reply to questioner
re "salam plz help me i am a muslim but mene quran nahi prha hai or meri kuch esi majboriyan hein k ghar se bahar ja ky quran ki taleem hasil nahi kr skti hun na hi ghar py kisi ghyr ko ane ki ejazat hai mujhe btaein k kia agr mein urdu mein quran read krun to sawab milega ya nahi"
Wa Alaikum Aslaam , jahan tak sawab ka taluq hay to aap chahy quran pak ko khaloos ki niyat sy arbic , english ya urdu main parrahain wo to mily ga hi sawab ka wada choun k khuda ka hay aur khuda apny wady sy inheraaf nahi karta , magar baat sirf swab hasil karny ki nahi wo to mily ga hi asal baat quran sy hadayet lainy ki hay k quran keh kia raha hay , quran insan ko mukamal zabita hiyaat ata karta hay magar hum ny issy faqat sawab dainy wali kitab samjh rakha hay , khair aap fikar na karain aap agar khaloos sy quran pak parrhain gi to insha'allah zaror sawab mily ga , baqi parrhany k source aap ko myrizvi bro ny bata diye hain
re " and tell me one other thing k mene ek islamic book mein ek waqia read kia tha k ek admi jis ne so qatal kiye thy lekin os k bad wo tobha krne ja raha tha k raste mein mr gaya or ALLAH ne ose maf kr diya q k os ne mafi mangne ki niyat kr li thi"
jahan tak aysy waqiyaat ka taluq hay to yeh mehaz insan ko samjhany k liye biyaan kiye jaty hain , jo k khiyalaati aur taswaraati hoty hain aur in ka maqsad allah ki rehmat ki wusat batana hota hay , warna aap (s.a.a.w) k ilawa iss duniya main kon aysa shakhas hay jo zindgi main jannat , jahannum , allah ki bakhshah ya allah k azab ko apni ankhon sy daikh kar wapis zameen par aya ho , yaani 100 qatal karny wala insan allah k han bakhsha geya q k uss ny marny sy pehly toba kar li iss baat ki kia guaranty hay k allah ny waqia hi ussy mu'aaf kar diya , haan aysy waqiyat allah ki rehmat ki wusat batany k liye hoty hain ta k insan zindagi main kabi mayos na ho q k allah ny gunah k bad toba k darwazy b open rakhy hain
re " pr islam mein to qatal ki mafi nahi hai so mein ap sb se pochna chati hun k kiya koi b esa gunnah hai jis ki bilqul mafi na ho"
Allah k han qatal ki b mu'aafi hay , laiken toba k ilawa iss k kuch aur b akhkaamat biyaan howy hain yaani , qisaas , diyat , maqtool k luwaqeen ki tarf sy mu'aafi aur allah sy khalos-e-niyat sy toba waghaira , han aik aysa gunah b hay jis ki allah k haan mu'aafi nahi hay aur wo gunah hay KHUD KASHI q k iss amal k bad insan k pas toba ka moqa hi nahi rehta , baqi aik gunah shirk hay uss ki mu'aafi b iss sorat main hay k insan marny sy pehly rah-e-rasat par ajaye aur sidaq-e-dil sy allah ki zat maany . aur allah ki maany
re " agr koi islam se ghafil hajae ya to mohabat mein kisi insan ko khuda keh de pr tobha kr le to kia ALLAH ose maf krega ya nahi yani wo khuda to kahe pr ose ALLAH se milane ki niyat se na kahe q k pichle dino mene geo t.v pr ek esa hi darama dekha jis mein mehbob ko khuda kaha gaya niyat ho ya na ho kia ALLAH ese insan ko maf krta hai agr wo mafi mang le"
jahan tak tv dramas ya movies main boly gaye makalmon , words ka taluq hay to wo scripted hoty hain aur ussy jumly adaa karny waly actors / actoreses paid hoty hain wo jo bol raahy hoty hain ya act kar rahy hoty hain wo unn ka paisha hta hay na to unn jumlon ki depth sy unn ka koi wasta hota hay aur na hi haqeeqi zindagi main unn jumlom k mutabiq amal lehaza unn par gunah ki hadd nafiz nahi hoti iss hadd ka ittlaaq uss writer par hota hay jo aysy jumly script main add karta hay ,
baqi rahi baat toba ki to toba faqat yeh nahi k ey allah main ny jo gunah kiya hay mujhy uss ki mu'aafi ataa kar , yeh adhoori toba hay poori toba yeh hay k insan mu'aafi mangny k sath sath aynda zindagi main uss gunah ko na duhraye jis ki mu'aafi mangi hay
wallah ho ilm bis swab
re " plz meri ye uljhane dor karen or urdu mein quran ka b batein q k ramzan ane wala hai or mein quran prhna chati hun agar koi molvi sahab b mujhe reply kr dein to meherbani ho ALLAH ap ko is ka ajar de ameen
i think apni tarf sy hum sab ny aap ki uljhan door karny ki bharpoor koshish ki hay , aagy aap ki marzi , allah aap ko aur hum sab ko amal ki tofeeq wa sha'oor ataa kary ameen |