahan karon yah Suggestions category mein is se kya farak parhta hay asal maqsad tu apni raye ka izhaar karna hi hay na jab ke mai ne pehly hi se mafi bhi maang li thi insani zaat ke bana'ye hovey asoul hi tu hain Na .............

meri 'Baat' ki asal gehrai tak shayad bohat hi kam log pochein
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 17  Post: 878  Age:  24  
Posted on:7th Mar 2014, 4:04pm
 

saba g

Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 17  Post: 878  Age:  24  
Posted on:7th Mar 2014, 4:05pm
 

saba g

jia jagah aik baat ho rahi ho aur aap ja ker apni hi qwali shuru ker dain to aap ka mazaq bhi uraya jai ga aur yai majlis kai aadab kai khilaf hai
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4675  Age:  30  
Posted on:15th Mar 2014, 6:41am
 

editing problem

editing option na honay ki wajah se yeh prob horaha hae k proper gap nahi diya jaraha reply kartay huwe. main jitni bhi space de louN paragraphing nahi ho parahi jo pehlay main edit kar k Thek kar deti thi.
bushra2012 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 625  Age:  21  
Posted on:15th Mar 2014, 3:14pm
 

@Maryam

Taqreeban 9 March 2014 se system behtar tareeqay se kaam kar raha hai.

Kam se kam firefox aur chrome par. Editing theek hai, pages bhi theek load ho rahay hein. Kabhi kabhi service sust ho jati hai 5 minute ke lye. [Magar smods ki kami mehsus ho rahi hai kyunke profile alter ki authority unhe ke pas hai].
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How To Get Visa For China  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013